You are on page 1of 1

sir jalayenge roshni hogi

us ujale mein faisle honge - 2


roshnayee bhi khoon ki hogi
aur woh faqakash qalam jisme
jitni cheekh.on ki dastane hai.n
unko likhne ki aarzoo hogi
na hi lamha qarar ka hoga
na hi rasta farar ka hoga
woh adalat gh.areeb ki hogi
jaan atki yazeed ki hogi
aur phir ek faqir ka baccha
masnado.n pe bithaya jayega
aur tarazoo ke dono paldon mein
surkh lamho.n ko tola jayega
sabk.a hakemeen hazir hon
naam aur wald bola jayega
jo yateemo.n ki taraf utthe the
aise haathon ko tod dale.nge
aur jisne raundi gh.areeb ki asmat
uski gardan marod dale.nge
jisne bechi hai qalb ki takat
jisne apna zameer becha hai
jo dukane sajaye baithe hai.n
sach se daman chudaye baithe hai.n
jisne becha azaab becha hai
mufliso.n ko sara'ab becha hai
deen ko behisab becha hai
kuch ne roti ka khwab becha hai
aur kya kahen hum ke qaum ne khud ko
kis tarah bar bar becha hai-2
faiz-o-iqbal ka padosi hoon
ek tadap mere khoon mein bhi hai
aankh mein silsila hai khwabo.n ka
ek mahek mere charsu.n bhi hai
jhaupdi ke naseeb badle.nge
phir kahin inquilab aayega
baith rehne se kuch nahi hoga
ek din inquilab aayega

You might also like