You are on page 1of 18

Qaseem Haider Qaseem

Nauhas 2013 - 2014


1

Contents
1. Allaho Akbar Akbar ................................................................. 3 2. Kaise Baba Main Sar Ko Uthao ......................................... 5 3. Sarkar Hai Maula ...................................................................... 7 4. Fiza Ne Sare Darbar Kaha.................................................. 10 5. Aa Jao Alamdar....................................................................... 13 6. Sayyade Sajjad (A.s.) Hai ................................................... 15 7. Ya Imam-E-Hasan (A.s.) ...................................................... 17

1. Allaho Akbar Akbar


Allaho Akbar Akbar..2 Nary Takbeer Allaho Akbar Allaho Akbar .. Hai Sadaye Peer Allaho Akbar Allaho Akbar Ye Wo Nara Hai Jo Adam Ne Lagaya Arsh Par Aur Jawabe Nary Takbeer Gunja Farsh Par Bol Uthi Tanveer Allaho Akbar . Allaho Akbar Allaho Akbar Ban Gay Zeenat Azan Ki Nary Parwardigar Zarra Zarra Is Zameen Ka Keh Raha Hai Bar Bar Dil Pe Hai Tehreer Allaho Akbar Allaho Akbar Allaho Akbar Muslimo Ka Isteghasa Nary Taqbeer Hai Zulm Ke Rukh Pe Tamacha Nary Takbeer Hai Mansabe Takbeer Allaho Akbar.. Allaho Akbar Allaho Akbar Kisne Is Nary Ke Khatir Dushmano Se Jang Ki Kisne Har Maidan M Batil S Chini Zindagi Fathe Khaibar Geer Allaho Akbar.. Allaho Akbar Allaho Akbar Aye Musalman Nary Taqbeer Ko Ruswa Na Kar Aur Koi Name Le Is Name Ki Chrcha Na Kar Sahabe Tauqeer Allaho Akbar
3

Allaho Akbar Allaho Akbar Satt So Keusi Nashin They Sham K Darbar Main Jab Gay Aulade Haider Majmaye Aghyar Main Zainabe (S.a.) Dilgeer Allaho Akbar.. Allaho Akbar Allaho Akbar Teer Ne Jis Waqt Chheda Ek Mujahid Ka Gala Ek Maa Khime Main Baithi De Rahi Thi Ye Sada Asghare Besheer (A.s.) Allaho Akbar.. Allaho Akbar Allaho Akbar Aye Qaseeem Insaniyat Jis Shakhs Pe Qurban Hai Aj Bhi Wo Nary Taqbeer Ki Pechan Hai Hazrat E Shabbir (A.s) Allaho Akbar.. Allaho Akbar Allaho Akbar

2. Kaise Baba Main Sar Ko Uthao


Tauq Garden Main Hai Itna Bhari Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Tauq Garden Main Hai Itna Bhari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Berida Hai Behen Bhi Tumhari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Maine Dekha Hai Khaim Ko Jalte Chadre Sar Se Dekhi Hai Chhinte Hai Lahu Meri Ankho Se Jaari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Qaid Main Mar Na Jay Sakina Dhundti Hai Tumhara Wo Sina Khun Uske Badan Se Hai Jari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Dard Kaise Sahu Mere Baba Kese Paidal Chalun Mere Baba Badh Rahi Hai Meri Beqrari , Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Dhup Main Bethi Asghar (A.s) Ki Maa Hai Puchti Hai Ke Asghar (A.s.) Kahan Hai Hai Gahshi Ma Ape Asghar (A.s.) Ki Tari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2

Noke Neza Pe Quraan Sunana Aur Abbas (A.S) Ka Sar Girana Aage Badhti Nahi Hai Amari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Mere Paun Main Bedi Padi Thi Dast Main Hathkadi Bhi Lagi Thi Jab Lahad Main Thi Mayyat Utari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Jo Phupi Na Chali Ghar Main Paidal Wo Chali Shamon Kufa Main Paidal Nange Uton Pe Ki Hai Sawari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Mere Baba Use Tum Bachalo Qaid Se Unko Aake Nikalo Hai Sakina (s.A.) Mujhe Jaan Se Pyari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Ho Rahe Hai Sitam Itne Ham Par Kya Kahu Ke Baraste Hai Patthar Nanhen Bachchon Main Hai Aaho Zari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2 Keh Rahe The Yeh Sajid (A.s.) Ro Kar Dekh Lo Ye Ghulamane Haider (A.s.) Rozo Shab Kar Rahe Shabbedari, Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun Kaise Baba Main Sar Ko Uthaun .....2

3. Sarkar Hai Maula


Husain (A.S.), Husain (A.s.) Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Is Daur Ke Matam Daron Ko Darker Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Har Mulk Main Lahrata Hai Alam Har Mulk Main Hota Hai Matam Kehte Hain Aza Khanon Ki Taraf Matam Daron Ke Badhte Kadam Batil Ki Himayat Mat Karna Inkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Quraan Bacha Iman Bacha Maqtal Ke Bad Islam Bacha Han Naaz Namaze Karte Hain Allaho Nabi Ka Naam Bacha Ye Ghumbade Khizra Masjid Ki Minaar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Firon Ka Lashkar Gharq Hua Musa Ka Tawalla Aam Hua Haq Jsne Mitana Chaha Tha Han Uspe Tabarra Aam Hua Is Sabr Main Jo Lalkar Hai Wo Lalkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4
7

Phir Daure Yazeedi (L.a.) Aaya Hai Phir Zulm Ka Baadal Chhaya Hai Phir Qaidi Huye Be Jurm Jawan Nahaq Phir Khoon Bahaya Hai Keh Do Batil Se Ghaibat Main Talwar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Wo Apne Sabr Se Batil Ki Lashkar Ko Tanha Maar Gaya Is Din Ke Dushman Se Keh Do Wo Jeet Gaya Tu Haar Gaya Jis Sabr Se Tu Takraya Wo Deewar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Jo Khoon Bahaya Maqtal Main Us Khoon Ka Badla Lena Hai Bas Ek Khwahish Hai Dil Main Un Maaon Ko Pursa Dena Hai Ab Foj Sitam Se Ladne Ko Tayyar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki .....4 Abbas (A.s.) Ki Haibat Sath Liye Darbar Main Jab Pohchi Zainab (S.a.) Lehje Main Ali (A.s.) Ke Batil Se Bekhof Yahi Boli Zainab (S.a.) Har Ek Behen Ayse Ke Jo Mukhtar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain Ki..4

Is Alam Ke Har Mazhab Main Shabbir Tumhara Charcha Hai Jab Mahe Moharram Aata Hai Ye Sara Zamana Kehta Hai Ye Qoum Hai Wo Sadiyo Se Ghamkar Hai Maula Husain (A.s.) Ki Sarkar Hai Maula Husain Ki..4

4. Fiza Ne Sare Darbar Kaha


Fizza Ne Sare Darbar Kaha Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Fizza Ne Sare Darbar Kaha Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Aye Mawiya Zade (L.a.) Nazar Jhuka Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Zehra (S.a.) Ki Kanizi Main Maine Ta Umr Guzari Khidmat Main Kapde Hasnain (A.s.) Ke Dhoye Hain Hai Naam Mera Har Aayat Main Nazro Se Meri Na Nazar Mila, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Hasnain (A.s.) Bulaye Maa Keh Kar Tazmeem Main Jhuk Jate Hain Bashar Salman Abuzar Meesam Hon Jibreeal Ho Ya Ke E Ho Qambar Darjat Main Hu Sab Se Aala, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Maqtal Ke Safar Se Aaya Hun Aur Sath Ghamo Ko Laya Hun Aabid (A.s.) Ki Aasiri Dekhi Hai Aur Main Bhi Ghamon Ki Sataye Hun Aankho Main Meri Hai Shake Aza, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2

10

Ahmad (S.a.w.w.) Se Le Ke Sarwar (A.s.)Tak Har Daur Ko Dekha Hai Manine Is Takht Se Afzal Paoun Ki Juti Ko Samjha Hai Maine Waqif Hai Mujh Se Mera Khuda, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Khana Bhi Pakay Hain Maine Aur Chakki Bhi Maaine Chalaie Hai Roti Ko Malayke Le K Gaye Quran Ki Aayat Aaye Hai Tu Dekh Zara Mera Rutba, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Par Aj Sipar Hu Zainab (S.a.) Ki Main Aanch Nahi Aane Dungi Apne Ko Samjhta Kya Hai Shaki Tu Kiya Haqiqat Bolungi Mangun Jo Khuda Se Wo Ho Ata, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Afsos Nabi Ki Atart Ki Maloon Na Tune Izzat Ki Sar Nange Nabi Zadi (S.a.) Hain Khadi Bochhar Ho Tujh Par Laanat Ki Daulat Ka Hai Tujh Pe Kaisa Nasha, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Chalis (40) Jawan Jba Age Badhe Hakim Se Wo Saare Kehne Lage Fizza Ko Na Hargis Durre Laga Darya Na Yahan Par Khun Ka Bahe Darbar Main Jab Fizza Ne Kaha, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fiza Hu .....2
11

Tha Hashr Qaseem Us Waqt Bapa Fizza Ne Tadap Kar Jab Ye Kaha Afsos Hamari Zainab (S.a.) Ka Baki Na Sahara Koi Raha Mara Gaya Maqtal Main Kunba, Main Habash Ki Malka Fizza Hu Main Habash Ki Malka Fizza Hu .....2 Fizza Ne Sare Darbar Kaha Main Habash Ki Malka Fiza Hu .....2

12

5. Aa Jao Alamdar
Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.) ..2 Shabbir (A.s.) Ka Ab Koi Nahi Moniso Ghamkar Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.) ..2 Kis Dard Se Deti Hai Sada Zianab (S.a.) -E-Lachhar Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Nau (9) Lakh Ke Narghe Main Mera Bhai Khada Hai Kya Waqt Pada Hai Ye .....2 Tanhai Pe Shabbir Ki Hanste Hai Ye Aghyar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar(A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Mil Jati Agar Izne Wigha Aye Mere Ghazi Chadar Nahin Chhinti .....2 Lut Ta Abu Talib (A.s.) Ka Na Is Tara Se Ghar Bar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Shabbir Ka Lasha Hai Pada Jalti Zamin Par Aap Aaye Na Kiun Kar. 2 Tadfin Kare Koun Ke Aabid (A.s.)Hai Giraftar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Bazu Hai Rasan Basta Yaha Aale Nabi (A.s.) Ke Aulade Ali (A.s.) Ke .....2 Har Aan Yaha Zulm Hai Ab Jina Hai Dushwar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A .s.)..2
13

Ghayyur Baradar Mere Aa Jao Madad Ko Chadar To Udha Do..2 Majme Khule Sar Hai Khadi Zurriyat e Athar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Sine Pe Sada Bap Ke Soti Thi Sakina (S.a.) Hai Khak Bichhona..2 Kanon Se Lahu Behta Hai Aur Nile Hai Rukhsar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Ghardan Bhi Jhuki Jati Hai Isne Toqe Garan Se Paun Main Hai Chhale .....2 Zakhmi Hua Kadod Se Tane Aabide Bimar(A.s.), Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Dikhla Do Khuda Ke Lye Wo Chand Si Surat Ban Jaigi Himmat.2 Sarwar (A.s.) Hai Na Akbar (A.s.) Hain Na Hain Qasime Jarrar (a.s.0, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Nusrat Ke Lye Mehndiye Akhir Ki Jo Aana Ham Ko Bhi Bhulana.2 Kehte Hain Qaseem Aapse Ye Sare Azadar, Aa Jao Almdar Aa Jao Alamdar (A.s.) Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2 Kis Dar Se Deti Hai Sada Zainab-E-Lachar Shabbir (A.s.) Ka Ab Koi Nahin Moniso Ghamkar Aa Jao Almdar (A.s.) Aa Jao Alamdar(A.s.)..2
14

6. Sayyade Sajjad (A.s.) Hai


Wadiye Purkhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai.2 Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..2 Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..2 Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..2 Wadiye Purkhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Sham Ka Bazar Hai, Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Walwe Main Hai Barida Dukhtare Khairun Nisa (S.a.) Dukhtare Khairun Nisa (S.a.) Walwe Main Hai Berida Kunba Giraftar Hai, Sayyada Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Hath Mai Hai Hathkadi Paoun Main Hai Bedi Padi Paoun Main Hai Bedi Padi, Hath Mai Hai Hathkadi Rah Bhi Purkhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Dekh Kar Sar Shah Ka Roti Hain Aaly Aba Roti Hain Aaly Aba Dekh Kar Sar Shah Ka Zulm Ka Bazar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Deti Hai Har Dam Sada Dukhtare Kahirunnisa Dukhtare Kahirunnisa Deti Hai Har Dam Sada Bekaso Lachhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Unto Ki Thame Lagam Chalte They Bekas Imam (A.s.) Chalte They Bekas Imam (A.s.) Unto Ki Thame Lagam
15

Toq Bhi Purkhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Din Ko Bachate Rahe Sadme Uthate Rahe Sadme Uthate Rahe Din Ko Bachate Rahe Maliko Mukhtar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Kijiye Majlis Bapa Hota Hai Pursa Ada Hota Hai Pursa Ada Kijiye Majlis Bapa Shah Ka Ghamkar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Sun Ke Banaye Qaseem Girya Kuna Hai Naseem Girya Kuna Hai Naseem Sun Ke Banaye Qaseem Ashkon Ki Bochhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai..4 Sham Ka Bazar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai Wadiye Purkhar Hai Sayyade Sajjad (A.s.) Hai

16

7. Ya Imam-E-Hasan (A.s.)
Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Fatima (S.a.) Ke Pisar Fakhre Khaibar Shikan (A.s.) Ghulshane Mustafa (S.a.w.w.) Ke Ho Sarwe Chamam Hay Sakhi Apka Murtaza (A.s.) Ka Sukhan Ashke Midhat Main Nam Hai Hamare Nayan Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Noor Hain Aap Ka Noore Rabb E Uola Aap Ho Warise Masnade Murtaza (A.s.) Dono Aalam Ke Ho Hujjate Kibriya Ham Gharibon Pe Hain Aap Saya Figan Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Likhe Huru Malayak Qaseede Tere Padh Rahe Hain Haqayaq Qaseede Tere Bazm Ki Hain Ye Ronaq Qaseede Tere Tum Hi Ho Dilabre Jane Qila Shikan (A.s.) Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Doulte Din Paa Na Ho Tum Ko Agar Naqshe Paye Hasan (A.s.) Ho Teri Raah Guzar Honge Sab Dange Rutba Tera Dekhkar Shart Itni Hai Ke Pak Rakkho Zehen Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Hai Ziya E Qadam Chand Ki Chandni Khak Zere Qadam Kabr Ki Roshni Madha Jinki Meri Zindagani Bani Ha Yahi Hain Mohammed (S.a.w.w.) Ka Din Janoo Tan Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4 Dega Jo Bhi Inhe Sidq Dil Se Sada Uski Imdad Ko Aayen Ge Mujtaba (A.s.) Dur Hogi Pareshaniyan Barmala
17

Phir Bhala Hogi Kiyun Fikre Ranjo Mahan Ya Imam-E-Hasan (A.s.).4 Tazkare Aap Aasmanon Pa Hai Iim Rakhte Hain Jo Un Zabanon Pa Hai Naqsh Har Matmi Ke Makanon Pa Hai Ay Qaseem Aapki Madh Karke Magan Ya Imam-E-Hasan (A.s.)..4

18

You might also like