Are you sure?
This action might not be possible to undo. Are you sure you want to continue?
Duur duur tak phaili hui hai, Ye kaisi Udaasi !!! Na bulbul gaati, Na jharnaa jharjhar lehhraati... Na koi Nanha Mrig apni Maa se liptaa, Na koi Tatini pyaason ki pyaas bujhaati !!! Hey Taat, Vinaash ka ye kaisa Andhad.. Na Vriksh, Na Lataa, Na Nadi, Na Nirjhar... Kewaal Kaanton ka hai ghanaa samuh... Mein chotasa inmein kaise samaaun, mujhe batlao mein kahaan jaun !!!! Kahan gaye mere Purvaj, kahaan gayi woh hariyaali... Kahaan gayi woh muskaati kaliyaan , Kahan gayi woh phoolon ki laali, Salon se Pralay ki ye kaisi Tabaahi phaili... Kaun hai jo mere Praan lena chahta hai, koi aane se pehle hi usse bujhana chahta hai... Kaun hai jo ek nishpaap ko mitaana chahta hai.. Inn Prashnon ko mein na samjhun ..Naa jaan paun.. Hey Pitaah, aap uttar den,toh mein aaun !!!
This action might not be possible to undo. Are you sure you want to continue?