You are on page 1of 1

Nabi Ki Naat Ki Mehfil Lyrics Nabi (SAW) Ki Naat Ki Mehfil Sajjaana Ham Na Chaurein Gey Yeh nara Ya Rasulallah

laga hum na chorein gay. Kaho to chor dein gay hum jahan ki mehfilein sari Magar milad ki mehfil, mana hum na chorein gey. Pukara jab bhi mushkil mein chalay aaye meray Aaqa Woh suntay hain woh aatay hein, Bulana hum na chorain gay. Nabi ki naat parhna Hazrat e Hassan ki sunnat hai Hai jab tak dam main dam naatein, sunana hum na chorain gay. Milli hai Ismay Azam ki yeh dolat Gouse ka sadqa Kay jashn e yarhwein unka, mana hum na choraein gay. Kaho yeh jalnay waloon say maro gay younhi jal jal kay Yeh Hoo ki bijliyaan tum per, girana hum na chorain gey. Karay yeh zikar say abad diloon ki bastiyaan Alwi Jabinay shouq kay sajday, lutana hum na chrain gay. Yeh nara Ta Rasoolallah lagana hum na chourein gay Nabi ki naat ki mehfil sajana hum na choryein gey.

You might also like