You are on page 1of 1

Hai AunoMohammad hai mere AunoMohammad Baithi huee zami par kahti thi roke Zainab Kamsin the

tumne phir bhi aisi lari laraee Dete the daad tumko Shah ke diler bhai Maida me uth raha tha ek shor marhabaa ka Baithi huee .. Tumne ye tarbiyat ka aijaaz bhi dikhaya Di apni jaan lekin Islam ko bachaya Ye sin ye ja nisari,bacho mai tum pe waari Baithi huee .. Paani piya na tumne, qabze me thi taraee Kya khoob Shahe di se tumne wafa nibhaee Tum ho wafa ke paikar, maa ka salaam tum par Baithi huee .. Jeene na dega mujhko ye dardnaak manzar Dooba hua lahu me dekha tumhe zami par Itna Hussain roye, kar kar ke bain roye Baithi huee .. Is dashte karbala me aisi qayamat aee Ji bhar ke maa tumhara gham bhi manaa na paee Is baat pe na rona, maa se khafaa na hona Baithi huee .. Shabbir bhi nahi hai Abbas bhi nahi hai Tum bhi nahi ho koi ab aas bhi nahi hai Sab lut gya yaha par, ghar kya karungi jaakar Baithi huee .. Maa kahke jab kisi ne awaaz di na gauhar Ranjo alam ki maari chup ho gae eye kah kar Chhaane laga andhera, ghar laut aao beta Baithi huee ..

You might also like