You are on page 1of 5

Bali Pratha- Ek Andhvishvaas aur Dharmik dosh Bharatvarsh vaise to na jaane kitni hi saamajik samsyaoin se ghira hua dikhayee

deta hai par meri drashti main ek samsya bahut lambe samay se akhar rahi hai vo hai dharm ke naam par ki jaane vaali nirdosh pashuyoin ki bali aur usse jude hua andhvishvaas. Mujhe yah kahte hue bahut dukh ho raha hai ki yah pratha ek dosh ke roop main humhare

desh main har sampradaay har dharm main ek rog ki tarah faili huee hai , Devi devtaoin ki santushti aur prasaanta ke naam per sanatan dharm aur kaalantar main hindu dharm se naamit vyavastha main yah pratha ek bahut bade dosh ki tarah hai , jiske hal ke liye humhe aaj ke is yug main kuch thos upaay sochne chaiye.Anek vicharakoi ka yah mat hai ki ye prathaayein Brahmins aur samvargeey logoin ke maansaahar ke tustikaran ka saadhan maatra hai kuinki koi bhi dharm apne maulik roop main kisi bhi praani par kis bhi

prakaar ke atyachaar ki anushansha nahi karta . Isi prakaar islaam , isaayee aur anek dharmik vyavasthaayoin main aisi hi kroor prathayoin ko mahtva diya gaya hai jo humhare maanveey mulyoin per ek bada prashnchinh hai ? yah prashn is samay kuin uthaaya ja raha hai to main sochta hoon kisi bhi samaaj sudharo Vishay ko uthaane ke liye shubh-muhurt nahi hota , samsya jab dikh jaaye uska samaadhaan dhoondne main lag jaana chaiye.

Main aap sabse yah anurodh karta hoon ki jaha tak sambhav ho bali pratha ka ek swar main virodh kare, Yadi aap ke aas pass yah pratha chalan main to uska virodh karein, yadi virodh na kar sake to swayam usme sammilit na ho, doosro ko bhi is pratha ka triraskaar karne ki prerna dein, jo log apne pad(post) ka upyog kar sakte hain vo is ka prayatn karein ki jahan tak sambhav ho vo is pratha ka virodh kareinge.Jo log samaaj main prabhaav shaali hai aur ek suvyavasthit sangathan se jude hue hain

kripya apne agende main is mudde ko awashya shaamil karein aur isa teevra virodh karein, Jo log vidhayika ka ang hai ya usse jude hue hai vo na keval Go-Hatya ka balki dharm ke naam per kisi bhi pashu ki bali ko rokne ke liye kanoon banayein. Utsav aur Prathayoin ke naam per jantu hatya ke liye bhi Mrityudand jaise sakht kanoon ki hi darkaar hai. Dhanyvaad Shailendra

You might also like