You are on page 1of 16

Ravan Ka Mahimandan by Deoguru Chaturvedi Ravan ke Mahimamandan ka khandan by Shailendra Dixit..

Mere kuch Mitra Brahman hone ke karan Ravan ke mahimandan main lage hue hain adholikhit lekh main unke tarkoin ka kramvaar khandan karne ka prayaas kiya hai.. kiski baat kar rahe maa sita ki ? - agar ravan ye samajhta na to lagbhag saal bhar laha hoga ram ko lanka pahuchne me chata to bhog bhi chuka hota lekin ravan ne aisa kabhi chaha hi nahi aur ek se adhik saadi to wo us samay faisan tha raja dasrath ko dekh ko lijiye Maine bahu vivaah nahi balki nari ke bhog par prashna uthaaya tha jisme usne apne bhai kuber ke putra nal kuber ki patni ka balaatkaar kiya tha aur nal kuber se shaap paya , Devi vedmati jinka mandir aaj bhi uttarakhand main hain unke tap ko bhang kiya aur unke balat haran ki cheshta ki tab unhone swayam ko uski mrityu ke karan banne ka shaap diya Angad rajdoot ke sath bali ka putra tha aur bali ravan ka mitra tha aur angad apne pita ka khun karne wale ram aur uski planing karne wale sugriv ki madad kar raha tha isi baat pe ravan ne apmaan kya

tha ki apne hi pita ka dusman tha tu jo unki madad kar rha hai Angad jo bhi kar raha to vah khadyantra nahi balki apne marnashann pita ki antim aagya ka palan kar raha tha kam se kam vaalmiki ramayan to yahi bodh karaati hai Koi sahas na kar rah tha bas un logo ko naya jeevan de raha tha jo hamare sammaj se nikaal diye gaye the pagal nahi tha jo junglr junglr ghum raha tha unka vikaas karna chahta tha uska asar aap dekh sakte hai ki south india me ravan ki log paaja karte hai dar se karte to ab tak na karte ravan ki pooja wakai me samman karte hai waha ke log aur jaisa ki aap jante honge ki ravan ki maut vibishan ke kahne pe hui thi to jimedaar bhi wahi hua na Jab ravan antim yudh ke liye ja raha tha tab us se maharani mandodari ne poocha tha ki hey naath is youdh main ab aap yadi vijayi hue to us se aapko kya milega.. uska uttar tha Yash ,jis par mandodari ne poocha vo yah yash ab kiske liye kama raha hai to usne kaha apne liye yah tha swarth prerit duh sahas!! raj dharam ab ravan ke rajya me kya khot thi bhai sone ki lanka thi dhan ke raha kuber ki puri sampati thi jo paraja ke liye hi to thi pati dharam ravan ne mandodari ko

jitan samman diya tha na kisi raja ne na diya hoga pita dharam ravan ke putara ravan ke liye jaan dene ko taiyaar the bhai ab kya khot hai pita dharma me aur ravan ne puta dharama ka palan kab na kya tha hamesa kya tha mata ke kahne pe kuber se lanka chini jo uske nana ki sampati thi Raja vah hai jo praja ke hit ki doordarshita rakhe aur aise karm kare jis se uski praja ka kalyaan ho yadi aisa hota to apni kamuk mahatvakansha ke chalte vah sita haran karke apni praja ko mahvinaash ke yudh ki ore na dhakelta... Pati vah hai jo apni patniyoin , ko samman de , unke vicharoin ko sune aur un par chintan kare..Maharani mandodari ke vichar per to usne kaan hi nahi dhare kabhi.. aur upar se ek prasang main to usne sita se yah tk kaha ki yadi vah lanka ki patrani banna sweekar karengi to mandodari aadi sabhi raniyoin ko tumhari daasi bana doonga.. patni koi mudra nahi jisse koi sauda kiya jaye Pita vah hai jo santaan ko uchit maarg dikhaye.. Ravan ke brahaman kul main kitne sant , mahatma aur sajjan shreni ke purush the.. sabhi sabhi ke sabhi bhogi ,atyachari , kamuk aur nishthur the.. aur vah bhi uchit pita nahi jo apni andhi kamukta ki agni main apne samridha vansh ko jhonk de

Mata ke dwara bhi Sita ko vapas kar aane ki aagya ka ullanghan bhi putra dharma par prashna uthata hai yadi vah mata ki taamsik aagayoin ka palan kar sakta tha to satvik aagya ka tirashkaar kuin? Lanka ka itihaas shiv puran ke anusaar kuch aur hi hai .. shiv puran ke anusraar dev shilpi vishvkarma ne singhal dweep ke trikoot parvat ke sunder namak sikhar par swarnmayee lanka puri ki rachna ke thee jiska nirmaan bhagwaan shiv ne mata parvati ke liye karvaya tha.. uske vaastu pujan ki vidhi Ravan ke pita rishi vishrava ne karvaaye thee aur shiv ki prsaannta par var mange jaane ke liye kahne par apni patni kaikasi ki prerna se unhone vastu pujan ki dakhsina ke roop main Lanka puri ko hi maang liya tha is par mata parvati ne krodhit hokar Rishi vishrava ko lanka ke karan hi nasht ho jaane ka shaap diya tha.. bahut vinay par vibhishan ko chiranjeevi hone ka aashish prapt hua tha..isliye is bhram ko janm na de ki lanka uske nana ki sampati thee.. ye aap kaise ka sakte hai ravan ki bato ko kewal vbhishan ko chhod ke sabhi sahi mante the nahi to wo bhi ravan ka saath chhod dete bhale hi ram ka satha na dete waise bhi kumhakartan to ladai ke din jaga tha saayad Vibhishan ne ravan ko nahi balki ravan ne vibhishan ka tyaag kiya tha halanki dono baatoin

ka parinaam ek hai par tatparya ek nahi.. Raja dwara nishakashit aur apmanit purush yadi shatru se ja milta hai to ise deshdroh kaha ja sakta hai par tarkik drashti aur vyaktigat dharm ke aadhaar par yadi dekha jaye to vibhishan ka lanka tyaag aur ram se rajneetik mitrata kootneeti ki safalta ka ek uttam udahran hai.. Kumbhkarn yudh ke beech main jagaya awashya gaya tha parantu sita haran ki baat jaan kar usne raavan ki ninda awashya ki thee Meghnaad ne bhi antim yudh main jaane se pahle Ravan ko satya ka gyaan karaane ka prayaas kiya tha.. Maalyvaan aur may danav ne bhi prayaas kiye the parantu unhone ravan ka tyaag nahi kiya kuinki unka us prakaar apmaan nahi hua aur na hi ravan ne unka kabhi tyaag kiya Kaise parja hi vichar aur kiske us samay stiri ka rajniti me koi sthan nahi tha aur waise bhi jo praja ravan ki thi ravan ne ekatrit ki thi jo ravan ke saath khus the unke hit ki wo kaise kah sakti hai - vbhisan jaisa bhai ravan ka na hota to Ram me aap log kabhi bagwaan nahi dhundha pate vibhisan ek aisa bhai tha ki bhai ki ek laat ke badle maut de di aur prabhu ram the to unko ye thoda bhi anyan na laga vbhisan ko hame satha liye ghumte rahe

Jis Ram ko swayam Bhagvaan shiv poojte ho uske aishwarya ko sidh karne ke liye kisi vibhishan ki koi jaroorat itihaas ko na kabhi thee aur na hi kabhi paregi.. atah ravan ke mahima mandan main shree ram ka niradar na karein ti uchit hoga shree man.. ek aadasrh putra , ek aadarsh shishya , ek aadarsh bhai , ek aadarsh raja , ek aadarsh pati jiske gun Vashishta aur vaalmiki jaise rishiyoin aur tulsi jaise tyaagi ne gaaye hain unhe ravan ki keemat par chatruvedi ji kripya dhoomil karne ki bhool na karein meri prarthana hai Naari ko raajneeti main uchit aur sammanit sthaan prapt tha.. maharani kakikeyi ke yudh abhiyaan , Mahrani Tara ka kootnitik aur raajneetik gyaan aur Maharaj Baali dwara antim samay main Sugreev ko tara ki mantrana ka paramarsh nari ke rajneetik mahatva ka pramaan hai.. haan ravan roopi anhkaari purush naari ko vastu se adhik kuch nahi samajh paye aur ise gun nahi avagun hi kahe to jyada satya lagege Ravan ki mrityu ke karan ko itna chota na banaayiye shree man sirf us laat ke karan uski mratyu nahi hui thee.. Ravan vah tha jiske karan Bhagvaan vishnu ne ram roop liya tha.. aur uski mratyu ke karan us din se gine jaane lage the jis din se usne janm liya tha.. vah laat to ek tatkaalik karan thee.. Wo ravan ke isat dev ke roop na the us samay wo lanka gaye the chori se aur bina

matlab uski jaan se pyari aasok watika ujjad daali agar wo kayde se ravan ke isat dev ke nate gaye hote ko ravan kabhi aisa na karta wo us samay ek gupchar the jo ravan ka bhed lene gaye the Shree Hanuman ko chor kahne ka main teevra khandan karta hoon shree maan , Yudh neeti anusaar shatru desh ke balabal ko jaan ne ke liye aur fir sita mata ki khoj ke liye bhi Ravan ki lanka main pravesh chori nahi kaha ja sakta use kootniti ki bhasha main Guptchar kahte hain.. Hanumaan ka abhiyaan tha apni pahchaan ko tab tak gupta rakhna jab tak mata sita ka pata na chal jaye.. fir kootniti ke anartgat shatru ke bal abal ki thaah li jaye aur yatha sambhav shatru ko khsati pahunchaaye jaye.. isliye hanumaan ke ek param safal Guptchar abhiyaan ko chori kah kar aap aaj desh ke hit main kaam karne vaale Inteligence agents aur desh ke guptcharoin ki deshbhakti ki bhaavna ko apmaanit kar rahe hain Aur vah bhakt hi kya jo apne dwaar par aaye ishta ko pahchaan na sake .. shiv ka tathakathit parambhakt.. jab is parichay ko pa chuka tha ki saamne bandha hua vaanar Hanumaan hai.. to bhi vah vahi karta raha kya aap chate hain Hanuman ho ek i card rakhna chaiye tha jisme likha ho ki main Rudra ka gyarvahn avtaar hoon.. kaya durupayog kiya tha ravan ne aur kaha kiya tha gyani tha shive bhakat tha brahmin tha to jao satru ka bulawa aaya to

unko aasirwaad dene chala aaya aur kabhi agyanta nahi ki thi ravan ne hamesa mahan gyani mana jata raha hi aur usne kabhi koi durupyog na kya gyan ka Main fir kahoonga Shiv bhakti ,Brahman jaati aur Gyaan ki prapti.. aapko pujneey nahi bana sakti yadi aap ke karma nindaneey ho.. Almari main padi hui kitabe almari ko gyaani nahi banaati.. kisi bhi mandir main rahne vaale keet ishwar ke bhakt nahi kahe jaate , aur brahmin hona shreshta ka pramaan na kabhi tha , na kabhi hai ,aur ab to na kabhi hoga kya aatank par raha tha wo bas apne rajya ki simma ka vistaar kar raha tha wo un logo ko ek joot karne ki kosis kar raha tha jo hamare samaaj se nikaal ke van me bhej diye gaye the aur harao lakho salo se kisi ko dekhe nahi the to wo to kisi ko bhi dekh ke dar na jayenge aatank machata to us ilake log aaj pooja na karte ravan ki ye ek apwaah hai ki ravan ne dandkaranya me aatank ko samarthan diya tha Dandakarnya main aatank ke samarthan ko seema vistaar kah kar aapne kuch had tak mughaloin ke bharat main padarpan , angrejoin ki loot , aur aadhunik yug main pak dwara seema vistaar ke naam par poshit aatankwaad ka apratyaksh samarthan kiya hai.. aapka yah tark nischit roop se samaaj ke liye ek chinta ka vishay

hai.. aur main yahi kahoonga ishvar aapko sadbudhi de wo ladhi dewata aur asuro ke bich thi wo apne nana ke bulawe pe gaya tha jaha jana jaruri tha lekin dasrath kya karne gaye the unke kis riste daar ki ladai thi Bharatiy Sanatan dharm ke pauranik istihaas ke anusaar asuroin ne samay samay Brahma aur shiva se vardaan pa kar satvik shaktiyoin ko kasht pahunchaye hain.. ab jo bhi ho.. har devasur sangram main devta satvikta ka aur asur tamsikta ka prateek rahe hain ab saatvikta ke upar taamsikta ko chune vaala vyakti kisi bhi drashti se shreshta nahi ho sakta halaanki yah uski vyaktigat chunaav ki baat hai Yudh saidav Dharm aur Adharma ke Madhya ,andhkaar aur prakash ke Madhya , Gyaan aur agyaan ke Madhya hota hai aur isme kisi ko nana ,chacha , ya pita banakar nahi chuna ja sakta hai.. yadi aapka sambandhi adharmi , anyaayi , atyachaari hai ti uske adharma ko sanrakshit karna apko shesrhta nahi sidh karta shreeman kaise maryada kiski maryada wo ek tapaswi the ravan ke pita ne jante hue ki wo ek daitya ki putri se viwaah kar rahe hai uski sundarta ko jyada maine diya Jaante hue daitya ki putri se vivaah koi bahut bada dosh nahi , par kabhi unhone ravan ko

tamsikta ki prerna nahi di..vir bhi vah aur uske bhai taamsi hue.. yah thee maryaada ki hatya kis var ki baat kar rahe hai aap kaha kiya hai durupyog apne satru k marna koi durpyog thode hi hai waise bhi ladai pahle hamesa ram ne suru ki thi ravan ne nahi Brahma se prapt var ka anhkaar prerit durupyog tha.. nav grah ko apna daas bana kar shkati ka nirarthak pradarshan , aap yadi shakti shaali hain to shakti ka prayog nirbal ki raksha ke liye uchit mana jaata hai.. Nav grih , dikpaloin ko bandi bana kar usne shrishti ke sucharu snachalan main badha utpann ki yah tha durupyog Shree Man yah sab Ram janm ke bahut pahle se chal raha tha aur kis ladayee ko Ram ne shuru kiya tha.. yah to vichitra Tark hai.. Ram se kai paaedhi pahle ke ishvaaku vanshi raja Ravan se yudh kar chuke the.. Maharj Dashrath se kai peedhi pahle ke Suryavanshi Raja ne Ravan ko vachan diya tha ki unke kul ka koi vyakti Ravan ki Hatya karega Maharani Kaikeyi ke Yudhbhoomi par Ravan dwara kiye gaye apmaan ke virodh main Ravan ko yah vachan diya tha Ki Ravan ke vadh ka karan mahraj Dashrath ke hi putra honge..atah yudh Ram ne nahi vastav main Samaj kalyaan ke liye suryvanshi raja baar baar Ravan se yudh kar

rahe the.. ab kripya yah na kahiyega ki Ravan manuvanshiyoin se adhik kalyaan kaari tha.. Brahma se prapt var ka yadi prabhaav na hota aur yadi vah itna swayam shaktishaali hota to baali ke hathoin parajit na hota.. isliye vah shaktishaali nahi apitu ek var ki aad main aniyantrit shakti ka prateek tha. Aap jis prasang ka ullekh kar rahe use maine Valmiki Ramayan main nahi padha aur na hi uske Awadhi anuvaad main , yah ho sakta hai Ravan ko Mahimandit karne ki shrankhala main is prasang ko jor diya gaya ho fir bhi yadi yah satya hai to bhi isme bhi Ram ki mahima adhik sidh hoti hai ki Shatru ke gyaan aur aayu tatha anubhav ka unhone labh uthaya..Shree Krishna ne abhimanyu ko siksha dete samay yah kaha tha ki yudhbhoomi main saamne khare yodha ki shreshta ka niradar nahi karna chahiye.. Ram ne bhi shayad vahi kiya tha par jod tod ke is raajneetik daur main aur man kahi kahaani gadhne vaali media se prerit ho Ram ko kutil aur swarthy sidh karne ka aapka yah prayaas bhaivashya ke liye ek chinta ka sanket hai. Ashirvaad dena dene vale ki icha par hota hai.. Dena pada jaisa shabd bolkar ashirvaad aur dhanyvaad jaise garima mayee shabdoin ko vyavsaay ka prateek na banaiye.. Ram aur Ravan ki katha ko samete hue yah mahakavya sirf ek Yudh ki kahani nahi hai.. yah

jeevan darshan ko samete hue ek prerak granth hai jiski anuchit sameeksha iske uddeshya ko nasht kar rahi hai.. isliye Ravan ko Mahimandit karne ke prayaas main Ram , Sita aur Laxman ,Bharat tatha shatrughna jaise aadrshoin ko dhool dhoosrit na kare , is se kuch hasil nahi hoga.. Aapke anya prshanoin ke bhi uttar dene ka ek chota prayaas kiya hain maine usi shrinkhala main main unhe bhi yahi likhe de raha hoon taki sabhi use refer kar apne vichaar rakh sakein.. Que :Mana ki surpanakha ne galati ki jabarsasti saadi ke liye lekin wo to rakashi thiaur ye bhagwaan tab inhone jhoot kyu bola ki mai to saadisuda hu wo mera bhai kai kuwara hai usse puch lo indono ke idhar udhar kerne se hi to uski pagal budhi badki fir lakshman ne uske naak kat liye jiski den ramayan jaisa bhayanak yudha hai Ans 1 : Pahle to yah tark niradhaar hai unhone kaha ki Laxman kuwara hai.. Valmiki Ramayan ke anusaar us samvaad ke ansh ka bhav is prakaar hai.. Hey devi main van main apni patni ke saath nivaas kar raha hoon aur ek patnivrat le chuka hoon isliye tum mere bhai laxman se poocho. uske yah poochne par ki kya vah akela hain unhone kaha ki van main to akela hi hai.. isliye

vivahit aur avivahit ka koi prashna nahi tha.. saath hi laxman ne ek patnivrat nahi liya tha.. Ramayn sir Ram ravan ke yudh ka naam nahi , Yah ek mahkavya hai jeevan jeene ki siksha deta hai.. isliye ramayan naam ko koi yudh itihaas main nahi hua Que :Bhagwaan Ram ne baali ka badha khadyantra rach ke kyu kiya mere matlab ye nahi h ki bhagwaan ram ne chup ke kiya mera matlab ye hai ki sugriv ko sath mila ke khadyantra kyu racha yahi kaam Ram ne Ravan ke sath kiya ye kaha ki maryada hai ki aap kisi ko kisi ke bhai ko marwane ke liye uksaye Aap jise khadyantra kah rahe hain vah aapka vyatigat drashitikon hai ya nahi par jis prakaar aapki drashti main yah khadyantra meri drashti main yah kootneeti aur mitra dharma ka nirvaah hai.. Baali ka chup ke vadh ka ek karan uska vah vardaan to tha hi saath hi Ram ne uske karmoin ko pashutulya bata kar pashu ki hatya chup kar aur jaal bicha kar karne ko uchit thahraya tha.. baali us samay ka ek maansik santulan kho chuka pashu tha jisko maarne ke liye is prakaar ki leela aawshyak thee.."Anujvadhu , Bhagini , Sutnaari sun shath Kanya sam ye chaari"

Que :Bhagwaan Ram ne kaha ki wo sita ko ayodhyawasiyo ke matbhed ke karan chhodd rahe hai kyuki ya rajya dharam hai chaliye mai manta hu ki ye sahi hai lekin jab aisa hai to wo raja hue aur sita praja to ye kaha ka rajya dharam hai ki aap kisi ek Stri (Lady) ko kisi ke kahne pe jangle bhej de wo us awashtha me jab sita maa banne wali ho raja inssan nahi hota hai kya ? Sita ke bache paida hone ke baad bhi to bhej sakte the kaun sa pahad tutne wala tha I agree on that ki Shri Ram dwara maa Sita ki agnipareeksha sambhavtah uchit nahi thee aur yadi ye aawashyak thee to swayam Ram ko apne liye bhi ek aisa hi pareeksha karaani chaiye thee per fir yadi hum adhyaan karein to jab aaj hum Shri Ram ke nirnay per prashna uthaate hain to kya us samay sita ko mata maanne vaale Shri Laxman ne kya is baat ka virodh nahi kiya hoga??? Punah jab Sita Agnipareeksha ki bhoomika ke prasang main jaate hain to Vahan Shri Ram use Agnidev se vastavik Sita ki prapti ke baat kah kar use Justify karte hain... Maine sambhavtah kisi puraan main ek aur prasang padha hain Ravan dwara harit Mata Sita vastavik Sita thee hi nahi vo to agni dev ki sharn main thee aur Ravan ne jis Stree ka haran kiya vah Devi Vedmati ka chaya shareer tha... ab yah kaha jaa sakta hai ki yadi yahi karan tha to use agni pareeksha ka naam kuin diya gaya...

to uske peeche mera mashtishk yah kaaran soch paata hai ki ho sakta hai Ravan vijay ke upraant Shri Ram ke shivir main uapasthit Maharaj Sugreev ki praja bhi thee jisne Sita ki Lanka se mukti ke pahle hi yah mithyacharan shuru kar diya ho... Shri Ram jinhe Maryada Purushottam kaha jaata hai ke paas us Paristhiti main Sita ko punah prathistit karne ka yah sabse uttam aur sheegra upay laga ho... aur fir Shri Ram dwara Sita ka parityag athwa Sita ka Grihtyaag kaha jaata hai ki ek poorv niyojit ghtnakram ka hissa tha jiski aadharshila Rishi Bhrigu ne Swayam vishnu bhagwaan ko Patni viyog main jeevan vyateet karne ke Shaap ke roop main Rakhi thee... Isliye Sita ke tyaag ko Ravan ke mahimandan ke andhkaar ki chaya main mat ghaseetein.. aur dekhiye ravan ko sahi sidh karne ke liye ram ko galat sidh karne main apni shakti aur urja vyartha na karein.. Yahan main ek baat ki ore aapka dhyaan aakarshit karna chaoonga ki yadi aap vaalmiki ramayan ka adhyan karein ya fr Ramanand sagar ki old aur new ramayan tv series ki analysis karein to ye samajh mein aata hai Ram ne Sita ka nahin apitu Nari ke sateetva ko mahimamandit karne ke liye Swayam Shri Ram ka tyaag kiya aur Shri Ram ne unke Nirnay ko Poora samman dete hue Unhe Grah tyaag ki anumati di....

Isliye Koi pahaad nahi toot raha tha , Mata Sita ke tyaag aur tapsivini ke prerak jeevan ka kripya aadar kare aur Ravan ke kalyaan kari abhiyaanoin ke pramaan lane ka kasht Karein Dhanyvaad Shailendra Dixit Note: Statements in Bold and Italics are from Mr Chaturvedi in order to justify his views about Shree Ram and Ravan

You might also like