You are on page 1of 3

1 SAWAL KI 11 SHAKLAIN

KIA KHUDA-E-BARTER K SIVA KOI


AUR MUSHKIL HAL KARNAY PER
QADIR HAY ?

Aksar mazhabi halqon me yeh swal k aya “Allah k swa koi mushkil hal kar
sakta hay ya sirf Allah hi is per qadir hay” aya, magr fariqain may say koi
bhi qail nhi ho pata. Ek zee-Shaoor insaan k zehn may yeh swal ubhrta hay
to wo isko mukhtalif pehluon say janchta hay k kis tarah Khuda k swa koi
hasti mushkil kushai kar sakti hay. Is swal ki 11 mukhtalif soorten hen:

Aik shax ko kisi mushkil ka saamna hay, wo chahta hay k meri mushkil door
ho, wo Allah k swa kisi doosri hasti ko pukarna chahta hay jo iski mushkil
ko hal kre ya Allah se hal karwae. Ab……

• Agr Allah k swa koi hasti (Nabi, Sahabi, Wali, Buzurg


waghera) oski mushkil hal karsakti hay to kia saail or
mushkil kusha k dermian lakhon meel ki doori per wo
zindagi main ya zindagi k baad qabr main awaz sun sakta
hay?
• Bil-farz wo awaz sunle to phir ye swal ubhrta hay k wo
dunya ki her zaban se waqif hay ya nhi? maslan German
Germani may, pathan Pashto may or French French may
apni mushkil pesh krega..
• Agr ye bhi farz kr lia jae k wo Adam alaihe salam se lekr aaj
tak jitni zabanen bni or ban k bigar gaeen tamam se waqif
hay to phir swal ye hay k ek lamhay may puri dunya say
hazaron ya lakhon log apni mushkilaat is k samne pesh
karenge to kia wo in sub ki mushkilaat ek saath hi sun or
samajh lega ya is k lye Qatar lagane ya token lene ki zarurat
pesh aegi?
• Allah apne banday ki her dua os k mazi-o-mustaqbil k halaat
madde nazr rakh kar pura farmata hay k kahin wo cheez
bande k lye nuqsandeh naho, q k insan khud bhi nhi janta k
jo cheez wo mang rha hay osme os k lye nafa hay ya nuqsan.
Kia wo hasti jisay Allah k siva pukara ja rha hay dunya k
tmaam un ginat logon k kirdar, or mazi, haal or mustaqbil
say ba-khabr hay k jo koi os se swal kre oska theek wesa hi
ya os se achha kam ban jae?
• Kia os hasti ko kabhi neend ya aram ki bhi zarurat hay ya wo
hamesha chokanna rehta hay, agr nhi to phir hmaray pas ek
list honi chahye k kab wo jagraha hay or kab nahi ta k
mushkil ko sunay or samjhay?
• Ek shax bolne say qasir hay iska gla band hochuka hay, agr
wo dil he dil may apni mushkil pesh kre to kia wo oski dili
faryaad bhi sunlega?
• Insaan ko pedaish se mout tak chhoti bari tmaam mushkilaat
ka saamna rehta hay, Agr wo tmam mushkilaat Allah t’ala
hal karne per qadir hay to ghairAllah ki traf ruju’ kerne ki
kia zaroorat hay, Or agr ghairAllah tmaam mushkilaat ko hal
ker sakte hain to phir Allah ki kia haajat hay??
• Agr ghairAllah tmaam mushkilaat hal krne pay qadir nhi; ho
sakta hay k kuch mushkilaat ka bera Allah ne uthaya ho or
kuch hal krne k ikhtyaraat kisi or ko de rakhay hon, esi
soorat may to hmare pas ek esi fehrist honi chahye k konsi
mushkil Khuda hal krne pe qadir hay or konsi ghair hal kr
sakta hay ta k saail apni mushkil osi k samne pesh kre jo hal
kerne pe qadir ho?
• Kia Khuda k siva jo hasti mushkil hal kar sakti hay zahir hay
wo mushkil dal bhi sakti hay, Ya iski duty sirf hal krne pay
hay? Agr wo mushkil hal kr sakti hay to phir dalne wala kon
hay?
• Bil-akhir nateeja ye niklega k Khuda mushkilaat dalne wala
hay or ghairAllah mushkil hal krne wala hay, bilfarz ek hasti
dalne per musir ho or doosri hal krne per to dono mese konsi
hasti apna fesla waapas legi?
• Kya hmare lye Allah T’ala ka yeh farman kafi nhi?

“Osi (Allah) ko (madad k lye) pukarna sacha pukarna hay, Or jo


log auron ko Os k siva pukartay hain wo (yani ghairAllah) in (ki
pukar) ka kuch bhi jawab nhi detay, magr jesay koi shax apne
dono hath pani ki taraf phelae huay ho k is k muh may aajae, hala
k wo pani is k muh may pohanchne wala nhi. Or in munkaron ka
pukarna (ghairAllah ko) bilkul gumrahi hay.”
[Al-Quran, surah Ra’d, Surat#13, Ayat#14]

For more detail, Visit :


http://www.islamtomorrow.com/wasila/1.asp

You might also like