You are on page 1of 2

As-salamu Alaikum warahmatullahi wabarkatahu.

Surah Fatihah ki Fazilat


Virtues of Al-Fatihah:
Part-3
Sahih Bukhari sharif Fazail-e-Qur'an mein Hazrat Abu Sa'id Khudri Radhiallahu Taala Anhu se
riwayat hai ki hum ek martaba safar mein ek jagah utre huye thein Achanak el laundi aayi aur
kaha ki yahan ke qabile ke sardar ko saanp ne kat khaya hai, humare aadmi yahan maujood nahi,
aap mein se koi aisa hai ki jhad phoonk kar de? Hum mein se ek shaksh gith kar us ke saath
gaya, hum nahin jante thein ki yeh kuchh jhad phoonk bhi janta hai. Is ne wahan jakar kuchh
padh kar dam kar diya Khuda ke fazl se woh bilkul achha ho gaya. 30 bakriyan us ne diya aur
humari mehmani ke liye doodh bhi bahut saara bheja. Jab woh wapas aaya toh hum ne puchha,
kya tumhein jhad phoonk ka ilm tha? Us ne kaha maine toh sirf Surah Fatihah padh kar dam kiya
hai. Hum ne kaha, us aayi huyi maal ko abhi na chhedo, pehle Rasool Allah ‫ ﷺ‬se masla puchh
lo. Madine mein aakar hum ne Huzoor ‫ ﷺ‬se zikr kiya. Aap ‫ ﷺ‬ne farmaya isey kaise maloom
hua ki yeh padh kar dam karne ki Surat hai? Farmaya, us maal ke hisse kar lo mera bhi ek hissa
lagana.

Sahih Muslim sharif aur Abu Dawud mein yeh Hadees hai.
Muslim ki baaz riwayaton mein hai ki dam karne wale Hazrat Abu Sa'id Khudri Radhiallahu
Taala Anhu hi thein.
(Aage chalega In shaa Allah)
[TAFSIR IBN KATHIR]

Furthermore, in the chapter about the virtues of the Qur'an, Al- Bukhari recorded that Abu Sa`id
Al-Khudri said,
"Once, we were on a journey when a female servant came and said, `The leader of this area has
been poisoned and our people are away. Is there a healer among you' Then a man whose healing
expertise did not interest us stood for her, he read a Ruqyah for him, and he was healed.
The chief gave him thirty sheep as a gift and some milk.
When he came back to us we said to him, `You know of a (new) Ruqyah, or did you do this
before?'
He said, `I only used Umm Al-Kitab as Ruqyah.'
We said, `Do not do anything further until we ask the Messenger of Allah ‫ ﷺ‬.'
When we went back to Al-Madinah we mentioned what had happened to the Prophet. The
Prophet ‫ ﷺ‬said,
Who told him that it is a Ruqyah. Divide (the sheep) and reserve a share for me.''
(To be continued In shaa Allah)
[TAFSIR IBN KATHIR]

(Hadees Number: 5007)

You might also like