You are on page 1of 1

salam khaak nasheeno pa sogwaron ka ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka salam un pa jinhe sharm khaaye jaati

hai khule saron pe aseeri ki khaak aati hai salam us pa jo zahmat kashe salaasil hai musibaton may imamat ki pehli manzil hai salam bhejte hai apni shahzadi par ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi nisar kar diye bache na bach saka bhai aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may husainiyat hai sikhaana ali ke lehje may sakina bibi tumhare ghulam haazir hai bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi kahan pa baithi ho qaime to jal gaye bibi pahaar raat bari der hai sawere may kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi janaab-e-maadar-e-baysheer ko bhi sab ka salam ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam abhi kaleje may ek aag si lagi hogi abhi to godh ki garmi na kam hui hogi nahin andhere main kuch soojhta kidhar dhundhen tumhara chaand kahan chhup gaya kidhar dhundhen na is tarah koi kheti hari bhari ujdi tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz darinde aur ye be-warisi khuda hafiz shareek-e-haq darood-o-salam-e-payghambar salam sayyid-e-lawlaak ke lute ghar par salam mohsin-e-islam khasta tan laasho salam tum pe shaeedon ke be kafan laasho salam tum pe rasool-o-batool ke pyaro salam mehr-e-shahadat ke gird sayyaro bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai

You might also like