Presented by www.ziaraat.com
Bismillahe Wa Behi Nasht’een
Zaruri Tazkerah
Tafheem fuqaah ki yeh kitaab shion ke Marjah A’la Hazrat Ayatullah Al azam A’qaesayed Ali Hoosaini Sistani madzalah al a’la ke fatwohn par mooshtamil hai takeh AAp kemaqaledeen roz marah pesh aane waale massa’el ka “ shar’ei hukm” m’loom kar saken.Is edition ki farsi kitaab se tatbeeq aur islah wa naazar ke liye hum Hujatullah al islamGhulam Raza Ruhani sahib aur janaab Maulanaa Sayed Zullfiqaar Ali Zaidi Saheb ke shukr guzar hain. Nez yeh keh proof reading ke vaqt hata al imkan Ehteyaat barti gayi hai. Laikinimkan khata ke pesh nazar iltemaas hai keh dauraane mutaleah agar aap koi khaami mahsooskaren to meharbani farma kar humein zaroor aagah kijiye takeh aendah edition mein is fardgazashat ko door kiya ja sake.Dua hai keh Khuda wand manaan humari is khidmat ko apni bargah aala mein qaboolfarmaye aur hume shariat islam ki khidmat ka zayada se zayada mauqa inaayat farmaaye.“ Wa hauwal wali ul taufeeq ’’.(Idarah)
Mujtahid ki Taqleed
Hazrat ImamHasan Askari Alaih salaam ka irshaad garaami hai :“ Logon ko chahi’e keh fuqha’ ( y’ani Ehkaam shariat ko tafseel wa tehqeeq ke sath jannewaale mujtahdeen) mein se jo shakhs apne aap ko goonaahon se bachaata ho, apne deen kihafazat karta ho ( y’ani apne deen par sakhti se qayam ho) apni naafsani khuahishat ka ghulaamho aur Ehkaam Illahi ki ata-at karta ho is ki taqleed karen.” Is ke b’ad Imam Alaih salam nefarmaya : “ yeh ausaaf m’doode chand shiah fuqha’ mein se hain, sab mein nahin.” ( Ehtejajtabrisi, jild 2, safah263)Wali Asr Hazrat Imam Mehdi Ajalallah t’ala farjah Alsharif farmate hain :“ Ghaibat Kubra ke zamaane mein pesh aane waale halaat ke silsile mein humarihadeeson ko bayan karne waale rawion ki taraf rajoo’ karo kioon naa keh woh humari taraf setum par isi tarah hujat hain. Jis tarah hum Allah ki taraf se hujat hain.’’ ( kamal aldeen watamaam ulema sheikh sadooq”)A’mah kareem ke mandarjah bala farmodaat ke pesh naazar in tamaam logon par jodarjah ejtahaad par faez nahin hain, apne zamaane ke jamae alsharaet mujtahid ki taqleed karnawajib hai kioon naa keh is ke baghair in ki ebadaat au raise tamaam a’maal jin mein taqleedzaruri hai batil ho jate hain.Islam azeez ki shariat gharah ke farooe massael ka tafseel m’khaz ( Qur’an, Hadees,Ejmae, Aqal) se sharae hukm estanbaat karne ka naam ejtehaad hai aur mujtahid ke batae huefatwohn ko bagair daleel ke jannaa aur in par amal karna taqleed hai. Jo shakhs rutbae ejtehaadhasil kar chukka ho is ke liye taqleed karna jaez nahin hai albatah jo khud mujtahid naa ho is par taqleed karna wajib hai. Agar che ejtehaad aur taqleed ke alawah ek teesri surat bhi mumkin hai.Y’ani yeh keh Ehteyaat par amal kiya jae Laikin yeh har ek ke bas ki baat nahin hai. Ehteyaat par wohi shakhs amal kar sakta hai jo mukhtalif msael mein tamaam mujtahdeen ke ekhtalafifatwohn se poori tarah bakhabar ho aur aisa tareeqae amal ekhteyar kar sake jis mein jameat paee
Leave a Comment