You are on page 1of 1

Tery hoontoon kay phoolon ki chahat main hum daar ki khusk tehni pay wary gaye tery hathoon

ki shamoon ki hasraat main hum neem tareek rahoon main mary gaye sooliyon per humaray laboon say paray tery hoontoon ki lali lapakti rahi teri zulfoon ki masti barasti rahi tery hathoon ki chandi damakti rahi jab ghuli teri rahoon main sham-i-sitam hum chalay aye , laye jahan tak qadam lab pay harf-i-ghazal , dil main qindeel-i-gham apna gham tha gawahi tery husan ki dekh qayam rahay iss gawahi pay hum hum jo tareek rahoon mein mary gaye Na rasai ger apni taqdeer thi teri ulfat to apni hi tadbeer thi kis ko shiqwa ger shooq kay silsalay hijer ki qatal gahoon say sab ja millay qatal gahoon say chun ker humaray alam aur niklain gay ushaaq kay qafilay jin ki rah-i-talab say humaray qadam mukhtasir kar chalay derd kay faslay Ker chalay jin ki khatir jahaan-geer hum jaaan gawa ker teri dilbiri ka bharam hum jo tareek rahooon main mary gaye

You might also like