You are on page 1of 3

Chehre ki Charbi Kaise Kam Kare : 5 Tips to Reduce Face

Fat
kyakyukaise.com /chehre-ki-charbi-kaise-kam-kare-face-fat-reduce-tips-hindi/
By Govind
Chehre ki Charbi Kaise Kam Kare: Gaalo par motapa choti umar mein hi acha lagta hai, par umar badhne ke sath
ye motape ki nishani ban jati hai. Face par fat hone par double chin dikhne lagti hai jo aaj kal log pasand nahi karte.
Chehre ki bahut si kamiyo ko makeup karke chupaya ja sakta hai par ye samasya kisi bhi makeup se chupne wali
nahi hai. Is lekh mein hum aap ko chehre ko patla karne ke upay bta rahe hai jinhe regular follow kar ke aap is
problem ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jante hai face fat reduce tips in hindi .
Face mota kai karno se ho sakta hai jese diet mein jada fat lena, pani kam pina aur kuch logo ka weight adhik hone
par chehre par bhi dikhne lagta hai. Gaalo (chicks) ka wajan kam karne ka sab se aasan tarika hai apni puri body ka
weight kam karna, sharir se fat niklega to face ka fat bhi kam hoga.
Jane Teji se Pet ka Fat Kaise Ghataye

Chehre ki Charbi Kaise Kam Kare : Face Fat Reduce Tips in Hindi

1. Khane Mein Fat Kam le aur Diet Control Kare


Agar aapka face pahle se hi bhari dikhta hai to khane mein vasa ki matra ghataye. Jada vasa sharir mein
jama hone lagti hai isse chehra bhari dikhne lagta hai. Jada calories aur carbohydrates ke sevan se bhi
bache.
Jo log jada fruits khate hai unka face patla hota hai kyuki fruits khane se sharir ko jaruri poshak tatav mil jate
hai aur pet bhi bhara rehta hai jisse aap carbohydrates aur fatty foods khane se bach jate hai.
Agar aap apni diet mein jada namak, chini aur refined oil ka paryog karte hai to isse body mein paani jama
hone ki sambhavna badh jati hai jisse chehra aur gaal fule hue dikhne lagte hai. Isliye aesi cheeje khaye
jinme chini aur namak kam ho.
Sharab pine se bhi bache, iske sevan se bhi chehre par motapa badhta hai.

1/3

2. Yoga aur Exercises se Chehre Ko Patla Kaise Kare


Har roj kam se kam aadhe ghante ke liye yoga aur exercises karne ki aadat dale, isse aapka weight ghatega aur
face par fat jama nahi hoga.
1. Yoga mein pranayam kare iske ilava facial muscles ke yoga sikhne ke liye baba ramdev ki videos dekh sakte hai.
2. Khul kar jor jor se hasna ek parkar ki facial exercise hai jisse chahre ki manspeshiya tight aur tone hoti hai. Isliye
khul kar hasse.
3. Bacho ke khelne wala gubara (balloon) le aur usme hawa bhare, isse chehre ki muscles ki exercise hoti hai aur
face patla hone lagta hai.
4. Chehre ki massage bhi kafi achi exercise hai. Facial massage se gaalo ki charbi ghategi aur chehra glow bhi
karne lagega.
5. Chiwangum (babalgum) chabana ek tarike ki exercise hai, isse bhi mote face ko patla karne mein madad milti hai
aur jabda bhi majboot hota hai.
Jane Yoga se Wajan Kam Karne ke Upay
Jane Aerobics se Weight Loss ke Tips

3. Breakfast Karna na Chode aur Calcium ka Sevan Kare


Subah ka nashta sahi dhang se kiya jaye to sharir ka metabolism fast hota hai. Aksar hum fat burn karne ke
liye dieting karne lagte hai aur khana pina chod dete hai, par aesa karne se metabolism slow ho jata hai jisse
body mein fat jama hone lagta hai.
Calcium wali cheeje khane se fat reduce hota hai aur gaalo mein jama paani bhi khatam hota hai. Calcium ke
liye doodh, dahi, daale, hari sabjiyan aur sea food kha sakte hai.

4. Mote Face ko Patla Karne ke Liye Pani Jada Piye


Paani body mein electrolytes ko thik karke dehydration ki samasya se bachata hai, aur sharir se vishale padartho
ko bahar nikalne ka kaam bhi karta hai. Jada paani pine se wajan kam karne mein madad milti hai aur face ka aakar
bhi thik hota hai.
Achi neend na lene se body mein harmon imbalance hote hai jisse wajan badhne lagta hai. Isse chehre ka fat bhi
badhta hai, ialiye ye aruri hai ki aap puri neend le.

5. Hair Style Mein Badlav aur Makeup Kare


Agar aapke chehre par charbi jada hai ya fir face suja hua dikhta hai to ise aap hairs ke style se kuch had tak
daba sakti hai, apne baalo ko aesa roop de jisse chehra mota na lage.
Chehre par blush laga kar bhi ise patla dikha sakte hai.

2/3

Kuch medicines ke sevan se bhi body mein paani jama ho jata hai, isliye jab bhi kisi bimari ke ilaj ke
liye koi medicine le tab apne doctor se is bare mein bhi discuss kare taki vo aapko aesi dawaye de
jisse aapka wajan na badhe.

Best Weight Loss Tips in Hindi


Sharir se Gandagi Bahar Nikalne ke Nuskhe
Dosto is article mein btaye hue tips sirf face fat reduce ke liye hi nhi balki puri body ka weight loss karne mein
upyogi hai. Aapko Chehre ki Charbi Kaise Kam Kare, Face Fat Reduce Tips in Hindi ka ye lekh kesa laga comment
ke jariye btaye aur agar aapke pass motapa kam karne ke gharelu upay hai to hamare sath share kare.

3/3

You might also like