You are on page 1of 1

Is dharti par paida hokar bhi kyu tum videsho me jaakar bas jaate ho, apne desh ko bhoolkar

angrezo ki seva karaate ho, kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho. gandhi,subhash ne dilai azzadi humko fir bhi alexander ko great batate ho, shahjahan ne banaya taj mahal to kyu statue of liberty ko dekhte reh jaate ho, kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho. baal hanuman tha sabse pyaara fir kyu harry porter ko sunder batate ho, angrezi school me padkar hindi bolne se lajjit ho jate ho, kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho. mana desh ke neta chor hai par tum khud ko kyu baimaan banaate ho, kyu tum garibo ko maarkar ameero ke pair chaatte ho, kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho. tum shakespeare ke noble ko shreshth batate ho kya rabrindanath ki kavitao me koi khoth paate ho, jab kayi mahapurush hai hamaare paas to kyu james bond ke gun gaate ho, gandhi,subhash,nehru,bhagat ne dekha tha ek sapna azaad bharat ka to kyu ise partantra banate ho

kaun dega fir se kurbani jab tum hi angrezi ke gun gaate ho, kya isi ko tum sapno ka bharat bataate ho.

Ab Maut Bhi Aajeye To Gham Nahi Mujhko Duniya mein Kyonki , Mera Talabgaar Nahi Koi

You might also like