You are on page 1of 20

Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay ... zindagi ban kar zindagi hi cheen li tum ne ..

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Barh Kar koi Dekha hai Jawab Aaya Un Aankhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Tumse main aaj lipat jaoon to muaff kar dena Hud se agar aage badh jaoon to muaff kar dena Shokhiyan aankhon ki jo betaab kar rahi hain Aaj kahin inn mein doob jaoon to muaff kar dena Bheenge hothon ke paimane na diklhao humko Inhe peene ko lub lalchaye to muaff kar dena Dil ki baat ko juban tak hi rok lete hain hum Khat mere kabhi kitabon mein pao to muaff kar dena Har saans meri tere husn ki karzdar ho chuki hai Dil mohabbat-e-izhar kar jaye to muaff kar dena Ulfat ke afsane to gunjte hain qayamat tak Ishq ki dehleez tak main pahuncha hoon mujhe muaff kar dena

Mat poochh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai bholi si aankhon mein sansaar racha rakha hai inn ankhon se jhalakte sawalon mein,main hoon tumne khud mein kahin mujhko chhupa rakha hai jab bhi laati hoon aks tera khud ke khayalon mein paa jati hoon her taraf raah,ghane baadalon mein muskaan teri mujhko bahut suhati hai zameen meri kahin tham si jaati hai yeh honth tere kuchh na bol kar bhi bol jaate hai sunna chahti hoon jo main woh ras kaanon mein ghol jaate hai dekhte ho iss tarah ki badh kar utha loge mujhko jab bhi hogi pareshan seene se laga loge mujhko jab bhi tasweer teri aankhon ke saamne laati hoon band kar ke aankhon ko bahut sukoon paati hoon mat poonchh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai teri aks ne mere khayalon mein mera khawaab saja rakha ha

Durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze mujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.

Waaday Se Tere Nibaah Rakhte Hein Is Umeed Se Teri Raah Taktay Hein - - -***- - Ek Saadi Judaa Honay Ki Baad Bhi Tere Laut Anay Ki Aas Rakhte Hein - - -***- - In Larazti Hue Dharkano Ko Teri Yaadon Se Shadaab Rakhte Hein - - -***- - Yeh Jo Hasratein Chamaan-e-Viraan Ki Meri Teri Ek Nigaah-e-Karaam Ki Naam Rakhte Hein - - -***- - -

Tu Mile Na Mile Yeh Aur Baat Hai Tere Paane Ki Justuju AAJ bhi Dil Mein Sada Rakhte Hein - - -***- - -

Lo Parh Lo AJJ Cherey Pe Mere Bikhri Hui Bebasi Kuch Tooti Phooti Yaadon Ki Bikhri Hui Chandini Ashqoo Mein Doobti Hui Ankhon Ki Roshni Ahoon-o-Fariad Se Jalti Hui Honto Pe Tishnagi Talkhion Mein Lipti Hui Chahat Ki Khamoshi Kantoo Si Chibti Hui Mehboob Ki Berukhi Sawalon Mein Uljhi Hui Chahat Ki Ragini Hosloo Ko Rondti Hui Dill Laagi, Be Khudi Zanjeero Mein Jakri Gaayi Qaid-e-Tanhai Jazboo Ko Masalti Hui Chibti Hui Zindagi Lo Paarh Lo AJJ Tum Bhi Mere Ranjishon Ki Kahani Kuch Tooti Phooti Yadoon Ki Bikhri Hui Ravani

Hairan na hua kar meri jaan yon mere yad krne pr, !! Taluq jin se dil ka ho wo aksar yad ate hen.

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui. Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati

Tumahri Yaad Asaasa Hai Zindagii Ka Merii Jo Bhul Jaaun Tumahay To FaQeer Ho Jaaun

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya

In galiyon ko in raston ko Hum tu tanha chor chalein Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay Teri mehfil se ruswa hoye Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay Woh tera chor ke chalay jana Tere bin mushkil jee pana Youn hamein tarsana A bhi ja chor dey tarpana In galiyon ko in raston ko Hum tu tanha chor chalein Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay Teri mehfil se ruswa hoye Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay Ishw pe dhaag na lag jaye Faasla aur na bhar jaye Sans na ruk jaye Abhi jaye dair na ho jaye In galiyon ko in raston ko Hum tu tanha chor chalein Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay Teri mehfil se ruswa hoye Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay

E tanha raha kurb mein so khubiyan lagi Ek bar kya mila tamasha ban gey..........

Dosti Ke Baad Mohabbat Ho Sakti Hai, Magar Mohabbat Ke Baad Dosti Nahi Ho Sakti ... Kyunki Dawa Mout Se Pehle Hi Asar Karti Hai, Mout Ke Baad Nahi...!!!

Muje yakeen hai muhabbat usi ko kehte hain, K zakham taza rahe aur nishan chala jae.

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz, Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!

Main kisi ki Muhabbat hon koi meri Muhabbat hai Main Deewani kisi ki koi Deewana mera hai Ajeeb kashmakash hai yeh kya Silsila hai Heena kisi or ki Dil kisi or ka haiiii Ya Khuda is Darjay Muhabbat sy nikal day mujhko k Bano main Dharkan uski jo Sachy Dil mera hai

Bujh Rahay Han Shaher Ke Jaltay Huay Chiragh Ay Neend Ab Toh Aa Ja Bohat Raat Ho Chali Gud Ni8...

Wo Kehta Rehta Hai Bari Majborian Hain Zamane Ki Saaf Lafzu Main Wo Khud Ko Bewafa Nahin Kehta..

Suno Tum laut aao na. Wo dekho chand nikla hai. Hamari muntazir ankhein, Duain maangti ankhein. Tumhein sochti ankhein, Tumhein dhondti ankhein, Tumhein wapis bulati hain, Ye Dil jab bhi Dharakta hai. Tumhara naam layta hai. Ye aansu jab bhi behtay hain. Tumharay Dukh main behtay hain. K barish jab bhi hoti hai. Tumhein yaad kartay hain. Khushi koi jo aaye bhi. Tumharay bin adhuri hai. Suno tum laut aao na. wo dekho chand nikla ha

Ab Is K Liye Neya Koi Harf NikaaLo.....!!!! Iss Lafz MuhabbaT Ka BharaM TooT Gya Hai...!!! Zee

Adhuri Baat Hy Lekin, Mera Kehna Zruri Hy, K Meri Sans Chalny Ko, Tera Jeena Zruri Hy, Ye Dil Betab Rehta Hy, Tera Milna Zruri Hy, Nazr Meri Trasti Hy, Tera Jalwa Zruri Hy, Agr Tu Aag Hy To Phr, Mera Jalna zruri Hy, Agr Manzil Ko Hy Pana, Sath Chalna Zruri Hy,

Tere Bin Zindgi Adhuri, Tujhe Pana Zruri Hy..!!

Tumhari bay rukhi par bhi luta di Zindagi hum nay, Agar tum Meharban hoty, hamara haal Kia hota.!

Haath haaton say choot'ta kub hay? Koi apnon say rooth'ta kub hay? Jo bhi jur jaata hay aik baar, Phir woh RISHTA toot'ta kub hay?

Surkh gulab k sare mausam tere naam, Har subha ka pehla ujala tere naam, Teri yaad ka behta darya mere liye, Behti jheel main phool KANWAL ka tere naam, Jitnay khawab Khuda ne mere naam likhay, Un khawabon ka resha resha tere naam, Tere bina jo umr betai beet gai, Ab is umr ka baqi hisa tere naam

Ek bachpan ka zamana tha, Khushiyon ka khazana tha, Chahat chand ko paane ki, Dil titli ka diwana tha, Khawar na thi kuchh subah ki, Na shaam ka thikana tha, Thak haar ke aana school se, Fir khelne bhi jana tha, Dadi ki kahani thi, Pariyon ka fasana tha, Barish me kagaz ki kashti thi, Har mousham suhana tha, Har khel me sathi thi, Har rishta nibhana tha, Gham ki jubaan na hoti thi, Na jakhmon ka paimana tha, Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha, Yahi jindgi ka fasana tha..

Main choti si ik bachi thi teri ungli tham kai chalti thi tu door nazar se hoti thi main aansoo ansoo roti thi khabon ka ik roshan basta tu roz mujhe pehnati thi Jab darti thi main ratun ko tu apne sath sulati thi Maan tu ne kitne barson tak is phool ko seincha hathon se Jeevan kai gheray bhedon ko main samjhi teri batoon se Mein teree yaad kai takia per ab bhi rat ko sotee hoon Maan me choti see ik bachi teri yad mein ab bhi rooti hoon

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon, Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon...

""Sukhe Patton ki Tarah Bikhre the Hum""... "Kisi ne Sameta Bhi To sirf Jalaane ke Liye""....!!

Mohabbat rooth jaye to Usay baahon main le lena ... Bohat hi paas kar ke tum... Usay jane nahi dena Woh daaman bhi churaye to Usay tum qasam de dena Dilon ke maamlon main to khatayen ho hi jati hain Tum in khataon ko, bahana mat bana lena Mohabbat rooth jaye to Usay jaldi mana lena

Ik Saal Purana Qissa Hai Ik Larka Tha Deewana Sa Karta Tha Manmana Sa Wo Shokh Shokh Chanchal Sa Mehka Mehka Pagal Sa Ik Roz Muhabbat Ker Betha Or Ab K Sal Ka Qissa Hai Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya Or Apne Aap Ko Maar Gya Sare Jag Se Jeet Gya Bas Apne Aap Se Haar Gya . *Ishq*

Apni aankho k samandar me utar jane de, Tera mujrim hu muje doob k mar jane de.

You might also like