You are on page 1of 6

Gham-E-Zindagi Tera Shukriya Teray Faiz He Sey Ye Haal Hai

Wohi Subh-O-Shaam Ki Uljhanein Wohi Raat Din Ka Wabal Hai


Na Chaman Mein Boo-E-Saman Rahi Naa He Rung-E-Lala-O-Gul Raha
Tu Kafa Kafa Sa Hai Waqayee Ke Ye Sirf Mera Khayal Hai
Esay Kaisey Zeest Kahey Koi Ghahey Aah-Dil Ghahey Chashm-E-Num
Wohi Raat Din Ki Museebatein Wohi Mah Hai Wohi Saal Hai
Mein Ghamon Sey Houn Jo Yun Mutmain Tu Bura Na Maniye Tu Mein Kahon
Teray Husn Ka Nahi Faiz Kuch Meri Aashqi Ka Kamal Hai
Hai Ye Aag Kaisey Lagi Hovi Meray Dil Ko Aaj Hova Hai Kiya
Jo Hai Ghum Tu Hai Ghum-E-Aarzo Agar Hai Tu Fikr-E Visaal Hai
Koi Kaash Mujh Ko Bata Sakey Reh-O-Rasm Ishq Ki Uljhanein
Wo Kahey Tu Baat Patay Ki Hai Mein Kahon Tu Khaam Khayal Hai
Ye Bata Ke Kiya Hai Tujhay Hova Paa-E-Ishq Sarwar Ghumzdaa
Na Wo Mastiyan Na Wo Shokhiyan Na Wo Haal Hai Na Wo Qaal Hai...!!!!

Kb yarun ko tasleem ni kb koi adu inkari ha,


Ic koy-e-talb m hm ny b dil nzr kiya jan wari ha,
Jb saz-e-salasal bjty thy hm apny lahu m sajty thy,
Ya reet abi tk bki ha ya rasm abi tk jari ha

"Ghazal"
SaFar-E-WFa ki rah main manzil jafa ki thi,
Kaghaz ka ghr bna k b, khwahish hawa ki thi,

Thi jugnuon k shehr main taron sy dushmani,


Mehb0ob chand tha aur tamanna subha ki thi,
us ne to ibadat ka tmasha bna dia,
Chahat namaz ki thi per aadat kaza ki thi,
Main ne to zindagi ko us k naam likha tha,
Shayd magr kuch aur hi marzi KHUDA ki thi,
Dard hi dena tha to pehly bta daitay,
Hum ko bhi azal say hi tamana sza ki thi.

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne


Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh ;FARAZ&;
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne

Tm Be Aao Na mere Dil me Asay...


Jese Daryaon Me Selaab Ate hain..

yeh sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke,,,,


Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se....

Ujray huye logon say gurezaan na hua kar


Halaat ki qabron kay yeh kutbay bhi parha kar
Kia jaaniyee kyon taiz hawa soch main gum hai?-Khuwabeeda parindon ko darakhton say ura kar
Us shakhs kay tum say bhi maraasim hain toh hon gaay
Wo jhoot na bolay ga meray saamney aa kar
Ab dastakain day ga tu kahan aye gham-e-ehbaab!!-May nay toh kaha tha keh meray dil mai raha kar
Her waqt ka hansna tujhey barbaad nakar day
Tanhaai kay lamhon may kabhi ro bhi liya kar
Wo aaj bhi sadyoon ki musaafat pay khara hai
Dhoondha tha jisay waqt ki deewar gira kar
Barham na ho kam fehmi kota nazraan par----!!
Aye qaamat-e-fun apni bulandi ka gilla kar
Aye dil tujhey dushman ki bhi pehchaan nahi hai?-Tu halqa-e-yaaran mai bhi mohtaat raha kar!!-main marr bhi chuka--mil bhi chuka mauj-e-hawa main
Ab rait kay seenay pay mera naam likha kar
Pehla sa kahan ab meri raftaar ka aalam!!-Aye gardish-e-dauraan zara tham tham kay chala kar
Is rutt mai kahan phool khilain gai dil-e-nadaan?-Zakhmon ko hi waabasta-e-zanjeer-e-saba kar
Ek rooh ki faryaad nay chonka diya mujh ko
Tu ab toh mujhey jism kay zindan say riha kar
Is shab kay muqaddar mai seher hi nahi *Mohsin*
Daikha hai kayi baar charaghon ko bujha kar

jb kareela neem paay pooncha toh meetha ho gya,


jhoot us naay iss qadar bola k sacha ho gya..
itna ujla tha libas e lafz us taqreer ka,,
loag thori dair ko samjay savaira ho gya.

hamara azm-e-safar kab kidhr ka ho jaay,,


yeh wo nahi jo kisi rehguzar ka ho jaay.
usi ko jeenay ka haq hai iss zamanay mai,
idhr ka lagta rahay, aur udhar ka ho jaay..

Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..


Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..
Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain
Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai
Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai
Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain
Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..
Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..
Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain
Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai
Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai
Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain

Tu Kareemi Mun Kamina | Rumi sung by Ustad Nusrat


Fateh Ali Khan

You, the Gracious One and I, the ignoble, standing at Your door

You are my Cherisher.


Lifes purpose is [divine] devotion

Life, without devotion, disgrace

Remembrance of him is the foundation of faith.

The beggars are like kings due to his remembrance.

Liege lord, Oh Muhammad (PBUH) you are the light of our lives,

The mighty and the best intercessor of the wrong-doers

Since Muhammad (PBUH) was purified of worldly things,

Whatever direction He turned is found the Face of Allah

His soul is like the Falcon of the High Heavens

His Eminence is the Mercy of the Worlds

The mightiest and the best of all Prophets is he,

Except Muhammad (PBUH) in land or sky there is none worthy

He is the praise of God, divinely praised in abundant



He is the reflection of God in the shape of a worshiping servant

The friends of God are like God because God is their friend

And in this way he who has seen his Master, has seen Gods Glory

If one doesnt see his spiritual Master as reflection of God

He is not a disciple, not a disciple, not a disciple!

Maulvi could never be Maula-i-Rum

Had he not devoted himself to Shams-e-Tabriz

Husn'o wafa sha'aar mera tab ki baat thi...!


Ab aa zara qareeb tuj'hy lafzo'n sy maat du'n

You might also like