lat hai...Sunan at-Tirmizi, Kitab ad-Da'waat, Kitab No.45, Hadees No.3548:
Innad-Du'aa-a yan-fa-'u mim-maa nazala wa mim-maa lam yanzil; fa-'alaikum, 'ibaadal-laahi bid-Du'aa.
Jo pareshani aa chuki aur jo pareshani aane wali hai
ALLAH Ta'aala DUA ke zariyeus pareshaniyon ko door kar deta hai; toh aye ALLAH ke bandon, DUA ko laazim pakdo.
- Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne irshad farmaya.Agar haath ALLAH ki taraf DUA ke liye uth jaye toh RAB us hath ko khali NAHI lautata. RAB ne kya kaha?Sunan ibn Majah ki ek riwayat hai
Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne irshadfarmaya
Kitab ad-Du'a, Kitab No.34, Hadees No.3865:
Inna Rabba-kum Hayiyyun Kareemun, Yas-tah-yi min 'abdi-Hii izaa da'aa-Hu fal-yarudda-huma sifran.
Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne kaha ki beshak tumhara RAB Bahot ZiyadahSharm Karne Wala hai, Nek hai, Buzurg hai; US ko Sharm mahsoos hoti hai apne bande se ki jab banda US ko pukare toh uske dono haath ko khali lauta de.Malum hai aap ko DUA ki Ahmiyat kitni hai? - ki agar aap DUA nahi karte toh ALLAH Ta'aala Narazi ka Izhaar karta hai.Surah Mu'min, Surah No.40, Ayat No.60:
...Ud-'uu-Nii, asta-jib-lakum; innal-lazeena yastak-biroona 'an 'Ibaada-Tii sa-yad-quloona Jahannama daaqireen.
...Mujhe hi pukaro, MAIN tumhari pukar ko sunta hoon; jo log MUJHE nahi pukarte
MERI 'Ibaadat se i'raaz karte hain
anqareeb Jahannam mein daaqil honge.
DUA par ubhara gaya hai ki aadmi kis tareeqe se DUA kare.Surah Baqarah, Surah No.2, Ayat No.186:
Wa izaa sa-ala-ka 'ibaa-dii 'Annii fa-Innii Qareeb; Uujeebu da'watad-daa'i izaa da'aa-N; fal-yasta-jeebuu-Lii wal-yu'minu Bii la'allahum yarshudoon.
Jab MERE bandein aap se poochein MERE bare mein toh keh dijiye ki MAIN Bahot Qareeb hoon aur MAIN pukarne walon ki pukar ko sunta hoon jab woh MUJHE pukarein; logon ko chahiye ki MUJH par Imaan rakhein aur MUJHE hi pukare
MUJH se Baqshish talab kare
shayad ki woh log Baqsh diye jayein.
ALLAH hi se manga jaye, ALLAH par Imaan rakha jaye toh ALLAH Ta'aala Hidaayat kaRasta Dikhata hai.Sami'een, Nazireen, gaur kijiye ki jo DUA hum aur aap mangte hain uske bhi kuchhAadab hain
yoon hi nahi
pehle bahot kaam karna hai.Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne irshad farmaya
Sunan at-Tirmizi ki riwayat hai
Kitab ad-Da'waat, Kitab No.45, Hadees No.3476:Ek aadmi aaya, Masjid ke andar Namaaz padha, kehne laga,
Allaahummag-fir-lii war-Ham-nii.
Aye ALLAH, TU mujhe Baqsh de aur mujh par Raham farma.
Toh Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne kaha,
'Ajil-ta, ayyuhal-musalli.
Aye Namaaz padhne wale, tune jaldbazi ki. Jab tu Namaaz padh le toh tu baith ja,
fah-madil-laaha bi-maa Huwa ahlu-H,
aur tu ALLAH ki Tareef kar ALLAH ke liye jo Layaq hai,
wa salli 'alaiyya
amujh par tu Darood wa Salaam bhej, phir tu DUA kar, teri DUA Qubool hogi.
Ek dusra aadmi aaya, Namaaz padha, ALLAH ki Tareef ki, Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, par Darood wa Salaam bheja toh Nabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, ne kaha
ye aadmi sahi kiya hai
phir us se kaha
tu DUA kar, teri DUA Qubool ki jayegi.
Toh ye DUA ke Aadab Is tareeqe se hain ki aadmi pehle ALLAH ki Tareef kare phirNabi, Sallallaahu 'alaihi wa Sallam, Darood wa Salaam bheje phir DUA mange.DUA ka mangne ka ek Adab ye bhi hai ki aadmi diljami ke sath DUA mange, pukhtagi