You are on page 1of 195

~1~

ANJUMAN PARWANA-E-SHABBIR

KARBALA
WAALE
THE ROMAN ENGLISH EDITION

TRANSLITERATED AND COMPILED BY:


MIR MOHSIN ALIKHAN –NAOHA KHWAAN
~2~

---------------TARTEEB-E-NAOHAJAAT---------------
S.No NAOHA SHAA’ER PAGE

1 Ham Ashiq-e-Shabbir hain Parwana-e-Shabbir Najm Aafandi 7


2 Haay Karbala Waalo Haay Karbala Waalo Najm Aafandi 8
3 Zehra ki Dua hai Maatam Ye Ali Jaweed Maqsood 9
SHAHADAT RASUL-E-KHUDA(S.A.W.W)
4 Karti thi fughaa’n Fatima Zehra Aye Mere Baba Rasheed Shaheedi 10
SHAHADAT SHAHZADI-E-KAONAIN(S.A)
5 Kaono Maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka Rasheed Shaheedi 11
SHAHADAT MOULA-E-KAAYNAAT(A.S)
6 Kufe me jo ik Gham ki faza chhai huwi hai Ali Murtuza 12
7 Sajde me tegh Khaake Tadapte hain Murtaza Rasheed Shaheedi 13
8 Maatam hai fazaon me Shahe Kaono Maka’n ka Rasheed Shaheedi 14
9 Zainab Pa Yateemi ki ghadi aagayi Baba Rasheed Shaheedi 16
10 Shaheed Hogaye Maola ujad gaya Kufa Rasheed Shaheedi 17
11 Baba ko Mere Chhorke aaye ho tum kaha’n Hasan Abbas Ahsan 18
SHAHADAT HAZRAT IMAM HASAN(A.S)
12 Maatam hai Madine me Shabbar ki Shahadat ka Rasheed Shaheedi 19
SHAHADAT SHAHZADA ALI AKBAR(A.S)
13 Parwaan chadhaalu’n koi armaan Nikaalu’n Shoukat Bilgrami 20
14 Abbas hamko Laash-e-Jawa’n mil nahi’n rahi Ali Jaweed Maqsood 21
15 Ab Ghar ko chalo khaak se Utho Ali Akbar Ali Jaweed Maqsood 22
16 Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar Mir Raza Ali Sohail 24
17 Jao ab Khuda hafiz Aye Mere Ali Akbar Rasheed Shaheedi 25
18 Laila Shaheed hogaya Tera Jawa’n Pisar Ali Jaweed Maqsood 27
19 Zameen-e-garm pa Laasha pada hai Akbar ka Akhtar Zaidi 28
20 Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Hasan Abbas Ahsan 29
21 Tha rann me Sheh ka ye Naoha Mere Ali Akbar Mir Raza Ali Sohail 30
22 Za’eef Baap se Laash-e-Pisar nahi’n Uth’ti Baquer Mohsin 31
SHAHADAT SHAHZADA QASIM(A.S)
23 Kubra ne kaha Qasim Doolha kis soone bann me Shoukat Bilgrami 32
24 Utho zameene garm se Beta Utho Utho Ali Jaweed Maqsood 33
25 Karbala me huwa Laqte Dile Shabbar tukde Rasheed Shaheedi 34
26 Qatl Hogaye Qasim Ya Ali duhaai hai Ali Rafi 36
27 Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate Hain Raza Aafandi 37
28 Maqtal se Laash Qasime Naoshaah ki Aayi hai Ali Jaweed Maqsood 39
SHAHADAT QAMAR BANI HASHIM(A.S)
29 Ashoor ki wo raat wo sannaate ka alam Kazim Banarasi 40
30 Zehra ke Khandan pa ghurbat ki raat hai Jameel Moosavi 41
~3~
S.No NAOHA SHAA’ER PAGE

31 Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda Hafiz Ali Jaweed Maqsood 43


32 Abbas-e-Ali Sheh ke Alamdar sidharo Ali Jaweed Maqsood 44
33 Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai Ali Jaweed Maqsood 45
34 Maatam hai aaj Dilbar-e-Ummul Baneen ka Rasheed Shaheedi 46
35 Dashte ghurbat me Sakina Main Akela Hogaya Hasan Abbas Ahsan 48
36 Sholay hain bhadakte huwe Ali Jaweed Maqsood 49
37 Kya sorahe ho nahr pa Abbas-e-Baawafa Mir Raza Ali Sohail 50
SHAHADAT SHAHZADE AUN O MUHAMMAD(A.S)
38 Ro Ro ke ye Zainab ne Kaha Aun O Muhammad Mir Raza Ali Sohail 51
SHAHADAT SHAHZADA ALI ASGHAR(A.S)
39 Mere Asghar ki hai Qabr kis ja Sadat Ali Khan Sadiq 52
40 Shaheed-e-teer-e-sitam Bezaba’n Ali Asghar Mirza Fareed Baig 53
41 Jaao Sidharo rann ki taraf Mere Naonehaal Ali Irfan 54
42 Mere Bhayya Ali Asghar Hasan Abbas Ahsan 55
43 Rabab Karti hai Faryaad Margaye Asghar Rasheed Shaheedi 56
44 Bain the ye Banu ke Mere Bezaba’n Asghar Hasan Abbas Ahsan 57
SHAHADAT IMAM HUSSAIN(A.S)
45 Garm reti pa Main Girta hu’n Sambhaalo Amma Ali Jaweed Maqsood 59
46 Nazdeek Najaf hai koi Haider ko bula le Mujahid Hussain 60
Mujahid
47 Asr ka hangaam hai aur Zainab e Dilgeer Hai Hasan Abbas Ahsan 61
48 Aaja Mere Dilbar Meri Aghosh me Aaja Ali Jaweed Maqsood 62
49 Sitam ke dasht me Zehra ka Lal tanha hai Ali Jaweed Maqsood 63
50 Shabbir kaha’n hai Mera Shabbir kaha’n hai Mujahid Hussain 64
Mujahid
51 Mera Hussain Tadapta hai khaak-e-maqtal par Ali Jaweed Maqsood 65
52 Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha Sajjad Nazar 67
53 Haay Tanha hai Hussain Ibne Ali maqtal me Ali Jaweed Maqsood 68
54 Sitamgaro Mera Bekas Hussain Pyaasa hai Ali Jaweed Maqsood 69
SHAAM-E-GHAREEBAA’N
55 Jalti huwi zameen pa Sarwar hai Ya Ali Ali Anjum Sadiq 70
56 Ya Ali Aaiye Zainab ko bachane ke liye Hilmi Aafandi 71
57 Zainab-e-Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Mirza Fareed Baig 72
58 Ab Aaye ho Baba Shahid Pakistani 73
59 Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra ka Ghar Hasan Abbas Ahsan 74
GENERAL
60 Ghar lut gaya Amma Akhtar Zaidi 76
61 Ghar Haay Mera barbaad huwa Akhtar Zaidi 77
62 Zainab tadap Rahi hai faryaad kar Rahi hai Akhtar Zaidi 78
~4~
S.No NAOHA SHAA’ER PAGE

63 Kis se faryaad karu’n Akhtar Zaidi 79


64 Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki Ali Jaweed Maqsood 82
65 Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai Akhtar Zaidi 83
66 Qaafela Ghareebo’n ka qaid hoke jaata hai Rasheed Shahedi 85
67 Aye Shaheed-e-Karbala Aye Jaan-e-Paighambar Ali Jaweed Maqsood 86
68 Sughra ne likha Baba kab laot ke aaoge Alamdar Razvi 88
69 Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai Hasan Abbas Ahsan 89
70 Halmin ki aarahi hai sada Ya Ali madad Mujahid Hussain 91
Mujahid
71 Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai Qais Zangi Puri 92
72 Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar dekha Mujahid Hussain 93
Mujahid
73 Aabaad Ghar Hussain ka veeraan hogaya Hasan Abbas Ahsan 94
74 Aseer hoke Chali hu’n Salaam Lo Baba Urooj Bijnori 96
75 Berida Zainab khadi hai Shaam ka darbar hai Hasan Abbas Ahsan 97
76 Berida shaam ke darbar me jaana Zainab Sajid Razvi 98
77 Abbas Bahan aayi hai darbar me ja kar Manzar Aelia 99
SHAHZADI SAKINA(S.A) BINT AL HUSSAIN(A.S)
78 Kya andhera hai Phupi Naheed 101
79 Aye Hussain ki Pyaari Aye Sakina jaa’n Bibi Ali Jaweed Maqsood 101
80 Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai maatam Rasheed Shaheedi 102
81 Zindaan me karti thi fugha’n Shah ki Dukhtar Ali Mohsin Khan 103
82 Mazloom Meri Bachchi kaise ho dafn Tera Mujahid Hussain 104
Mujahid
83 Ye neend khaak pa kaisi utho utho Bibi Ali Jaweed Maqsood 105
84 Abid utha rahe hain Apni Bahan ka Laasha Rasheed Shaheedi 106
85 Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka baya’n Unknown 107
86 Jab yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Unknown 109
87 Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi Hasan Abbas Ahsan 110
ARBA’EEN
88 Zainab Lipat gayi hai Mazaare Hussain se Akhtar Zaidi 111
89 Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaeen Akhtar Zaidi 112
90 Zainab Manaane Aayi hai Bhai ka Arbaeen Raza Moosavi 114
91 Allah nigahbaan watan Jaati hu’n Bhai Saeed Shaheedi 115
92 Zainab Madine Jaati hai kya kya liye huwe Mehdi Nazmi 116
93 Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaeen Mustafa Moosavi 117
94 Arbaeen Karna hai Shaahe Karbalaai ka Mirza Fareed Baig 118
95 Shabbir ka Chehlum hai Agha Ali Hussain 120
96 Karna hai Fatima ke Bhare Ghar ka Arbaeen Haider 121
~5~
S.No NAOHA SHAA’ER PAGE

WAAPASI-E-AHL-E-HARAM
97 Zainab se Karbala ka zara maajra suno Fugha’n 122
98 Maa ki Qabr par Zainab Karti thi Fugha’n Amma Ali Jaweed Maqsood 124
99 Pardes me barbaad hua Mera Bhara Ghar Rasheed Shaheedi 125
100 Dekh Madine kya kya yaadein Sajid Moosavi 126
101 Salaam Lo Amma Hasan Abidi 127
102 Amma Teri kamaai jangal me lut gayi hai Zaki Bilgrami 128
103 Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma Zaki Bilgrami 129
104 Amma Tumhara lut gaya jangalme sara Ghar Hasan Abbas Ahsan 130
WIDA
105 Wa Hasrata Hussaina Aulad Hussain Lallan 132
106 Aye Noore Aine Fatima Zehra na Jaaiye Sadat Ali Khan Razvi 133
Sartaj
107 Aye Fatima ke Laal Tujhe aakhri Salaam Rasheed Shaheedi 134
108 Al Wida Al Wida Mir Ashraf Ali Aqueel 135
SAANI-E-ZEHRA SHAHZADI ZAINAB(S.A)
109 Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi Saeed Shaheedi 137
110 Aseere Faoje sitam qaidiye mehan Zainab Ali Jaweed Maqsood 138
111 Aye Hussain-e-Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab Agha Abbasi Hashr 140
SHAHADAT IMAM ZAINUL ABIDEEN(A.S)
112 Zanjeer me jakde huwe Bimar ka Maatam Rasheed Shaheedi 141
113 Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par Mustafa Moosavi 142
IMAM RAZA-E GHAREEB(A.S)
114 Sar pa ab Shah-e Khurasaan ka saya na raha Akhtar Zaidi 144
115 Maatam hai Raza ka Rasheed Shaheedi 144
116 Aaj hai Khurasa’n mein ik Ghareeb ka Maatam Rasheed Shaheedi 145
SLOW MAATAMI NAOHE
117 Deen-e Muhammad ki Baqa Ya Hussain Rasheed Shaheedi 146
118 Taqdeer badal jaaygi Zehra ki Dua Le Akhtar Zaidi 149
119 Deen-e Ahmed ki Baqa hai Karbala Rasheed Shaheedi 150
120 Aye Karbala tu hi bataa Akhtar Zaidi 153
121 Yaad-e-Shabbir Rasheed Shaheedi 155
122 Soona hai Madina Unknown 156
123 Aye Sher-e-Neyastaane Haider Sachche Pakistani 157
124 Haay Hussain Pyaase Hussain Rasheed Shaheedi 159
125 Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain Rasheed Shaheedi 162
126 Ya Abbas Ya Abbas Rasheed Shaheedi 166
127 Aye Faatehe Karbobala Ali Jaweed Maqsood 169
~6~
S.No NAOHA SHAA’ER PAGE

128 Haay Hussain Wawaila Ali Jaweed Maqsood 173


129 Ghar Fatima ka Lut gaya Rasheed Shaheedi 176
130 Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra ke Pisar Rasheed Shaheedi 179
131 Gham-e-Karbobala Allahu Akbar Rasheed Shaheedi 181
132 Hamm karte hain Maatam Asghar ka Rasheed Shaheedi 185
133 Aye Shashmaahe Pyaase Asghar Hasan Abbas Ahsan 187
134 Karte raho Besheer ke Matam Rasheed Shaheedi 192
135 Shabbir Baharhaal Tera Naam rahega Najm Aafandi 193
136 Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aa’nsuo’n mein Adeel Pakistani 194
~7~

Allama Najm Aafandi

PARWANA-E-SHABBIR

Seeno me yehi dil hai Azakhana-e Shabbir


Sar hain yehi sange dare Kaashana-e Shabbir
Pohchaaenge duniya me ham Afsana-e Shabbir
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Sar jiska utara gaya Sajde me Khuda ke
Neend aayi jise saare zamane ko jagake
Jo Sogaya aandhi me charaagh Apna jalake
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Ham Uske fidaayi hain Jo do din ka Tha pyaasa
Paani na mila Jisko dame zib’ha zara sa
Zehra ka jigar band Muhammad ka Nawasa
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Dekha na suna yu’n kisi Sultan ka matam
Aisa na huwa naasher-e-Qur’an ka matam
Tera Sao baras se hai ajab shaan ka matam
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
Maqbool ye koshish ho kahaan aisa muqaddar
Shaayad isi tadbeer se bakhshish ho mayassar
Tum bhi kaho aye Najm ye parwano me milkar
Aye swalle ala jalwa-e-jaanaana-e Shabbir
Ham Aashiq-e Shabbir hain Parwana-e Shabbir
-----------------*-----------------
~8~

Allama Najm Aafandi

HAAY KARBALA WAALO

Aye Khuda ke bando’n me muntakhab Khuda waalo


Takht e Innama waalo taaje hal ata waalo
Shaan e Mustafa waalo waz e Murtaza waalo
Kya wafa pe jaane dee tumne aye wafa waalo
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Chhote chhote bachcho’n ne jang ki ijaazat li


Badgaye jawa’n bankar kamsini se rukhsat li
Qaom ki himaayat me Izzat e Shahadat li
Zindagi ko kya kahiye maot se bhi khidmat li
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Kis bala ke jangal me Aal e Mustafa thahri


Bedayaaro ka madfan arze Karbala thahri
Aayi Shaame Aashura sub’ha ko wegha thahri
Kya khabar Madina ko Shaamiyo’n se kya thahri
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Haq pa marne waalo ne jaan di saleeqe se


Shaoq se tamanna se azm se iraade se
Zindagi na ki pyaari Fatima ke Pyaare se
Maa ki godh se aaya koi koi jhoole se
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Koi Tum me Akbar tha koi Tum me Asghar tha


Koi Saaniye Jaafar koi misle Hyder tha
Koi qadro qeemat me dojahan se bartar tha
Zere tegh Karbal me Fatima ka gharbhar tha
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo

Is tarah ke aalam me phir na dil jigar dekhe


Dar pa aake Maao’n ne jang ke hu’nar dekhe
Apne Chaand ke tukde khu’n me tarbataar dekhe
Rege garm par Laashe barchhiyo’n pa sar dekhe
Haay Karbala Waalo, Haay Karbala Waalo
~9~

Ali Jaweed Maqsood

ZEHRA KI DUA

Zehra ki Dua hai maatam ye, Ye maatam kaise ruk jaae

Kaonain ki har doulat dekar is Gham ki hifazat karna hai


Shabbir ki khaatir jeena hai, Shabbir ki khaatir marna hai
Ye jism rahe ya mit jaay Mazloom ka maatam karna hai
Zehra ki tamanna puri ho, ye jaan rahe ya lut jaae

Is Parcham ki azmat ke liye Abbas ne bazu dedaale


Is Parcham ki izzat ke liye Ghaazi ne sahe dil par bhaale
Is Parcham ke mashkize se lipte hain Sakina ke naale
Abbas-e Ali ka Parcham hai, ye Parcham kaise jhuk jaae

Saalaar-e Hussaini kya kehna Meraj-e Wafa Sartaj-e Wafa


Har maoj tadapti hai ab tak saahil se jo tu pyaasa palta
Tha hukme Hussaini jang na ki har waar saha har zulm saha
Tha hosh me jabtak fikr ye thi pyasi na bhateeji rahjaae

Jabtak ke sakat is jism me hai Haq apna ada kardena hai


Qismat jo sa’aadat de hamko ye jaan fida kardena hai
Ya ashk se ya khoon-e dil se is daaman ko bhar dena hai
Aayi hai yahaa’n Ik Shehzaadi ummid ka daaman phaylaae

Wo waqt hai abtak ankho’n me jab khu’n me tha ghalta’n Ibne Ali
Aur goonj rahi thi maqtal me faryaad-o fugha’n Ik Dukhiya ki
Seene se bahe’n khu’n ki dhaare’n ab haat na rukne paay kabhi
Mazloom ka maatam hota rahe Zehra ki sada jabtak aae

Ye Maatam hai Halmin ki sada har ashk hai jazba nusrat ka


Yu’n Haq ki taraf aajaane ka haasil hai abhi tak ik maoqa
Pehchaan Zameero dil ki sada is maatam me shaamil hoja
Shabbir bulaate hain abtak gar Hur ho koi to aajaae.
-----------------*-----------------
~ 10 ~

Rasheed Shaheedi

SHAHADAT-E RASOOL-E KHUDA

Karti thi Fughaan Fatima Zehra Mere Baba


Beti Huwi Ab Aapki Tanha Mere Baba
Bechain bahot apke hain dono Nawase
Ajaaiye ghar hogaya suna Mere Baba
Laashe pa Muhammad ke yahi kahti thi Zahra
Yu mujhse khafa hoke na jana Mere Baba
Hay Teri Shahadat se har ik simt udasi
Ab hogaya sunsaan Madina Mere Baba
Rone bhi nahi’n deta Mujhe Tum pa zamana
Ghut ghut ke main kabtak rahu’n zinda Mere Baba
Is tarah bhi Beti se khafa hota hai koi
Deti hay sada Aapki Zahra Mere Baba
Hasnain ye kehte hain nahi’n poochhta koi
Kya kahke unhe doon main dilasa Mere Baba
Pas Apne bulalo to sukoon aaega Mujhko
Jab Tum na rahe ji ke karun kya Mere Baba
Kya kahke sambhalenge Ali Binte Nabi ko
Ghash me hai magar lab pa hay Naoha Mere Baba
Bas Binte Nabi ka tha Rasheed ik yahi Naoha
Baba Mere Baba Mere Baba Mere Baba

-----------------*-----------------
~ 11 ~

Rasheed Shaheedi

KAONO MAKA’N ME BARPA

Maghmoom hain fazae’n, rota hai zarra zarra


Bechain hain hawae’n, aur kar rahi hain giriya
Har simt hai udaasi, har simt hai andhera
Chashme falak hai purnam, veera’n huwa Madina
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka
Baade Rasule Akram, kya waqt aapada tha
Har lamha the masa’eb, dil tukde ho raha tha
Athaara saal ka sinn, aur haath me asa tha
Un aafato’n me jeena, Zehra ka Hosla tha
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka
Sehti Rahi musibat, payham Nabi ki Beti
Karti thi Sabr har dam, Mazloom Shaahzadi
Pahlu shikista Bibi, khud pisti thi chakki
Duniya se Ja rahi hai, Khidmat me Mustafa ki
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka
Ghurbat ka hai zamana, kaisi ye bekasi hai
Moula-e Dojaha’n par, uftaad ye nayee hai
Mushkil Kusha pa kaisi, mushkil ki ye ghadi hai
Tanhaai Murtaza ki aansu baha rahi hai
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka
Dekha Janaza Maa ka, Rowe Hussaine Muztar
Aayi Sada-e Zehra, Ye Maa Nisaar Tujh par
Rona Tera gawara, kaise Karegi Maadar
Seene se Main Lagaloo’n, Aaja Hussain Dilbar
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka
Zehra ka to Janaza, tareek shab me utha
Yaad aate hain Rasheed ab, Bazare Shaamo Kufa
Wo Betiya’n Ali ki, bechaadari ka charcha
Wo Aalame Aseeri, wo oont bekajawa
Kaono maka’n me barpa Maatam hai Fatima ka

-----------------*-----------------
~ 12 ~

Ali Murtuza

GHAM KI FIZA

Kufe me jo ik Gham ki fiza chhaai huwi hai

Ab Haidar e Karrar ke rukhsat ki ghadi hai

Kya Zainab o Kulsoom ko samjhaega koi

Khaati hain pachhade’n ke qayamat ki ghadi hai

Ro roke baya’n karti hai ye Saani e Zehra

Nana Mere Baba pe qayamat ki ghadi hai

Hasnain hain be haal to Kusloom hai girya’n

Abbas e Alamdar ko hichki si lagi hai

Raoze pa Bula Lijiye ab Apne Ali ko

Moula use ab sub’ho masa fikr yahi hai

-----------------*-----------------
~ 13 ~

Rasheed Shaheedi

SAJDE ME TEGH KHAKE TADAPTE HAIN MURTAZA

Tar Aankh is azeem musibat pa hoti hai


Phir sar patak ke kaabe ki deewar Rothi hai
Daaman lahu me Masjid e Kufa bhigoti hai
Phir kaaenaat ashko’n ke moti piRothi hai
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Moula Sar-e Shigaafta thaame tadapte hain


Apne Lahu se Sajde ki taareekh likhte hain
Hasnain Sar pa Baba ke roomaal kaste hain
Phir bhi Lahu ke qatre musalsil tapakte hain
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Masjid me phir to rone ka har simt ghul utha


Mushkil Kusha ne Hazrat-e Shabbar se ye Kaha
Ghar jald le chalo Mujhe ab deke aasra
Ghar se kahi’n nikal na pare Bint e Fatima
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Kehne lage ye dukhtar e Zehra se Murtuza


Tujh par musibaton ka hai ab taaza silsila
Tukre jigar ke ugle ga mazloom Mujtaba
Beti katte ga sajde me Shabbir ka gala
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Zainab banegi deen ki baqa kit u aasra


Har gaam par dikhana hai meyaar sabr ka
Darbaar e aam me tujhe jaana hai be rida
Zehra ki beti sunti hai roodaad e karbala
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza
~ 14 ~

Abbas ko bula ke gale se laga liya


Kehne lage na rowo Pidar Tujh pa ho fida
Tujh par bada bharosa hai aye Mere Dilruba
Tu Karbala me hoga muhafiz Hussain Ka
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza

Kufe ke bekaso’n pa tha ye Gham bada shadeed


Baitu sharaf pa aaye liye aarzoo e deed
Har simt phir to rone ka ik ghul utha Rasheed
Allah ke maheene me Moula Huwe Shaheed
Sajde me Tegh khake tadapte hain Murtuza
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI FAZAO’N ME SHAHE KAONO MAKA’N KA

Is Gham se fiza Kufe ki tharraai huwi hai


Ab arsh pa ashkon ki ghata chhaai huwi hai
Aur taaro’n ki aankhon me nami aayi huwi hai
Har zarre ki ashkon se shanasaai huwi hai
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Wo Gham hai ke Islam ka larzaa’n hai sawaira


Sakta hai har ik gaam pa sannato’n ka dera
Khamosh fizaao’n me hai har simt andhera
Khoo’n rota hai unniswi’n Ramza’n ka sawera
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Farqe Shahe Wala huwa shaq zarbe sitam se


Moula jo tadapne lage Sar haathon se thaame
Hasnain ne roomal kasa sar pa Ali ke
Chehre ko bhigote hi bahe khoon ke dhaare
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Rote huwe Abbas Ki Maa ne kaha Aaqa


Sadqe karun Abbas ko Tujh par se Main Moula
~ 15 ~
Haider ne kaha ye to hai Shabbir ka fidiya
Aur hoga muhafiz yehi Zainab ki rida ka
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Kehne lage Zainab se Ali phir ye tadap kar


Karta hu’n Tujhe sabr ki talqee’n Meri Dukhtar
Baazu me rasan ho’egi chhin jaaegi chaadar
Hamrah na hoga koi juz Abide Muztar
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Kat jaaenge Abbase Alamdar ke shaane


Lut jaaega ghar asr ko jal jaaenge khaime
Phelenge ju’nhi shaame ghareeban ke andhere
Beti Meri pehra Tujhe dena hai akele
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Zainab Tere aansu nahi’n Haider ko gawarah


Karbal me nahi’n dega Tujhe koi dilasa
Mat ro Meri Beti ke abhi zinda hai Baba
Phir ro diye khud shaano ko aankhon se lagaya
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Jab sab ko Ali ne kiya Shabbar ke hawaale


Be chain huwe sunte hi Abbas ke naale
Seene se laga kar kaha aankhon ke ujaale
Abbas Tujhe karta hu’n Sarwar ke hawaale
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Aansu nikal aaye ju’nhi lab choome Hasan ke


Girya kiya Sarwar ke gale ke liye bose
Phir aakhri angdaai li aur bachchon ko bole
Karta hu’n Tumhein Khaliq e Akbar ke hawaale
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka

Ekkeeswi’n Ramzan ki sahr karti hai girya


Hasnain ke sar par na raha Baap ka saya
Kulsoom hai bechain to Zainab ko hai Sakta
Uthta hai Rasheed ab Mere Moula ka Janaza
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
-----------------*-----------------
~ 16 ~

Rasheed Shaheedi

ZAINAB PA YATEEMI KI GHADI AAGAYI BABA

Zainab pa yateemi ki ghadi aagayi Baba

Bin Baap ki kehlaati hai Beti Teri Baba

Amma nahi’n Nana nahi’n ab Tum bhi sidhaare

Kis Mod pa le aayi hame zindagi Baba

Kitne hi yateemo’n ko diya Tum ne dilaasa

Ab hamko dilaasa nahi’n deta koi Baba

Ab kaun hamein pyaar se paas apne bitHaay

Yaad aati hai shafqat ye hamein Aap ki Baba

Har Aan Teri yaad me rote hain Baradar

Zainab unhein kis tarha se samjhaegi Baba

Ik Aap ke dam se Mere jeene ka maza tha

Ab Mujh se zamane ne khushi chheenli Baba

Zakhmi huwa Sar Aap ka Allah ke ghar me

Raas Aap ko aayi na fiza Kufe ki Baba


-----------------*-----------------
~ 17 ~
Rasheed Shaheedi

SHAHEED HOGAYE MOULA UJAD GAYA KUFA

Tadap ke kehti thi Zainab ye kya hua Bhayya


Hamare Baba ke Sar ko ye kisne zakhmi kiya
Abhi abhi to gaye the Khuda ke ghar Baba
Ye ik Namaazi pa Masjid me kaisa zulm hua
Shaheed hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Dar e Ali pa hai Kufe ke bekason ka hujoom


Pachhaadein khaati hai Zainab tadapti hai Kulsoom
Jo guzri hai Dil e Abbas par kise maaloom
Shafeeq Baap ka sar par nahi’n raha saaya
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Ameer tha Wo ghareebon ka chaahne Waala


Wo jo yateemon ka aur bekason ka waaris tha
Usi ko Sajde me zakhmi kiya hai waawaila
Saro’n ko peet ke Hasnain karte hain girya
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Andheri Shab me Wo duniya ka Maaliko Mukhtaar


Ghareebon aur yateemon ka moniso Gham khwaar
Uthaaye pusht pa khud Rothiyon ka ik ambaar
Ye dekhta tha na ho shehr me koi bhooka
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Fizaaein karti hain maatam azeem ye Gham hai


Bahaaein ashk musalsal Ali ka Maatam hai
Zameen Rothi hai chashme falak bhi purnam hai
Sar e shigaafta thaame tadapte hain Moula
Shaheed Hogaye Maula Ujad Gaya Kufa

Tadap ke Moula se Ummul Baneen ne ye kaha


Hawaale sabko Hasan ke kiya Mere Aaqa
Huzoor ne Mere Abbas ko nahi’n poochha
Main apne Laal ko sadqe karun ke rad ho bala
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa
~ 18 ~

Bitha ke pehlu me Abbas ko Ali ne kaha


Khuda se maanga tha Tujhko baraa e Karbobala
Khayaal rakhna Nabi Zaadiyon ke Parde ka
Hawaale karta hu’n Shabbir ke Tujhe Beta
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

Janaaza uth’ta hai Baitush Sharaf se Hyder ka


Hussain rote hain Abbas ko hai sakta sa
Lahad me Binte Payambar bhi karti hain giriya
Rasheed dena hai Binte Ali ko bhi Pursa.
Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa

-----------------*-----------------

Hasan Abbas Ahsan

BABA KO MERE CHHORH KE AAYE HO TUM KAHAN


ZAINAB LIPAT KE BHAI SE KARTI THI YE BAYAN

Dekho to aaj Arshe Mu’alla udaas hai


Kaaba khamosh hai to Madina udaas hai
Sakte me hai Namaz Musalla udaas hai
Hai zalzala zameen ko larzaa’n hai aasmaa
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan
Ab apne waaste hai har ik Gham har ik sitam
Main Jaanti hu’n ranjo alam me har ik qadam
Poori tarah se hogaye ab to yateem Ham
Nana Hain ab na Baap ka Saaya Hai aur na Maa
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan
Andher hai jahaan ujala koi nahi’n
Chhaai wo raat jiska sawera koi nahi’n
Ham Bekason ka poochhne waala koi nahi’n
Ab tang hai zameen to hai door aasmaa
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan
~ 19 ~

Waqte Akheer karte the Baba wasiyatein


Khushiaan tamaam hogayin ab hain musibatein
Zainab hai Tere waaste har gaam zehmatein
Har ik qadam pa ab Tujhe dena hai imtihaan
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho tum kahan
Barbaad hoga zulm ki aandhi me Ye chaman
Zehre dagha se qatl kiya Jaaega Hasan
Ghodo’n se tukde hoega Shabbir ka badan
Beti bandhegi baazuon me Tere reesmaa’n
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan
Peeto saron ko dosto jab tak hayat hai
Ahsan lahu me doobi hui kaaenaat hai
Mushkil kusha ke ghar me qayamat ki raat hai
Zainab Hasan Hussain se Karti rahi fughaan
Baba ko Mere chhorh ke aaye ho Tum kahan
-----------------*-----------------

SHAHADAT IMAM HASAN(A.S)


Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI MADINE ME SHABBAR KI SHAHADAT KA


SHABBIR PA AAYA HAI KYA WAQT YE GHURBAT KA

Kehti thi yehi Zainab Shabbar ke Janaze par


Gham kaise sahe Zainab Bhayya Teri furqat ka

Tukde Dil e Shabbar ke dekhega zamana phir


Aashoor ke daaman me manzar hai qayamat ka

Taaboot pa Shabbar ke jab teere sitam aaye


Abbas pa tha kaisa ye waqt musibat ka

Kamsin hai ye Shahzaada baitha hua sakte me


Qasim ko bhi pursa do Shabbar ki Shahadat ka
~ 20 ~
Shabbar ki Shahadat hai Shabbir ke Parwaano’n
Shabbir ko pursa do Shabbar ki Shahadat ka

Pakne lagi shaq ho kar is waqt zamee’n paiham


Kya hoga asar soncho us zehr ki shiddat ka

Wo zehr-e sitam pohncha Shabbar ke kaleje tak


Sar peeto azadaaro manzar hai qayamat ka

Shabbir ka sadqa ho ab ham ko ata Shabbar


Ham waasta dete hain Qasim ki musibat ka

Hai Khidmat e Shabbar me maarooza Rasheed Itna


Ham sab ko sharaf de de Raoze ki Ziarat ka

-----------------*-----------------

Shoukat Bilgrami

PARWAAN CHADHALU’N

Parwaan chadhalu’n koi armaan nikalu’n


Thehro Ali Akbar Tumhe Dulha to banalu’n

Yu’n ghar se Mere Laal ko le Jaae’n na Hazrat


Saaya kare aanchal ka Main Behno ko bulalu’n

Aye Laal Tere byaah ka Zainab ko tha armaan


In khoo’n bhare haatho’n me Main mehndi to lagalu’n

Shayad yu’nhi tham jaay lahu zakhme jigar ka


Utho Ali Akbar Main kaleje se lagalu’n

Thehraao Janaaza Mujhe hasrat to na rehjaay


Taaboot pa phoolo’n ka Main Sehra to chadhalu’n

Shawkat pa zara rehm kar aye maot theher ja


Aankhon se Mazaare Shahe Mazloom lagalu’n
-----------------*-----------------
~ 21 ~

Ali Jaweed Maqsood

ABBAS HAM KO LAASHE JAWA’N MIL NAHI RAHI

Akbar ki jang door se dekha kiye Hussain


Jab aakhri Salaam suna chal pade Hussain
Har ik qadam pa thokarein khaate rahe Hussain
Bhai ko yaad kar ke ye kehne lage Hussain
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Akbar lade hazaaron se be khaofo be khatar


Girte huwe kaha ke Khuda hafiz aye Pidar
Gham se kaleja shaq hua dhu’ndla gayi nazar
Duniya hui siyaah kaho jaa’en Ham kidhar
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Bichhde Habeeb jeene ki lazzat chali gayi


Qasim gaye to zapt ki taaqat chali gayi
Roothe jo tum to qalb ki quwwat chali gayi
Akbar ke saath Meri basarat chali gayi
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Dar hai na Gham se Abid e Beemar chal base


Zainab na berida kahi’n ran me nikal pade
Maa ke tasawuraat me Sehre ke phool the
Wo kam se kam Pisar ka Janaza to Dekh le
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi

Gum hai chiraagh haay Mere ghar ka der se


Hai shauqe deed Shakle Payambar ka der se
Dil khoon hai Tumhare Baradar ka der se
Laila ko intezaar hai Akbar ka der se
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi
~ 22 ~

Barchi Hamare Bete ke Dil me hai kya kare’n


Kis tarha Uske darde jigar ki dawa kare’n
Ham be Mu’eeno Yaawaro Naaser hain kya kare’n
Pohnchenge Laash tak jo madad Murtuza karein
Abbas Hamko Laashe Jawa’n mil nahi rahi
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

AB GHAR KO CHALO

KHAAK SE UTHO ALI AKBAR

Pohnche jo Hussain Ibne Ali Laashe Pisar par


Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par
Ye keh ke zamee’n par gire Bete ke barabar
Aaya hai Pidar hosh me Aao Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Zaalim koi bekas ko bataata na tha rasta


Chhaaya tha nigaahon me andhera hi andhera
Aaya hai pidar paas Tere thokare’n khaataa
Aankhon ko hua kya Meri poochho Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Tum chup ho to chalte hain Mere qalb pa khanjar


Kuch haal ladaai ka sunaao Mere Dilbar
Batlaao ke kis tarha laga zakhm jigar par
Kuch baat karo aankh to kholo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Faryaad labo’n par hai aur ashko’n ki rawaani


Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahani
Hanste hain Mere haal pa dushman Mere Jaani
Tanha Mujhe is tarha na chhoro Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
~ 23 ~

Kyun paau’n ragadte ho kahan zakhm laga hai


Batlao Meri Jaa’n Mera dil baith raha hai
Kyun haath hai seene pa kahan zakhm laga hai
Phat jaaege dil Baap ka bolo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Nouha hai labon par hai lahu aankhon se jaari


Ham kab se khade rote hain baali’n pa Tumhari
Khaaya na taras Tum ne ghareebi pa Hamari
Dil Baap ka is tarha na todo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Aye Laal tasawur me tha Maa ke Tera sehra


Hai der se darwaaza e khaima pa Wo Dukhiya
Kya jaake bataaaun Main hua haal Tumhara
Laila se kahu’n kya ye Bataaao Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Ab der jo ki Tum ne to karti hui zaari


Be parda Bahan aaegi maqtal me Hamari
Maadar kahi’n Marjaay na sadme se Tumhari
Baba bhi nahi’n Jeene ke Sunlo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

Kis tarha se Dekhe ye Pidar haal Tumhara


Qaabu me nahi’n qalb ulat’ta hai kaleja
Pehlu me hai dil Baap ka pathar nahi’n Beta
Aage Mere is tarha na tadpo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar

-----------------*-----------------
~ 24 ~

Mir Raza Ali Sohail

BAIN KARTE THE SARWAR HAAY NAOJAWA’N AKBAR

Naojawaan Bete ki ran se jab sada aayi


Le chali suwe maqtal Shah e Deen ko tanhaai
Kuch nazar na aata tha jaa chuki thi beenai
Kehte the Tumhein dhu’ndun Main kahan kahan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Jis ghadi Shah e Waala pohnche Laashe Akbar par


Phat gaya jigar Gham se dekhte hi ye manzar
Muztarib tha reti par Hamshabih e PaiGhambar
Le rahe the ruk ruk kar rann me hichkiyan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Shaah e Dee’n ye kehte the chup ho kis liye Beta


Baap ko zaeefi me daagh de gaye kaisa
Kya bataaaun Main tum ko haal jo hai Laila ka
Kis tarah rahe zinda ab Tumhari Maa Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Kuch to bolo kyun aakhir karwatein badalte ho


Dono hath seene par baar baar rakhte ho
Kya guzar gayi beta kis liye tadapte ho
Kyun ragadte ho aakhir ran me ediyaan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Haay Teri shaadi ka dil me Maa ke armaan tha


Kaise ab wo dekhegi Tera khu’n bhara Laasha
Jaake Umme Laila se ab Main kya kahu’n Beta
Haay ye Jawaani aur dil me ye sina Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar

Karbala ke jangal me kaisa waqt e ghurbat hai


Ik Ghamzada Maa par kaisi ye qayamat hai
Saamne nigaaho’n ke Naojawa’n ki mayyat hai
Bekasi me Laila ka hai ye imtihaa’n Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar
~ 25 ~

Tha Sohail khaimon me ik hashr sa barpa


Laake rakh diya Sheh ne Naojawan ka Laasha
Tha labon pa Zainab ke har ghadi yehi nauha
Meri godh ke pale Mere Naojawan Akbar
Bain karte the Sarwar Haay Naojawa’n Akbar
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

JAO AB KHUDA HAFIZ AYE MERE ALI AKBAR

Hai Zameene karbal par dard ka ajab manzar


Jaa raha hai maqtal ko HamShabeehe PaiGhambar
Aur widaa karne ko laake maut ke dar par
Apne dil ke tukde se keh rahi hai ye Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Aa Main Apne haatho’n se phir sawaar lun zulfein


Paas baith ja kar lun Tujh se do ghadi baatein
Dekhne ko tarsengi tujh ko ab Meri aankhein
Mere Laal aa Tujh ko dekh lun Main ji bhar kar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Dhoop ki tamaazat hai teen din ke pyaase ho


Tum pa sadqe ho jaaun do ghadi thehr jaao
Maa ko chhorh kar Beta ja rahe ho maqtal ko
Haay Tum se pehle hi kyun na mar gayi Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Maa ne tujh ko paala tha kitni aarzuon se


Kya bataaaun Main Beta dil me kitne armaan the
Ab na dekh paaungi phool Tere sehre ke
Qalb tukde hota hai kis tarah kahe Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Har qadam pa hoega saamna andheron ka


~ 26 ~
Ab charaagh bujhta hai zindagi ki raahon ka
Noor leke jaate ho tum hamari aankhon ka
Tum ko dhu’ndne nikle kis ka aasra le kar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Baad tere kaise Main zindagi guzaarungi


Teri chaand si surat Main kabhi na paaungi
Zindagi ka har lamha Tera Gham manaungi
Jee ke kya kare Maadar Tere bin Ali Akbar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Zindagi ka har lamha ham pa bojh hoega


Aankh khushk hoegi qalb khoon roega
Sar zameen e maqtal par Mera Laal soega
Haay ye bhi kehne ko zinda reh gayi Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar

Rukhsat e Ali Akbar ke ajeeb lamhe the


Yu’n Rasheed khaime se Akbar e Jawaa’n nikle
Ik janaza nikla ho jis tarah bhare ghar se
Keh rahi thi ro ro kar Maadar e Ali Akbar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
-----------------*-----------------
~ 27 ~
Ali Jaweed Maqsood

LAILA SHAHEED HO GAYA TERA JAWAA’N PISAR

Ghodo’n se jab gira Shahe Mazloom ka Pisar


Khaime ki simt Shah ne Dekha ba chashme tar
Laila pukaari kya hai Mere Laal ki khabar
Bekas Hussain kehne lage dil ko thaam kar
Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Laila sab hasrato’n ke janaaze nikal gaye


Hathyaar saare Akbare mehru pa chal gaye
Sehre ke phool khoon ki dhaaron me dhal gaye
Naize se chhid gaya Tere farzand ka jigar
Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Laila Hamara mannato’n Waala guzar gaya


Duniya Hamare chain ki barbaad kar gaya
Chehra wo chaand se bhi hasee’n khu’n me bhar gaya
Ab be chiragh hogaya Laila hamara ghar
Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Gham se ghareeb Baap ka dil paash paash hai


Beenaai ja chuki hai Pisar ki taLaash hai
Narghe me ahle zulm ke Bete ki Laash hai
Bas me Hamara dil hai na qaabu me hai nazar
Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Kuch rehm Mere haal pa khaata nahi’n koi


Bekas ko raasta bhi dikhata nahi koi
Kis ja hai Mera Laal bataata nahi koi
Rote hain ham Pisar ko to hanste hain ahle shar
Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar

Jaweed tha azeem Ghame Shaahe Mashraqain


Marge Pisar se lut gaya Sarwar ke dil ka chain
Ghode se jab zamee’n pa gira Dilbare Hussain
Rone lage ye keh ke Shahinshaahe Behro Bar
-----Laila Shaheed ho gaya Tera Jawa’n Pisar-----
~ 28 ~
Allama Akhtar Zaidi

ZAMEENE GARM PA LAASHA PADA HAI AKBAR KA

Salaam Rukhsate aakhir Hussain tak pohncha


Hai sakht aalame ghurbat me Laal Zehra ka
Koi nahi’n jo bataaye ke hai kaha’n Laasha
Hussain dhoond rahe hain Pisar nahi’n milta
Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Zaeef Baap ki nazre’n Jawaan ka Laasha


Hai Gham se surkh Hussaine ghareeb ka chehra
Sirhaane baith ke paiham ye de rahe hain sada
Hussain Aaya Hai milne jawaab do Beta
Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Hai khaima gaah me har simt hashr ka saamaa’n


Shabeehe Husne Payambar tha Akbare Zeesha’n
Bahan ke dil me tha Bhai ke byaah ka armaa’n
Sakina kehti hai Bhayya kahan gaye Amma
Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Khuda hi Jaane ke Shabbir kitne hain be aas


Na koi Bhai na Beta hai ab Ghareeb ke paas
Shadeed dhoop me reh reh ke badh rahi hai pyaas
Hussain kitne hain tanha bichhad gaye Abbas
Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Kaleja dekh ke Bete ka dil tadapta tha


Hussain dekhte the aur ghar ujadta tha
Tha aftaab falak pa abhi ujala tha
Magar Hussain ki aankhon me bas andhera tha
Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka

Qadam Hussain ke Akhtar zamana choomega


Maqaame arsh pa dekhegi sabr ko duniya
Rahega lab pa fazaaon ke har ghadi Nouha
Hussain uthaaenge Laasha Jawaan Bete ka
-----Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka-----
~ 29 ~

Hassan Abbas Ahsan

NA JAANE KIS TARAH LAILA NE DEKHA


JAWAA’N BETA HAI AUR ZAKHMI KALEJA

Khudaya kaise Sarwar ne Uthaya


Zaeefi me Jawa’n Bete ka Laasha
Rakha khaime me La kar jab janaza
Wo Laasha sar se pa tak khoo’n bhara tha
Na jaane kis tarah Laila ne Dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Madine me Wo aksar sonchti thi


Bahu hogi Hamari chaand jaisi
Bada armaan tha shaadi ka jiski
Wohi ab saamne bejaa’n pada tha
Na jaane kis tarah Laila ne Dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Basarat ja chuki Sibte Nabi ki


Hui hai khatm ronaq zindagi ki
Luti duniya Hussain Ibne Ali ki
Simat aaya hai aankhon me andhera
Na jaane kis tarah Laila ne Dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Bada zaalim hua tha ye zamana


Kayi hathyaar the aur ik nashana
Jawaani me wo phal barchhi ka khaana
Shabeeh e Mustufa par zulm aisa
Na jaane kis tarah Laila ne Dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Wo Jiska Husn tha Husne Payambar


Tha Us par ye sitam Allah O Akbar
Watan me muntazir thi jis ki Khwahar
Wohi ab khoon me Dooba Pada tha
Na jaane kis tarah Laila ne Dekha
~ 30 ~

Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Kamaale sabr ka ye Mojiza tha


Ke khud ko kaise Zainab ne Sambhala
Jise atthaara barso’n tak tha Paala
Usi ke Qalb me toota tha naiza
Na jaane kis tarah Laila ne dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja

Koi poochhe Ali Akbar ki Maa se


Guzarti kya hai marge Naojawa’n se
Sada aati hai Ahsan aasma’n se
Rahegi umr bhar sakte me Dukhiya
Na jaane kis tarah Laila ne dekha
Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja
-----------------*-----------------

Mir Raza Ali Sohail

THA RANN ME SHEH KA YE NOHA MERE ALI AKBAR


HUSSAIN HOGAYA TANHA MERE ALI AKBAR

Jo ran se Akbar e Mehru ki Shah ko pohnchi sada


Zaeef Baap ne haatho’n se Dil ko Thaam liya
Ye keh ke rukh kiya phir Shaahe di’n ne maidan ka
Sada do Mujh ko Aye Beta Mere Ali Akbar

Har ik gaam pa ruk ruk ke haath Malte the


Kabhi Sambhalte the Girte the phir Sambhalte the
Sada ye Dete huwe ran ki simt Chalte the
Dikhaai kuch nahi’n deta Mere Ali Akbar

Pohachke ran me jo Dekha Wo khoo’n bhara manzar


Gira ke Shaah ne Khud ko Jawa’n ke Laashe par
Kaha ye kaisi qayamat guzar gayi Dilbar
Tha Maa ne is liye paala Mere Ali Akbar
~ 31 ~

Khadi hai khaime ke dar par Wo Ghamzada Maadar


Main Laash khaime me le Jaaunga Teri kyunkar
Ye haal dekh ke phat Jaayga Dil e Muztar
Hai khoon me Tera Laasha Mere Ali Akbar

Jise thi aarzu dekhegi Wo Tera Sehra


Bhala Wo Dekhegi kaise ye khoon bhara Chehra
Jigar ka zakhm jo Dekhegi Ghamzada Laila
Na ji sakegi Wo Dukhiya Mere Ali Akbar

Tu khaako Khoon me ghalta’n hai Mehlaqa Mere


Khuda hi Jaane jo guzregi dil pa Zainab ke
Ke Tujh ko Paala hai atthara saal tak Jisne
Sitam hai us pa ye kaisa Mere Ali Akbar

Hussain Laaye jo khaime me Laasha-e Akbar


Madad ko pohnchi jo Bhai ki Zainab e Muztar
Jawa’n ke khoon se sab tar bataar hui chaadar
Pukari ji ke karun kya Mere Ali Akbar

Rihaai jab hui zinda’n se Aale At’har ki


Khabar Madine me pohnchi jo Qatle Akbar ki
Sohail hil gayi sunkar Lahad Payambar ki
Pukari ro ke ye Sughra Mere Ali Akbar
-----------------*-----------------
~ 32 ~

Baquer Mohsin

ZAEEF BAAP SE LAASHE PISAR NAHI UTHTI

Tadap ke kehti hai ye Roohe Fatima Zehra


Bala ke dasht me Mera Hussain hai tanha
Dayare ghair me uska nahi’n koi apna
Ajeeb waqt e musibat hai Ya Ali Madadi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Andhera aankhon me hai aur kamar khameeda hai


Karega kaun madad kis ka ab sahara hai
Nabi ka Noore Nazar kis qadar Akela hai
Lahu rulati hai Mere Pisar ko tanhaai
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Zameen e garm pa hai Laasha e Shabihe Rasool


Badan ke zakhm mehekte hain jaise Khuld ke phool
Hujoom hasrato harmaa’n hai aur jaane Batool
Hai larza haathon me Sarwar ke lab pa Naad e Ali
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Kinaare nehr pa Sote hain Hazrat e Abbas


Adu ke narghe me bekas Hussain hain be aas
Hai saath saath faqat be nawaai ka ehsaas
Jawa’n ki Laash pa kehti hai Sheh ki tashna labi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti

Lahu na kaise ho Mohsin ye Baap ka dil hai


Ye imtihan e muhabbat ki sakht manzil hai
Jawa’n ki Laash akele Uthaein mushkil hai
Sitam ki dhoop me tanha khade hain Sibte Nabi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti
-----------------*-----------------
~ 33 ~

Shaukat Bilgrami

KIS SOONE BANN ME SOTE HO

Kubra ne kaha Qasim Doolha, kis soone ban me sote ho

Bachpan ka randaapa dekho zara, kis soone ban me sote ho

Dekho to zara ham Shaan e Ali, ye maang hamari khaakh bhari

Kis se Main karun qismat ka gila, kis soone ban me sote ho

Paazeb ki jaa bedi hai padi, kangna ke ewaz rassi hai bandhi

Kya khoob Bani ka haal bana, kis soone ban me sote ho

Thaama tha jo Tumne haath Mera, duniya se lahad tak saath Mera

Ik shab ki Bani se hoke khafa, kis soone ban me sote ho

Ho jaata tha Shaukat hashr bapa, hilti thi zameene Karbobala

Kehti thi jo ro kar Wo Dukhiya, kis soone ban me sote ho

-----------------*-----------------
~ 34 ~

Ali Jaweed Maqsood

UTHO ZAMEENE GARM SE BETA UTHO UTHO

Pohnche Hussain Qasim e Bekas ki Laash par


Dekha Wo haal kar na sake doosri nazar
Pehlu me baith kar ye sada di bachashme tar
Ham lene aaye hain Tumhe Dulha Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Qasim Tumhari Maa ko Tumhara hai intezaar


Khaime ke dar pa baali Sakina hai be qaraar
Dada ka naam leke Utho Mere jaa’n nisaar
Sote nahi’n hain khaak pa Dulha Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Tasweer e dard ban gayi Kubra ki zindagi


Jaaga hi tha naseeb ke taqdeer so gayi
Kanghna abhi khila Nahi’n aur maang ujad gayi
Kubra Banaai Jaati hai bewa Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Fauj e sitam sheyaar bada zulm kargayi


Kya phool se badan pa qayamat guzar gayi
Bhai ki yaadgaar zamee’n par bikhar gayi
Dil khoon ho raha hai Hamara Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Tum ne Mujhe madad ko Pukara tha Mehlaqa


Par aasaka na waqt pa sharminda hai Chacha
Baalee’n pa ab Tumhari hu’n Rota Khada hua
Do apne Gham me Mujhko Dilasaa Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho
~ 35 ~

Karte hain dard o Gham se Haram naala o fughan


Dulha ki raah dekhti hain saari Bibiaan
Hai beqarar Aye Mere Dilbar Tumhari Maa
Karti hai intezaar Tumhara Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho

Farwa ke dil ka chain ho Lakhte Dil e Hasan


Haidar ki yaadgaar ho Ghaazi ho Saf Shikan
Moula ke saath karta hai Jaweed ye sukhan
Awaaz dete hain Shahe Waala Utho Utho
Utho zameene garm se Beta Utho Utho
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

BAHATTAR TUKDE

Karbala me hua lakhte Dil e Shabbar Tukde


Ran se Qasim ke utha laaye hain Sarwar Tukde

Pohnche maidaan me Qasim ki sada sun kar jab


Dekha Shabbir ne Bhai ka hai Dilbar tukde

Sar jhukaye huwe Rote hain Hussain Ibne Ali


Apne Bhai ki nishaani ke utha kar tukde

Hai ye Qasim ka Janaaza ke jigar Shabbar ka


Ran se Shabbir utha Laay Bahattar tukde

Maadar e Hazrat e Qasim se ye Kehte hain Hussain


Aap ke Laal ke laaye hain utha kar tukde

Waqea Hazrat e Qasim ki Shahadat ka Rasheed


Sun ke hota hai har ik ka dil e muztar tukde

-----------------*-----------------
~ 36 ~

Ali Rafi

QATL HO GAYE QASIM YA ALI DUHAAI HAI

Hai lahu bhara Chehra kaisi runumaai hai


Dekhne ko ye manzar ab Dulhan bhi Aayi hai
Ek din ki thi Shaadi hashr tak judaai hai
Karbala ke Dulha ki Laash ghar me Aayi hai
Qatl hogaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Do jaha’n na kyun rowe ye Ali ka Pota hai


Bekasi pa Qasim ki dil shikista hota hai
Ye zameen Rothi hai aasma’n bhi rota hai
Ab kisi ko sakta hai koi jaan khota hai
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Kis liye tadapte hain kisko jaa ke samjhaaein


Kya guzarti hai Ham par Wo to bas Khuda Jaane
Qalb bhi Hamare hain Shaah ke Aza khaane
Hain azaaye Qasim me aasuon ke nazraane
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Aaj Karbala waale phir hamare mehma hain


Phool ho’n ke mehndi ho sab Aza ke saama’n hain
Ehtemaam shaadi ke ik Bahan ke armaa’n hain
Ghamzado’n ke nazraane aansuon ke toofaa’n hain
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Ye Sadaa-e Maatam hai ik payaame bedaari


Is liye rago’n me hai khoone zindagi jaari
Zindagi Hamari hai Shaah ki Azadaari
Khud shareeke Majlis hai ek Ghareeb Dukhiyaari
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Ran se Laasha-e Naoshah laay jis ghadi Sarwar


Zindagi ka har lamha phir to ban gaya nashtar
Har qadam qayamat thi har qadam pa tha mehshar
Reh gaya nigaho’n me ye lahu bhara manzar
~ 37 ~

Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Bain the ye Kubra ke ab to ghut raha hai dam


Bolte nahi’n kuch bhi aaj Mere Ibne amm
Kis tarah se dikhlaaein apne dil ka ye aalam
Boliye Phupi Amma chup rahein ke roe’n ham
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai

Misle Fatima Kubra kaunsi Dulhan hogi


Sar to berida hoga haath me rasan hogi
Laash jiske waaris ki ran me bekafan hogi
Aye Rafi is Gham me qaom seenazan hogi
Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai
-----------------*-----------------

Raza Aafandi

YE HUSSAIN MAQTAL SE KISKI LAASH LAATE HAIN

Kyu’n gulo’n ki khushbu se sara ran mehekta hai


Pairahan mu’attar hai kya ye koi Doolha hai
Chaand sa Hasee’n Chehra dhoop me chamakta hai
Aur lahu ki dhaaron ka Uske Rukh pa sehra hai
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Jab lagaai thi mehendi us ko Pyaari Behna ne


Maa libaase Nao lekar aayi usko pehnaane
Sab baraation ke the aansuon ke nazraane
Sub’ha ki thi ye baatein shaam ki Khuda jaane
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Tashnagi ke sehra me aag si barasti hai


Boondh boondh paani ko zindagi tarasti hai
Tashna kaam Dulha hai aur Dulhan bhi pyaasi hai
Haay kaisi shaadi hai har taraf udaasi hai
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain
~ 38 ~

Sub’ha se kaee Laashe leke aaye maida’n se


Par ye Laash laane ki Shaan hi niraali hai
Ek aba ke goshe me Jiski Laash aajaye
Us ke jisme at’har par guzri kya Khuda Jaane
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Ran me Laash Dulha ki khaako khoo’n me ghaltaa’n hai


Waa’n Dulhan ke khaime me hashr jaisa saamaa’n hai
Sar pa khaak daali hai maang Uski veera’n hai
Bain Uske sun sun kar Maa ka dil pareshaa’n hai
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Tha Dulhan ka ye Noha gardishe zamana hai


Tum gaye suwe maqtal ham ko qaid khana hai
Yaad ke sahare hi zindagi bitaana hai
Kaash ham hi mar jaate ye bhi koi jeena hai
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

Hogayi Dulhan Bewa Sheh ka Dil tadapta hai


Har nafas wohi manzar chashme nam me rehta hai
Ghash me Umme Farwa hai aur Dulhan ko sakta hai
Ab Raza qayamat hai aasmaa’n larazta hai
Ye Hussain maqtal se kiski Laash Laate hain

-----------------*-----------------
~ 39 ~

Ali Jaweed Maqsood

MAQTAL SE LAASH QASIM E NAOSHAH KI AAYI HAI

Baraation ne kyun saffe maatam bichhaai hai


Dulhan ki maang khaakh se kis ne sajaai hai
Shaadi ka hai makaan faza Gham ki chhaayi hai
Bewa hui Hussain ki Beti duhaai hai
Maqtal se Laash Qasim e Naoshah ki aayi hai

Khushian tamaam hogayi aansu bahaiye


Dulhan ko laake farshe Aza par bithaiye
Shaadi ki rasm ho chuki bewa banaiye
Fizza ye kiske marne ka paighaam laayi hai
Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Bewo’n ke darmiyaan ye Farwa ki hai buka


Pal me Meri khushi ka jaha’n khaakh hogaya
Bete ka ghar basaane ka armaan tha Mera
Ibne Hasan ne maot ki basti basaai hai
Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Farmaate the ye Shaah ghazab hogaya Bahan


Paamaal rann me hogaya Naoshah ka badan
Aur tukde tukde hogaya Bhayya ka Gul badan
Qasim ki Laash Hamne aba me Uthaai hai
Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai

Jaweed Karbala ki ye Shaadi ajeeb thi


Lamhon me jo khushi thi Wo Gham me badal gayi
Shaadi koi jaahan me hoti hai jab kabhi
Ibne Hasan ki Yaad zamaane ko aayi hai
Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai
-----------------*-----------------
~ 40 ~
Kazim Banarsi

AASHOOR KI WO RAAT

Aashoor ki wo raat wo sannaate ka aalam


Fitrat ki khamoshi me farishton ka Wo maatam
Soya hua ran me Asadullah ka zaiGham
Aur khoon me dooba hua Islaam ka parcham
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Dekhi na gayi bachon ki jab tashna dahani


Aankhon me khatakne lagi maojo’n ki rawani
Paani ke liye apna lahu kar diya paani
Bachpan pa Sakina ke fida kardi jawani
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Qabze me thi talwaar ke qabze me Khudaai


Do haath chali thi ke taraai nazar aayi
Bhai ki wigha door se dekha kiye Bhai
Yu Shaane Wafa Tu ne wafadaar dikhaai
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Aye Fatima Zehra ke qamar nayyare taaba’n


Baazue Hussain Ibne Ali naasire Ima’n
Khaaliq ki qasam kardiya Islaam pa ehsaan
Aye mashke Sakina ke Muhafiz Tere qurbaan
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Duniya se gaya Shaan Wafaaon ki dikha kar


Paani na piya pyaasa raha nehr pa jaa kar
Ghode se gira khaakh pa baazu ko kata kar
Soya bhi to soyi hui millat ko jaga kar
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge

Kazim koi karta hai to karne do bahana


Goonjega fazaaon me wafaaon ka taraana
Har rang me dhal jaaega ye Gham ka fasaana
Fitrat to na badlegi badal jaay zamana
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
-----------------*-----------------
~ 41 ~

Jameel Moosvi

AASHOOR KI YE SHAB HAI SHAHADAT KI RAAT HAI


MAATAM BAPA KARO KE QAYAMAT KI RAAT HAI

Zehra ke Khandan pa ghurbat ki raat hai


Khamosh khaima gaah hai wahshat ki raat hai
Aashoor ki ye shab hai shahadat ki raat hai
Maatam bapa karo ke qayamat ki raat hai

As’haab ko hai dhyaan bas apne Imam ka


Pyaaso’n ko intezaar Shahadat ke Jaam ka
Abbas kar rahe hain Talaaya Khayaam ka
In sabke waaste ye Ibadat ki raat hai

Ahle Haram hain dekh pareshaan Karbala


Dil aaj hi se sabke hain veeraan Karbala
Kal tak rahenge ye tere mehmaan Karbala
Ye raat unpa sakht musibat ki raat hai

Qasim Hasan ka Laal Jo Maida’n ko jaayga


Dashte bala me khoon ka dariya bahaayga
Maqtal ki sra zamin ko Mehshar banaayga
Naoshaahe Karbala pa shahadat ki raat hai

Kal sub’ha deke aakhri mojiz numa Aza’n


Barchhi Jigar pa Khaayga phir Akbare Jawa’n
Sakte me kal se aakhri din tak Rahegi Maa
Bete ki aakhri ye Ziyarat ki raat hai

Chaadar hai aaj sar pa hai Zainab ko itminaan


Kal hoga sab saro’n pa magar charkhe Saaybaan
Kal hoga Fatima ka rasan basta Khandan
Ye aakhri ridaao’n ki hurmat ki raat hai
~ 42 ~

Shaane kata ke nehr pa Abbas Soenge


Tooti Kamar ko Thaam ke Shabbir Roenge
Bachche bhi pyaas bujhne ki ummid khoenge
Ghaazi pa aaj Zapte Shuja’at ki raat hai

Hamla Ali ke Sher pa hoga furaat par


Marjaayga Sakina ka Saqqa furaat par
Kal hoga Ambiya ka bhi girya furaat par
Khaimo’n ki aakhri ye hifazat ki raat hai

Teere sitam se kal jo kiya Jaayga Shaheed


Shashmaaha hai wo Jis pa musibat hai ye shadeed
Ye zulm karke roega khud lashkare yazid
Bano pa intehaay aziyat ki raat hai

Hangaame asr qatl Kiye Jaaynge Hussain


Kal Bekafan Rahenge yaha’n Shaahe Mashraqain
Maqtal me goonj uthenge kal Fatima ke Bain
Ye raat Mere Laal pa ghurbat ki raat hai

Laazim hai kaaynaat pa ye Gham Hussain ka


Kaise karenge Haq ye ada ham Hussain ka
Bachpan se karte aay hain Maatam Hussain ka
Apne liye ye raat sa’adat ki raat hai

Maango Jameel Khaliqe Akbar se ye Dua


Aye Rabbe Paak Tujhko hai ab shab ka waasta
Ham sab Hussain waalo’n ko pohnchaade Karbala
Aansu bahaay jao ye riqqat ki raat hai

-----------------*-----------------
~ 43 ~

Ali Jaweed Maqsood

JAATE HO SUWE MAQTAL ABBAS KHUDA HAFIZ

Bole ye Shahe waala Abbas Khuda hafiz


Ab hogaya ghurbat ka ehsaas Khuda hafiz
Ham hogaye jeene se be aas Khuda hafiz
Faryaad kuna sab ki hai pyaas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Har simt se aati hai rone ki sada Bhai


Sab Ahle Haram dar par karte hain buka Bhai
Parde ka na chaadar ka kuch hosh raha Bhai
Aate hain unhein kya kya waswaas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Mazloom hain ham kitne kya waqte musibat hai


Dikhlaaein kise Bhai jo qalb ki haalat hai
Har saans ek aafat hai har lamha qayamat hai
Khaamosh hain lab dil me hai yaas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Phirne lage aankhon me ab dard ke sab manzar


Wo lut’te huwe khaime Wo jalta huwa bistar
Wo neel tamaanchon ke Wo chhinte huwe gohar
Hai kaon Ghareebon ke ab paas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Hone se Tere rukhsat dil toot gaye Bhayya


Ab to koi pyaasa bhi paani nahi’n maangega
Mazloom musibat me ab kis ko sada Dega
Khaamosh rahegi ab har pyaas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Ab Shere Jari Tum se lashkar ki bhi zeenat thi


Har ranj me aafat me Gham sehne ki taaqat thi
Tum saath rahe jab tak Shabbir ko himmat thi
Ab jeene ka armaa’n hai naa aas Khuda hafiz
~ 44 ~

Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Kya sakht musibat hai Abbas Tera jaana


Gham hogaya phir taaza Baba ki musibat ka
Ab waqt aseeri ka Zainab ko yaqee’n aaya
Sach hote hain bewon ke waswaas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz

Taari tha Sakina pa ghurbat ka ajab aalam


Maidaan ko jaata tha Shabbir ka jab zaiGham
Aati rahi khaimon se bas ik sada paiham
Abbas Khuda hafiz Abbas Khuda hafiz
Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood


ABBAS E ALI SHEH KE ALAMDAR SIDHARO

Rukhsat ke liye aaye hain Abbase Dilawar


Bechain hain sadme se Dil e Zainabe Muztar
Nazrein kabhi baazu pa kabhi Bhai ke rukh par
Naoha ye zaba’n par ke wafadaar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Jab tak Mere Bhayya Tere baazu hain salamat


Baazu Mere baandhe ye kisi me nahi’n himmat
Marne ki riza leke jo Tum hote ho rukhsat
Zinda’n hai hamare liye tayyar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Niklegi jo Kufe ko Aseero’n ki sawari


Sar peet te rote huwe karte huwe zaari
Aayegi yateemo’n ko bohut yaad Tumhari
Sab hote hain be yaaro madadgaar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo
~ 45 ~

Maaloom hua Mujh ko hui khatm ladaai


Laakhon ke muqaabil hua tanha Mera Bhai
Ho jayegi Bhayya ke saro tann me judaai
Ab kaon hai Bekas ka madadgaar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Aankhein Meri ghurbat ka sama dekh rahi hain


Uthta hua khaimon se dhua’n dekh rahi hain
Baazu pa rasan ke bhi nashaa’n dekh rahi hain
Aane ko hain khaimon me sitamgaar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo

Chaadar Meri chhin jaayegi jab Tum na rahoge


Aur shimr Sakina ko lagaaega tamaanche
Beemar pa barsenge sitamgaaron ke durre
Dhaaenge bohut zulm jafakaar sidharo
Abbase Ali Sheh ke Alamdar sidharo
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

SHABBIR HAI TANHA MERA ABBAS KAHAN HAIN

Do laakh ke narghe me Muhammad ka Nashaa’n hai


Hamdard kahan koi har ik dushmane jaa’n hai
Ab maot hi Haidar ke Dulaare ki amaa’n hai
Maqtal ki fazaon me ye Zehra ki fughaa’n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Shabbir ki tanhai pa ha’nste hain sitamgar


Ab koi sahara nahi’n Qasim hai na Akbar
Sambhla nahi’n jaata Mere Bachche se faras par
Pyaase ki nigahon me har ik simt dhua’n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Narghe me sitamgaaro’n ke ghash hai Mera Dilbar


Khanjar liye aata hai idhar shimre sitamgar
~ 46 ~

Rann me nikal aayi hai udhar Zainabe Muztar


Khaimo’n me Nabi zaadio’n ki aaho fughaa’n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai

Andaaz tasawur me jaga pa gaya kiska


Ye dard Mere Laal ko tadpa gaya kiska
Khanjar ke tale bhi ye khayal aagaya kiska
Mazloom suwe nehr ba hasrat nigaraa’n hai
Shabbir hai tanha Mera Abbas kahan hai
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI AAJ DILBARE UMMUL BANEEN KA

Haidar ka Laal aur Wo Zehra ka dilruba


Saqqaye Ahle Bayt Alamdaare ba wafa
Abbas se jari ko na thi jang ki riza
Hasrat jihad ki liye maqtal me sogaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Abbas Muztarib the badan tha lahu me tar


Kya jaane kya guzar gayi Us par kise khabar
Allah Jaane kaise gira hai Wo khaak par
Shaane juda the aur tha Sar bhi shigaafta
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Bhai ka haal dekh ke Roe Shahe umam


Ummul Bani’n ke Laal pa kya kya huwe sitam
Zakhmon se choor hogaye sahaane huwe qalam
Sar hogaya shigafta mashkeeza chhid gaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Farmaya Sheh ne kaisi ye neend aagayi Tumhein


Abbas Ham Tumhari Sakina se kya kahein
Is tarha Bhai chhorh ke Jaao na Tum Hamein
Utho ke de rahe hain Tumhe kab se Ham sada
~ 47 ~

Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Bachchon ko intezaar tha Abbas aaenge


Boli Sakina Mere Chacha paani laaenge
Ammu Hamare pyaas sabho’n ki bujhaenge
Lekin Haram ka Paasbaa’n waapas na aa saka
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Aya kamar ko thaame jo Zehra ka Noore Ain


Pyaasi Sakina Baap se karne lagi ye bain
Ammu baghair aaega kis tarha Ham ko chain
Bole Hussain margaya Beti Tera Chacha
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Zainab lipat ke Bhai se karne lagi ye bain


Maajaay kuch to bolo ye kaisa hai shoro shain
Sar ko jhukaay rote ho kis waaste Hussain
Sheh ne kaha Bahan Mera Abbas Margaya
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

Aansu Hamare karte hain paiham Tujhe Salam


Abbas mushkilon me to Aata hai sab ke kaam
Adna ye hai Rasheed Shaheedi Tera ghulaam
Hai Tere Gham me is ke bhi lab par yehi sada
Maatam hai aaj Dilbare Ummul Baneen ka

-----------------*-----------------
~ 48 ~

Hasan Abbas Ahsan

DASHTE GHURBAT ME SAKINA MAIN AKELA


HOGAYA

Laashe Abbase Ali se uthke Aaye hain Hussain


Ho chuki duniya andheri kho chuka hai dil ka chain
Thaam kar tooti kamar Beti se karte hain ye bain
Nehr par Shaane kata kar Sogaya Tera Chacha
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Khoon beh jaane ka koi Gham na tha Abbas ko


Apni nazron me basaay tha Wo Teri pyaas ko
Chot pohnchi haay Mere Bhai ke ehsaas ko
Beh gaya paani chhida jis waqt mashkeeza Tera
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Main ne dekha hai dare khaima se us ka haale zaar


Jab hua be dast Mera Bhai Mera Ghamgusaar
Har taraf se har koi Mazloom par karta tha waar
Kis qadar zakhmi hua tha kya kahu’n saqqa Tera
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Haal Mere Bhai ka Beti karun kaise baya’n


Jab Main pohncha Wo hayaato maot ke tha darmiya’n
Sar se paa tak gurz ke tegho’n ke bhaalo’n ke nasha’n
Aankh me ik teer tha ik aankh me tha khoo’n bhara
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

Kehta tha Laasha Mera Lillaha khaimo’n me na jaay


Mujh ko ab saydaanio’n ka saamna hone na paay
Ye guzarish hai Sakina Mere Laashe par na aay
Marte marte Uska Saqa Us se sharminda raha
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya
~ 49 ~

Har aziyat seh gaye sab baawafa saathi Mere


Par jo ghode se gira us ke salamat haath the
Ye musibat haa’n magar hisse me thi Abbas ke
Kya Bataaau’n kaise ghode se zami’n par Wo Gira
Dasht e ghurbat me Sakina Main akela hogaya

Karbala me is tarah aashoor ko majlis hui


Zikr tha Abbas ka zaakir Hussain Ibne Ali
Be baso’n ki aaho zaari se zami’n hilne lagi
Kehte the Ahsan yehi ro ro ke Shahe Karbala
Dashte ghurbat me Sakina Main akela Hogaya

-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

JALTE HAIN KHAIME

Shole hain bhadakte huwe har simt dhua’n hai


Zainab pa musibat hai qayamat ka sama hai
Kehti hai Muhafiz Mere parde ka kahan hai
Hamghirate Haidar Meri chaadar to bachaale
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
Phir ghaize Yadullah zamaane ko dikhao
Faryaad chaheeti ki hai Imdaad ko aao
Gohar na chhine aake Bhateeji ko bachao
Daaman se Sakina ke hain lipte huwe shole
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
Tum aao to phir zulm ki taqat na rahegi
Tum aao to Zainab ki rida chin na sakegi
Tum aao to beemar ki masnad na jalegi
Tum aao to beemar pa barseinge na kode
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
Barchhi ki ani par hai abhi tak Dile Akbar
Aur Baap ki aaghosh me kumhla gaye Asghar
Shabbir ki gardan pa chala shimr ka khanjar
Ab Aabide Beemar bhi sholo’n me ghira hai
~ 50 ~
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
Jalti hui reti pa pade hain tane Besar
Ye Aun o Mohd hain Wo Qasim hai Wo Akbar
Phir ik naye zulm pa tayyar hai lashkar
Paamaaliye Shabbir ke hote hain iraade
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
Ab Aale Mohd pa qayamat ki ghadi hai
Kya waarise Tatheer pa uftaad padi hai
Ye Dukhtare Zehra hai jo balwe me khadi hai
Beemar sambhalta nahi’n kode hain baraste
Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime
-----------------*-----------------

Mir Raza Ali Sohail

KYA SO RAHE HO NEHR PA ABBASE BAWAFA

Zainab ke bain the Mere saqqaye Karbala


Is bekasi me koi Hamara nahi’n raha
Jo Tum nahi’n to Ham pa har ik gaam hai jafa
Ham bekason ko Aake do ab jald aasra
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
Tooti kamar Hussain ki jab Tum nahi’n rahe
Aankhon ka Noor ja chuka Akbar jo Chal base
Bewo’n ko aas Tum se thi Shere Jari Mere
Bekas Hussain dasht me ab kisko dein sada
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
Sab jal chuke qayam ridaaein bhi chhin gayi’n
Tab se pada hai ghash me Mera Abide hazi’n
Saaya hai asmaan ka aur farsh hai zami’n
Zainab talaya karti hai jalte khayaam ka
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
Ro kar Sakina kehti hai Ammu ab Aaiye
In zaalimon ke zulm se ham ko bachaiye
Behr e Khuda na is tarah mujh ko rulaiye
Gohar bhi chheene ja chuke kurta bhi hai phata
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
Bhayya jo Tum nahi’n to hain be aas Bibiya’n
Khaimon me Sheh ke ek qayamat ka hai sama’n
Tashna labi se bachche sabhi karte hain fugha’n
~ 51 ~
Rokar Sakina Kehti hai jald Aaiye Chacha
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
Mashko Alam ko leke luta Qafela chala
Haamil Alam ka Pyaason ka Saqqa nahi’n Raha
Maatam tha aye Sohail Alamdare Shah ka
The bain sab ke aye Bani Hashim ke Meh laqa
Kya so Rahe ho nehr pa Abbase Bawafa
-----------------*-----------------

Mir Raza Ali Sohail

RO RO KE YEH ZAINAB NE KAHA AUN-O-MOHD


GHAR KAR GAYE VEERAN MERA AUN-O-MOHD

Pehlu me jo Tum hote to Soti thi suku’n se


Neend aayegi ab kaise bhala Aun-o-Mohd

Sonchi thi jawa’n honge Meri aankhon ke taro


Tifli me huwe Mujh se juda Aun-o-Mohd

Kya rooth ke Maadar se khafa hogaye pyaaron


Hojaay ye Maa Tum pa fida Aun-o-Mohd

Ghar Mera hamesha ke liye kar Gaye barbaad


Aabaad huwi Karbobala Aun-o-Mohd

Do chaand Mere chhup gaye badli me sitam ki


Sara jaha’n andhera hua Aun-o-Mohd

Ab Tum jo nahi’n ghar mujhe achha nahi’n lagta


Yaad aati hai har ik ada Aun-o-Mohd

Tanhai me ghut ghut ke sada Gham me Tumhare


Karti hu’n me raaton ko buka Aun-o-Mohd

Tum sahib e aulaad jo hote to samajhte


Kis dil se di marne ki riza Aun-o-Mohd

Reh reh ke khayal aata hai Tum Dono se pehle


Kyun aayi nahi’n Mujh ko qaza Aun-o-Mohd
~ 52 ~

Baalo’n se chhupaati rahi chehre ko Main Apne


Chheeni gayi jab Meri rida Aun-o-Mohd

Uftaad Sohail aisi thi ik Ghamzada Maa par


Thi dil ke dhadakne ki sada Aun-o-Mohd
-----------------*-----------------

Sadiq

MERE ASGHAR KI HAI QABR KIS JA

Kehti Bano ye maqtal me aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja


Dhu’ndti hu’n karo rehnumaai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Haay kaisa hua daagh dil par chain aata nahi’n Main hu’n muztar
Mujh ko deta nahi’n kuch dikhai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Mere Bachche ka koi pata de aye zameene balaa tu bataaa de


Aye falak hu’n Main Teri satai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Mera Shashmah Bachcha kahan hai kyu wo ankhon se Meri niha hai
Kaunsi ja hai jo Usko bhaai Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Shab hai ghabraaega Mera Bachcha kaisa maqtal me hai sab andhera
Lori dekar sulaane hu’n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Koi kehta nahi’n kuch zaba’n se uth gayi kya murawat jaha’n se
Logo’n kehdo Main hu’n uski Daayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Tashnagi se Wo Uska tadapna ab bhi aankhon me hai Wo machalna


Pyaas uski bujhaane hu’n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Teer hi tha bohat jis gale par haay phera gaya Uspa khanjar
Aasma de raha hai duhaayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja

Hashr khaime me Sadiq tha barpa rote jaate the Sajjade Wala
Bano kehti jo maqtal me Aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja
----------------*-----------------
~ 53 ~
Fareed Baig

SHAHEED-E-TEER-E-SITAM BEZABA’N ALI ASGHAR

Chale hain khaime se phir laut kar na aaenge


Sawaale aab pa teere sitam ye khaaenge
Na baade dafn bhi marqad me chain paaenge
Hussain dil ko bhala kis tarah Manaenge
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Chala jo teer to kaampi zameene Karbobala


Chhidi jo gardane besheer to falak larza
Fazaa-e dasht me ik hashr hogaya barpa
Magar Hussain ka Beta tha Muskura Utha
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Jo dekha Banu-e muztar ne dil larazne laga


Kaha ye ro ro ke Haay Haay ye kya hua Beta
Zara si der me veeran kar gaye jhoola
Rahega honton pa ta umr bas yehi Noha
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Lahu bhare huwe honton ko choom kar ye kaha


Ye kisne teere sitam se tujhe shaheed kiya
Nazar na aaya usse kya ye phool sa chehra
Ye bain sun ke haram kar rahe the aaho buka
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Bana ke nanhi si turbat zameene maqtal par


Ik aah sard bhari aur uth gaye Sarwar
Kahan hain Qasim o Abbas aur Ali Akbar
Falak ko dekh ke ik baar ye kaha rokar
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar

Chale jo turbate besheer se suwe khaima


Hussain bekaso Mazloom tashna lab tanha
Fareed koi na tha dashte nainawa ke siwa
Faza me goonj rahi thi ye Fatima ki sada
Shaheede teere sitam Bezaba’n Ali Asghar
-----------------*-----------------
~ 54 ~
Ali Irfan

NAUNEHAAL
Maidaan me jo Shah ne halmin ki di sada
Asghar ne Apne jhoole se Khud ko gira diya
Maa ne kaha ke Tum bhi chale Mere Dilruba
Achha Main ye judaai bhi sehlungi Mere Laal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Armaa’n bahot the koi na hasrat nikal saki


Tha chaar din ka saat ye mujhko khabar na thi
Jee bhar ke pyaar bhi to Main kar paai na abhi
Beta tamaam umr rahega yehi maLaal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Waqt-e sehr se asr talak ghar ka ghar luta


Abbas o Qasim o Ali Akbar huwe judaa
Ab Tum bhi jaane waale ho Maa Tum pa ho fida
Lekin abhi bhi sabr karungi me khasta haal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Jaate ho rann ko thehro Main gesu sanwaar dun


Godi me Aao Tumko Main ji bhar ke pyaar dun
Ruk jaao Mere Laal ke sadqa utaar dun
Apni Amaa’n me rakhe Tujhe Rabbe ZuljaLaal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Jab Main watan ko laot kar Aye Laal jaaungi


Sughra jo Tumko poochhegi kuch keh na paaungi
Ro’ungi khaali jhoola Tumhara jhulaaungi
Deen e Rasool e Haq ki ye izzat ka hai sawaal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal

Bechain-o beqaraar ho Tum jang ke liye


Sukhi zaba’n hai pyaase ho Tum teen roz se
Is ke siwa hain aur bhi kitne hi marhale
Tum ko magar hai maqsade Shabbir ka khayal
Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naunehaal
-----------------*-----------------
~ 55 ~

Hasan Abbas Ahsan

MERE BHAYYA ALI ASGHAR

Sakina kehti thi rokar Mere Bhayya Ali Asghar


Huwi hai raat aaja ghar Mere Bhayya Ali Asghar

Wo Nanha sa gala chheda jise teere sitamgar ne


Usi par phir chala khanjar Mere Bhayya Ali Asghar

Sitamgaaron ne jhula bhi nahi’n chhora jala daalaa


Pachhaadein khaati hai Maadar Mere Bhayya Ali Asghar

Machalna pyaas ki shiddat se Tera hichkiyaan Lena


Nighaahon me hai wo manzar Mere Bhayya Ali Asghar

Andheri qabr hai pehlu hai Maa ka aur na jhoola hai


Tujhe neend aaegi kyun kar Mere Bhayya Ali Asghar

Bohat samjhaya Zainab ne Sakina ko magar Ahsan


Wo Rothi thi yehi keh kar Mere Bhayya Ali Asghar
-----------------*-----------------
~ 56 ~

Rasheed Shaheedi

RABAB KARTI HAI FARYAAD MARGAYE ASGHAR

Wo chhe mahine ka sin aur wo tashnagi ka safar


Zaba’n ka pherna paiham sulagte honton par
Ghareeb Maa ki nigaahon me hai ye sab manzar
Kahe to kis se kahe dil pa chalte hain khanjar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Tadapna Baap ki aawaaz par wo Asghar ka


Sada wo sunte hi Halmin ki muztarib hona
Wo kamsini wo atash wo Sagheer ka jazba
Wo girna jhoole se jaana wo Sheh ke haathon par
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Pehen ke nikla tha maqtal ko wo naya kurta


Ye kya hua ke wo kurta lahu se surkh hua
Guluwe khushk pa kaisa sitam ka teer laga
Qaraar aayega ik Maa ke dil ko ab kyun kar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Har ik Bibi ka is Gham se hai ajab aalam


Tasalli deti hai Zainab Rabab ko paiham
Lahu rulaati hain yaadein Sagheer ki har dam
Nigaah padti hai jis waqt khaali jhoole par
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar

Rasheed baade Shahadat ajeeb zulm hua


Lahad me chayn se wo jhoole waala so na saka
Nikala qabr se zaalim ne us ko zib’ha kiya
Sina ki nok pa dekha gaya wo phool sa Sar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar
-----------------*-----------------
~ 57 ~

Hasan Abbas Ahsan

BAIN THE YE BANO KE MERE BEZABA’N ASGHAR


SHAAM HOGAYI BETA TUM GAYE KAHA’N ASGHAR

Bekasi me kya Meri aas toot jaaegi


Ab Tumhare jhoole me kisko Maa jhulaaegi
Dasht ke andhere me kaise neend aaegi
Ghut rahi hain seene me kab se loriya’n Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Dekhne ko zinda thi Maa wo karb ka manzar


Kya sitam hua Beta aah Teri gardan par
Teere zulm kya kam tha haay phir chala khanjar
Gir pada na dharti par kyun ye asmaa’n Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Tere jisme naazuk par pyaas ka asar dekha


Tera chaand sa chehra khu’n me tar ba tar dekha
Maine noke naiza par haay Tera Sar dekha
Margayi na kyu’n Teri benaseeb Maa Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Kya baya’n karun Beta Mere qalb ki haalat


Phir rahi hai aankhon me Teri chaand si surat
Kar saki na jee bhar ke haay Main Teri khidmat
Sharmsaar hai Tujh se aaj Teri Maa Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Shaahe dee’n ne dafnaaya Teri Laash ko Beta


Ahle zulm ko lekin yebhi kab gawaara tha
Qabr se nikala tha Tera khu’n bhara Laasha
Phool sa wo sar Tera aur wo sina Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar
~ 58 ~

Reh gaya hai nazron me Teri pyaas ka manzar


Ik boond bhi paani Mai na desaki Dilbar
Maa nisaar hojaati Tere khushk honton par
Shiddat e atash se wo Teri hichkiyaan Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

Kyun rahe na mehshar tak dil figaar Bano ka


Haa’n ye maatame Asghar hai qaraar Bano ka
Kya baya’n kare Ahsan haale zaar Bano ka
Umr bhar labo’n par tha haay Meri Jaa’n Asghar
Bain the ye Bano ke Mere Bezaba’n Asghar

-----------------*-----------------
~ 59 ~
Ali Jaweed Maqsood

GARM RETI PA MAIN GIRTA HU’N SAMBHALO AMMA

Asre Ashoor tha Shabbir the tanhaai thi


Maahe Zehra pa ghata zulm ki jab chhaai thi
Sheh ko jab noke sina suwe zami’n laai thi
Girte girte labe Zakhmi pa sada aai thi
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Lut gaya hu’n Main kisi ki bhi Mujhe aas nahi’n


Qatl sab hogaye ab koi Mere paas nahi’n
Mera Qasim nahi’n Akbar nahi’n Abbas nahi’n
Tum Mujhe Aake kaleje se lagalo Amma
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Laash Qasim ki uthaai hai nazar zakhmi hai


Zakhm Akbar ka jo dekha hai jigar zakhmi hai
Qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai
Dein sahara Mujhe Baba ko bulalo Amma
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Main jo ghode se girun Tum Mujhe taskee’n dena


Pyaar karna Meri himmat ko duaein dena
Daal kar baahein gale me Mujhe lipta lena
Haa’n dame zib’ha magar haath hata lo Amma
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Ab koi dam me Mere halq pa khanjar hoga


Aur seene pa Mere shimr sitamgar hoga
Khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga
Aakhri naaz ye Bete ka uthaalo Amma
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma

Apne waade ke liye Maine har eeza sehli


Ik armaa’n Mera nikle to inayat hogi
Zib’ha ke waqt Meri Tumse tamanna hai yehi
Sar Mera khaak se zaanu pa uthalo Amma
Garm reti pa Main girta hu’n sambhalo Amma
~ 60 ~
Mujahid Hussain

NAZDEEK NAJAF HAI KOI HAIDAR KO BULALE

Yu’n Maadare Shabbir pareshaan hai bann me


Rothi hai tadapti hai wo hairaan hai bann me
Kehti hai ke duniya Meri veeraan hai bann me
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Sar ek hai lekin hain talabgaar hazaaron


Tanha Mera Shabbir sitamgaar hazaaron
Ik jaan pa toote hain jafa kaar hazaaron
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Mazloom ke bachne ki koi aas nahi’n hai


Sab margaye hamdard koi paas nahi’n hai
Akbar nahi’n Qasim nahi’n Abbas nahi’n hai
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Badhte huwe aate hain idhar barchhion waale


Koi bhi nahi’n jo Mere Bachche ko bachaale
Hai koi jo is Maadare bekas ki Dua le
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Sadd’haif wo hai nargha-e aada me giraftaar


Teero’n ki hai bochhaar to shamsheer ke hain waar
Lo jhoomta hai pushte faras par Mera Dildaar
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale

Hilti hai zami’n aur falak hota hai larzaa’n


Khaime se nikal aayi hai Zainab suwe Maida’n
Hone laga Bachche ke Mere qatl ka saamaa’n
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
~ 61 ~

Baade Shahe Mazloom Mujahid ye hua tha


Sab jal gaye khaime ye falak dekh raha tha
Naoha yehi Zehra ka faqat goonj raha tha
Hai Laal Mera aaj laeeno’n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
-----------------*-----------------

Hasan Abbas Ahsan


ASR KA HANGAAM HAI AUR ZAINAB-E-DILGEER HAI

Khanjaro teero sina hai naiza-o shamsheer hai


Har taraf hathyaar hain aur darmiyaa’n Shabbir hai
Haay peshaani pa Sheh ki hurmula ka teer hai
Khoon me doobi huwi Islam ki tasweer hai
Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Dard ka har ek manzar hai nazar ke saamne


Shimr ke haathon me khanjar hai nazar ke saamne
Bhai ka kat’ta hua Sar hai nazar ke saamne
Zib’ha hote hain Hussain aur saamne hamsheer hai
Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Garm reti par tadapta hai Dil-e Zehra ka chain


Ghir chuka hai barchhion me Mustafa ka Noore Ain
Chand lamho’n me abhi kat jaaega Halq-e Hussain
Karbala ke bann me tanhaai hai aur Shabbir hai
Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Ab siyaah aandhi chalegi aaenge ab zalzale


Gardane Shabbir hogi shimr ke khanjar tale
Ik rasan me honge ab baara aseeron ke gale
Ab tamaanche hain musalsal Dukhtare Shabbir hai
Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai

Karbala hai haq parasto’n ke liye kul Kaa’enaat


Karbala ke haath me ham ne diye hain apne haath
Jaan bhi jaaye to Ahsan haq ka chhorenge na saath
Jaante hain ham yehi to Maqsade Shabbir hai
Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai
~ 62 ~

Ali Jaweed Maqsood

AAJA MERE DILBAR MERI AAGHOSH ME AAJA

Tha asr ka hangaam falak kaamp raha tha


Zehra ka jigar bandh laeenon me ghira tha
Teeron ka nashana tha Muhammad ka Nawaasa
Girte huwe mazloom ne Maadar ko pukaara
Ab aaiye Amma ke Main girta hu’n zami’n par
Zehra ki sada aayi ke maujood hai Maadar
Phailaaye hu’n baahein Meri Godi me sama ja
Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Rasta Mera khu’nkhaar kahan rok sakenge


Maa ko ye sitmgaar kahan rok sakenge
Mamta ko ye hathyaar kahan rok sakenge
Maa Tujh ko na chhoregi kisi haal me tanha
Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Dekha hai Tujhe Laash Bhatije ki Uthaate


Abbas ke Laashe pa kamar thaam ke Jaate
Aur Auno Muhammad ke Janaazo’n ko bhi Laate
Aye Laal Tere sabr ke qurbaan ho Zehra
Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Maqtal me Tujhe thokarein khaate huwe dekha


Laasha Ali Akbar ka uthaate huwe dekha
Asghar ka lahu Rukh pa lagaate huwe dekha
Zainab ko madad ke liye aate huwe dekha
Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa

Aye Laal Tere sabro Shuja’at ki bala lu’n


Aaja Mere Pyaare Main kaleje se laga lu’n
Jab tegh ho gardan pa to zaanu pa lita lu’n
Is dard se bhi saath hai Dono ko guzarna
Aaja Mere Dilbar Meri Aaghosh Me Ajaa
-----------------*-----------------
~ 63 ~

Ali Jaweed Maqsood

SITAM KE DASHT ME ZEHRA KA LAAL TANHA HAI

Pisar ke qalb me naiza laga jo dekha hai


Gaya hai Noore Nazar har taraf andhera hai
Kamar khameeda hai seene me dard uthta hai
Zaeef Baap hai aur Naojawa’n ka Laasha hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Kahan ho khulq ke Mushkil Kusha duhaai hai


Ajal jawaan ko dashte bala me laayi hai
Wo bebasi hai ke ansaar hain na Bhai hai
Madad ka waqt hai Shabbir be sahara hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Jawa’n ke qalb me tooti hui hai noke sina


Zami’n pa paau’n ragadte hain Akbare Zeesha’n
Pidar ke Dil me machalta hai dard ka toofa’n
Nazar ke saamne Bete ka dam nikalta hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Sambhaale haatho’n se dil ko tadap raha hai Pisar


Rakhe hain haath Rasoolo’n ne Apni aankhon par
Hussain dekh rahe hain ye hashr ka manzar
Ye Dil Hussain ka hai ye jigar Hussain ka hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai

Pidar ka Noore Nazar Maa ka hasrato’n waala


Hai khaako khoon me ghaltaa’n wo gesuo’n waala
Jaha’n se hogaya rukhsat wo mannato’n waala
Usi ki raah me khaime ke dar pa Laila hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai
~ 64 ~

Pisar ki maut pa jo beqarar Bhai hai


To besukoon idhar Fatima ki Jaayi hai
Madad ko Shah ki khaime se baahar aayi hai
Na hosh parde ka hai aur na khaufe aada hai
Sitam ke dasht me Zehra ka Laal Tanha hai
-----------------*-----------------

Mujahid Hussain Mujahid

SHABBIR KAHAN HAI MERA SHABBIR KAHAN HAI

Zehra ki Sada thi Mera Dilgeer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai

Is dasht me Dhoondu’n Main kahan Apne Pisar ko


Rasta bhi sujhaai nahi’n deta hai nazar ko
Kab tak phiru’n thaame huwe Main Apne jigar ko
Koi to bataade Shahe Dilgeer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
Sar peet’ti Rothi rahi maqtal me Main Dukhiya
Zalim ne Mere Lal pa kuch rehm na khaya
Sar Tan se juda kar diya Bekas ka Khudaya
Wo khoon me doobi hui tasweer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
Laashe hain Shaheedo’n ke yu’n maidaan me saare
Jis tarha se bikhre huwe Qur’an ke Paare
Zalim ne kiye Qalbo Jigar chaak Hamaare
Wo bolte Qur’an ki Tafseer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
Lut jaaungi is tarha ye soncha bhi nahi’n tha
Aankhon ke Mere saamne chhaya hai andhera
Tha Noor jo aankhon ka hua door wo aisa
Sar ta ba qadam paikare tanweer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
Hai Jism bhi paamaal Tera aye Mere Dilbar
Rote hain sabhi hooro malak arshe bari’n par
Hai khaak pa begoro kafan Sibte Payambar
Urya’n hai Badan Chaadare Tatheer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
~ 65 ~
Kehti thi Mujahid yehi bas Maadare Shabbir
Jaau’n Main kahan haay Khuda kya karu’n Tadbeer
Karbal me luti hai Meri Duniya Meri jaagir
Akbar hai kahan haay wo Besheer kahan hai
Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

YE RAN ME KARTI THI FARYAAD BINTE PAIGHAMBAR


MERA HUSSAIN TADAPTA HAI KHAAKE MAQTAL PAR

Hai waqt Asr ka aur Karbala me hai mehshar


Zameen-e garm pa ghash me hai Fatima ka Pisar
Laee’n hai seene pa gardan me zulm ka khanjar
Ye ran me karti hai faryaad Binte PaiGhambar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Falak nasheen zami’n par gira hai wawaila


Hazaar zakhm hain sukha gala hai wawaila
Ussi ke halq pa khanjar chala hai wawaila
Hai Bosagaahe Nabi aur shimr ka khanjar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Kamar khameeda hai Gham hai Usse Baradar ka


Abhi Uthaya hai Laasha Jawaan Akbar ka
Abhi to taaza hai Gham Dil pa qatle Asghar ka
Abhi nazar me hai Qasim ki Laash ka manzar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Tha Mera Laal nashana sina-o khanjar ka


Gale pa teer hai Maathe pa zakhm pathar ka
Bhara hai zakhmon se saara badan Dilawar ka
Lahu Ghamo’n se hai Mazloom ka Dil-e Muztar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
~ 66 ~

Huwe hain qatl nigahon ke aage peero Jawa’n


Wo bekasi thi ke PaiGhambaron ne ki hai Fugha’n
Jari ne dekhi hai Bete ke Dil me noke sina
Uthaya Bekaso Tanha ne Laasha-e Akbar

Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Wo pyaas hai ke nazr me dhuwa’n ho saara jaha’n


Utha hai dil me Sakina ki Yaad ka toofa’n
Fiza me goonj rahi hai Haram ki Aaho Fugha’n
Sadaaein deta hai Abbas ko Mera Dilbar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Na Gham gusaar hai Beta hai aur na Bhai hai


Tadapke Zainabe Muztar hi rann me Aayi hai
Madad ka waqt hai Ya Mustufa duhaai hai
Hai khaako khoon me ghaltaa’n Tumhara Noore Nazar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Hai zere khanjaro khu’nkhaar tashnakaam Pisar


Hai zib’ha karne ko tayyar zaalime khud sar
Ulat do rann ki zami’n ab to Faatehe khaibar
Shaheed hota hai Beta Tumhara Ya Haidar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Mere Pisar pa laeeno’n ki fauj chhaai hai


Ghareeb bekaso tanha hai benawaai hai
Kisi ne tegh kisi ne sina lagaai hai
Sawaar shimr hai Bekas ke zakhmi seene par
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par

Hai kaaenaat me Jaweed is fughaa’n ka asar


Falak larazte hain kaono maka’n me hai mehshar
Zameen kaampti hai khoon rote hain pathar
Jo bain Karti hai Zehra Pisar ki baali’n par
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
-----------------*-----------------
~ 67 ~
Sajjad Nazar

PADA HAI JALTI ZAMEE’N PAR HUSSAIN KA LAASHA

Tadap ke kehti hai maqtal me Zainabe Muztar


Sitam raseeda hai bekas hai Ghamzada Khwahar
Ye haal hai ke Mere Sar pa bhi nahi’n chaadar
Kafan de Bhai ko kis tarha Zainabe Dukhiya
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Haram ke gird jalaalat ka uski pehra tha


Ridaaein sar se bhala kaon chheen sakta tha
Bahan ko Ghazi pa apne bahot bharosa tha
Kata ke Haath Wo Sota hai ab lab-e dariya
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Sahegi Zainabe Dilgeer ye alam kaise


Hai kaon paas Mere aake jo dilaasa de
Sitam ye hai ke na Abbas Aaye dariya se
Khadi hai dashte bala me Bahan rasan basta
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Jawa’n ke seene se phal barchhi ka nikala tha


Mazaar Asghare Masoom ka banaya tha
Qadam qadam pa sitam ka pahaad toota tha
Sulagti dhoop me zakhmi badan hai besaya
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Khizaa’n hai chaaro’n taraf Fatima ke gulshan me


Hasan ka Laal bhi paamaal hogaya rann me
Shaheed hogaye dono Pisar Mere bann me
Nahi’n hai koi Ghareebo’n ka poochhne waala
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha

Hai farz jis ki muhabbat Rasool kehte the


Usi Ghareeb pa har tarah ke sitam toote
Najaf se aake khabar lejiye Khuda ke liye
Pisar hai Aapke maqtal me bekafan Baba
Pada hai jalti zamee’n par Hussain ka Laasha
-----------------*-----------------
~ 68 ~
Ali Jaweed Maqsood

HAAY TANHA HAIN HUSSAIN IBNE ALI MAQTAL ME

Chaand Zehra ka hai aur khoon ke baadal chhaaye


Dopahar badh gayi badne lage kaale saaye
Ghir gaye Zainabe Dilgeer Tere Maajaaye
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Kehte hain Shah ke Main zulmo sitam sehta hu’n
Koi Ghamkhwar nahi’n ranjo alam sehta hu’n
Waar sehta hu’n’ Main tanhayi ka Gham sehta hu’n
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Mera Baazu Mera Abbase Dilawar bhi nahi’n
Dil ki himmat Mera Beta Ali Akbar bhi nahi’n
Rann me Qasim bhi nahi’n jhoole me Asghar bhi nahi’n
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Ghar the jitne Mere armaan ke barbaad huve
Kitne Nasir the Mere ab to bas ik yaad huve
Ab koi saath nahi’n khuld me aabaad huve
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Hosla Mera badhaane ke wo manzar na rahe
Wo Muhafiz Mere Sheraane Dilawar na rahe
Mere Ansaar Mere Nasiro Yaawar na rahe
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Zindagi Mujhko hai pyaari na hai jeena Mujhko
Raas ab ho nahi’n sakta ye qareena Mujhko
Baar lagta hai ye zakhmo bhara seena Mujhko
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Baad marne ke Mere aur hazeena hogi
Be aba Dukhtare Sultane Madina hogi
Shimr ka hoga sitam Meri Sakina hogi
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
~ 69 ~

Be sahara huve pardes me sab Aale Aba


Ghash me bhi hai Labe Sajjad pa bas aaho buka
Karti hai girya o Zaari Meri Zainab Dukhia
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Paas Mere koi damm me Meri Maa Aaegi
Khud bhi faryaad Karegi Mujhe tadpaaegi
Saath har Gham se chhudha kar Mujhe Le Jaaegi
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
Gham e Shabbir ko bas yaad karo har Gham me
Koi Gham Usse bada to nahi’n is Aalam me
Zindagi sarf ho Jaweed isi Maatam me
Hasrat e daagh ka toofaa’n hai Dil e Bekal me
Haay Tanha hain Hussain Ibne Ali maqtal me
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

SITAMGARO’N MERA BEKAS HUSSAIN PYASA HAI

Ghira hai Chaand Ali ka sitam ke baadal me


Amaa’n nahi’n kahi’n tegho sina ke jangal me
Hussain jhoom Rahe Hain faras pa maqtal me
Ye rann me Asr ko Zehra ke Lab pa Nouha hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Har aik zakhme badan khoo’n fishaa’n hai Pyase ka
Laga hai teer jabee’n par to qalb par naiza
Kahi’n sina tane Majrooh par kahi’n bhaala
Koi chhuri koi khanjar chalaane wala hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Wo pyaas hai ke nigaho’n me sab jahaa’n hai dhuwaa’n
Wo qalb me rahi quwat na tann me taabo tawaa’n
Ali ka Lal faras par hai khoon me ghaltaa’n
Ghareeb o Bekas o Mazloom besahara hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Kamar shikasta hai Bhai ke Gham me Sarwar ki
Utha chuke hain Zaeefi me Laash Akbar ki
Nazar me Laash hai paamaal Ibne Shabbar ki
~ 70 ~

Abhi to haatho’n pa Asghar ne teer khaya hai


Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Jo Bosagaahe Muhammad pa tegh chalti hai
To Gham se Khwahare Shabbir Haath malti hai
Gala hai khushk to ruk ruk ke jaa’n nikalti hai
Zameen kaampti hai aasma’n ko larza hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Pisar ke sog me ji se guzarne waale ko
Ab aur jeene ka arma’n na karne waale ko
Chale hain maarne jallaad marne waale ko
Jise bhi dekhiye Pyaase ke khoo’n ka pyasa hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Laeen karta hai jab azme qatl Pyaase ka
Pisar ke Halq pa rakh deti hain Gala Zehra
Fiza me Karbobala ki ye goonjti hai sada
Mere Hussain ko Naazo’n se Maine Paala Hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Nabi ki Godh ka Pala Shaheed Hota Hai
Fiza ko sakta hai Dariya tadap ke rota hai
Balaa ke bann me ye Jaweed hashr barpa hai
Muheet Alam-e-Imkaa’n Sadaa-e-Zehra hai
Sitamgaro’n Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
-----------------*-----------------

Ali Anjum Sadiq

JALTI HUWI ZAMEEN PA SARWAR HAI YA ALI


SHIMRE LAEE’N KE HATH ME KHANJAR HAI YA ALI

Karbobala me kaisa ye manzar hai Ya Ali


Tashnalabi hai garmi-e mahshar hai Ya Ali
Ghere Huwe Hussain ko lashkar hai Ya Ali
Zakhmo se choor Sibte Payambar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Koi nahi’n jo Shaahe Huda ki madad kare


Zakhmo’n se choor khaak pa behosh hain pade
Manzar kahi’n ye Saaniye Zehra na dekhle
Seene pa ab sawaar sitamgar hai Ya Ali
~ 71 ~

Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Khaimo me hai buland sada shoro shain ki


Koi nahi’n jo laaye khabar ab Hussain ki
Haalat hai Ghair Fatima ke Noore Ain ki
Bechain Qalbe Zainabe Muztar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Sabro Riza ka Qafela Saalaar ghash me hai


Mushkil Kusha-e manzilo dushwar ghash me hai
Shabbir zere tegh hain Bimar ghash me hai
Kaisa ye asre tang ka manzar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Sibte Nabi pa toot pade hain sitam sheyaar


Har simt se hai naiza-o teero tabar ke waar
Kuch jholiyon me laay hain patthar gunaahgaar
Chaaron taraf se zulm barabar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Zakhmi hai khaako khoon me ghalta’n hai sab badan


Wo pyaas hai ke kar nahi’n sakte koi sukhan
Shukre Khuda me doob gaye hain Shahe Zaman
Kis haal me ye Aapka Dilbar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali

Hilmi Afandi

YA ALI AAIYE

Ya Ali Aaiye Zainab ko bachaane ke liye


Faoje ki’n aati hai khaimo ko jalaane ke liye

Kabse behosh Dua hai na ghiza Abid ko


Taoqo zanjeer bhi laaye hain pinhaane ke liye

Sare Shabbir hai naize pa Alam waawaila


Saaniye Fatima Zehra ko rulane ke liye
~ 72 ~

Ghode dowdaate huwe aate hain naari rann se


Masnade Ahmade Muqtar jalane ke liye

Laashe Shabbir pa kehti hai Sakina rokar


Baba Main Aayi Hu’n Rukhsar dikhane ke liye

Bekasi dekhiye aata nahi’n koi monis


Laash Mazloom ki Maqtal se uthane ke liye

Yu’n to Duniya me bohat guzre hain Sabir Hilmi


Sabr lekin hai Muhammad ke Gharaane ke liye
-----------------*-----------------

Fareed Baig

ZAINAB-E-MUZTAR HAI TANHA YA ALI AB AAIYE

Hai sitamgaaron ka nargha Ya Ali ab Aaiye


Har tarf mehshar hai barpa Ya Ali ab Aaiye
Khaak par hai Jaane Zehra Ya Ali ab Aaiye
Hai ye Aalam bekasi ka Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Bain Karti thi ye Zainab darmiyane Karbala
Hain kahan Abbaso Qasim ham Shabihe Mustafa
Kisko de awaaz Zainab koun ab baaqi raha
Ab nahi’n koi Sahara Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Hai dayaare tegho khanjar zindagi be-aas hai
Dhoop hai dashte bala hai ranjo Gham hai yaas hai
Hai lahu zaqmon se jaari aur ghazab ki pyaas hai
Muztarib hai Qalbe Zehra Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Ik Tane Mazloom par teero tabar tegho sina
Dekh kar Mazloom ko zulmo sitam ke darmiya’n
Khoo’n barasta hai zami’n par ro raha hai aasma’n
Hai ye manzar Karbala ka Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
~ 73 ~

Hashr ka manzar ayaa’n hai har taraf kohraam hai


Jal rahi hai Karbala Shabbir tashna kaam hai
Tegh hai sookha gala hai asr ka hangaam hai
Hai Qayamat ka ye lamha Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Wo siya aandhi uthi suraj gahan me aagaya
Hogaya Tann se juda Sar Fatima ke Lal ka
Hai Fareed ab Karbala me Wa Hussaina ki sada
Chhaagaya har su andhera Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
-----------------*-----------------
Shaahid Pakistani

AB AAYE HO BABA

Wo Karbala Wo Shaame Ghariba’n wo teergi


Wo Zainabe Hazee’n wo hifazat Khayaam ki
Aaya Wo Ik Sawaar Qareebe Qayame Shah
Beti Ali ki Ghaiz me Suwe Faras badhi
Ulti Naqaab Chehre se Apne Sawaar ne
Peshe nigaahe Zainabe Mazloom thhe Ali
Har channd Sabira Thi bohut Binte Fatima
Be saakhta Zabaa’n pa ye Faryaad aagayi
Ab Aaye Ho Baba

Zainab ne kaha Baap ke Qadmo’n se lipat kar, Ab Aaye ho Baba


Jab lut gaya pardes me Amma ka bhara Ghar, Ab Aaye ho Baba

Baba agar aana hi tha Khaliq ki Riza se, us waqt na aaye


Jab khaak pa dam tod raha tha Mera Akbar, Ab Aaye ho Baba

Kat kat ke gire nahr pa jab Baazu e Abbas, aur koi na tha paas
Us waqt Sada Aapko Deta Tha Dilawar, Ab Aaye ho Baba

Jab farshe zami baame falak larza fisha’n the, us waqt kahan the
Jab Baap ke Chullu me tha Khoone Ali Asghar, Ab Aaye ho Baba
~ 74 ~
Jab Bhai ka Sar kat’ta tha Main dekh Rahi thi, Hazrat ko Sada Di
Sar Khole huwe Rothi Thi Main Khaime ke dar par, Ab Aaye ho Baba

Jab log bacha legaye Laashe Shohada ke, Haq apna jata ke
Bas ik Tan-e Shabbir Tha pamali ki zad par, Ab Aaye ho Baba

Jab Shaam ke qazzaaq Hame loot rahe the, Khaimo’n ko jala ke


Aap Aagye Hote to na chhinti Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba

Jab Baali Sakina ke Gohar chhine gaye thhe, lagte the tamache
Hasrat se Mujhe Dekhti thi Banu-e Muztar, Ab Aaye ho Baba

Kya Aapne Firdous se ye Dekha na Hoga, kya hashr bapa tha


Jab Pusht se Bimar ke khaincha gaya bistar, Ab Aaye ho Baba

Ik raat ke mehman hai phir qaid e salasil, ab saqt hai manzil


Bazar me Ham sub’ha ko Jayenge khule Sar, Ab Aaye ho Baba

Shaahid Rukh e Hyder pa Bikhar Jaate the aansu jab Kholke Gesu
Chillaati thi Zainab Mere Baba Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba
-----------------*-----------------
Hasan Abbas Ahsan

LUT GAYA KARBOBALA KE DASHT ME


ZEHRA KA GHAR
Ik Qayamat ka sama tha Nainawa ke farsh par
Zalzale me thi zamee’n aur Ambiya the Nouha gar
Laasha-e Sarwar padi thi sar se pa tak khu’n me tar
Noke naiza par pada tha Jaane PaiGhambar ka sar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Zulm badhta hi gaya Shaam e Ghariba’n aagayi
Aag khaimo’n me lagi har simt dehshat chhagayi
Bebasi par Bibiyo’n ki bekasi tharra gayi
Khuld ki Shahzadiya’n Baithi Huwi thee’n khaak par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Lut gaye khaime ridaae’n chin gayi’n bistar jala
Aise Aalam me Amal tha Abid e Bimar ka
Sajda e Khaliq me Sar tha Lab pa tha Shukre Khuda
~ 75 ~
Aur Nazar ke saamne naize pa tha Baba Ka Sar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Jalte khaimo’n ka koi ehsas Laila ko na tha
Ankh me aa’nsu na thhe lekin jigar tukde huwa
Umr bhar is Madare dukhya ko sakta sa raha
Naojawa’n Bete ke marne ka huwa tha ye asar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Sabr ka wada kiya tha yu’n nibHaay thi Rabab
Dil me Apne dard ki dunya basaae thi Rabab
Jalte Jhule par Nigaho’n ko jamaae thi Rabab
Ashk aankho’n tak jo aaye pigayi wo Nouhagar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Har taraf chhaya tha manzar dardo Gham ka pyaas ka
Har qadam har ik zaba’n par naam tha Abbas ka
Ab kisi ke honto’n par shikwa nahi’n tha pyaas ka
Sogaye Abbas jo Shaane kata kar Nahr par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Is qadar zulmo sitam par hil gaya Arshe Ula
Kis tarah dekho Yatime Shah ko pursa mila
Chhin gaye gowhar tama’nche bhi lage kurta jala
Koun ab Baali Sakina ki bhala lega khabar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Bhai the atthara uske ab hai bewaris Bahan
Koun de Zainab ko pursa sabko hai ranjo mehan
Wariso’n ke Laashe maida’n me pade hain bekafan
Sabke shano me rasan hai sabke sar hain bekafan
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Haal Farwa aur Kubra ka likhe to kya likhe
Us taraf dono ki nazro’n ke ruke the zaawiye
Jis taraf rakhe the tukde Qasime Noushah ke
Khoon ke aa’nsu abhi tak rorahe hain Behrobar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Ye Karam ki inteha hai ham pa Rabbe Zuljalal
Ye to bas Teri Ata hai Fatima Zehra ke Lal
Nouhakhwani ka sharaf Ahsan mila jo lazawaal
Jaake ye Nouha padenge ham Ali ki Qabr par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
-----------------*-----------------
~ 76 ~

Allama Akhtar Zaidi

GHAR LUT GAYA AMMA

Maqtal ki fazao’n me ye Zainab ka tha Naoha, Ghar lutgaya Amma


Baqi na raha Mere liye koi sahara, Ghar lut gaya Amma

Maidan me paamaal huwa Qasime Noushah, Dil phat gaya Mera


Kya dekhte hi dekhte bewa huwi Kubra, Ghar lut gaya Amma

Laila ne jodekha hai Jawa’n Bete ka Lasha, Khamosh hai Dukhiya


Phat jaaye na us Gham se kahi’n Uska kaleja, Ghar lut gaya Amma

Pani ke liye ran ko Alamdar gaye the, wapas nahi’n Aaye


Shabbir ne Abbas ko Marte Huwe Dekha, Ghar lut Gaya Amma

Abbas ke Lashe se Hussain Aaye jo Uthkar, tha Dard ka manzar


Hatho’n se kamar thamke Rone lage Bhayya, Ghar lut Gaya Amma

Shashmahe ko maidan se Shabbir jo Laae, the Sar ko Jhukaae


Tha khoon me dooba huwa Masum ka Lasha, Ghar lut Gaya Amma

Wo Asr ka hangaam Qayamat ka sama tha, Dil doob raha tha


Jab tegh ke niche Mere Bhai ka Gala tha, Ghar lut Gaya Amma

SarTann pa nahi khoon me tar Sara Badan hai,ye Shahe Zaman hai
Kya Aapne Shabbir ko tha isliye pala, Ghar lut Gaya Amma

Tha pehle hi Bhayya ka Badan zakhmo se chhalni, aafat ye nayi thi


Ronda gaya phir ghodon ki taapon se wo Lasha,Ghar lutGaya Amma

Hai zere sama’n khak pa ab Aapka Kunba, Sar par nahi’n Saya
Abbas ko neend aayi hai Main Deti hu’n pehra, Ghar lut Gaya Amma

Bachchi Meri karwat bhi to ab le nahi’n Sakti, so bhi nahi’n Sakti


Behta hai lahu kano se hai zakhm bhi taaza, Ghar lut Gaya Amma
~ 77 ~
Kufa jo Haram pohnche to Dil hogaye bechain, Zainab keye the bain
Yaad ata hai Baba ki Hukumat ka zamana, Ghar lut Gaya Amma

Tha Shaam ki raaho’n me safar ek Qayamat, wo dhoop ki shiddat


Wo shimr ka durra wo Sakina ka tadapna, Ghar lut Gaya Amma

Sajjad ki Gardan me tha wo touqe gira baar, chalna bhi tha dushwaar
Har gaam pa Bimar ka wo girke sambhalna, Ghar lut Gaya Amma

Darbar me ham log rasan basta khade the, sab dekh rahe the
Aur saamne Sar tasht me Bhai Ka rakha tha, Ghar lut Gaya Amma

Ab Kaise kahu’n haath me zalim ke chhadi thi, Main Dekh rahi thi
Is zulm pa Zainab ka Badan kaamp raha tha, Ghar lut Gaya Amma

Us Qafelaye Haq pa musibat rahi paiham, hota raha Maatam


Akhtar yehi Kehti Rahi bas Saaniye Zehra, Ghar lut Gaya Amma
-----------------*-----------------
Allama Akhtar Zaidi

GHAR HAAY MERA BARBAAD HUWA

Tha Saaniye Zehra ka Nouha, Ghar haay Mera barbaad huwa


Bhai Mera pyaasa qatl huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Abbas ka kitna khoon baha, Shaane bhi kate Mashkiza Chhida


Kis Haal me wo ghode se gira, Ghar haay Mera barbaad huwa

Atthara baras wala Akbar, Shabbir ka Dil Laila ka Jigar


Shaq naize se dil Uska jo Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Chhe maah ka wo Asghar Pyasa, Gardan pa jo uske teer laga


Tha Bhai Ke Haatho’n par Lasha, Ghar haay Mera barbaad huwa

Shabbir zamee’n par jab Aaye, Zehra Ne Tadap kar Bain Kiye
Aye Lal Tera kya haal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Sajde me Rakha Shabbir Ne Sar, tha shimr ka khanjar Gardan par


Ghurbat me Namazi zib’ha Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
~ 78 ~
Tha Bhai ka Lasha reti par, phir Uspa Qayamat ye guzri
Ghodo’n se Badan pamaal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa

Akhtar tha Qayamat ka manzar, maqtal ki zamee’n bhi kaamp uthi


Zainab Ne Tadap kar jab ye Kaha, Ghar haay Mera barbaad huwa
-----------------*-----------------

Allama Akhtar Zaidi

ZAINAB TADAP RAHI HAI FARYAAD KAR RAHI HAI

Athara saal Maine naazo’n se jisko paala


Kadiyal Jawan Akbar aankhon ka tha ujala
Maara jo zalimo’n ne seene pa uske bhala
Dekha jo zakhm maine mushkil se dil sambhala
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Qasim ki Laask dekhi, tha Jism para para
Asghar jo rann se Aaye Manka dhala huwa tha
Abbas Mera Bhai khoo’n me nahake soya
Bedast Hogaya Wo Pyaasi Rahi Sakina
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Hangaame asr Bhayya jab qatl ho raha tha
Ab tak bhi hai nazar me manzar jo Maine Dekha
Maqtal laraz raha tha har simpt tha andhera
Sar Peet’ti thi Amma Lab par tha Wa Hussaina
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Phir baade qatle Sarwar ik raat aisi aayi
Chaadar nahi’n thi Sar par aur bekafan tha Bhai
Ghar zalimo’n ne loota aur aag bhi lagayi
Sholo’n ki roshni me wo karbe beridaai
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Thi Karbala se Kufa har gaam ik musibat
Ik dawr wo bhi guzra Baba ki thi Hukumat
Darbar me Hamara jana tha ik qayamat
Sajjad paa barehna aur tawq ki aziyat
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Darbar-e Shaam me jab Aal-e Rasul pohnchi
Baazu bandhe huwe the Sar par rida nahi’n thi
Wo zulm har qadam par aur bekasi Hamari
Tadpa rahi thi Dil ko Sajjad ki aseeri
~ 79 ~

Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai


Sab Bibiya’n khadi thee’n Balo’n se Mooh chipaae
Zalim ne baid rakhi Bhai ke Lab pa Haay
Darbar me Khade the hamm Gardanein Jhukaae
Us bekasi me Sabko Abbas yaad aae
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Manzil Hamri thahri tareek qaidkhana
Bigdi huwi thi qismat badla huwa zamana
Bachi ka wo tadapna rokar hame rulana
Naame Hussain par wo zalim ka taaziyana
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Zinda’n ka tha wo aalam wahshat baras rahi thi
Beti se milne aayi Baba ki jab Sawari
Faryaad kar rahi thi roro ke Meri Bachchi
Damm tootne ka manzar aur aakhri wo Hichki
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
-----------------*-----------------
Allama Akhtar Zaidi

KIS SE FARYAAD KARU’N


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n
Dekhti rehgayi Main Ghar Mera barbaad huwa,
Kis se Faryaad Karu’n

Maine atthara baras naazo’n se Pala tha Jise, aaj Roti hu’n use
Khaak Zulfo’n me hai aur khoon me Seena hai bhara,
Kis se Faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n
Haay wo Asghare Masum bhi maida’n ko gaya, teer gardan pa laga
Mujhse dekha nahi’n jaata hai wo khali jhoola,
Kis se Faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n
Rann ko jaakar jo Alamdar na waapas Aya, Mera dil toot gaya
Mera Bhai Meri chaadar ka Muhafiz na raha,
Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
~ 80 ~
Kis se Faryaad Karu’n

Khanjare zulm jo Mazloom ki Gardan pa chala, thi Qayamat barpa


Qatl Shabbir Huwe hogayi Zainab tanha,
Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Kaisi Shaadi huwi Doolha jo bana Ibne Hasan aur Kubra thi Dulhan
Tukde dil hogaya Doolha ka jo Laasha aaya, Kis se faryaad Karu’n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,


Kis se Faryaad Karu’n

Garm reti pa Mere Bhai ka Laasha tha pada Sar tha naize pa chadha
Daalti Jism pa hoti jo Mere Sar pa rida, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Aaiye Baba ke ab Apka Ghar jalta hai Sabka damm ghut’ta hai
Kisko awaz du’n ab koun sahara dega, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Yehi Kufa hai jaha’n ab bhi hai Baba ka maka’n darbadar ham hain
yaha
Sab Hame bhool gaye aisa zamana badla, Kis se faryaad karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Dakhila Shaam me ek hashr bana Mere liye, Sar Hamare the khule
Beridaayi ke wo lamhaat ke dam ghut’ta tha, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Ham rasanbasta the aur takht petha baniye shar tasht me Bhai ka Sar
Maine kin aankhon se wo dard ka manzar dekha, Kis se faryaad Karu
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
~ 81 ~

Kis se Faryaad Karu’n

Shimr ne aise Sakina ka Gala baandha hai Uska dam rukta hai
Mujhse dekha nahi’n jaata hai tadapna Uska, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Taaziyano’n se jo Abid ka badan hai zakhmi, Mera dil hai chhalni


Aisi zanjeer ke gardan se lahu behta tha, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Qaid me haay Sakina ne jo damm tod diya yaad aa’e Bhayya


Khu’n bhare kurte me Abid ne Usay Dafn kiya, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Zulm ki haar huwi qaid se Kunba chhoota Gham magar saath raha
Ghar ki barbadi ka manzar Meri ankho me raha, Kis se faryad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Jabke loote huwe asbaab ko Maine dekha Pairahn Bhai ka


Asre Ashoor ka har lamha palatkar aaya, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

Labpa Zainab ketha Akhtar yehi Noha paiham kon dekhe Mera Gham
Mera ab koi nahi’n Abid e Muztar ke siwa, Kis se faryaad Karu’n
Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada,
Kis se Faryaad Karu’n

-----------------*-----------------
~ 82 ~

Ali Jaweed Maqsood

BEKAFAN HAI MAQTAL ME LAASH IBNE ZEHRA KI

Chaand sehma sehma sa raat roi roi si


Sharm se jhuki nazre’n aasma pa taaro’n ki
Kaaynat sakte me har taraf hai khamoshi
Sar jhukaa’e hai sehra ashkrez paani bhi
Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki
Dardnaak ye manzar Umr bhar rulaaega
Rooh kaamp uthegi jab khayaal aaega
Qalbe Zainabe Muztar kaise Chain paaega
Choor Choor zakhmo’n se khu’n me tarbataar
Bhai
Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki
Jisko kitne Naazo’n se Fatima ne Paala tha
Jaane Haidare Safdar Mustafa ka Pyaara tha
Jiske waaste Jannat se Libaas aaya tha
Aaj Uske Tann par hai sirf khaak sehra ki
Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki
Dhoondti hai Baba ko Sheh ki laadli Dukhtar
Tann me hai jala kurta neel ke nasha’n rukh par
Neend Usko aati thi bas Pidar ke Seene par
Aaj shab Sakina ko neend kaise aaegi
Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki
Qatl hoga’e waaris munharif zamana hai
Fatima ki Beti ko kitne Gham uthana hai
Daagh Dil pa ye lekar taaba Shaam jaana hai
Qaid Hoke Jaati hai Karbala se Maajaa’ee
Bekafan hai maqtal me Laash Ibne Zehra ki

-----------------*-----------------
~ 83 ~

Allama Akhtar Zaidi

GHURBAT ME FATIMA KA AABAAD GHAR LUTA HAI

Ye Karbala me Akhtar kya saaneha huwa hai


Laashe pade hain Kiske khoo’n Kiska ye baha hai
Thehre nazar jaha’n bhi manzar lahu bhara hai
Maida’n ka zarra zarra aawaz deraha hai
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Dashte bala mei sab ne shaadi ka sog dekha
Kubra banithi dulhan Qasim bana tha dulha
Paamal ran e Dulha taza Dulhan hai bewa
Kaandhe pa Shahe Dee’n ke Noushah ka hai Laasha
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Khaime ke dar pa bachche kooze liye khade hain
Abbas sar se paa’n tak khoo’n me naha gaye hain
Mashkiza chhid gaya hai Shaane kate huwe hain
Thame huwe kamar ko Shabbir Rorahe hain
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Yu’n Akbare Jawa’n ki maqtal se Laash aayi
Seene pa zakhm taaza zulfo’n me khaak ran ki
Allah Jaanta hai Zainab pa jo bhi guzri
Ye Sonchti hai Laila Kis tarha ab jiyegi
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Shabbir Laashe Asghar khaime me aise laay
Pyaase Gaye the rann ko khoo’n me Nahake Aay
Honto pa Muskurahat Gardann pa teer khaay
Doure khiza me jaise ik phool muskuraay
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Koofe me daakhila bhi uftaad ik nayi thi
Bedard rasto’n par Aulad Mustafa ki
Sehmi Huwi Sakina Ankhon me ik udaasi
Zainab ki beridayi Sajjad ki aseeri
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Darbar shaam ka tha aur Qafela khada tha
Sardare Dojaha’n ka Sar tasht me rakha tha
Honto’n pa Shahe Dee’n ke wo zulm ho raha tha
Zainab ke Tanbadan me larza pada huwa tha
~ 84 ~

Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Bigdi huwi wo Duniya badla huwa zamana
Kamsin Yateem Bachchi zalim ka taaziyana
Roshan Zameer Qaidi taarik qaid khana
Maa peet’ti rahi sar aur chal basi Sakina
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Jab Arbaeen karne Kunba Nabi ka pohncha
Maidane Karbala me ik hashr ka sama tha
Qabre Hussain kaampi Maatam ka shor utha
Zainab Suna Rahi thi rudaade shaam o Kufa
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Beete huwe dino ke sab zakhm ab haray the
Zainab ye Sonchti thi Haathon se Dil ko Thaame
Abbbas ki Lahad par Jaaungi ab Main kaise
Zindaa’n me hai Sakina aankhon me hai’n andhere
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai
Marqad pa Shahe Dee’n ke Naale Rabab ke the
Jaakar watan ye Dukhiya rudad kya Sunaay
Waris nahi’n hai Sar par Bachche bhi Mujhse bichhde
Apni Lahad me Waali Mujhko bhi ab chhipaale
Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai

-----------------*-----------------
~ 85 ~

Rasheed Shaheedi

QAAFELA GHARIBO’N KA QAID HOKE JAATA HAI

Kaisa waqt badla hai kaisa ye zaman hai


Kaun Kisko batlaay Kiska Ye Gharana hai
Bekajawa oonto’n par Karwa’n rawana hai
Arsh Jiska Maskan tha ab wo bethikana hai
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Aftab ke rukh par teergi si chhai hai
Karbala ki dharti ke lab pa bhi duhaai hai
Tashnagi Shaheedo’n ki khoon me nahaai hai
Bekafan hain sab Laashe pas hi taraai hai
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Ab na aayga Lab par phir sawaal pani ka
Alqama pashema’n hai sharmsaar Mashkeeza
Aur Kanaare dariya ke Muztarib hai ik Laasha
Rukh pa hai Yateemi ke Tashnagi ka sannata
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Ik Yateem Bachchi ke zakhm kitne gahre hain
Kamsini ki raho’n me kitne zulm thehre hain
Soye kaise aankhon me zalimo’n ke chehre hain
Aankh ro nahi sakti aansuo’n pa pehre hain
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Sab nashaniya’n jal kar khaak me huwi mismaar
Garm raakh me koi dhoondta hai kuch aasaar
Ab na khaali jhoola hai aur na Bistare Bimaar
Bekaso’n pa har lanha zindagi huwi dushwaar
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Tashnagi hai ghurbat hai bekasi hai aahe’n hain
Dasht hai aseeri hai aur zakhmi raahe’n hain
Chaadare’n nahi’n sar par muztarib nigaahe’n hain
Justju me bachcho’n ki maamta ki baahe’n hain
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Paay sabr me kaante raasto’n ke daste hain
Dasht me aseeri ke aabele sisakte hain
Dhoop ki tamaazat se saare zakhm jalte hain
Chashme namm se behne ko ashk bhi tarste hain
~ 86 ~

Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai


Izteraab hai kitna dasht ki hawao’n me
Kyun lahu umadta hai bekasi ki ankhon me
Har taraf dhuwaa’n kyun hai tashnagi ki aaho’n me
Kis qadar hai tanhaayi maamta ki baaho’n me
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
Gar Rasheed turbat me zindagi ki haajat hai
Qalb ke dhadakne ko ashk ki zarurat hai
Karbala ke pyaaso’n ka Gham badi Ibaadat hai
Zakhm Maatame Sheh ka rooh ki tahaarat hai
Qaafela Gharibo’n ka Qaid hoke jaata hai
-----------------*-----------------
Ali Jaweed Maqsood

AYE SHAHEED-E-KARBALA
AYE JAAN-E-PAIGHAMBAR HUSSAIN

Mohsine Deene Musalma’n Khaasa e Daawar Hussain


Maliko Mukhtaare Duniya Shaafa e Mehshar Hussain
Naazisho Fakhre Nabuwat Deen ke Rahbar Hussain
Tashnakaame Karbala aur Saahib-e Kauser Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Jisne Sar dekar bachali Aabroo-e Ambiya
Fakhre Kaaba jisne kardi sar zameene Karbala
Jisne tashna halq se kaata hai baatil ka gala
Arshe Aala se bhi oonche the tahe khanjar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Bebasi thi raahbar aur bekasi thaame thi haath
Aur fughaane Fatima se goonjti thi kaaynaat
Hasrate’n Baali Sakina ki chalee’n thee’n saath saath
Jab chale khaime se Bhai ke Janaze par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Aasma’n larza fisha’n tha kaampti thi ye zami’n
Sabre Ayubi ne sajde me jhukali thi jabi’n
Pher kar mu rorahe the Ambiyao Mursali’n
The Jawa’n Bete ke khu’n me Sar se Paa’n tak tar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Laasha e Kadiyal Jawa’n par dil ki haalat Al Amaa’n
~ 87 ~

Ashke khu’n aankho’n se jaari khushk honto’n par fugha’n


Naame Haider leke Moula Laash Le chaliye waha’n
Muntazar hai Maadare Dilgeer khaime par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Sar jhukaay chal rahe the peechhe peechhe Ambiya
Thaam kar Dil ro rahe the Mustafa o Murtaza
Goonjti thi dashto sehra me bukaaye Fatima
La rahe the suwe khaima Laasha e Asghar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Khalq ko dikhla chuke Khaliq ki Tasweere Jalal
Jhoomte hain ab faras par hoke zakhmon se nidhaal
Aayi Zehra ki Sada Aja zami’n par Mere Lal
Muntazir hai haath phaylaaye Teri Maadar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Karbala me nahr par soya hai Shere Murtaza
Abid e Bimar tanha Qaidiye touqe bala
Hai bhara darbar aur Ahle haram hai berida
Kya kare Kisko pukare Aapki Khwahar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Berida Aale Muhammad hain rasan basta khade
Daste zalim me chhadi hai aur Lab Mazloom ke
Roke kehti hai ye Zainab Haay Maajaay Mere
Choomte the Aapke Honton ko PaiGhambar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Aaj zinda’n se nahi’n uthti Sakina ki Fugha’n
Rorahi hain Rone waali ke liye sab Bibiya’n
Godh me Maasum ka Laasha Liye baithi hai Maa
Margayi Qaide sitam me Aapki Dukhtar Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
Qalbe Momin Karbala hai baite Haq se kam nahi’n
Zindagi is Gham se hai ye Gham nahi’n to ham nahi’n
Juz Ghame Ibne Ali Jaweed koi Gham nahi’n
Likh liya hai hamne apne Qalbe Muztar par Hussain
Aye Shaheed-e Karbala aye Jaane PaiGhambar Hussain
-----------------*-----------------
~ 88 ~

Alamdar Razvi

SUGHRA NE LIKHA BABA KAB LAOTKE AAOGE


DUSHWAAR HUWA JEENA KAB LAOTKE AAOGE

Roothi hai khushi Mujh se har lamha naya Gham hai


Dhadkan ki sadaao’n me tanhaai ka Maatam hai
Bhayya Ali Akbar ki furqat me ye aalam hai
Har Saans hai ik bhaala kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Kya jaaniye aate hain kyun mujhko ye andeshe
Manzar nazar aate hain jalte huwe Qaimo’n ke
Reh reh ke na jaane kyun girti hai rida Sar se
Kya haal hai Phupiyo’n ka kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Rehta hai tasawur me Chehra Ali Akbar ka
Phirta hai nigaho’n me Jhoola Ali Asghar ka
Allah Muhafiz hai ab Mere bhare Ghar ka
Ghabrata hai Dil Mera kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Aafat ke musibat ke ghurbat ke manazir hain
Ghere huwe har lamha furqat ke manazir hain
Abtak bhi nigaho’n me rukhsat ke manazir hain
Yaad aata hai Ghar sara kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Kal Aun-o Muhammad the aur Akbar-o Asghar the
Qasim tha Sakina thi Abbas-e Dilawar the
Saamaan Suku’n ke sab jis ghar me mayassar the
Us Ghar me hai sannata kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Bhayya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga
Soncha na Kisi ne bhi hai door bahut Sughra
Hasrat hai ke dekhu’n Main Bhai ko banhe Dulha
Koondhi hu’n yaha’n Sehra kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
~ 89 ~

Jab dekhti hu’n paani aansu’n nikal aate hain


Waswaas Mere dil ko har aan rulate hain
Kya pyaas ki eeza bhi Ghar waale uthate hain
Hai khushk Gala Mera kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Kyun jaane mujhe aksar aata hai khayaal aisa
Yu’n lagta hai jaise ke beparda hai sab kunba
Allah rakhe Parda Zehra ke Gharaane ka
Dil kampta hai Mera kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Shashmaha Mera Bhai yaad aata hai reh reh kar
Kya ghutniyo’n Chalta hai ab Mera Ali Asghar
Ho pyaar Mera Baba Masoom ki aankhon par
Daali hu’n Main gehwaara kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
Kya yaas hai aye Razvi pohncha hai khate Sughra
Reti pa rakha Sheh ne Laasha Ali Asghar ka
Rone lage Beti ka Khat padke Shahe Waala
Khat me yehi likha tha kab laotke Aaoge
Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge
-----------------*-----------------
Hasan Abbas Ahsan

ABID KI NIGAHO’N ME HAR KARB KA MANZAR HAI

Yalghaar hai ghodo’n ki aur Qasim-e bepar hai


Tooti huwi barchhi hai aur Seena-e Akbar hai
Hulqoome Ali Asghar aur teer-e sitamgar hai
Naize ki bulandi hai aur Phool sa ik Sar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Hai aalame tanhaai aur zulm ka lashkar hai
Nargha hai laeeno ka aur Jaane Payambar hai
Tegho’n se Badan zaqmi aur teero’n ka bistar hai
Shabbir ki Gardan hai aur shimr ka khanjar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Uthti huwi talware’n chalte huwe naize hain
Sab zakhme Badan goya mashko’n ke dahaane hain
Har simt se hamle hain Abbas Akele hain
Pyaase ka Sare Zakhmi aur gurze sitamgar hai
~ 90 ~
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Karbal ke biyaba’n me aasaar hain mehshar ke
Bikhre huwe maida’n me Laashe hain Bahattar ke
Zainab ki Nigaho’n me sab Zakhm hain Sarwar ke
Jalti huwi reti hai aur Laasha-e Besar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Khamosh biyaba’n hain aur Shaame Ghariba’n hai
Har aankh me ashko’n ka thehra huwa toofa’n hai
Bewo’n ka Yatimo’n ka ab koun nigehbaa’n hai
Jalte huwe khaime hain chhinti huwi chaadar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Bazar me Sar nange Ahmed ka Gharana hai
Jakda huwa rassi me har Bibi ka Shana hai
Is haal me Zainab ko darbar bhi jana hai
Har simt tamashaai Zainab ka Khula Sar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Hain Pushte Sakina par durro’n ke nasha’n saare
Kano’n se luhu jaari Rukhsar bhi hain soojhe
Zakhmo’n me jalan jaise bharde koi angaare
Har lamha tamaanche hain har gaam pa mehshar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Darbar me Qaidi hai Aulad Payambar ki
Sar tasht me Sarwar ka kaisi ye adaawat thi
Honto’n pa Shahe Dee’n ke zalim ne chhadi rakhi
Zainab ki Nazar har dam Bhai ke Labon par hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai
Wo Sajda-e Shukrana hangaame Qayamat me
Chalta raha kaanto’n par Jo dhoop ki shiddat me
Rote hain sada Ahsan ham jiski muhabbat me
Uske liye nazrana ashko’n ka samandar hai
Abid ki nigaho’n me har karb ka manzar hai

-----------------*-----------------
~ 91 ~

Mujahid Hussain Mujahid

YA ALI MADAD

Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad


Halmin ki aarahi hai sada Ya Ali Madad
Barchhi nikaalte huwe Seene se Laal ke
Mazloome Karbala ne Kaha Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Nikla jo teer Asghare Beshir ki taraf
Ghabraake phir hawa ne kaha Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Naiza huwa jo seene me paiwast Shah ke
Arshe baree’n larazne laga Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Baitha huwa hai Seena-e Aqdas pa badkhisaal
Khanjar tale hai Sheh Ka Gala Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Dekha Sare Hussain jo naize pa saamne
Bimar-e Nainawa ne Kaha Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Wo jalte khaime bebasi wo Bekaso’n ki Shaam
Sehraa-e Karbala ne Kaha Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Jab daakhila yazid ke darbar me huwa
Tab Binte Murtaza ne kaha Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad
Manzar wo karbala ka Mujahid na poochhiye
Bachcho’n ki Al Atash ki Sada Ya Ali Madad
Pohncho Najaf se Karbobala Ya Ali Madad

-----------------*-----------------
~ 92 ~

Qais

QAYAMAT KI TAPISH HAI


KARBALA KA DASHT JALTA HAI

Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai


Madine ka Musafir khaak par karwat badalta hai

Kaha’n hain Hazrate Ayub dekhe’n sabr ke Johar


Jawa’n Beta hai Godi me Pidar ki dam nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Ye poochha karte the Tifli me Akbar Sheh se kyun Baba


Jawani me jo mowt aaye to dam kyunkar nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Kaha Sheh ne ye Bano se ke Khaime me Chali jao


Ali Asghar ka Manka dhal chuka ab dam nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Laeeno Sayyade Sajjad par kode na barsaao


Bohut bimar hai is waaste ruk ruk ke chata hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

Zara Uthkar Lahad se Dekh lije Ya Rasul Allah


Janaze par Janaza Apke Ghar se nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai

-----------------*-----------------
~ 93 ~

Mujahid Hussain

SAB KHOON KE PYAASE THE MOULA NE JIDHAR DEKHA

Shabbir ne maida’n ka Naqsha hi digar Dekha


Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Abbas ki dariya par Nazre’n na theherti thi’n


Jab Bhar liya Mashkiza mudhkar na udhar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Dil thaam liya Apna aur ashk nikal aaye


Sajjad ne Baba ka naize pa jo Sar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Sar peet liya Apna ik hashr kiya barpa


Zinda’n me Sakina ne Baba ka jo Sar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Maida’n se Ali Akbar waapas huwe khaime me


Maa ne jo Dua ki thi Uska ye asar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Hulqoom pa zalim ka jab teere sitam aya


Beshir Ne Baba ko bas ek nazar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha

Nazro’n me Mujahid thi tasweer wo furqat ki


Shabbir ne Sughra ko jab waqt-e safar Dekha
Sab khoon ke pyaase the Moula ne jidhar Dekha
-----------------*-----------------
~ 94 ~

Hasan Abbas Ahsan

AABAAD GHAR HUSSAIN KA VIRAAN HOGAYA


SHAHRE RASULE HAQ BADA SUNSAAN HOGAYA

Jalti zami’n pa gir pade jab Akbare Jawa’n


Laashe pa Shaah Pohnche to andher tha jaha’n
Laila se dekha jaaega Kis tarha ye sama
Kadiyal Jawa’n ke sine me tooti huwi sina
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Bedast hoke gir pade Abbas-e Naojawa’n


Ankho’n me Sheh ki deed ka Arma’n Labo’n pa Jaa’n
Haa’el hai darmiyaan me ik teere jaa’nisaa’n
Rone Lage Tadapke Shahinshah-e Insojaa’n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Kya Housle the tifle Shah-e Benazir ke


The nehr par buland Iraade Saghir ke
Tewar ayaa’n the rukh se Janab-e Ameer ke
Nanha sa ik Gala tha muqabil me teer ke
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Beta khada hai saamne aur Berida Bahan


Jakda huwa hai touqo salasil me sara tann
Baba ki Laash rann me hai begoro bekafan
Sadme se kampne laga Sajjad Ka badan
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Karbo bala se Karwa’n Kufa huwa rawa’n


Oonto ki nangi pusht pa baithi hain Bibiya’n
Hai Sar khula har ek ka Baazu me Reesma’n
Zainab tadap ke dekhti hai soowe aasma’n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
~ 95 ~

Jaari the Qaidiyo’n pa mazalim ke silsile


Asnaa-e raahe Kufa me the sakht marhale
Oonto’n se girke Margaye Bachche Hussain Ke

Godi Ghareeb Maao’n ki Viraan Kargaye


Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tashte Tila me Farq-e Shahe Deen tha Rakha


Aur ik taraf khada huwa Kunba Rasul ka
Honto’n pa phir Hussain ke wo zulm hogaya
Zainab Ka naatawaan Badan kampta raha
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tarik qaid khane me jab Khafila gaya


Rokar Sakina Boli ke Amma ye kya huwa
Kya waqt Meri mout ka nazdik agaya
Banu Pukari ye na kaho Meri Dilruba
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Tha hichkiyo’n ke darmiya’n Khwahar Ka ye baya’n


Hain shiddate atash se Mere khushk ustokhwa’n
Thandi jagah pa dafn karo Hamko Bhaija’n
Sar ko Jhukaae Rote the Sajjade Natawa’n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya

Hai Zikr subha-o Shaam Shahe Mashraqain ka


Karbal ke Tashnakaam ka Zehra ke Chain ka
Matam hai Dilbare Shahe Badro hu’nain ka
Ahsan hayat apni hai Sadqa Hussain ka
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
-----------------*-----------------
~ 96 ~
Urooj Bijnori

ASEER HOKE CHALI HU’N SALAM LO BABA


Suno Sakina se Gham ka payaam Aye Baba
Hamare jal gaye saare khayaam Aye Baba
Kaha’n kaha’n ho najaane Qayaam Aye Baba
Ho saari Zeest Tumhara hi Naam Aye Baba
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Ye ibteda hai musibat ki inteha hi nahi’n


Guzar gayi hai Qayamat magar gila bhi nahi’n
Phuphi Ke Sar Pa Kafan ke liye rida bhi nahi’n
Aur aaj hosh me Bimaare Karbala bhi nahi’n
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hamara Karbobala me Qayaam ho na saka


Tumhaare Dafn ka bhi intezam ho na saka
Pade ho khaak pa kuch ehtemam ho na saka
Ye zaof hai ke Ada bhi Salam ho na saka
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hai Sar pa khaak bhi Gham bhi hai aur buka bhi hai
Hai kamsini bhi musibat bhi aur jafa bhi hai
Phuphi ke saath rasan me Mera Gala bhi hai
In aafato’n se guzarne ka hosla bhi hai
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Suna hai Shaam ka darbar jab bhara hoga


yazid ka sare darbar samna hoga
Mera to Bhai bhi zanjeer me Bandha Hoga
Phuphi jo pohnchegi darbar me to kya hoga
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba

Hain ab bhi peshe nazar waqiyaate Karbobala


Wohi hai shimr ka khanjar wohi hai Sheh ka Gala
Wohi hai Shaam ka bazaar aur wohi Kufa
Urooj ab bhi Sakina ki aarahi hai Sada
Aseer Hoke Chali Hu’n Salam Lo Baba
-----------------*-----------------
~ 97 ~
Allama Akhtar Zaidi

BERIDA ZAINAB KHADI HAI SHAAM KA DARBAR HAI

Aalame ghurbat me Aale Ahmed-e Muqtar hai


Ab na lashkar hai na Abbase Alambardar hai
Haay kya badli huwi ab waqt ki raftar hai
Saamne rakha huwa Farqe Shahe Abrar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Zulm hai kursi nashi’n Kunba Nabi ka hai khada

Aur ik Bimar hai zanjeer me Jakda huwa


Hain rasan me Sabke shaane aur Sakina ka Gala
Haay Bachchi ke liye ab saans lena baar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Tasht me rakha huwa hai Baap ka Sar saamne


Saans rukti hai tadapti hai jo Khwahar saamne
Khoon me doobe huwe hain kitne manzar saamne
Kis qadar zakhmi Nigaahe Abide Bimar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Gham zada Maadar ki ankhon me andhera chha gaya


Noujawa’n Bete ka Sar darbar me laya gaya
Jaane Laila se ye manzar Kis tarah dekha gaya
Kaisi Ghurbat me Shabihe Ahmed-e Muqtar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Wo Ali Asghar ka Sar jaise koi Taaza kali


Maadare Beshir ki jis dam nazar Uspar padi
Godh me lekar Sulaane ki tamanna jaag uthi
Haath rassi me bandhe hain Maa bohut lachar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Har ghadi Nazro’n ke aage ek Qayamat hai nai


Sar pa Bhai ke Bahan ki hai nazar thehri huwi
Hont wo Shabbir ke aur daste zalim me chhadi
Ye Bahan ke Dil pa ik chalti huwi talwar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai
~ 98 ~

Kaisa kaise dukh sahe darbar me Hamsheer ne


Gardan-e Bimar ko zakhmi kiya zanjeer ne
Apni Ankhen bandh karli hain Sare Shabbir ne
Bandh aankhon me magar ik hasrate Deedaar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Yaad aata hai Madine se safar ka wo sama


Tha wo Abbase Jari Ahle Haram ka Paasba’n
Sar parasti ko Hussain Ibne Ali Zehra ki Jaa’n
Abto ghurbat hamsafar hai rasta dushwaar hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai

Paasba’n baaqi nahi’n koi nahi’n ab Aasra


Fatima ki Betiyon par waqt kaisa aagaya
Dil yehi kehta hai Akhtar ab Ali ko de’n Sada
Aapki Beti Ko Moula ik rida Darkaar Hai
Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai
-----------------*-----------------

Sajid Razvi

DARBAAR-E SHAAM

Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Zalzale aayenge jis waqt zami’n ko paiham


Chaadarein chheen ke leja’enge baaniye sitam
Aur balwe me tamashaai bane na mehram
Apne baalon hi se mu Apna chhupana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Meri Nadaan Sakina ko na rone dena


Baad Mere koi takleef na hone dena
Garm reti pa kabhi us ko na sone dena
Apne seene pa Sakina ko Sulaana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
~ 99 ~

Ghurkiyaa’n Meri Sakina ko jo de shimr-e laee’n


Sayliaan maarne aaye jo usse wo be dee’n
Khaof ke maare nikal jaaye na jangal me kahi’n
Apni Aaghosh me Tum Usko sulaana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Ye luta karwa’n jis waqt Madina pohnche


Aake jo Dukhtare Bimar Pidar ko poochhe
Aur besheer ko jis waqt wo dukhiya poochhe
Meri Sughra ko kaleje se lagana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Qafela Ahle Haram ka jo Madina jaay


Aur asnaa-e safar me Mera maqtal aay
Tum ko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaay
Chand aansu meri turbat pa bahana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab

Karbala me jo Mere ghar pa musibat guzri


Aur bazaaron me Tum par jo aziyat guzri
Mukhtasir ye hai ke jo kuch bhi qayamat guzri
Saari roodaad Meri Maa ko sunana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
-----------------*-----------------

Manzar Aelia

ABBAS BEHN AAYI HAI DARBAR ME JA KAR

Kis shaan se nikli thi Madine se sawaari


Phir aise lutte ham ke na mehmil naa amaari
Bhayya Main tadap kar Tumhe har baar pukaari
Imdad ko Dukhiya ki na Tum aaye Baradar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar
Abbas suno shaam e gharibaan ki bhi roodaad
Jee bhar ke nahi kar sake ham Laashon pa faryad
Khaime bhi jale ghar bhi luta hogaye barbaad
Thi’n zere sama Bibiya’n be maqna-o chaadar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar
~ 100 ~

Har gaam pa mehshar tha har ik lamha qayamat


Zaalim hame har tarha ki dete the azeeyat
Chalne ki na taqat thi na dam lene ki fursat
Hadd ye hai tamashaai bhi barsaate the patthar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Darbaar me zaalim ke qayamat ka tha manzar


Thi zoujaye hakim pas-e parda Main Khule sar
Sar sharm se Zainab ka na uthta tha baradar
Le le ke Mera naam rulaate the sitamgar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Chhaya huwa nazron me hai zinda’n ka andhera


Yaad aata hai reh reh ke wo bachchi ka tadapna
Thi dil me Sakina ke rihaai ki tamanna
Mar kar bhi Rahi qaid me Shabbir ki Dukhtar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Har gaam pa durre jo lagaate the sitamgaar


Kis yaas se karte the nazar Abid-e Bimaar
Sun paaoge kya aur masaa’eb Mere Ghamkhwaar
Main Aayi hu’n durro’n ke nasha’n pusht pa Lekar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar

Manzar ye baya’n karti thi jab Khwahar-e Hussain


Ghaazi ki Sada aayi na Shehzaadi karo bain
Hoti hai aziyat Mujhe hu’n qabr me bechain
Dil phat ta hai Khadim ka fugha’n Aap ki sunkar
Abbas Behn aayi hai darbar me ja kar
-----------------*-----------------
~ 101 ~

Naheed

KYA ANDHERA HAI PHUPI

Qaid khaane me Sakina ye baya’n karti thi


Kya andhera hai Phupi
Shama mangwaaiye warna Main nahi’n Jeene ki
Kya andhera hai Phupi
Apne seene se lagalo Main Tumhare sadqe godh me lelo Mujhe
Dil dhadakta hai Mera khaof se ghabrata hai jee
Kya andhera hai Phupi
Baba Aajaae’n to tab shimr ko hoga maloom kaon hai Ye Masoom
Kya samajh kar Mujhe yu’n ghurkiya’n deta hai shaqi
Kya andhera hai Phupi
Aaj ki shab ko bhi Baba kya nahi’n Aaenge Mujhko rulwaaenge
Unke seene pa agar soti to neend aa jaati
Kya andhera hai Phupi
Baad Mere ya’n agar howe Pidar ka aana Unse ye farmaana
Margayi ghut ke andhere me Tumhari Beti
Kya andhera hai Phupi
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

AYE HUSSAIN KI PYAARI


AYE SAKINA JAA’N BIBI

Margayi Jo zinda’n me Shah-e Deen ki Dukhtar


Bekaso’n ke rone se qaid me huwa mehshar
Laash par Sakina ki Karti thi fugha’n Maadar
Saath chhor kar Mera tum gayi’n kahan Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
Aaj shab ki taariki badh gayi hai zinda’n me
Bebasi udaasi hai bekasi hai zinda’n me
Tum jo ab nahi’n Rothi khamoshi hai zinda’n me
Sogwaar baithi hain saari Bibiya’n Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
~ 102 ~

Karbala ke Maida’n me Mujh se chhut gaya Asghar


Tumse hi bahalta tha ye Mera dil-e muztar
Kitni besahara hoon ye to sonchti Dilbar
Tumse chhutke zinda’n me kya jiyegi Maa Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
Hogaya kafan Bibi ye phata huwa kurta
Saaf bhi na ho paya kab se khoon kaano ka
Hai yaqee’n khafa honge haal dekh kar Baba
Jaake mat gila karna Baap se waha’n Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
Kaan se chhine gowhar aur jal gaya kurta
Dono gaal zakhmi hain pusht par laga durra
Dekhti rahi bebas Maa bohut hai sharminda
Maa ke saamne khaai Tumne sayliyaa’n Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
Ghar ujad gaya Mera Qatl hogaye Baba
Karbala se Laayi hu’n Dil pa daagh Asghar ka
Ab to Dil ki har hasrat thi tumhee’n se waabasta
Kargayi Mere armaa’n khaak me Nihaa’n Bibi
Aye Hussain ki pyaari aye Sakina jaa’n Bibi
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

ZINDAA’N KE ANDHERE ME
SAKINA KA HAI MAATAM

Shabbir sulate the jise seene pa Apne


Abbas ne jis Bibi ke the Naaz uthaay
Us Bibi ke Rukhsaar huwe kisliye neele
Kyun kaano se us Bibi ke khoo’n behta hai paiham
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Wo dhoop Aseeri wo safar Aalam-e ghurbat


Wo shimr ke durre wo tamaacho’n ki aziyat
Wo pyaas wo jalte huwe khaimo’n ki musibat
Ab khaak hai zindaan ki un zakhmo’n ka marham
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
~ 103 ~

Abbas ki aaghosh me rehti thi Jo aksar


Shabbir ka seena raha Jis Bachchi ka bistar
Us Bachchi ko ab khaak pa neend aaegi kyu’nkar
Kis tarha huwa Pyaasi Sakina ka ye Aalam
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Dekhi hai Kisi ne kahi’n Mayyat koi Aisi


Soojhe huwe rukhsaar lahu kaano se jaari
Nanhe se gale me hai rasan poosht bhi zakhmi
Sar peet’te hain Ahl-e Haram karte hain Maatam
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Sajjad to hain touqo salasil me giraftaar


Har Bibi rasan basta hai uthna bhi hai dushwaar
Abbas ko Deti hai Sada Zainabe Naachaar
Ab kaun kare Dafn ka saamaan faraaham
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Hai Qaid-e sitam me ye ajab dard ka manzar


Ab Qabr me khwahar ko Sulata hai Baradar
Hasrat se khadi dekhti hai Ghamzada Maadar
De Kisko sada koi nahi’n Monis-o Hamdam
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam

Kaisi ye Rasheed Aale Nabi par hai musibat


Zindaan me ab banti hai ik Nanhi si Turbat
Yaad aati hai Abid ko Sakina ki Wasiyat
Ik Bhai pa Kis tarha ye Ghurbat ka hai Aalam
Zinda’n ke andhere me Sakina ka hai Maatam
-----------------*-----------------
Ali Mohsin Khan

JALD AAIYE BABA

Zindaan me karti thi fugha’n Shah ki Dukhtar Jald Aaiye Baba


Marjaaegi is qaid me ab Aapki Dukhtar Jald Aaiye Baba

Baba Mera Bhai hai musibat me giraftaar, hai bekaso naachaar


Beemar pa dhaate hain bohut zulm sitamgar, Jald Aaiye Baba
~ 104 ~

Darbar me kya haal tha Main kaise Bataaau’n, kya kya Main Sunaau’n
Roodaade Safar bhi zara Sunjaiye Aakar, Jald Aaiye Baba

Aada ne Hame loot liya baad Tumhare, khaime bhi jalaay


Kaano se tapakta hai lahu chhin gaye gowhar, Jald Aaiye Baba

Baba Mujhe ab shimr ke haatho’n se bachalo, seene pa sulalo


Ab taab tamacho’n ki nahi’n dekhiye Aakar, Jald Aaiye Baba

Baba hai watan ke liye Dil Mera tadapta, Yaad aati hain Sughra
Ab soowe Madina Hame le jaaiye aakar, Jald Aaiye Baba

Rothi huwi duniya se qaza kar gayi Kamsin, kya Hashr tha Mohsin
Abid ne Kaha qabr me Hamsheer ko rakh kar, Jald Aaiye Baba
-----------------*-----------------

Mujahid Hussain Mujahid

MAZLOOM MERI BACHCHI KAISE HO DAFN TERA


KEHTI THI ROKE BANU DIL MUZTARIB HAI MERA

Kis bekasi me Tera Laasha pada huwa hai


Neele hain gaal abtak kurta lahu bhara hai
Abbas aake dekho kya haal hogaya hai
Teri musibato’n par tukde jigar hai Mera
Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Pardes me ye kaisi uftaad ki ghadi hai


Seene pa sone waali ab khaak par padi hai
Khamosh hai Sakina Maa dekhti khadi hai
Kuch aur badh gaya hai zindaan ka andhera
Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Chaaron taraf udaasi is Gham ki chha rahi hai


Ghurbat Teri Sakina sabko rula rahi hai
Bekas yateem Bachchi duniya se Ja rahi hai
Is shaame Gham ka Ya Rab hoga kabhi savera
Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera
~ 105 ~

Teri Musibaton ka purdard ye sama hai


Zakhmi hai Pusht Teri Kaano se khu’n rawa’n hai
Gardan se reesma’n ka ubhra huwa nasha’n hai
Bimar hai Baradar har simt hai andhera
Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera

Abid Tadap rahe hain rukhsat huwi Sakina


Is Gham se ab Mujahid ik hashr sa hai barpa
Maatam se goonjta hai tareek qaid khana
Banu Ye Keh Rahi Hai Haafiz Khuda Hai Tera
Mazloom Meri Bachchi kaise ho Dafn Tera
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

YE NEEND KHAAK PA KAISI UTHO UTHO BIBI

Pidar jo khwaab me Aaye machal gayi Bachchi


Fazaa-e Qaid Haram ki buka se hilne lagi
Lipat ke Baap ke Sar se jo Margayi Beti
To qaid khane me Banu ki ye Fugha’n goonji
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Fasaana-e Ghame furqat Sunaao Baba ko


Huwa jo baade Shahadat Sunaao Baba ko
Safar ki saari musibat Sunaao Baba ko
Lipat ke Baba se Khamosh mat Raho Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Bohut gila tha Sakina Tumhe andhere ka


Ye Gham raha hai ke taarik qaid me Kunba
Ye ranj tha koi chehra nazar nahi’n aata
Hamare Ghamzada Chehro’n ko dekhlo Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Yaqeen tha Tumhe Lene ko Aayenge Baba


Tumhe sukoon huwa Meri lut gayi Duniya
Hamesha Tumne Sunaya hai haale Dil Apna
~ 106 ~

Ghareeb Maa ke bhi Dil ki to kuch Suno Bibi


Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Dukhi Labo’n ki tasalli Tumhari baatein thi’n


Dilo’n ke zakhmo’n ka marham Tumhari baatein thi’n
Hamare Gham ka sahara Tumhari baatein thi’n
Hamare Gham ka sahara na chheen lo Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Jo aise haal me Dekhe’n Khafa na ho’n Baba


Zara Main saaf to Kardoo’n ye khoon kaano ka
Na Pehne jao Sakina phata huwa kurta
Lahu me doobi ye Zulfein Sawaarlo Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Main qatl gaah me Asghar ko Aayi hu’n Khokar


Suhag ujad gaya Waris nahi’n raha Sar par
Gharib Maa ka Sahara nahi’n koi Dilbar
Tum is tarah Mujhe tanha na Chhordo Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi

Khule huwe dar-e zinda’n hain khatm ranjo mehan


Tamaam Kunbe ke haatho’n se khul gayi hai rasan
Kaha’n gaya Meri Bachchi Tumhara Shaokhe Watan
Rihaayi mil gayi zinda’n se Ghar chalo Bibi
Ye neend khaak pa kaisi Utho Utho Bibi
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

ABID UTHA RAHE HAIN APNI BAHAN KA LAASHA


ZINDAAN-E SHAAM ME AB IK HASHR SA HAI BARPA

Godi hai Jiski sooni ujda Suhag Jiska


Karbal me so raha ho jis Maa ka Jhoole wala
Us Maa ke Dil ko kaise dega koi dilasa
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
~ 107 ~

Abbas ki Bhatiji paiham tamache Khaake


Aayi thi Karbala se zulmo sitam Uthake
Khamosh Hogayi kyu’n roodaade Gham sunake
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Baba ko yaad karke Rone bhi Wo na Paayi


Seena kaha’n se milta Sone bhi Wo na Paayi
Zakhmo’n ko Aansuo’n se Dhone bhi Wo na Paayi
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Rukhsaar neelgu’n hain Kurta phata huwa hai


Kaano se khu’n hai jaari zakhmo ka silsila hai
Har Naaz uthane Wala Karbal me Soraha hai
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Bimar-e Karbala Par tooti nayi musibat


Hoti hai ab Sakina Ahle Haram se rukhsat
Zinda’n me banrahi hai Nanhi si ek Turbat
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha

Ik aakhri Wasiyat Bhai se Usne Ki thi


Lekin Wasiyat Uski puri na hone paayi
Zinda’n hi me Rasheed ab Turbat banegi Uski
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
-----------------*-----------------

Unknown

QAID KHAANE ME YE THA BAALI SAKINA KA BAYA’N


MAIN HU’N ZINDA’N ME PAREESHA’N
MERE AMMU HO KAHA’N

Main thi pyaasi ye huwi Mujh se badi naadaani


Laot bhi aao na maangungi kabhi Main paani
Pyaas se damm bhi jo nikle to na Kholungi zabaa’n
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n
~ 108 ~

Khaofe aada se na ji bhar ke kabhi roi Main


Sina Baba ka chhuta jab se nahi’n soi Main
Neend ke badle rahe aankho’n me aansu’n larza
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Yaad me Baba ki Main roi thi Dukhiya jis damm


Kya kahu’n shimre laee’n Mujh pa jo karta tha sitam
Mere Gaalo’n pe abhi tak hai’n tamaancho’n ke nashaa’n
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Apne Seene pa phir ek baar sulalo aakar


Neend ke maare Main hojaati hu’n shab me muztar
Qaid me chaaro taraf chhaya hai wehshat ka sama
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Kisko kehte hain yateemi Mujhe maalum na tha


Jab se bichhdi hu’n Main Tumse to ye ehsaas huwa
Meri taqdeer me Baba Mere ab neend kaha’n
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Tum to kehte the Mujhe aankho’n ka taara kal tak


Mera rona bhi na tha Tumko gawara kal tak
Aaj kya baat hai sunte nahi’n kyu’n Meri fughaa’n
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n

Shab me badh jaati hai kuch aur bhi dil ki dhadkan


Maot bhi Mujh se khafa hogayi ya Shaahe Zaman
Din ko bhi hota hai zindaan me raato’n ka gumaa’n
Qaid khaane me ye tha Baali Sakina ka Bayaa’n
-----------------*-----------------
~ 109 ~

Unknown

JAB YAAD SAKINA KO TERI AATI HAI BABA

Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba


Sar zinda’n ki deewaaro’n se Takrati hai Baba

Kaano se tapakta hai Lahu Shaano pa Mere


Zalim ki aziyat Mujhe tadpati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Marjaaungi Pyaasi na kabhi Maangungi paani
Asghar ki Mujhe Pyaas jo Yaad aati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Jabtak Tere Seene pe na Sojaay Sakina
Zinda’n me Use neend kahan aati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Jalte huwe khaimo’n ke nazaare hain Nazar me
Ye baat khayalo’n se kahan jaati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Yaad aate hain jab shimre sitamgar ke mazalim
Ye Nanhi Si Dukhtar Teri Ghabrati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba
Hai kaun Mere Paas Jiyu’n Kiske sahare
Tanhaayi Meri mout bani jaati hai Baba
Jab Yaad Sakina ko Teri aati hai Baba

-----------------*-----------------
~ 110 ~
Hasan Abbas Ahsan

SHAAM KE ZINDAAN ME BEKAS SAKINA MARGAYI

Baade Sarwar phir musibat me izafa yu’n huwa


Pusht par durre lage gouhar chhine Kurta jala
Baap ka Pursa Yateemi ko tamacho’n se mila
Daagh kaise Dil pa lekar Shah ki Dukhtar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Garm reti par Pada tha Sheh ka Lasha Bekafan


Aal-e Ahmed Berida thi saath the ranjo mehan
Thi bandhi Baarah Aseero’n ke Gale me ek rasan
Shaahzadi qaid hokar berida dardar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Dard kaano me tha itna kaise neend aati kahi’n


Baap ka Seena nahi’n tha kaise so Paati kahi’n
Pyaas ki shiddat se jo behosh Hojati kahi’n
Maa Samajhti Shiddate Gham se Sakina Margayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Tashnagi hi Tashnagi thi Karwa’n dar Karwa’n


Gham se jalta tha Kaleja Pyaas se sookhi Zuba’n
Ki Qayamat ki Wasiyat Hichkiyo’n ke darmiya’n
Haay Khwahish Bhai se thandi zami’n ki Kargayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Kaun jaane Qalb-e Muztar par huwa tha kya asar


Maa ko sakta sa huwa tha aur phupi thi Naohagar
Takht par baitha tha zalim Tasht me Baba ka Sar
Apni ankhon me Liye ye Dard ka manzar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi

Zulm ke darbar me zalim huwa jab rubaru


Kis Ghazab ka tha wo Qutba Kis Ghazab ki Guftagu
Shaan Haidar ki Dikhadi Kamsini me Hoobahu
Zulm ka har har qadam par maareka Sar Kargayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
~ 111 ~

Bhai ke Haatho’n pa Mayyat Hai Bahan ki Aye Khuda


Ab Janaaza Uth raha hai Aaiye Mushkil Kusha
Aapki Poti Jo hai Andaaz bhi hai Aapka
Deke Paighaam-e rihaayi Khud suwe Kausar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
-----------------*-----------------

Allama Akhtar Zaidi

ZAINAB LIPAT GAYI HAI MAZAARE HUSSAIN SE

Armaan hai ye Zainab-e Aali Maqaam ka


Chehlum hai Karbala me Shahe Tashnakaam ka
Bhai ki Qabr dekhke aansu nikal pade
Pyaason ki yaad aayi to dariya ubal pade
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhare baad anokhe sitam huwe


Durre lage ridaae’n chhini khaime jal gaye
Bano ke Qalb ka wo sahara bhi jal gaya
Maa dekhti hee reh gayi jhula bhi jal gaya
ai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya wo raat kaisi qayamat ki raat thi


Ahle Haram pa sakht musibat ki raat thi
Shaane kata ke Mera Nigehbaan so gaya
Abbas ka jo farz tha Main ne ada kiya
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Aaghaz Karbala se Hamara safar hua


Abid ko dekh dekh ke tukde jigar huwa
Kufe me Sar barehna jo Aale Aba gaye
Baba har ek qadam pa Mujhe yaad Aagaye
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se
~ 112 ~

Bhayya phir uske baad qayamat hi aagayi


Kunbe ko leke Shaam me Main berida gayi
Taabe nazar kaha’n thi magar dekhna pada
Tashte tila me Aap ka Sar dekhna pada
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhari Beti pa kya kya sitam huwa


Lekin kabhi na sabr ka meyaar kam huwa
Jab inteha-e zulme sitamgaar hogayi
Aakhir Sakina Shaam ke zinda’n me Sogayi
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Chehlum ke baad Main jo Madine ko Jaaungi


Amma ko Main safar ki musibat Sunaungi
Gar hosake to neel rasan ke Dikhaungi
Main zindagi tamaam Tera Gham Manaungi
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se
-----------------*-----------------

Allama Akhtar Zaidi

HAI KARBALA KE BANN ME GHARIBO’N KA ARBAEE’N


Shabbir ke mazaar paZainab ki hai Jabee’n
Aansun baha Rahe hain Khade Abide Hazee’n
Aabaad thi Hussain ke Qadmon se ye zamee’n
Ab haal ye hai Sar pa koi Saa’ebaa’n nahi’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Maajaaye pehle aag lagi khaimagaah me
Har gaam ek taaza qayamat thi raah me
Bachchi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah me
Zindaane Shaam me hai Sakina yaha’n nahi’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Laila tadap rahi thi ke Dilbar nahi’n Raha
Lakhte jigar Shabeehe Payambar nahi’n Raha
Rone ko Maa to rehgayi Akbar nahi Raha
Chehlum Jawaan Bete ka aur Maadare Hazee’n
~ 113 ~

Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n


Farwa ko yaad Qasime Naoshah aagaya
Pohncha jo qatlgaah me Dulha bana hua
Tukde mile the Jism ke Laasha nahi’n mila
Jis ke lahu se surkh hui thi yehi zamee’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Abbas-e Naamwar jo Haram ka tha Paasba’n
Roti thi yaad karke Jise saari Bibiya’n
Be aas jis ki Laash pa the Shah e Dojaha’n
Laasha kahi’n tha Haath kahi’n aur Alam kahi’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Abbas tum nahi the qayamat guzar gayi
Main Karbala se shaam talak Nange Sar gayi
Godi ke paale margaye Main kyun na margayi
Zainab tadap rahi thi larazne lagi zamee’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka arbaee’n
Kehti thi ye Rabab bacha lijiye Mujhe
Moula Lahad me Apni chhupa Lijiye Mujhe
Ghar jaake kya Karun ye Bataadijiye Mujhe
Sunsaan godh hogayi Waali koi nahi’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Bhayya Hamare waade ki takmeel hogayi
Aisa safar huwa hai ke sar par rida na thi
Darbaar-e Shaam me thi qayamat ki bebasi
Roodaad-e Gham sunaane ki taaqat bhi ab nahi’n
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n
Ahle jaha’n ko hogi agar haq ki justuju
Akhtar asar dikhaega Mazloom ka luhu
Hai Ghamzada Bahan ki yehi ek aarzu
Aabaad Zaa’ereen se hojaye ye zameen
Hai Karbala ke bann me Ghareebo’n ka Arbaee’n

-----------------*-----------------
~ 114 ~

Syed Raza Moosavi Raza

ZAINAB MANANE AAYI HAI BHAI KA ARBAEE’N

Karbobala me shaam-e ghareeba’n ka hai sama


Baithi huwi hain khaak basar saari Bibiya’n
Bhai ke hai mazaar pa khwaahar ki ye Fugha’n
Ham the sitam tha aur thi’n afwaaje ahle keen
Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Bazaar-e Shaam aur wo tamashaai al ama’n


Rukta tha har jaga pa aseero’n ka karwa’n
Ham Sar khule the aur thi baazu me reesma’n
Tauq-e giraa’n tha aur Mera Aabid-e hazee’n
Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Laila ka haal Bibiyo’n me sab se ghair tha


Ik ik se kehti thi Mera Akbar kaha’n gaya
Main Dhu’ndti hu’n koi bhi deta nahi’n pata
Naize liye huwe Use ghere the kuch laee’n
Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Abbas ka Wujood Hamara sahara tha


Nikla tha Teri simt wo saqqa Sakina ka
Kyun saahile furaat tu aage na aasaka
Ahle haram ke bain se hilne lagi zameen
Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n

Mehshar talak sanwaar di dono ne raah e haq


Baatil ka sar na uthega aisa diya sabaq
Bhai Bahan Raza hain hidayat ke do waraq
Hai Karbala panaahe Muhabbat ki sarzamee’n
Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee’n
-----------------*-----------------
~ 115 ~

Hazrat Saeed Shaheedi

ALLAH NIGEHBAAN WATAN JAATI HU’N BHAI

Ab aakhri mujra Main baja laati hu’n Bhai


Ujde huwe kunbe ko liye jaati hu’n Bhai
Maalum nahi laut ke kab aati hu’n Bhai
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Haidar ka Pisar Fatima ki jaan yahin hai


Wo jis pa wafa hogayi qurbaan yahin hai
Bhayya Mere parde ka nigehbaan yahin hai
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Lakhte Dil e Shabbir ko kaleje se lagana


Be chain jo Asghar ho to seene pa sulaana
Bhayya Mere bachchon ko kahi’n bhool na jaana
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Ab kaaheko phir laut ke yaad aaegi Zainab


Ab tum ko Madine me kahan paaegi Zainab
Marjayegi marjayegi marjayegi Zainab
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Batlaao ke kab tak yuni khamosh rahoge


Kya khwahar e Nashaad ko rukhsat na karoge
Sughra ke liye kya koi paiGham na doge
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai

Khamosh Saeed ab ke nahi zabt ka yaara


Sab ahle haram rote the ik hashr bapa tha
Tha turbat e Shabbir pa Zainab ka ye Nouha
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu’n Bhai
----------Allah nigehbaan watan jaati hu’n Bhai----------
~ 116 ~
Mehdi Nazmi

ZAINAB MADINE JAATI HAI KYA KYA LIYE HUWE

Aankhon me Karbala ka nazara liye huwe


Ehsaas me Hussain ka Laasha liye huwe
Ashkon me khoone zakhme tamanna liye huwe
Abbas ke Alam ka pharera liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Daagho’n me aag aag me ghut’ta hua dhua’n


Maaninde mauj aankh se aansu rawa’n rawa’n
Baazu pa reesmaan ke ubhre huwe nasha’n
Seene me zakhme marge Sakina liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Zinda’n se chhoot kar bhi nahi’n ranj se firaagh


Roshan hain daaghe qalbe jigar surate charaagh
Karbobala me lutgaya Sibte Nabi ka baagh
Qalbe figaar chaak kaleja liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Teero’n se chaak chaak hai Sarwar ka pairahan


Abbas ka libaas wo Akbar ka pairahan
Dooba hua hai khoon me Asghar ka pairahan
Bano ke Sheer khwaar ka jhula liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Abbas jaane Haidare Safdar ki yaad hai


Qasim ki yaad hai Ali Akbar ki yaad hai
Seene me ek dil hai Bahattar ki yaad hai
Ujda hua Hussain ka kunba liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe

Gardan ka tauq Aabid-e Muztar ki bediya’n


Kuch bediyo’n ke daagh toh durron ke kuch nasha’n
Chheeni hui Sakina ke kaano ki baalia’n
Nanhi si ek bachchi ka sadma liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
~ 117 ~

Karbobala me lut gaya gulzaar e Panjatan


Paamaal daste kee’n me hua Dilbar e Hasan
Pehne huwe hain bewa ki poshaak ik Dulhan
Qasim Bane ke maathe ka sehra liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
-----------------*-----------------

Mustafa Moosavi

ABBAS ZAINAB AAYI HAI KARNE KO ARBAEE’N

Aayi hai chhutke qaid se karbal me Bibiya’n


Abbas ki lahd pa ye Zainab ka hai baya’n
Bhai sunaane aayi hu’n Gham ki Main daastaan
Bhayya Teri Bahan ka koi paasbaa’n nahi’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya har ik qadam pa Hamara tha imtihaan


Baithi thi bekajawa sawari pa Bibiya’n
The pa barehna Abide Beemaro Naatawa’n
Kaanto bhari zami pa chalaate the ahle kee’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Marne se Tere Ham pa anokhi jafa huwi


Chaadar bhi Muh chuphaane ko sar par nahi rahi
Baalon se muh ko dhaamp ke darbaar me gayi
Zulmo sitam ki Ham pa koi inteha nahi’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya Teri Sakina pa kaisa sitam hua


Izhaare tashnagi pa hua zulme naarwa’n
Paani dikha dikha ke bahaate the ashqiya’n
Bachchi tadap ke reh gayi paani mila nahi
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Zinda’n me zulm seh ke Bhatiji guzar gayi


Sharminda hu’n Sakina ko waapas na laa saki
Aabid se keh rahi thi Sakina ki tashnagi
Madfan ko Mere dekhiye thandi koi zami’n
~ 118 ~

Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Darbaare Shaam hashr ka maidan ban gaya


Tha takht par yazid idhar Aale Mustafa
Bhai ke khushk honto pa wo zulm tha naya
Jis zulm ke sabab se larazne lagi zami’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya Mera Shabeeh e Payambar nahi’n raha


Shabbar ki jaan Qasim e Bepar nahi’n raha
Veeraan jhoola hogaya Asghar nahi’n raha
Lashkar me baaqi reh gaye bas Aabid e Hazee’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n

Bhayya ye Moosavi bhi Hamara hai Gham gusaar


Hai is ke lab pa naam Tumhara hi baar baar
Aur Karbala ke waaste rehta hai beqarar
Is ko bula lo Raoze pa Zehra ke Naaznee’n
Abbas Zainab Aayi hai karne ko Arbaee’n
-----------------*-----------------

Fareed Baig

ARBAEEN KARNA HAI SHAAHE KARBALAAI KA

Leke daagh seene par shaam ki judaai ka


Haq ada kare Zainab kaise Apne Bhai ka
Qafela utar aaya sabr ki khudaai ka
Karbala ke maida’n par Fatima ki Jaai ka
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Maut ke biyaba’n me zindagi ka maatam hai


Zulm ke andhero’n me roshni ka maatam hai
Aansuon ke toofa’n me tashnagi ka maatam hai
Ik Bahan ke hisse me har kisi ka maatam hai
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Dur tak nigahon me shaam ka andhera hai


Karbala se Kufe tak haadeson ne ghera hai
~ 119 ~
Jab se Naonihaalo ne Muh ko apne phera hai
Maamta ki godhi me maut ka basera hai
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai kya sunaun me Ham pa kya sitam guzre


Baad e asr e ashoora bekafan the sab Laashe
Shaam e Gham ke chaate hee maut ke badhe saaye
Chin gayi rida meri Bhai jal gaye khaime
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Baad e Karbala Bhai har qadam qayamat thi


Berida rasan basta raah e Shaam se guzri
Bhai Ham tamasha the raaste tamashai
Har qadam dua ye thi kaash maut aajaati
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Khud aseer e qismat thi dar badar gayi Zainab


Muh ko Apne baalon se dhaamp kar gayi Zainab
Majlise sitamgar me nange Sar gayi Zainab
Le ke saath kunbe ko Naoha kar gayi Zainab
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai qaid khaane ki teergi se ho aaye


Aap ki amanat ko zulmaton me kho aaye
Khoon ghoshwaaro’n ka aansuo’n se dho aaye
Yu’n Sakina Bibi ko sab aseer ro aaye
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Aap se juda ho kar jab Madina jaaungi


Jaa ke Maa ki Turbat par Marsia sunaungi
Karbala ke maqtal me kya hua bataaungi
Bhai Apne baazu ke neel bhi dikhaungi
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka

Bhai ab Khuda hafiz qabr se chali Zainab


Bin tere guzaaregi kaise zindagi Zainab
Uth gayi Fareed aakhir keh ke Ya Ali Zainab
Dard o Gham ki duniya me phir se kho gayi Zainab
Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka
-----------------*-----------------
~ 120 ~

Agha Ali Hussain


SHABBIR KA CHEHLUM HAI
Zindaa’n ke alam seh kar jab Waarise Gham aaye
Karbal ki fazaaon me paabande sitam aaye
Faryaad o fughan karte sab Ahle Haram aaye
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Phir Dukhtar e Zehra par aafat ki ghadi aayi


The shaam ki raahon me har simt tamashaai
Aur tauq me jakda tha Abid ka gala Bhai
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Gaalo’n pa Sakina ke wo neel tamacho’n ke


Zakhmi tha badan Uska durron ki azeeyat se
Har gaam pa kehti thi Ammu hain kahan Mere
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Darbar wo hakim ka Sar nange Tera kunba


Chaadar ke ewaz Ham ne baalon se kiya parda
Bhayya Teri Zainab ke baazu the rasan basta
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Roodaad e safar kaise Sughra ko sunaungi


Hain neel jo baazu par Kis tarha chhupaungi
Poochhe jo agar Tum ko kya Usko bataaungi
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai

Ehsaas ki duniya ka purdard tha wo manzar


Tha hashr bapa Agha Zainab ka baya’n sunkar
Zindaa’n me Sakina ko kho aayi Teri Khwahar
Zainab ne kaha Utho Abbas ke Ham aaye
Shabbir ka Chehlum hai Shabbir ka Chehlum hai
-----------------*-----------------
~ 121 ~

Hyder

BHARE GHAR KA ARBAEE’N

Baithi huwi hain khaak pa Saidaania’n tamaam


Ranjo alam ka hai har ik simt ishdihaam
Har lamha yaad aati hai aashoor ki wo shaam
Hota hai aaj Sibte Payambar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Pamaal ran me hogaya Shabbar ka nounehaal


Kubra ki aarzuein huwi rann me paaemaal
Farwa ke dil ka chain tha Terah baras ka Laal
Hai Karbala me Dilbar e Shabbar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Dekhi gayi na Saaniye Zehra ki bekasi


Aaya khayaal Aun o Muhammad ka jis ghadi
Zainab ghareeb kehti thi har lamha bas yehi
Khwahar karegi apne Baradar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Abbase Naamdaar ke shaane qalam huwe


Pyaasi Sakina reh gayi paani na la sake
Tooti kamar Hussain ki Abbas chal base
Darya pa hai wafa ke Payambar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Atthara saal waale ki Maadar hai sogwaar


Roti hai yaad karke wo Akbar ko baar baar
Kulsoom beqarar hai Zainab jigar figar
Hai aaj Ham Shabihe Payambar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n

Asghar ko rann me laaye jo Sultan e Karbala


Teer e sitam se chhid gaya besheer ka gala
Bachche ko ek boondh bhi paani na mil saka
Hai tashna lab Rabab ke Dilbar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n
~ 122 ~

Shabbir hain Hamari rag e jaan se qareeb


Haidar Dua ye karta hai aye Sarwar e Ghareeb
Makhsoosi Arbaeen ki ham sab ko ho naseeb
Mil kar waha’n karenge Bahattar ka Arbaee’n
Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee’n
-----------------*-----------------
Fughan

ZAINAB SE KARBALA KA ZARA MAAJRA SUNO

Beti Ali ki Turbat e Zehra pa aayi hai


Kurta lahu bhara hua Bhai ka laayi hai
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma Hamare ranjo masa’eb hai dardnaak
Amma Hamare qalbo jigar ho chuke hain chaak
Amma Hamare Nana ki ummat ne ki dagha
Amma Hamare khoon ko samjhe hain sab rawa’n
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma taras ke reh gaye paani ko Ham tamaam
Amma diya na Ham ko Kisi ne bhi ek jaam
Amma Hamare mard tahe tegh hogaye
Amma naha ke khoon me bechare sogaye
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma pade hain nehr pa Abbas rooth kar
Amma Sakina soti hai zinda’n me be Pidar
Amma kahan se Akbar e mehru ko laaun Main
Amma kahan se Asghar e nadaa’n ko paaun me
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma Habib Ibne Mazahir zohair e Qain
Kaam aagaye hain wo bhi be Nusrat e Hussain
Amma wo Hur ke jis ne sar apna kata diya
Naqshe kafe Hussain me Eema ko pa liya
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
~ 123 ~
Amma Hussain Karbobala hi me reh gaye
Amma Hussain saare masa’eb ko seh gaye
Amma Hussain Margaye beyaar o bewatan
Amma Hussain ko na mayaasar huwa kafan
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma Hamari chaderin bhi chhin gayi tamam
Amma Hamare haal pa hanste the ahle shaam
Amma wo shaam e ghurbat e Shabbir aah aah
Amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaah
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma ye haal Abid e Beemar hogaya
Zaalim sipah ne le liya bistar ghareeb ka
Amma qadam qadam pa aseeri rula gayi
Gardan me tauq paaun me zanjeer aagayi
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma wo Bibiyo’n ka tadapna wo shoro shain
Amma rahegi yaad wo aaho buka ke bain
Amma Rabab Roti hai Asghar ko sub’ho shaam
Akbar ko yaad karti hai Laila tashna kaam
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawah
Maqtal ki gard ban gayi afsha’n Khuda gawah
Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi
Amma Hamare haal pa Roti hai bekasi
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
Amma bataaaiye to Main ab jeeke kya karun
Kis tarha ab Hussain ki furqat ka Gham sahu’n
Aayi Fugha’n nida ke sare hashr Ham bhi ab
Kurta lahu bhara hua rakh denge peshe Rab
Beti Tumhara Bhai Shahe Mashraqain hai
Beti Tumhare sabr me Fath’he Hussain hai
Kehti hai Aye Hussain ki Amma Utho Utho
Zainab se Karbala ka zara maajra suno
-----------------*-----------------
~ 124 ~

Ali Jaweed Maqsood

MAA KI QABR PAR ZAINAB KARTI THI FUGHA’N AMMA

Tang thi zamee’n Ham par dur aasmaa’n Amma


Aafato’n ka toofa’n tha Ham gaye jaha’n Amma
Karte hain aseeri ki dasta’n baya’n Amma
Mere dono Shaano par zulm ke nasha’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Phir rahe hain aankhon me Karbala ke sab manzar


Khaako khoon me ghaltaa’n Qasimo Ali Akbar
Khushk halq Bhai ka aur shimr ka khanjar
Bhai ke badan se khoo’n Aapka rawa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Dushmano ke narghe me Ibne Saaqiye Kausar


Taaba hadde beenaayi tegho naiza-o khanjar
Teer the kamaano me jholiyo’n me the patthar
Ghir gaya sinaano’n me Mera Bhai jaa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Din dhala Qayamat ka raat hashr ki aayi


Raat saat me apne aur aafatein laayi
Bekafan tha Maajaaya Berida thi Maajaayi
Ghar me aag ke shole ghash me Naatawaa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Chaand aur sitaare the khaako khu’n ke baadal me


Mustafa ke Pyaare the bemazaar jangal me
Teri godi ke paale bekafan the maqtal me
Berida thi’n balwe me Teri Betiya’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Baade qatl bhi ummat zulm se na baaz aayi


Fouje zulm ghodo’n ko Sheh ki Laash par laayi
Reh gayi fugha’n karti Beqarar Maajaayi
Nahr par tadap utha Sheh ka paasbaa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma
~ 125 ~
Sar khule Haram baithe bekajaawa oonto’n par
Aur tamashbeeno’n ka tha hujoom raaho’n par
Sar Hamare Pyaaro’n ke saath saath Nayzo’n par
Aur bedawa Abid Meere Kaarwa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma

Karbala se Kufa aur phir yazid ki mehfil


Har qadam qayamat thi har qadam kadi mushkil
Ik nayi musibat thi Bekaso’n pa har manzil
Har qadam pa dekha hai suwe aasmaa’n Amma
Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha’n Amma
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi
ZAINAB NE KAHA MAA KI LAHAD SE YE LIPAT KAR
PARDES ME BARBAAD HUWA MERA BHARA GHAR
Amma Ali Akbar pa huwa zulm kahu’n kya zakhmi tha kaleja
Tha khoon me dooba huwa Wo Mannaton wala Laila ne bhi Dekha
Laasha raha begoro kafan jalti zami’n par
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Sab qatl huwe jab huwa Bhai Mera Tanha is zulm se maara
Wo Kehta raha hu’ Main Muhammad ka Nawasa kuch rahm na khaya
Tha Pyaasa Gala Bhai ka aur shimr ka khanjar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Amma Mere Bhai ka raha dhoop me Lasha Sar Tann se Juda tha
Koi na tha dil Gham se Mera doob raha tha kya waqt pada tha
Mayyat pa udhaane ke liye thi nahi chaadar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Jis waqt huwe shaam ke darbar me dakhil thi sakht wo manzil


Yaad aagaye Abbas to dil hogaya bismil tha zabt bhi mushkil
Shabbir ke aansu ne sahara diya badhkar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar

Nikli thi Madine se to Hamrah tha Kunba ab kya kahe Dukhiya


Dil toot gaya Shaq hai Mera Gham se kaleja Main Rehgayi Tanha
Jangal me luta Aayi Hu’n Main Tera Bhara Ghar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar
~ 126 ~

Sajid Moosvi

DEKH MADINE KYA KYA YAADEIN

Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Karbobala me Ghar ko luta kar Apne Watam me Aayi hai Zainab

Zulm kiya wo ahle jafa ne Zainab ka Gham Zainab jaane


Soojhe huwe hain abtak Shaane daagh ye kaise Paayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Gham ki kise rudaad sunaaye zakhm jigar ke kaise dikhaaye’n


Daaghe rasan kis kis se chhipaaye sonchke ye ghabraai hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Shaam ka kya bazaar saja tha shehr khada tha behre tamasha
Haay kisine ye bhi na soncha Ye to Ali ki Jaayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Saamne hakim ke Main Khadi thi Bhai ke Mere Lab pa chhadi thi
Haay wo kaisi sakht ghadi thi Sonchke ye Tharraayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Ek qayamat harsu bapa thi mehwe tamasha khalqe Khuda thi


Aur tamasha Aale Aba thi haay bahot Sharmaayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Shimr ke durre baali Sakina pyaas ki shiddat jalta seena


Aa na saki wapas Wo Madina Tanha Use Chhor Aayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

Ashke Aza ke Moti lutado Farshe Aza aankhon ko banado


Sajde me Sajid sar ko jhukado Bazme Aza me Aayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab

-----------------*-----------------
~ 127 ~

Abul Hasan Abidi

SALAM LO AMMA

Ye boli Beti ba hasrat Salam Lo Amma


Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Bula ke ghar se Hame ashqiya’n ne loota hai


Hussain Bhai Mera Karbala me chhoota hai
Pahaad dardo musibat ka Ham pa toota hai
Huwi ye kaisi ziyaafat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Suno Aye Amma Mere Sar se chhin gayi chaadar


Gayi Main koocha-o bazar me barahna sar
Rasan ke neel abhi tak hain Mere baazu par
Mila ye ajre Risalat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Main shaamo Kufa ki haalat Tumhein Sunau’n kya


Jo Ahlebait pa beeti wo ab Bataau’n kya
Rasan ke neel hain Baazu pa Main Dikhau’n kya
Khud Uthke Dekhlo haalat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Ajeeb zulm ki aandhi chali zamane me


Kaleja phat’ta hai rudaade Gham Sunane me
Sakina Margayi ghut ghutke qaid khaane me
Banake Aayi hu’n turbat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma

Zaba’n pa harfe shikayat na Laasaki Zainab


Gila kiya na Kisika bhi chup Rahi Zainab
Yazide nahas ke darbar me Gayi Zainab
Baraa’e bakhshishe Ummat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
~ 128 ~

Gharib Beti se rudaade Karbala Sunlo


Jo Ham pa hogayi pardes me jafa Sunlo
Jo Sunsako to Shahadat ka waaqiya Sunlo
Jawaab deti hai himmat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
-----------------*-----------------

Zaki Bilgrami

MARQAD PA MAA KI ZAINAB FARYAAD KAR RAHI HAI


AMMA TERI KAMAAI JANGAL ME LUT GAYI HAI

Ummat ne Mustafa ki loota hai chain Tera


Maara Gaya hai Pyaasa Amma Hussain Tera
Dil baith sa gaya hai ankhon me teergi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Teero’n se hogaya hai Qasim ka Jism chhalni


Maqtal ki zulmato’n me Dulhan ki maang ujdi
Sehre ki har ladi se hasrat baras rahi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Barchhi jigar pa kha kar Akbar ki Naojawaani


Mitti me milgayi hai Laila ki Zindagani
Bete ko yaad karke Maadar tadap rahi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Yaado’n se khelti hain Besheer ki Adaaein


Reh reh ke de rahi hai Asghar ko Maa Sadaaein
Jhoole ki khaamoshi par khud mout rorahi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Maare gaye hain pyaase Amma Mere Pisar bhi


Daste laee’n ne kardi aaghosh Meri sooni
Duniya Meri nazar me taareek hogayi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai
~ 129 ~

Aankhon me basgaye hain zindaan ke andhere


Yaad-e-Sakina Amma rehti hai Mujhko ghere
Baba ko rote rote Masoom chal basi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Abid ki Pusht par hain durro’n ke neel ab bhi


Amma rula gayi hai Mazloom ki Aseeri
Chhaale hain dast-o-pa me Bimar par ghashi hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

Zainab ko raas Amma Karbobala na aaya


Chheena hai Mere Sar se do Bhaiyo’n ka Saaya
Ab to Duwaaein Zainab marne ki Maangti hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai

In baazuo’n ke Tujhko daagh-e-rasan dikhaane


Aayi hai Teri Beti rudaad-e-Gham Sunaane
Kurta kahi’n jala hai chaadar kahi’n jali hai
Amma Teri Kamaai jangal me lut gayi hai
-----------------*-----------------

Zaki Bilgrami

LUT GAYI KARBOBALA ME TERI DUNIYA AMMA

Qabre Zehra pa ye Zainab ka tha Nouha Amma


Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Shimr ne Sibte Payambar ka gala kaata hai


Kund khanjar se Baradar ka gala kaata hai
Itni berahmi se Sarwar ka gala kaata hai
Garm reti pa tadapta raha Bhayya Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Kal talak Aun o Muhammad the Ali Asghar tha


Paas Qasim tha Sakina thi Ali Akbar tha
Jin charaagho’n hi ke dam se Tera roushan ghar tha
Aaj unhe kha gaya maqtal ka andhera Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
~ 130 ~

Meri chaadar ka Muhafiz Mera Safdar na raha


Meri dhaaras na rahi saaniye Haidar na raha
Mera Bhai Mera Abbase Dilawar na raha
Kho gaya Zainabe Muztar ka sahara Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Godiya’n lut’ti huwi jalte huwe ghar dekhe


Aur naizo’n pa Shaheedo’n ke kate Sar dekhe
Teri Beti ne kayi hashr ke manzar dekhe
Yaad aati hai to jalta hai kaleja Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

Daagh jo Dil ne utHaay hain bataaae’n kaise


Neel bazu pa jo aaye hain dikhaae’n kaise
Apni barbadi ki rudaad Sunaae’n kaise
Aaj duniya me nahi’n koi Hamara Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma

-----------------*-----------------

Hasan Abbas Ahsan

ZAINAB TADAPKE KEHTI THI QABRE BATOOL PAR


AMMA TUMHARA LUTGAYA JANGAL ME SARA GHAR

Amma Lahu me doob ke Akbar guzar gaya


Laila ka dil Hussain ka Noore Nazar gaya
Atthara saal pala tha Jisko wo Margaya
Barchhi ka phal laga Mere Akbar ke Qalb par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Qismat ne haay Kubra ko Bewa bana diya


Amma Lahu Lahu huwa Noushaahe Karbala
Bhai jo Laash par gaye dekha ye maajra
Bikhre huwe the Laash ke tukde idhar udhar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
~ 131 ~
Shaane katake nahr pa Jarraar Sogaya
Dhaaras Haram ki Bhai ka Dildar Sogaya
Lashkar huwa tamaam Alamdar Sogaya
Pohnche the Shaah Laash pa Thaame huwe kamar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Tapti zameen par gira jab Shaahe Dee’n panah


Manzar wo dekhna pada zakhmi huwi Nigah
Khanjar se kat rahi thi Muhammad ki Bosagaah
Noke sina pa dekha hai Bhai ka Maine Sar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Amma na poochho baad me kya kya huwe sitam


Oonto’n ki nangi pusht pa the Sar barehna Ham
Bebas the rassiyo’n me bandhe sab Aseere Gham
Dil phat gaya padi juhi’n Sajjad par Nazar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Mehshar ka samna Hame har ek gaam tha


Lakho’n tamaashbeen the ek ishdehaam tha
Amma Main Sar barehna thi bazare shaam tha
Amma Hamari sharm se uth’ti na thi Nazar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Darbare shaam me to qayamat hi aagayi


Thi mehfile yazid me Main nange Sar Khadi
Larza tha saare Jism me Lab par tha Ya Ali
Rakha huwa tha tasht me Bhai ka Mere Sar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Wo hont jispa Zikre Elaahi tha sub’ho shaam


Wo hont jisko Choomte the Sarware Anaam
Wo hont teen roz rahe the jo tashnakaam
Maari chhadi yazeed ne un pyaase honto par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Ankho’n me Meri rahgaya wo karb ka sama


Taareek qaidkhaane me Bachchi ki hichkiya’n
Ghut ghutke haay Margayi Amma Sakina Jaa’n
Behre kafan tha Jism pa Kurta Lahu me tar
~ 132 ~
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar

Amma jo Mera Dard hai kaise Karu’n baya’n


Amma hain Baazuo’n pa Mere zulm ke nasha’n
Amma Tumhari Beti ke dukhte hain Ustokhwaa’n
Ahsan Lahad larazti thi Zainab ke Bain par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
-----------------*----------------
Aulad Hussain Lallan Qibla

WA HASRATA HUSSAINA
Zan haay Shaam o Kufa Wa Hasrata Hussaina
Benindaye Tamasha Wa Hasrata Hussaina
Zainab Aseere aada Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Zakhmi shuda Khudaya Wa Hasrata Hussaina
Az Taaziaana har jaa Wa Hasrata Hussaina
Pehluwe Binte Zehra Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Goyed Zehra Hazeena Wa Hasrata Hussaina
Veerana Shud Madina Wa Hasrata Hussaina
Shud Be Pidar Sakina Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Az Margat ain asr shud Wa Hasrata Hussaina
Rang e jaha’n deegar shud Wa Hasrata Hussaina
Zainab barehna sar shud Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Goyed Sakina pur Gham Wa Hasrata Hussaina
Az dast e shimr e Azlam Wa Hasrata Hussaina
Khu’n shud rawan zee gosHam Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Bastande qaum e ada Wa Hasrata Hussaina
Dar ik rasan ba eeza Wa Hasrata Hussaina
Aale Rasool e khud Ra Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
Kursi nasheen sitamgar Wa Hasrata Hussaina
Dar tashte farq e Athar Wa Hasrata Hussaina
Dar e zindaan sitamgar Wa Hasrata Hussaina
Sadd Al Wida Hussaina Wa Hasrata Hussaina
-----------------*-----------------
~ 133 ~

Sadiq
AYE NOORE AINE FATIMA ZEHRA NA JAAIYE

Aye Noor e Ain e Fatima Zehra Na Jaaiye


Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Tumhare Aane se Rounaq gharo’n me thi


Din raat Gham Tumhara kiya karte the sabhi
Muddat ye do mahino ki maatam me katgayi
Rounaq ki jaah hai aaj udaasi baras rahi
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Tumhare taazia khaane udaas hain


Jitne Tumhare Shia hain sab be hawaas hain
Dhaaras ye thi ke Aap ghulaamo’n ke paas hain
Ab aap ja rahe hain to Ham sab hiraas hain
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula Aza ki bazm me Aati thi’n Fatima


Zehmat ye do mahine Uthati thi’n Fatima
Aansu’n Hamare saath Bahaati thi’n Fatima
Ham ko Duaaein deke hi Jaati thi’n Fatima
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Moula ab Aap agle baras hind Aaenge


Jeete hain rone waale to phir Tum ko paaenge
Maatam karenge aur Alam bhi uthaenge
Waada Karo ke Aaenge aur sab ko laaenge
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye

Aye Jaan e Mustafa o Ali Shaah e Mashraqain


Lillah sunte jaaiye Moula Hamare bain
Ehsaas keh raha hai ke Aye Fatima ke Chain
Jee bhar ke Ham na kar sake Maatam Tera Hussain
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
-----------------*-----------------
~ 134 ~

Rasheed Shaheedi

AAKHRI SALAAM

Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam


Tujhko Wida karne ko aaye hain ye ghulam

Kaisi udaasiya’n hain ye ghurbat ka waqt hai


Ham par ye aaj kaisi musibat ka waqt hai
Bazme Aza se Aapki Rukhsat ka waqt hai
Rounaq Hamare ghar ki na Le Jaaiye Imam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ham Shakl e Mustafa Ali Akbar ki wo Azaa’n


Tadpaati hain Hame Ali Asghar ki hichkiyaa’n
Ab chhaa rahi hain haay ye kaisi khamoshiyaa’n
Ayyaam ye Aza ke huwe jaate hain tamaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ummul Bani’n ka Laal Alamdaar e Karbala


Seene me jiske ghut gaya arma’n jihad ka
Shaane bhi uske katt gaye mashkeeza chhid gaya
Maatam karenge roenge Ham zindagi tamaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Ab bhi lahu rulaati hai Akbar ki tashnagi


Abbas aur Sakina ki Asghar ki tashnagi
Tu ne bujhaayi pyaas me khanjar ki tashnagi
Aankhon me leke aaye hain Ham aansuon ke jaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Khaimo’n ki aag aur wo har simt shor o shain


Wo Al Atash ki goonj wo kamsin labon ke bain
Durre tamaanche aur wo har lab pa Ya Hussain
Aankhon me ab bhi baaqi hai wo Karbala ki Shaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
~ 135 ~

Akbar Salam Aye Ali Asghar Tujhe Salaam


Farwa ke Chaand Qasim e Muztar Tujhe Salaam
Abbas Aye Hussain ke Lashkar Tujhe Salaam
Aye Bekas o Ghareeb Mere Tashna Lab Imaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Bas Tere Gham ke sadqe me izzat Hame mili


Moula Tera karam hai Teri banda parwari
Tujh ko Hamari fikr thi rukhsat ke waqt bhi
Ham bekason tak aagaya Moula Tera Salaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam

Moula ye hai Rasheed Shaheedi ki iltija


Pohnchaade Ham Ghulaamo’n ko ab jald Karbala
Maatam karenge phir Tere Raoze pa ham Tera
Ham se na ho saki Teri khidmat Shahe Anaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
-----------------*-----------------

MIr Ashraf Ali Aqeel

AL WIDA AL WIDA

Aaj har ek Azadare Shabbir ke


Hai labo’n par fugha’n Al Wida Al Wida
Aa rahi hai har ik simt se ye sada
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Ronaqein ab gharo’n se chali jaaengi


Fatima Bhi yaha’n ab nahi Aaengi
Har taraf ik udaasi si chhaa jaaegi
Roenge mezba’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Tukde tukde Pidar ka kaleja hua


Rann me paamaal Bete ka Laasha hua
Aye Yateeme Hasan Naoshahe Karbala
~ 136 ~

Qasime Khasta jaa’n Al Wida Al Wida


Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Deene Ahmed ka seena sipar jo hua


Tere seene me barchhi ka phal reh gaya
Laash Teri Shahe Dee’n se uth na saki
Akbare Naojawa’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Teer se pyaas Teri bujhaai gayi


Pushte khaima lahad jab banaayi gayi
Khod kar qabr kaata gaya sar Tera
Asghare bezaban Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Sar Tera Noke Naiza se girta raha


Aur ghode ki gardan me bandha gaya
Tere marne ne Sheh ki kamar tod di
Aye Ali ke Nashaa’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Tu har ik gaam par qatl hota raha


Be ridaai pa kunbe ki rota raha
Tauqo zanjeer Tujh ko pinhaai gayi
Abid e Naatawa’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Daamane Sabr Tujh se na chhoota kabhi


Tu ne Bachcho’n ko Apne na roya kabhi
Binte Zehra aye Aun o Muhammad ki Maa
Tujh si Maadar kaha’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Baad qatle Pidar har sitam Sehgayi


Hasrate Dil Liye qaid me Margayi
Lo Utho ja raha hai watan karwa’n
Sheh ki aaraame jaan Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida
~ 137 ~

Lamhaye rukhsate mehma’n aagaya


Haq ada mezbaani ka ho na saka
Leke aankhon me ashke aqeedat kaho
Aye Lute Karwa’n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida

Kyun na ab ho Aqeel ek mehshar bapa


Hamse hote hain rukhsat Shah-e-Karbala
Keh rahe hain Shahinshaahe Kauno Maka’n
Aye Mere mezbaan Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha’n Al Wida Al Wida
-----------------*-----------------

Hazrat Saeed Shaheedi

ZAINAB JIGAR FIGAAR JAHA’N SE GUZAR GAYI

Beto’n ko jisne Bhai pa qurbaan kar diya


Laashe jab Aaye Shukr ka Sajda Adaa kiya
Aisa muzahira kabhi dekha na sabr ka
Sarwar ki Gham gusaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Baazu the reesma’n me bandhe baddua na ki


Bhai Bhatije qatl huwe baddua na ki
Ahle haram ke khaime jale baddua na ki
Bhai ki Ja’n Nisaar jahan se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Ho kar aseer koocha o bazaar me gayi


Kunbe ko leke majlis e ghadaar me gayi
Sar nange jo yazeed ke darbaar me gayi
Mehzoon-o Dil figaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi
~ 138 ~

Khutba Ali ke Lehje me jis ne suna diya


Darbaar ko yazeed ke jis ne hila diya
Tha haq pa kaun jis ne jaha’n ko bataaa diya
Haq baino Haq Sheyaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Ham Shakl-e Mustafa ka jo Maatam na kar saki


Abbase Ba Wafa ka jo Maatam na kar saki
Mazloom e Karbala ka jo Maatam na kar saki
Kunbe ki sogwaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Thi Haidari jalaal ki tasweer shaam me


Ki Maqsade Hussain ki Tash’heer shaam me
Rakhi Binaaye Majlise Shabbir shaam me
Maatam ki zimmedaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi

Zaalim ne belche se Jise kar diya Shaheed


Kaise kahu’n jo Uspa mazaalim huwe Shadeed
Dil kaampta ha zapt ka yara nahi’n Saeed
Zehra ki Yaadgaar jaha’n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha’n se guzar gayi
-----------------*-----------------

Ali Jaweed Maqsood

ASEERE FAUJE SITAM QAIDIYE MEHAN ZAINAB

Hai jiska Ayat e Tat’heer Pairahan Zainab


Imamato’n ki Madadgaar khasta Tann Zainab
Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab
Ali ki Jaayi hai Abbas ki Bahan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab
~ 139 ~

Wo waqte Asr wo maqtal wo sogwaar Fazaa


Nazar ke saamne Bhai ka katt raha tha gala
Tadap Raha tha Badan zere tegh Pyaase ka
Udhar thi mehwe fughaa’n Shah ki Bahan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Chhuta hai Bhai bhi aur marchuke hain Bachhe bhi


Rida bhi Sar pa nahi’n jal chuke hain khaime bhi
Jale hain qalb bhi daaman bhi aur kurte bhi
Chali hai chhor ke Bhai ko bekafan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Jawa’n ka qatl to khud Uske Dil pa bhaala tha


Tha Gham Azeem to Shabbir ko sambhaala tha
Qadam jo khaime se pehle pahal nikaala tha
Sahara dene ko aayi thi pur mehan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Dayaar e Kufa me taqreer se jihad kiya


Diya hai shaam ke darbaar me kabhi khutba
Kabhi khamoshi se mazloomiyat ko nashr kiya
Kabhi Ali Kabhi Zehra Kabhi Hasan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Khayaal Kunbe ka tha Ro saki na ji bhar ke


Nikalne paaye na armaan Binte Haidar ke
Tha ek qalbe hazee’n daagh the Bahattar ke
Lahad me Le Gayi zakhmo’n ka ye chaman Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab

Qanaat thaam le ye Akbar-e Jawa’n se kaho


Sahara dene ko Aye Saaniye Ali Utho
Bahan ko Aye Shahe Bekas Tumhi sawaar karo
Chali hai Karbobala se suwe Watan Zainab
Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab
-----------------*-----------------
~ 140 ~

Agha Abbasi Hashr

AYE HUSSAIN-E-BEKAS KI GHAMZADA BAHAN ZAINAB

Binte Faatehe Khaibar Khwahare Hasan Zainab


Do Jaha’n ki Shehzaadi Jaane Panjatan Zainab
Phir huwi’n Bhateeje ke saath bewatan Zainab
Haay wo Tere baazu aur wo rasan Zainab
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Khaatima huwa Tujh par har nayi musibat ka


Tu ne phir nahi’n dekha daor koi raahat ka
Kya jawaab ho sakta koi Teri Himmat ka
Kyun na ho qalaq Hamko phir Teri Shahadat ka
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Khoon Naonehaalo’n ka Laasha-e Jawa’n dekha


Naawake sitam dekha halqe Bezaba’n dekha
Karbala ka Nazaara Shaam ka Sama dekha
Seh ke har musibat ko suwe asmaa’n dekha
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Manzilein huwi’n aakhir Shaam ka dayaar aaya


Ahle Bait ke ghar me Ahde Inteshaar aaya
Khud Imam Baalee’n par ho ke ashkbaar aaya
Haay Sar pa Zainab ke belche ka waar aaya
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab

Hashr Shaahzaadi ne kitne Gham uthaaye hain


Zulm ki fazaaon me taaziyaane khaaye hain
Dee hai Apni Chaadar bhi Haath bhi Bandhaaye hain
Sabro Zapt ke jauhar qaom ko dikhaaye hain
Aye Hussaine Bekas ki Ghamzada Bahan Zainab
-----------------*-----------------
~ 141 ~

Rasheed Shaheedi
HAM KARTE HAIN KARBAL KE AZADAR KA MAATAM
ZANJEER ME JAKDE HUWE BIMAR KA MAATAM
Wo khoon me dooba hua Shabbir ka Laasha
Be goro kafan dhoop me reti pa pada tha
Manzar ye jigar thaam ke Sajjad ne dekha
Har su hai bapa ab Usi Ghamkhwaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Sajjad ne Dekhe hain ajab dard ke manzar


Naizon ki balandi pa Shaheedon ke katte sar
Maa Behne thi’n bazaro’n me be maqnao chaadar
Shabbir ke maqsad ke Madadgaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Paabande rasan ho gayi Kubra ki kalaayi


Chaadar bhi na thi Sar pa ghata zulm ki chhayi
Ik Bewa Bahan saath thi majboor tha Bhai
Hai aaj Usi bekaso nachaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Rassi me bandha Pyaasi Sakina ka gala tha


Kehti thi Mujhe godh me Le lijiye Bhayya
Kis tarha se Dete Usse Sajjad dilasa
Hai Tauqo Salasil ke giraftaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Be parda wo na mehramo’n me Waarise Tat’heer


Wo Taoqe giraan pehne huwe Sabr ki Tasweer
Aazaadi ka paighaam sunati rahi Zanjeer
Hota hai usi Qaafela Salaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Paa’un me waram pusht par durro’n ke nashaan the


Zakhmi huwe sab raaste jab aabele phoote
Beemaar tadapta hi raha zakhme gulu se
Hai Qafela-e Sabr ke Sardar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam
~ 142 ~

Aata kabhi jab saamne Sajjad ke paani


Yaad aati thi Asghar ki Usse tashna dahani
Tadpaati thi paiham Ali Akbar ki jawaani
Aao kare’n Pyaason ke Azadaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Jab poochhta koi to ajab hota tha kohraam


Toote hain kahan sab se ziada Ghamo aalaam
Dil thaam ke Sajjad kaha karte the AzShaam
Bazaar ka Zindaan ka Darbaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Rowe’n hain Tere Gham me Ali aur Hasan bhi


Tadpe hain Tere Gham me Shahe Tashna Dahan bhi
Be chain huwi’n Fatima Sarwar ki Bahan bhi
Maatam hai Tera Ahmade Mukhtaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam

Mazloom ke hisse me bhi zehre sitam aaya


Ik hashr Rasheed Ahle Madina me tha barpa
Lo sogaya Islam ke zakhmon ka Masihaa
Ashko’n ki fazaao’n me hai Beemaar ka Maatam
Zanjeer me jakde huwe Beemaar ka Maatam
-----------------*-----------------

Syed Mustafa Moosavi

KYA ZULM THE FARZANDE HUSSAIN IBNE ALI PAR


ZANJEER BHI RONE LAGI AABID SE LIPAT KAR

Sar kat’te hi Baba ka qayamat huwi barpa


Thi aag lagi khaimo’n me ik hashr bapa tha
Ghash me the pade Abide Beemar zami’n par
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
~ 143 ~

Kya kya na sahe ranjo sitam Abide Dilgeer


Zakhmo’n se lahu behta tha jab hilti thi zanjeer
Koi na taras khaata tha hanste the sitamgar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Jhoola Ali Asghar ka jhulaste huwe dekha


Chaadar Sar-e Zainab se utarte huwe dekha
Is zulm pa bhi sabr kiya Allah o Akbar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Mazloom Sakina ki bhi turbat hai banayi


Maa deti rahi Laash pa ro ro ke duhaayi
Dafna ne ko behna ke kafan tha na muyyasar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Bas Shaam ka naam aate hi Hojaate the Muztar


Maa Behne’n Phupi saath thi’n be maqna o chaadar
Kehte the na Bhoolunga kabhi shaam ka manzar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Baba se jo waada tha Usse kardiya poora


Wo sabr kiya sabr bhi aajiz nazar aaya
Mazloomi ke sadqe Tere Aye Shah ke Dilbar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Khwahar ko tamaanche lage par lab na hilaya


Hamsheer tadapti rahi jalta raha seena
Aur saamne Masooma ke bhi chhin gaye gohar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par

Aye Moosavi duniya se utha aaj wo Ghamkhwaar


Chaalees baras Roya tha Sheh ka jo Azadaar
Maatam usi Mazloom ka hai aaj har ik ghar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
-----------------*-----------------
~ 144 ~

Allama Akhtar Zaidi

SAR PA AB SHAAHE KHURASAN KA SAYA NA RAHA

Sar pa ab Shaahe Khurasaan ka saya na raha


Ham gharibo’n ke liye koi sahara na raha

Khaak par lot’te hain aalame tanhaai me


Aisi ghurbat hai koi poochhne wala na raha

Ranj Moula ko ghareebul watani ka hai bahot


Ajnabi chehre hain sab koi sanaasha na raha

Zehr ka aisa asar hai ke tadapte hain Imam


Is musibat ko koi dekhne wala na raha

Haay Masooma-e Qum roke yahi kehti hain


Kyun Mujhe mout na aayi Mera Bhayya na raha

Kamsini me hai Taqi par ye musibat aayi


Sar pa afsos ke ab Baap ka Saya na raha

Aaj Maatam hai Ghareebul Ghuraba ka Akhtar


Gham se dil phat’ta hai ab zapt ka yara na raha

-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

MAATAM HAI RAZA KA

Lo uthgaya duniya se gharibo’n ka Masiha, Maatam hai Raza ka


Gham Shaahe Khurasa’n ka zamane me hai barpa Maatam hai Raza ka

Zalim ne kiya zulm Gharibul Ghuraba par, mehmaan bula kar


Haatho’n se jigar thaam ke bechain hai Moula, Maatam hai Raza ka
~ 145 ~

Angoor me zalim ne diya zehr dagha se, Moula hain Tadapte


Is zulm se tukde hua Moula ka Kaleja, Maatam hai Raza ka

Kaisa ye sitam hai Dil-e Masuma-e Qum par, kaise jiye Muztar
Rukhsat hua wo Bhai Jo Tha Chaahne wala, Maatam hai Raza ka

Masooma-e Qum karti hain Ro Ro ke yehi Bain, Dil hota hai bechain
Main zinda rahi margaya haaye Mera Bhayya, Maatam hai Raza ka

Yaad aagayi Moula ko yaqinan dame ruqsat Shabbir ki Ghurbat


Is waaste mitti pa Tadapne lage Moula, Maatam hai Raza ka

Ab Ahle Aza peetke sar khaak udaao, aur ashk bahaao


Dena hai Hame Moosa-e Kazim ko bhi pursa, Maatam hai Raza ka

Uth’ta hai Rasheed ab Shah-e Bekas ka Janaza, Naoha hai Taqi ka


Jaate ho Mujhe chhorh ke tanha Mere Baba, Maatam hai Raza ka

-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

AAJ HAI KHURASA’N ME IK GHARIB KA MAATAM

Toos ki hawaao’n me hai ye kaise bechaini


Har taraf fazaao’n me hai ye bekali kaisi
Goonjti hain ghar ghar me ab sadaae’n Maatam ki
Us Imam ke Gham me sab ki aankh hai purnam
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam
Ik Ghareebo Bekas ko Kisne zehr dedala
Us Imame Hashtum par hogaya sitam kaisa
Karwatein badalte hain khaak par Shahe Wala
Dil ko thaam kar Moula khaak ugalte hain paiham
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam
Aaj Dilbare Kazim Hamse hogaya rukhsat
Kya baya’n kare koi is Ghareeb ki haalat
Kaisi hai ye tanhaayi haay kaisi hai Ghurbat
Ab watan se doori hai bekasi ka hai aalam
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam
~ 146 ~

Hota hai do aalam me Gham Imame Zaamin ka


Kar rahe hain sab Maatam sab ke lab pa hai Nouha
Lo Janaza uthta hai aaj Uska waawaila
Tha na Jiska Ghurbat me koi Moniso Hamdam
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam
Ik Bahan pa toota hai Bhai ka ye Gham kaisa
Khaak udaake Roti Hain aaj Qum ki Maasooma
Keh rahi hain roroke Margaya Mera Bhayya
Kya karu’n Main ab jeekar kaun hai Mera Hamdam
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam
Aagaya Taqi par hai Daor ab Yateemi ka
Kamsini ke aalam me haay karb hai kaisa
Sar se uth gaya Unke aaj Baap ka Saaya
Us Imam ko Pursa dete hain Rasheed ab Ham
Aaj hai Khuraasa’n me Ik Ghareeb ka Maatam

-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

DEENE MOHD KI BAQA YA HUSSAIN


BAS WO TERA AAKHRI SAJDA HUSSAIN

Seena’e Akbar se jo khenchi sina


Hogaya Ik khoon ka darya rawa’n
Kaise uthe Laasha’e Kadiyal jawa’n
Tu ne wo Laasha bhi uthaya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Jang huwi khoon me ghaltaan huwe


Khaakh pa Zainab ke Pisar gir pade
Khaime me jab Dono ke Laashe gaye
Maa ne kiya Shukr ka Sajda Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
~ 147 ~

Dekh ke Naoshah Ka Tukde badan


Bain kare Kis se lipat kar Dulhan
Door Madine me hai Hamsin Bahan
Bewa huwi Fatima Kubra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Dafn kiya Tu ne jo apna Pisar


Nanhi si turbat me jigar thaam kar
Asghar-e Masoom ki Maa ne magar
Phool sa Sar naize pa dekha Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Akbar o Asghar bhi fida kardiye


Qasim o Abbas juda hogaye
Deen e Payambar ki baqa ke liye
Tu ne bhare ghar ko lutaya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Hazrat e Abbas ke Shaane kate


Zainab o Kulsoom ke Baazu bandhe
Haay wo Pyaason pa kathin marhale
Tauq me Aabid ka gala tha Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shimr jo khanjar liye aage badha


Fatima Zehra ki ye aayi Sada
Chhor de Bachcha hai Mera bekhata
Hai ye Muhammad ka Nawasa Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Deti rahi Fatima Zehra sada


Katgaya lekin Tera Pyaasa gala
Sar Tera naize se bhi Deta raha
Haqq o Sadaqat ki sada Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
~ 148 ~

Aale Nabi Koocha o Bazaar me


Tauq e Giraa’n Gardan e Beemar me
Sar khule phir Shaam ke darbar me
Laayi gayi Saaniye Zehra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shaam ke zindaan ki taarikiya’n


Karti rahi Pyaasi Sakina fugha’n
Sou’n Main kaise Tera Seena kahan
Aaiye jald Aaiye Baba Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Shimr ne maare hain tamaache Mujhe


Dekhiye rukhsaar hain soojhe huwe
Dard hai kaano me abhi tak Mere
Marti hai ab Teri Sakina Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Aaj talak hai Tere Gham ka asar


Shaam me Majlis ki bina daal kar
Binte Ali baith Gayi’n khaak par
De diya Majlis ka Saleeqa Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Ham ko Tere Gham ki Sa’aadat mili


Kitni balandi ki Ibaadat mili
Ik Tere Maatam me ye Izzat mili
Aati hain Majlis me jo Zehra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Fatima Zehra ne ye Ehsaan kiya


Hamko Tere Gham ke liye chun liya
Tere Azaadaar ko Rutba mila
Ban gaye Zehra ki Tamanna Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Ham ko Rasheed Usne sahara diya


Jab bhi masa’eb ne paresha’n kiya
~ 149 ~

Ham ne tadapte huwe be saakhta


Tute huwe dil se pukara Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

-----------------*-----------------

Allama Akhtar Zaidi

TAQDEER BADAL JAAEGI ZEHRA KI DUA LE

Shabbir ke Maatam me lahu apna baha le


Is dard se ehsaas ki duniya ko saja le
Ye zakhm nahi’n phool hain seene se lagale
Is raah pa chal daolat e Imaa’n ko bachale
Jeene ka sahara Gham e Sarwar ko bana le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Girte huwe Qasim ne Chacha ko jo pukaara


Shabbir ne Dulha ko ajab haal me dekha
Tha jism jo paamaal aba me usse rakha
Masnad pa rakha Shah ne Naoshah ka Laasha
Ab kaun hai jo Fatima Kubra ko sambhaale
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Jab Akbar e Zeeshan ne phal barchhi ka khaaya


Kya sabr ka andaaz jaha’n ko nazar aaya
Ye hosla duniya me Kisi ne nahi’n paaya
Sarwar ke siwa kaunsa banda hai Khudaya
Bete ke kaleje se jo barchhi ko nikaale
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Do Bhai jo mare gaye ik hashr bapa hai


Gham Aun o Mohd ka har ik Maa ko hua hai
Har simt faqat girya o Maatam ki sada hai
Lekin Lab e Zainab pa faqat ik Dua hai
Sab Qatl ho’n par Tu Mere Bhai ko bacha le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
~ 150 ~

Maidaan me be dast Alamdar pada hai


Ab Shah ko tanhaai ka ehsaas hua hai
Khaime me Alam aaya hai ik hashr bapa hai
Ammu jo nahi’n aaye Bhatiji ko gila hai
Aye Pyaas Sakina ko kaleje se laga le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le

Shabbir ke haathon pa hai Maasoom ka Laasha


Phailaaye huwe haath khadi ha koi Dukhiya
Be chain hai Maa bachche ko De Dijiye Moula
Reh jaaye na ghut kar Dil e Maadar me tamanna
Ik baar wo Besheer ko jhoole me jhala le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

KARBALA HAYYA ALAA KHAIRIL AMAL

Deen e Ahmed ki Baqa Hai Karbala


Sajdagaahe Ambiya Hai Karbala

Zulm ki aandhi me haq ki justju


Tashnagi karti hai zakhmon se wuzu
Sabr ke bande ki Rab se guftugu
Hashr tak Haq ki Sada Hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

In Fazaao’n me hai Akbar ki Azaa’n


Karbala Haq ka hai aisa Karwaa’n
Aaj tak qaayam hai jiska Paasbaa’n
Noor ka ik Silsila hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Tashnagi ke khoon ki tehreer hai


Karbala Qur’an ki Tafseer hai
Karbala Islam ki taqdeer hai
~ 151 ~

Haq ka ik Roshan Diya Hai Karbala


Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Karbala Ehsaas ki Pehchaan hai


Karbala ka Deen par Ehsaan hai
Karbala har rukh se Aalishaan hai
Fikr ki hadd se siwa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Dil hai Karbal mutma’in ahle yaqeen


Is se behtar Sar Zameen koi nahi’n
Jhukti hai yaa’n aasmaano’n ki Jabeen
Har bulandi ka pata hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Fakhr jab Kaabe ki Dharti ne kiya


Daf’atan ye Arsh se aayi Sada
Hai kahan tujh me bhala Khaak e Shifa
Tujh se rutbe me siwa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Hai kahan is khaak ka naimul badal


Pyaas ki dharti pa ashkon ka mahal
Karbala Hayya Ala Khairil Amal
Bandagi ki Inteha hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Karbala ka Gham nazar ki pyaas hai


Karbala ehsaas hi ehsaas hai
Karbala toote dilo’n ki aas hai
Zindagi ka hosla hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Tha kahi’n Naoshah ka tukde badan


Aasma’n tha bikhre Laashe ka kafan
Be rida thi chand lamho’n ki Dulhan
Kaaba e Sabr o Riza hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala
~ 152 ~

Dasht me Mayyat hai Sheh ki Bekafan


Chhin gayi chaadar hai baazu me rasan
Kya kare Abbas ki bekas bahan
Sabr ka ik maareka hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Hai Ghame Sarwar Shiaar e Ambia


Ye saleeqa Binte Zehra ki ataa
Khaak pa hota hai zikr e Karbala
Toote dil ka Aasra hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Bekafan Laashe hain maqtal me pade


Ik rasan baara aseero’n ke gale
Qafela pyaasa hai zakhmi raaste
Himmat e Zainulleba hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Aag daaman me Sakina ke lagi


Taaziaane Shimr ke khaati rahi
Jalte zakhmon ne badhaai Tashnagi
Pyaas ka ik mojiza hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Yu’n mila pursa yateemi ko yaha’n


Gaal par ubhre tamaanchon ke nasha’n
Kaan zakhmi hain kahan hain baalia’n
Ik musalsil marsiya hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

Majlise Shabbir hoti hain jaha’n


Fatima tashreef laati hain waha’n
Aye Rasheed aisi Ibadat hai kaha’n
Haan muqadar ki ataa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala

-----------------*-----------------
~ 153 ~

Allama Akhtar Zaidi

AYE KARBALA TUHI BATAAA


MEHMAAN KYU’N PYAASA RAHA

Jaane Wila hai Karbala


Gham ki Dua hai Karbala
Ik raasta hai Karbala
Roshan hai kiska naqshe pa
Aye Karbala tuhi bataa

Ho hosala Azme Jawan


Mardaane haq ka Imtihaan
Quraan ko di Kis ne zaban
Goonji kahan haq ki sada
Aye Karbala tuhi bataa

Zinda hai mayaar e wafa


Ehsaan hai Abbas ka
Dariya jo hai behta hua
Sadqa hai uski pyaas ka
Aye Karbala tuhi bataa

Kehte hain jis ko Nainawa


Waada jaha’n poora hua
Hai naam ik maidaan ka
Ya sabr hai Shabbir ka
Aye Karbala tuhi bataa

Asghar pa gira kya alam


Nanha gala teer e sitam
Kaise saha Sheh ne ye Gham
Jab aasra koi na tha
Aye Karbala tuhi bataa
~ 154 ~

Kab ahle haq ke sar jhuke


Sheh rag se katt gaye gale
Bayat jahan sajde karre
Aisa kahi’n Kaaba bana
Aye Karbala tuhi bataa

Noor-e-Sehr jab chhaa gaya


Hur Shaah-e-Deen tak aagaya
Taofeeq Haq se paagaya
Kis ki sada ka faiz tha
Aye Karbala tuhi bataa

Akbar ka seena aur sina


Woh zabt-e-Sarwar Allama’n
Haathon pa hai Laasha jawa’n
Aisa kahi’n dekha gaya
Aye Karbala tuhi bataa

Kaise huwa ye Saaniha


Naoshah kyun raonda gaya
Kis haal me Laasha mila
Sheh ne aba me kya rakha
Aye Karbala tuhi bataa

Abbas ne kya dukh sahe


Sar ta qadam bas zakhm the
Baazu bhi us ke katt gaye
Kaise zameen par wo giraa
Aye Karbala tuhi bataa

Sar par koi saaya na tha


Thi khaak par Aale Aba
Din bhar me sab kuch lut gaya
Ye kya hua kaise hua
Aye Karbala tuhi bataa
~ 155 ~

Hai Sajdagaah-e-Aolia
Tasleem sab ne kar liya
Haq ki Azaa’n hai Karbala
Kis ne isse baaqi rakha
Aye Karbala tuhi bataa

Saathi na jab koi raha


Tanha tha Ibne Fatima
Tha zere khanjar jab gala
Kya Aalam-e Tanhaai tha
Aye Karbala tuhi bataa

Shaam e Ghareeban ka Sama’n


Har simt shole aur dhuaa’n
Be aas saari Bibiyaa’n
Zainab huwi kyun Berida
Aye Karbala tuhi bataa

Akhtar thi Zainab ki fugha’n


Aaye hain Baba ab yaha’n
Kya kya karun un se baya’n
Tu hi bataaa Aye Karbala
Aye Karbala tuhi bataa
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

YAAD-E-SHABBIR

Yaad-e-Shabbir me Zainab yehi karti thi fugha’n


Bas Tera Gham hai Mere saath Main jaati hu’n jaha’n
Mere Bhayya ho kaha’n

Maine dekha hai Tere pyaase gale par khanjar


Aaj tak Mere kaleje pa wo khanjar hai rawa’n
Mere Bhayya ho kaha’n
~ 156 ~

Kufa o Shaam ke baazaaro’n se guzri Bhayya


Dekho baazu pa ubhar aaye hain rassi ke nasha’n
Mere Bhayya ho kaha’n

Chhin gayi Sar se Rida Main gayi darbaaro’n me


Gardane Abide Beemar me thi touqe gira’n
Mere Bhayya ho kaha’n
So gaya dasht me har naaz Uthane Waala

Kisko Dikhlaati Sakina wo tamaacho’n ke nasha’n


Mere Bhayya ho kaha’n

Zulm seh seh ke Sakina ne bhi dam tod diya


Par mayassar na hua Ghuslo kafan ka sama’n
Mere Bhayya ho kaha’n

Behre soughaat liye jaati hu’n Main daaghe rasan


Kya kahu’n poochhe jo Sughra Mera Baba hai kaha’n
Mere Bhayya ho kaha’n

Binte Zehra ke musalsal the yahi bain Rasheed


Mera Abbas kaha’n hai Mere Bhayya ho kaha’n
Mere Bhayya ho kaha’n
-----------------*-----------------

SOONA HAI MADINA


Aashoor ko aaya ye khatte Fatima Sughra Soona Hai Madina
Kab laut ke ghar Aaoge Ya Shahe Madina Soona Hai Madina

Main dar pa khadi rehti hu’n ik aas lagaaye Bhayya nahi’n Aaye
Shikwa nahi’n Akbar se hai Taqdeer se shikwa Soona Hai Madina

Do din se Mere halq se paani nahi’n utra qurbaan ho Sughra


Dil kehta hai pardes me Tum pyaase ho Baba Soona Hai Madina

Pardes me Bhayya ho agar Byaah Tumhara armaan hai Mera


Baandhe huwe Sehra meri turbat pa bhi aana Soona Hai Madina
~ 157 ~

Main raato’n ko soti hu’n to jaag uthti hu’n aksar kya baat hai aakhar
Bikhraaye huwe baal nazar aati hain Zehra Soona Hai Madina

Ik sheeshe me kuch khaak liye phirti hain Daadi aur karti hain Zaari
Mazloom Hussaina Mere Mazloom Hussaina Soona Hai Madina

Amma ki bhari godh rahe maang na ujde Khaaliq se Dua hai


Ya Rab Mere Besheer ka Aabaad ho jhula Soona Hai Madina

Khat padh ke Hussain Ibne Ali khoob sa Rowe aur Sar ko Jhukaye
Qaasid ke qaree’n rakh diya ik nanha sa Laasha Soona Hai Madina

-----------------*-----------------

Sachche Pakistani
AYE SHERE NEYASTAANE HAIDAR ABBAS
DETI THI SADA ZAINAB ROKAR ABBAS

Kya isi din ke liye maangi thi Baba ne Dua


Aake pardes me hojaoge Tum Ham se juda
Sote ho chain se darya ke kinaare Bhayya
Kya sunaayi nahi’n deti Tumhe Halmin ki sada
Abbas Tanha hain Khade rann me Sarwar Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar

Gir ke ghode se sada Baap ko Akbar ne jo dee


Dilbar e Fatima Zehra ki ajab haalat thi
Haath malte the kabhi ghaath ko takte kabhi
Thaam kar tooti kamar kehte the Farzande Nabi
Abbas Laau’n kaise Laashe Akbar Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar

Haal Shabbir ka ab to nahi dekha jaata


Hai kamar kham nahi’n aankhon se sujhaai deta
Ye zaeefi ye jawa’n Laal ka sadma Bhayya
Thaam lo badh ke zara haath tumhi Bhai ka
~ 158 ~

Abbas Khaate Hain thokar par thokar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar

Kya isi din ke liye saath behen thi aayi


Aagayi neend jo darya ki taraayi paayi
Phir palat kar Hame surat bhi nahi dikhlaayi
Aagaya ran se Alam tum nahi’n aaye Bhai
Abbas Phat’ta hai Mera sadme se jigar Abbas
Aye Shere Neyastaan e Haidar

Aye Mere Shair e Jawan Aye Mere Bhai Ho Kahan


Shaaq hai dil pa tumhaari ye judaai Ho Kahan
Dair se Deti hu’n Bhayya me Duhaayi Ho Kahan
Lut’ti hai Fatima Zehra ki Kamaayi Ho Kahan
Abbas Khanjar hai Halqe Sarwar par Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar

Hai Qayamat ka Sama’n loot hain khaimon me machi


Koi pursaa’n nahi’n haalat hai ajab bachhon ki
Taaziaane koi khaata hai tamaache koi
Aag daaman me hai Maasoom Sakina ke lagi
Abbas Bhayya Utho Lo jald khabar Abbas
Aye Shere Neyastaan e Haidar

Azmat o Izzat e Saadaat bhuladi Bhai


Aag Khaimo’n me laeeno’n ne lagadi Bhai
Masnad e Ahmed Mursal bhi jaladi Bhai
Tauq o Zanjeer bhi Aabid ko pinhadi Bhai
Abbas Ghash me hai Pada Mera Dilbar Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar

Bhai ko bhool gaye dhayaan na behnon ka raha


Yaad aaya na koi paayi jo Darya ki hawa
Haaye Kis dil se kiya tum nei gawaraa Bhaaya
Har tamaache pa Sakina ne Tumhein yaad kiya
Abbas Jab chheene gaye Kaano se Guhar Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar
~ 159 ~

Chhor kar Dasht e Musibat me Bahan ko Bhai


Tum ne achha hi kiya door basaayi basti
Dekh sakte the kahan Tum jo hai haalat Meri
Balwa’e Aam me Bhayya Main Khule Sar Hu’n Khadi
Abbas Aada legaye Sar se Chaadar Abbas
Aye Shere Neyastaane Haidar

-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

HAAY HUSSAIN PYAASE HUSSAIN

Jaane Payambar Dilbare Zehra


Apna Bhara Ghar Tu ne lutaya
Ibne Ali Ehsaan Hai Tera
Tu Hai Muhaafiz Kaaba e Haq Ka
Sajde Me Sar Tera Kata
Haay Hussain Pyaase Hussain

Dhoond rahe hain rann me Sarwar


Bechaini se Laasha-e Akbar
Khaate hain har gaam pa thokar
Kaun sahara dega badhkar
Aalam e Ghurbat Dashte Bala
Haay Hussain Pyaase Hussain

Zainab ki Aankhon ke Ujaale


Aun o Mohd rann ko sidhaare
Jang huwi aur khoo’n me nahaaye
Maqtal se jab aaye Laashe
Karti hai Zainab Shukre Khuda
Haay Hussain Pyaase Hussain
~ 160 ~

Byaah huwi kuchh der na guzri


Rann ko chali Qasim ki sawaari
Kubra baithi sonch rahi thi
Ab ujdegi maang Hamari
Aagaya Dulha ka Laasha
Haay Hussain Pyaase Hussain

Thaame kamar ye kehte the Sarwar


Dashte bala me Shaane kata kar
Qatl huwe Abbase Dilawar
De pursa Mujhko Meri Khwahar
Hogaya Zainab me tanha
Haay Hussain Pyaase Hussain

Bain yehi karti thi Sakina


Chhor gaye kyun Mujhko tanha
Badhta hai jangal ka andhera
Aajaao Aajaao Baba
Deti hu’n kab se Tum ko sada
Haay Hussain Pyaase Hussain

Soti thi seene pa Tumhaare


Tum ne Mere Naaz Uthaaye
Shimr ne maare Mujh ko tamaache
Khoon tapakta hai kaano’n se
Neend nahi’n aati Baba
Haay Hussain Pyaase Hussain

Kaisi ghadi hai Aale Nabi par


Ghash me pade hain Abid-e Muztar
Keh de koi Abbas se jaakar
Chheen raha hai Shimr-e Sitamgar
Binte Ali ke Sar se Rida
Haay Hussain Pyaase Hussain

Zainab ke Baazu me rasan hai


Aur labo’n par bas ye sukhan hai
Laash Teri be goro kafan hai
~ 161 ~

Aaj bahut majboor Bahan hai


Sar pa nahi’n chaadar Bhayya
Haay Hussain Pyaase Hussain

Ham pa ye ehsaan hai Zainab ka


Jis ne diya Majlis ka saleeqa
Karte raho Maatam Pyaaso’n ka
Denge Tumhe Abbas sahara
Binte Payambar dengi Dua
Haay Hussain Pyaase Hussain

Chhalke kuch itne aankhon ke saaghar


Phaili kuch itni ashko’n ki chaadar
Chashme Falak hairaan hai is par
Soch rahe hain saare Samandar
Kitne hain aakhir Ashk-e-Aza
Haay Hussain Pyaase Hussain

Zeest ka maqsad Pyaaso’n ka Gham


Hota rahe ta Hashr ye Maatam
Leke yu’nhi Abbas ka Parcham
Parwaane Shabbir ke har dam
Dete rahenge bas ye sada
Haay Hussain Pyaase Hussain

Keeje Rasheed is Gham ki hifazat


Ashk-e-Aza hain qalb ki quwwat
Karte rahein har dam ye Ibadat
Maatam hai Shabbir ki Nusrat
Goonje faza me bas ye Sada
Haay Hussain Pyaase Hussain

-----------------*-----------------
~ 162 ~

Rasheed Shaheedi

YA HUSSAINAM YA HUSSAINAM YA HUSSAIN


YA HUSSAINAM YA HUSSAINAM YA HUSSAIN

Saaqiye Kausar Tera Baba Hussain


Karbala me Tu Raha Pyaasa Hussain
Yaad rakhegi Tujhe Duniya Hussain
Tujh se Hai Naame Khuda Zinda Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tera Nana Rehmat ul Lil Aalamee’n


Tera Baba Hai Ameer ul Mominee’n
Aur Pisar Tera hai Zainul Abidee’n
Teri Maa Hai Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tu hai beshak Kaaba e Sabr o Riza


Teri chaukhat Sajdagahe Ambiya
Itna ooncha martaba Kisko mila
Poochhta hai Rab Tera Mansha Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tashnagi Teri fazaao’n me dhua’n


Thi musibat karwa’n dar karwa’n
Sabr se Tu ne diya har Imtiha’n
Deen par Ehsaan hai Tera Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Karbala me kaisi ye Shaadi rachi


Laash hai masnad pa ab Naoshah ki
Chand lamhon ki Dulhan bewa huwi
Kaun dega ab Use pursa Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
~ 163 ~

Thi Ali Akbar ke seene me sina’n


Muztarib tha khaak par Kadiyal Jawa’n
Dashte ghurbat me hai kaisa imtiha’n
Kheenchte hain qalb se naiza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Toot jaati Hurmala ki ungliaa’n


Kholta gar Jhoole waala Mutthiaa’n
Ab rukhe Islam par hai jaawidaa’n
Ik Tabbasum Tere Asghar ka Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Jaane Haidar Dilbare Ummul Banee’n


Jis ke qadmo me Samandar ki Jabee’n
Aaj bhi Aabe Rawa’n hai Bilyaqee’n
Hai Tere Abbas ka Qabza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Chaudhwee’n ka Chaand wo Ibne Hasan


Tukde tukde hogaya jis ka badan
Kaise ho Naoshah ka ghuslo kafan
Kar rahe hain Laash ko yekja Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Laash par Sarwar ki Zainab ne Kaha


Ik Bahan par waqt kaisa aagaya
Dasht me hai bekafan Laasha Tera
Sar pa Chaadar bhi nahi’n Bhayya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Al Atash ki thi fazaao’n me sada


Kal talak Abbas ka pehra bhi tha
Dekhte hi dekhte kya hogaya
Chha gaya har simt sannata Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
~ 164 ~

Be kajawa oont pyaasa kaarwaa’n


Berida hain Fatima ki Betiyaa’n
Shimr ke durre Sakina ki Fughaa’n
Tum kaha’n ho Aye Mere Baba Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Hashr tak lehraa’ega Parcham Tera


Ham karenge umr bhar Maatam Tera
Kaise ham bhoolenge Moula Gham Tera
Qalbe momin hai Tera Raoza Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Kha rahi hai taaziaane Shimr ke


Sabr karti hai Sakina kya kare
So’e kaise kaan zakhmi hogaye
Kis ko de awaaz Ye Dukhiya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Nashr gaahe Karbala Ashke Aza


Naara-e Takbeer Maatam ki sada
Ye lahu ye majlise’n Aaho Bukaa
Aarzuwe Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Haosla dete hain Abbas e Ali


Milti hai har dam hame quwwat nayi
Zindagi Parwana e Shabbir ki
Hai Dua e Fatima Zehra Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Dilbar e Zehra Shaheed e Karbala


Tu hame deta hai har pal haosla
Ham Tujhe dete hain mushkil me sada
Hai sahara ham ko bas Tera Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
~ 165 ~

Sar parasti ham ko hai Abbas ki


Ham ko deti hai Dua Binte Nabi
Hai yehi Maatam Hamari zindagi
Ab ye hai har dam Tera Naoha Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Naam jab bhi lete hain Abbas ka


Baazuo’n ko hoti hai taaqat ata
Sar pa Maatamdaar ke hoga sada
Parcham e Abbas ka Saaya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Aao mil jul ke Namaaz e Gham padhein


Ashk se roomaal e Zehra nam karein
Karbala waalon ka ham Maatam karein
Saans jab tak hai kaho bas Ya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Hai tamanna bas yehi Jaan-e Batool


Ho Ata Mujhko Tere Qadmo ki dhool
Kar Mere Maola Mera Naoha qubool
Aakhirat ka hai ye sarmaaya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Pesh hona hai Khuda ke rubaru


Bas Gham e Sheh me bahaao tum lahu
Ye Ibadat hi karegi surkh Ru
Kehte jaao Ya Hussainam Ya Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain

Tujh se karta hai Rasheed ab Iltija


Ho Ziyarat ka sharaf hamko ata
Ham ko dikhlade Zameene Karbala
Waasta Tujh ko Sakina ka Hussain
Ya Hussainam Ya Hussainam Ya Hussain
-----------------*-----------------
~ 166 ~

Rasheed Shaheedi

YA ABBAS YA ABBAS

Qalb ki quwwat Ya Abbas,


Ya Abbas Ya Abbas
Aankhon ki hasrat Ya Abbas,
Ya Abbas Ya Abbas
Honton ki zeenat Ya Abbas,
Ya Abbas Ya Abbas
Haathon ki taaqat Ya Abbas,
Ya Abbas Ya Abbas

Haa’n ye Namaz e Sabro wafa hai


Is ka Mussala farshe Aza hai
Is ki Azaa’n Maatam ki sada hai
Shaam o Sahar har waqt Hamari hai ye Ibadat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Zikr Tera Saqqa e Sakina


Deta hai jeene ka qareena
Har toofa’n ka Tuhi safeena
Ham ne pukara jab bhi padi hai Ham pa musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Tu ne sahara dee’n ko diya hai


Is ke Alam par Naam Tera hai
Parcham me Khushbu’e Wafa hai
Ab ye Alam ooncha hi rahega Teri badoulat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Aankh me teer aur qalb shikasta


Katt gaye shaane zakhmi sar tha
Saara badan tha khoon me dooba
Thaame kamar Shabbir ne dekhi ye Teri ghurbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
~ 167 ~

Shimr ke paiham khaaye tamaache


Kaan hain zakhmi gaal hain soojhe
Haay Sakina Kis ko pukaare
Dekhte aakar Tum bhi Sakina ki ye ghurbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Tujh pa ye mushkil sab se badi thi


Haath na the Majboor tha Ghaazi
Kaise gira ghode se Sipaahi
Maa hi bataaa sakti hai ik Bete ki musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Maqtal me Laashe bikhre hain


Taareeki hain sannate hain
Bachche sehme dekh rahe hain
Tanha Zainab kaise kare ab Unki hifazat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Sholo’n me Sajjad ka bistar


Jalta hai gehwaara e Asghar
Binte Ali ki chhinti hai Chaadar
Ahle Haram par tooti dekho kaisi qayamat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Abid hain zanjeer me jakde


Khaate hain har gaam pa durre
Pusht hai zakhmi paaun me chhaale
Kat’ti hai zanjeer se gardan dekho azeeyat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

So nahi’n sakti pyaasi Sakina


Kaise milega Baap ka seena
Dil me liye armaane Madina
Dafn huwi Zindaane Bala me sehke musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
~ 168 ~

Sab se bada Ezaaz yehi hai


Jeene ka andaaz yehi hai
Har dil ki awaaz yehi hai
Tera Gham aur Tera Maatam Teri Muhabbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Hain Shabbir ke ham Parwaane


Jin ke Muhafiz hain Tere Shaane
Aaye hain taqdeer jagaane
Bharde har Parwaane ki Parwaaz me taaqat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Pohnche’n ham Karbal ki zami’n tak


Kaaba-e Sabro ilmo Yaqee’n tak
Yaani fazaa-e Arshe Baree’n tak
Ham sab ko ab jald ataa ho ye bhi sa’adat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

Dil me Rasheed ab hai ye tamanna


Hojaaye Maqbool ye Naoha
Jald dikha de Tera Raoza
Rakh de bheegi palko’n par ab ye bhi Daolat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas

-----------------*-----------------
~ 169 ~

Ali Jaweed Maqsood

AYE FAATEHE KARBOBALA

Aye wursa daare Ambia


Aye Maaliko mulke Khuda
Aye Shaafaye Raoze Jaza
Mamnoon hai Kaaba Tera
Jannat Teri Kausar Tera
Aye Faatehe Karbobala

Tu Shaan hai Quraan ki


Tu jaan hai Imaan ki
Tu ne Khuda ke Deen par
Qurbaan apni jaan ki
Mamnoo’n hai yezdaa’n tera
Aye Faatehe Karbobala

Tu ne sahe kitne sitam


Beto’n ka Gham Bhai ka Gham
Takra ke Tujh se thak gaye
Zulm o Sitam Ranj o Alam
Ham Teri himmat ke fida
Aye Faatehe Karbobala

Ye Masjidein ye Aastaa’n
Teri balandi ke nashaa’n
Duniya me baaqi reh gayi
Akbar ke sadqe me Azaa’n
Kaaba bana Raoza Tera
Aye Faatehe Karbobala

Laazim hai ye Maatam Tera


Waj’he baqa hai Gham Tera
Zinda isi Maatam se hai
Deen e Nabi Deen e Khuda
Ye Gham hai Zehra ki Dua
Aye Faatehe Karbobala
~ 170 ~

Tharra rahe the Ambia


Tu ne jo haatho’n par liya
Khaibar ke dar se bhi giraa’n
Laasha jawan farzand ka
Girya kuna the Murtaza
Aye Faatehe Karbobala

Arz o Sama’n me goonjti


Awaaz e Halmin hai abhi
Aajaaye Nusrat ko Teri
Hur ki tarah gar ho koyi
Ab bhi hai Dar Tera Khula
Aye Faatehe Karbobala

Bhai wo Tera Bawafa


Wo Naa’ebe Shere Khuda
Saahil pa qabza kar ke bhi
Teri qasam pyaasa raha
Darya tadap kar reh gaya
Aye Faatehe Karbobala

Maatam hai ye Abbas ka


Pyaaso’n ki anmit pyaas ka
Ahle haram ki bekasi
Aur dard ke ehsaas ka
Qurbaa’n huwi jis par wafa
Aye Faatehe Karbobala

Pyaasa Ali Asghar Tera


Wo phool sa sookha gala
Jis ko sawaal e Aab par
Teer e Sitam maara gaya
Tu ne ye Gham bhi seh liya
Aye Faatehe Karbobala

Wo rege garme Karbala


Daste sitam teghe jafa
Kis zulm se kaata gaya
Maula Tera pyaasa gala
~ 171 ~

Sar Tera naize par chadha


Aye Faatehe Karbobala

Wo Qatl ka Tere sama’n


Maqtal me Zehra ki fugha’n
Is zulm par Roti zamee’n
Aansu bahaata aasmaa’n
Zainab ki wo Aaho Buka
Aye Faatehe Karbobala

Kunba nahi’n hai ghar nahi’n


Jalti huwi tapti zamee’n
Dil me Ghamo ranjo alam
Aur Shukre Khaaliq me jabee’n
Sajde me hain Zainul Aba
Aye Faatehe Karbobala

Bekas aseero’n ka safar


Naizo’n pa mazloomo’n ke sar
Shehzaadion ke sar khule
Mehwe tamasha Ahle sharr
Woh taaziaane aur jafa
Aye Faatehe Karbobala

Ahle sitam sab thak gaye


Ashkon pa kab pehre lage
Har daur me ye Gham Tera
Ahle wafa karte rahe
Maatam Tera kab ruk saka
Aye Faatehe Karbobala

Woh tere naazo’n ki Pali


Beti Teri pyaasi rahi
Sehkar harek zulm o sitam
Zindaa’n me aakhir Margayi
Beta tera qaidi bana
Aye Faatehe Karbobala
~ 172 ~

Kis dil me Tera Gham nahi’n


Kis ghar me ye Maatam nahi’n
Aaqa Tere Gham ki qasam
Ye Gham nahi’n to Ham nahi’n
Hai zindagi Teri Aza
Aye Faatehe Karbobala

Beemaar ka zakhmi badan


Dulhan ke baazu me rasan
Kulsoom o Zainab be rida
Aur Tera Laasha be kafan
Mehshar na kyun barpa huwa
Aye Faatehe Karbobala

Maida’n se Zainab ke Pisar


Aaye lahu me doob kar
Khaime me Laashe hain rakhe
Sajde me hai Zainab ka Sar
Haira’n khade hain Ambia
Aye Faatehe Karbobala

Armaan Maadar ke mite


Paamaal Qasim hogaye
Naoshah ka Laasha tha ye
Tukde Dil e Shabbar ke the
Kya haal Kubra ka hua
Aye Faatehe Karbobala

Armaan hai Dilgeer ka


Shabbir ki Hamsheer ka
Jaweed ye jeena bhi hai
Sadqa Gham-e-Shabbir ka
Dete rahenge bas ye Sada
Aye Faatehe Karbobala
-----------------*-----------------
~ 173 ~

Ali Jaweed Maqsood

HAAY HUSSAIN WAWAILA

Khoon se maqtal Laal hua hai


Ibne Hasan paamaal hua hai
Laashe ka kya haal hua hai
Tukde tukde hai Dulha
Haay Hussain Wawaila

Noore nazar ghode se gira hai


Sheh ne kamar ko thaam liya hai
Baap Pisar ko dhoond raha hai
Hanste hain sab ahle jafa
Haay Hussain Wawaila

Laashe Jawa’n seene se laga kar


Laate hain maidaan se Sarwar
Dekh rahi hai Maa ye manzar
Gham se na marjaaye Laila
Haay Hussain Wawaila

Jaan e hazeen par jor o sitam hai


Daagh Pisar Bhai ka alam hai
Aankhein pur khoon dil pur nam hai
Haatho’n pa Asghar ka Laasha
Haay Hussain Wawaila

Ghere hain Bekas ko sitamgar


Paas nahi’n Abbas e Dilawar
Koi nahi’n Mazloom ka yawar
Kis ko dein Shabbir Sada
Haay Hussain Wawaila
~ 174 ~

Dil me basi hai Yaad e Sakina


Maut ka hai maathe pa pasina
Pyaas ki shiddat jalta seena
Yaad hai Dukhiya ka rona
Haay Hussain Wawaila

Goonj rahi Zehra ki fugha’n hai


Tegho’n me Ahmed ka Nasha’n hai
Haay Mera Abbas kaha’n hai
Pyaase ka kat’ta hai gala
Haay Hussain Wawaila

Zakhmo’n se sab khoon rawa’n hai


Dil me Ghame farzande Jawan hai
Pyaase ke aankho’n me dhua’n hai
Ghere hai lashkar aadaa ka
Haay Hussain Wawaila

Tapta maqtal jalti zami’n hai


Khaliq ke Sajde me jabi’n hai
Yaawaro Nasir koi nahi’n hai
Tegh tale Pyaase ka gala
Haay Hussain Wawaila

Jaan e Ali begoro kafan hai


Zainab ke Baazu me rasan hai
Balwe me Sarwar ki Bahan hai
Aale Nabi hai beparda
Haay Hussain Wawaila

Pyaasi hai Aulaad e Payambar


Aada ka sairaab hai Lashkar
Pyaasi Sakina Pyaasa Asghar
Saamne behta hai dariya
Haay Hussain Wawaila
~ 175 ~

Karna hai Mazloom ki Nusrat


Laazim hai Sarwar ki Itaa’at
Ik hai bas ummeed e shifa’at
Maatam karlo Bekas ka
Haay Hussain Wawaila

Sarwar ka Gham dil me basa hai


Dhadkan kya hai aaho buka hai
Majlis e Gham Zainab ki ataa hai
Maatam hai Zehra ki Dua
Haay Hussain Wawaila

Parwaane Shabbir ke hain ham


Saath liye Abbas ka Parcham
Karte hain Pyaaso’n ka Maatam
Dete hain Zehra ko pursa
Haay Hussain Wawaila

Hota hai jab Shabbir ka Maatam


Gham se laraz jaate hain do Aalam
Karbobala ke rann se paiham
Aati hai Halmin ki sada
Haay Hussain Wawaila

Zinda hain Jaweed yunhi ham


Apna jeena Sarwar ka Gham
Naam e Ali har zakhm ka marham
Haasil hai Zehra ki Dua
Haay Hussain Wawaila

-----------------*-----------------
~ 176 ~

Rasheed Shaheedi

GHAR FATIMA KA LUT GAYA

Maatam karo ahle Aza


Hai aasmano par buka
Karte hain Maatam Ambia
Hain sar barahna Mustafa
Ghar Fatima ka lut gaya

Zainab ke Wo Noor e Nazar


Jab chal base donon Pisar
Maa ka jigar Sajde me Sar
Rone lage Shaahe Huda
Ghar Fatima ka lut gaya

Tukde Hasan ke Laala ke


Maqtal me the bikhre huwe
Ab Laash ye kaise uthe
Sarwar bichhaate hain abaa
Ghar Fatima ka lut gaya

Kubra ki haay zindagi


Dulhan bani bewa huwi
Kya keh ke ro’e bekasi
Hamsin waha’n koi nahi
Ghar Fatima ka lut gaya

Laila ka aur Shabbir ka


Kadiyal Jawaa’n farzand tha
Barchchi se dil Uska chhida
Jalti zamee’n par Sogaya
Ghar Fatima ka lut gaya

Ummul Banee’n ka Wo Pisar


Be dast Ghaazi khoo’n me tar
Kaise gira Wo khaak par
Girya kuna’n hain Fatima
~ 177 ~

Ghar Fatima ka lut gaya

Sar Fatima ke Laal ka


Jab hogaya tann se juda
Deti rahi Zainab sada
Paamaal Laasha hogaya
Ghar Fatima ka lut gaya

Aage yunhi badhte raho


Maatam yunhi karte raho
Nauha yunhi padhte raho
Binte Ali Dengi Dua
Ghar Fatima ka lut gaya

Maatam karo Abbas ka


Tum ko milega ye sila
Aankho’n me rakho Karbala
Behte rahein Ashk e Aza
Ghar Fatima ka lut gaya

Parwaana e Shabbir ka
Abbas Tu hai Aasraa
Milti rahe unko sada
Bas Tere Parcham ki Hawa
Ghar Fatima ka lut gaya

Wo bekaso’n ka Karwa’n
Beemaar Abid Naatawa’n
Wo Tauq aur wo bediya’n
Wo taaziaano’n ki jafa
Ghar Fatima ka lut gaya

Be chaadari be chainiya’n
Mushkil kusha ki Betiya’n
Aur baazuo’n me reesma’n
Zanjeer me Zainul Aba
Ghar Fatima ka lut gaya
~ 178 ~

Abbas saqqaa’e Haram


Haq ka nasha’n Jis ka Alam
Jis ki wafa Dee’n ka bharam
Bhai Wo Sheh ka Baawafa
Ghar Fatima ka lut gaya

Haatho’n pa apne Baap ke


Maqtal ko Asghar jab gaye
Ahle Sitam rone lage
Wo teer kha kar hans pada
Ghar Fatima ka lut gaya

The muztarib rann me Hussain


Ro ro ke karte the ye bain
Kis tarha aaye dil ko chain
Maa se kahein ab jaake kya
Ghar Fatima ka lut gaya

Durre tamaache seliyaa’n


Mazloom Bachhi ki fughaa’n
Chheeni gayi hain baaliyaa’n
Kaano se khoo’n behta raha
Ghar Fatima ka lut gaya

Shabbir Aye Jaane Batool


Lafzon ko de qadmon ki Dhool
Nauha ye Tu karle Qubool
Ezaaz ye karde Ataa
Ghar Fatima ka lut gaya

Ab hain Rasheed ashkon ke bain


Aye Fatima ke Noor e Ain
De dil ko Chain ab Ya Hussain
Pohncha de hamko Karbala
Ghar Fatima ka lut gaya
-----------------*-----------------
~ 179 ~

Rasheed Shaheedi

AYE SHAHEEDE KARBALA FATIMA ZEHRA KE PISAR


ASRE AASHOOR KATA DASHTE BALA ME TERA SAR

Baaqi jis tarha se ab Naam Khuda ka hai Hussain


Tu bhi zinda hai Tera naam bhi zinda hai Hussain
Tu ne jangal me bhare ghar ko lutaya hai Hussain
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Rann me Hamshakle Payambar Ali Akbar sa Jawa’n


Haay wo qatl hua khaa ke kaleje me sina
Uske seene se bas ik khoon ka dariya tha rawaa’n
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Ham baya’n kaise kare’n Pyaas ki gehraai Teri


Thokarein khaana tera kho gayi beenayi Teri
Haaye Wo Laashe Jawa’n Haay wo tanhaai Teri
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tukde tukde hua Farwa ka Pisar Ibne Hasan


Hogaya Qasime Naoshah ka paamaal badan
Dekhte dekhte bewa hui lamho’n ki Dulhan
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tere Lashkar ka Muhafiz wo Alamdaar e Wafa


Haath katwa ke kiya jisne Alam ko ooncha
Dil me armaan liye jang ka duniya se gaya
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
~ 180 ~

Mashk par teer laga gurze sitam Sar pa laga


Hoke bedast wo Saqqaa e Haram Bhai Tera
Jaane Kis tarha se ghode se zamee’n par Aaya
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tera Shashmaaha jo gehwaare se maqtal ko gaya


Zulm ka teer wo Masoom ka Nanha sa gala
Maa ki nazron me hai Besheer ka khaali jhoola
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Ye jo baaqi hain Namaaze’n ye fazaaon me Azaa’n


Aye Shahinshaah e Atash baadshahe Kauno Makaa’n
Hashr tak Deene Muhammad pa hai Tera Ehsaa’n
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Tera Gham har Dil e Momin ki tadap Jaane Batool


Bas Tere Gham ke waseele se Namaaze’n Maqbool
Ashk aankho’n me agar ho’n to Duaae’n hain qubool
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Fakhr karte hain ke Parwana e Shabbir hain ham


Ham jo karte hain Tere Gham me musalsil Maatam
Ham Aza daaro’n pa Abbas ka rehta hai Karam
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Majlise’n karte hain jo karte hain Maatam tera


Hai yaqee’n Fatima Zehra unhe’n Deti hain Dua
Aur unhe milti hai Abbas ke Parcham ki hawa
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
~ 181 ~

Bheegi palko’n ki tadap dil ki tamanna hai Hussain


Hashr tak har Dil e Momin Tera Raoza hai Hussain
Tu har ik toote huwe dil ka Sahara hai Hussain
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar

Aye Muhammad ke Nawaase Aye Mere Pyaase Imam


Nazr karta hai Rasheed ab Tujhe askho’n ka Salaam
Aaj har toote huwe dil ki tassali Tera Naam
Goonji maqtal me sadaae’n rowi’n Karbal ki hawaae’n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

GHAM-E-KARBOBALA ALLAH O AKBAR

Yaha’n khud sar nigu’n Arshe Ula hai


Yahi to Sajdagaah e Ambia hai
Yaha’n ki khaak hi Khaake Shifa hai
Zameen e Karbala Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Bahaate hain Gham e Sheh me lahu ham


Sar e Mehshar rahenge surkh ru ham
Yunhi phailaaenge ab chaar su ham
Ye Maatam ki sada Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Ye wo Gham hai ke jis me zindagi hai


Isi Gham se nazar me roshni hai
Yehi Gham Muhtaram hai bandagi hai
Azaa-e Karbala Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
~ 182 ~

Kahi’n milti nahi aisi bulandi


Jaha’n Majlis bapa hoti hai Sheh ki
Waha’n aati hai Zehra ki Sawaari
Mussala Ashk ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Namaz o Roza o Hajj sab aham hain


Ye Ehkaam e Khuda sab Muhtaram hain
Mussalo’n par jabeene’n sabki kham hain
Magar Farsh e Aza Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Khuda ka Ghar to Kaaba Bilyaqee’n hai


Jo yaa’n kham ho wohi roshan jabee’n hai
Badi Paakeeza Makke ki zamee’n hai
Magar Khaak e Shifa Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Bas ik shab me hua tabdeel manzar


Sehr Aashoor ki Hur Ka Muqaddar
Chala baatil se aaya raahe Haq par
Jab Akbar ne kaha Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Wafa Haq me She’aar e Ambia hai


Magar kya Martaba Abbas ka hai
Faqat Us ko zamana keh raha hai
Wafaao’n ka Khuda Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Huwe jab qatl Zainab ke Dulaare


Wo Maa ka sabr duniya kaise bhoole
Junhi maqtal se Sheh ne laaye Laashe
Wo Sajda Shukr ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
~ 183 ~

Hai rann me muntashir Qasim ka Laasha


Uthaay Laash kaise Jaan e Zehra
Magar ab kya karein thaam e kaleja
Bichhate hain aba Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Shahe Dee’n par hai kaisa waqt aaya


Ke khaak aur khoon me ghaltaa’n hai Beta
Tadapta hai jigar par kha ke naiza
Shabihe Mustafa Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Wo jhoole se Tera maqtal me aana


Guluwe khushk par wo teer khaana
Ali Asghar na bhoolega zamana
Tabbassum pyaas ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Kate Abbas ke jis waqt Shaane


To guzri Uspa kya Allah jaane
Tadap mehsoos karli Fatima ne
Nigaahe Maamta Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Badan se kat ke sar rakhte hain qudrat


Sar e naiza se Qura’n ki tilaawat
Hai zinda Jaan e Zehra ki badaolat
Azaano’n ki Sada Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Riza Khaliq ki banda chahta hai


Isi me bartari hai Jaanta hai
Magar Sheh se Khuda khud Poochhta hai
Bataaa Teri Riza Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
~ 184 ~

Kisi ko daolat e aulaad dedi


Kisi ko quwwat e parwaaz bakhshi
Na thi qismat me wo nemat ataa ki
Karam Shabbir ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Chala jab qaafila Karbobala se


Saje the raaste jor o jafa se
Na hota sabr mumkin Ambia se
Magar Zainul Aba Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jhulasti dhoop aur Akbar ka Laasha


Ye manzar dekhti thi Umme Laila
Sina ki nok par Bete ka Sar tha
Wo Maa ka haosla Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jise suraj ki kirno’n ne na dekha


Falak ne bhi na dekha jis ka saaya
Raha aawaaz par bhi jis ka parda
Wohi hai Berida Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Gale me tauq hai Zainul Aba ke


Hain chhaale paau’n me raaho’n me kaante
Wo zanjeere’n wo langar taaziaane
Safar wo dhoop ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Gham e Shabbir ki daolat mili hai


Azaadaro’n badi nemat mili hai
Kis aasaani se ye Jannat mili hai
Duaa e Fatima Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
~ 185 ~

Yateemi kamsini tashna dahaani


Tamaanche taaziyaane kaan zakhmi
Sakina Bibi ki thi zindagaani
Musalsal Marsia Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Jo Ashko’n ka Lahu ka silsila hai


Azadari ka ye jo Khafela hai
Saleeqa ye jo Majlis ka mila hai
Hai Zainab ki Ata Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar

Aza ke Ashk hain aankho’n ki Zeenat


Karenge ham Rasheed iski hifazat
Hai Gham Pyaaso’n ka is Dil ki Ibaadat
Muqaddar ki Ata Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

HAM KARTE HAIN MAATAM ASGHAR KA

Besheer Mujahid Shashmaha


Tha Saaqiye Kausar ka Pota
Kya sabr tha Jhoole Waale ka
Dariya ke kinare Pyaasa tha
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Wo dhoop wo sehra garm hawa


Goonji rann me Halmin ki sada
Khaimo’n se utha ghul rone ka
Gahwaare se Asghar rann ko Gaya
Ham karte hain Maatam Asghar ka
~ 186 ~

Kya Pyaas thi Jhoole Waale ki


Aur dekh ke Uski tashna labi
Khud zulm ka lashkar rone laga
Asghar ki Tabassum Swalle Ala
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Sarwar ne Suwaale aab kiya


Asghar ke Gale par teer chala
Aur dhal gaya Manka Pyaase ka
Shabbir ki Ghurbat Waawaila
Ham karte hain Maatam Asghar ka

The Sibte Nabi kitne Bechain


Ye Sonchte the Mazloom Hussain
Bano se Kahenge Jaakar kya
Chhe maah ka Beta Qatl Huwa
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Ye Aaho Buka aur ye aansu


Ye Majlise’n aur ye behta Lahu
Gham khwaro’n ka hai Nazrana
Mazloom ki Nusrat ka Jazba
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Shabbir Karam Farmaate Hain


Abbas Madad ko Aate Hain
Ham padhte hain Asghar ka Naoha
Aur Zehra Karti Hain Girya
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Har dil ki dhadkan kehti hai


Yaa’n Yaad e Asghar rehti hai
Har dil hai Asghar ka Jhoola
Har lab pa rahega ye Naoha
Ham karte hain Maatam Asghar ka
~ 187 ~

Wo noke sina wo Phool sa Sar


Tha Maa ki Nazar me ye manzar
Parwaane dete hain pursa
Palko’n pa sajaae Ashk e Aza
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Jis teer se Asghar Zib’ha huwa


Wo zakhm kaha’n tak hai phaila
Kis Kiska kaleja usse chhida
Poochhe ye koi Abid se zara
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Parwaane hain Shabbir ke Ham


Abbas ka hai Ham par ye karam
Besheer pa Ham roenge sada
Zehra Deti Hain Hamko Dua
Ham karte hain Maatam Asghar ka

Aye Jaan e Ali Jaane Zehra


Karta hai Rasheed ab maaruza
Tu karle Qubool iska Naoha
Pohnchaade sabko Karbobala
Ham karte hain Maatam Asghar ka
-----------------*-----------------

Hasan Abbas Ahsan

AYE SHASHMAAHE PYAASE ASGHAR

Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aye Qalbe Pidar Jaan e Maadar

Aye tashna daha’n Aye tashna jigar


Baba ki Mashiyat par thi Nazar
Jab teer laga tha Gardan par
Rann Jeet liya Tu ne Has kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar
~ 188 ~

Aye Faatehe Khaibar ke Dilbar


Ik zarbe tabassum ke bal par
Aada ka ulat’ta Tu lashkar
Shabbir ki Marzi hoti agar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Tu Ibne Ali ka hai Beta


Abbase Ali hai Tera Chacha
Hai Tujhme Shuja’at ka Dariya
Aur Shere Khuda ke Hain Tewar
Aye Shashmaah e Pyaase Asghar

Shabbir ke Maqsad ke Qur’an


Gehwaare me Bachcha kehla jaha’n
Aidaan me lekin Tu hai Jawaa’n
Kab khaof hai Tere Chehre par
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Auro’n se Juda hai Shaan Teri


Ik teer ne leli Jaan Teri
Talwar bani Muskaan Teri
Yu’n fatt’ha Kiya Toone lashkar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Uss teer ka khana khel nahi’n


Aur phir Muskana khel nahi’n
Dushman ko rulana khel nahi’n
Hai Teri Shuja’at Tera Jigar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Shabbir ke Dilbar Maah jabee’n


Abbas ka Tu Shaagird nahi’n
Hai Jeet ka phir bhi Tujhko yaqee’n
Tha Zarbe Tabassum ka jo hunar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar
~ 189 ~

Ye rasm nahi’n hai Maatam hai


Waajib hai jo ham par wo Gham hai
Ham jaan bhi dede’n to kam hai
Ehsaan kiya Tu ne ham par
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jab Hasta hai Masoom koi


Besaakhta yaad aati hai Teri
Raas aayi na Tujhko Teri Hasi
Ye lag gayi aakhir Kiski nazar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Ye zulm kahi’n dekha na suna


Sookhi wo Zubaa’n aur Khushk Gala
Ik boond Tujhe paani na mila
Tu Qatl Huwa Pyaasa Rehkar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jab teer Teri Gardan pa Laga


Aadam ne kaleja Thaam liya
Ayyub ne Apna Muh Phera
Ulta jo Pidar ke Haatho’n par
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Maa Baap na aise ham dekhe


Hai kaun jo aisa Gham dekhe
Besheer ka ye Aalam dekhe
Ye Sheh ka hai Dil Bano ka Jigar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Saamaane Aza me hai Jhoola


Jhoole me Alam ik Chhota sa
Aur uspe bandha hai ik Sehra
Kya khoon rulata hai manzar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar
~ 190 ~

Gehwaare se wo gir jaana Tera


Maidaan me Sajkar Aana Tera
Wo Joshe Wegha Dikhlana Tera
Kya khoon rulata hai manzar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Wo teen dino ki Pyaas Teri


Wo dhoop ki shiddat wo garmi
Wo teer ka lagna aur wo hasi
Hairaan hain ab tak jinn o bashar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aye Faatehe Dashte Karbobala


Tiflee’n me ye Tera Joshe Wegha
Tu Hota Jawaa’n to kya hota
Ham sonchte hain ye reh reh kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Ehsas ki duniya Rothi hai


Ik Maadar-e Dukhiya Rothi hai
Haa’n Fatima Zehra Rothi Hai
Kehti Hai faqat ye Ro Ro kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Maango ye Dua Maatam daaro


Ta hashr Kisi dukhiya Maa ko
Aulaad ka Gham is tarha na ho
Bano ne jo Dekhe hain manzar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Jis Halq pa teere zulm laga


Us Halq pa Khanjar bhi to chala
Tharraane Laga Tha Arshe Khuda
Naize pa Tera wo Phool Sa Sar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar
~ 191 ~

Kya kya na huwe the ranjo mehan


Gardan me Sakina ke thi rasan
Ro Ro ke magar Wo Teri Bahan
Kehti Thi Faqat Asghar Asghar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aankho’n me Tere Laashe ko liye


Maa Teri Jiye to kaise Jiye
Paani Wo Piye to kaise Piye
Har damm hai ye Naoha Honto’n par
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Wo Ghurbat e Sarwar Waawaila


Godi me Liye Tera Laasha
Shabbir ne ham ko Yaad Kiya
Ham sadqe Aisi Ghurbat par
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Shabbir ke jo parwaane hain


Wo Teri Azmath jaane hain
Aur Haq ko Tere pehchaane hain
Gham Tera manaate hain ghar ghar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Khaliq Ne jo Bakhsha Tera Gham


Ye Uska bada hai ham pa Karam
Ab Tujh se ye wada karte hain ham
Mar jaaengeTujh par ro ro kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

Aye Shehre atash ke Shahzade


Tu Apni Ziyarat Karwaade
Karbal me hame ab pohncha de
Rolenge Wahaa’n ham jee bhar kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar
~ 192 ~

Ho’n Tujh pa Mere Maa Baap fida


Shahzade ye Ahsan ki hai Dua
Madfan ho Mera bas Karbo bala
Waa’n Naoha Sunaau’n ro ro kar
Aye Shashmaahe Pyaase Asghar

-----------------*-----------------

Rasheed Shaheedi

KARTE RAHO BESHEER KA MAATAM

Aye momino ye Gham hai Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam


Maatam hai ye Shabbir ki Nusrat, karte raho Besheer ka Maatam

Ankhon me rahe Pyaaso’n ki rudaad, karte raho Besheer ka Maatam


Shashmaahe Mujahid ki Musibat, karte raho Besheer ka Maatam

Bechainya’n wo jhoole se gir kar, Labbaik wo Halmin ki Sada par


Chhe maah ka sinn Shoukhe Shahadat, karte raho Besheer ka Matam

Shabbir ki tanhaayi wo jangal, Wo dhoop se jalta huwa maqtal


Wo Haathon pe Shashmah wo ghurbat, karte raho Besheer ka Matam

Wo sookhi zabaa’n pherna Lab par, Wo Nanha gala teere sitamgar


Aur Baap ke haathon pa Shaahdat, karte raho Besheer ka Maatam

Badhna wo kabhi jaanibe Khaima, Haathon pa liye Bete ka Laasha


Mazloom Musaafir pa Qayamat, karte raho Besheer ka Maatam

Sheh ne kiya aise me hame yaad, Jab Ghar huwa pardes me barbad
Tanhaayi me Pyaase ki Wasiyat, karte raho Besheer ka Maatam

Maa ke liye Ghurbat hai ye kaisi, Jhoola huwa Shashmaah ka khaali


Aaghosh ka Paala Huwa Rukhsat, karte raho Besheer ka Maatam
~ 193 ~

Sheh sonchte hain Maa se Kahe’n kya, Kis tarha de’n Us Bibi ko Pursa
Ab kaise hawaale kare’n Mayyat, karte raho Besheer ka Maatam

Hai doodh ki ja khoon labo’n par, aur Tann se juda Phool sa wo Sar
Maa Dekhti hai Bete ki haalat, karte raho Besheer ka Maatam

Ham log hain Parwaanaye Shabbir, Wallah ye hai khaabi ye taqdeer


Hai Pyaason ka Gham apni Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam

Is Gham me Rasheed ashk bahae’n, Lab par ho musalsil ye Duae’n


Ham sab karein Karbal ki Ziyarat, karte raho Besheer ka Maatam
-----------------*-----------------

Allama Najm Aafandi

SHABBIR BAHARHAAL TERA NAAM RAHEGA

Har aalame nao me Karame aam rahega


Har dukh me dawaa-e dile na kaam rahega
Duniyaa-e digar ke liye paighaam rahega
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Maana ke zamaane ka rahega na ye aalam


Tarteeb tamaddum ki ye ho jaaygi barHam
Phir aur Kisi rang me hoga Tera Maatam
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Zarro’n ki zaba’n par hai Teri Tashna dahani


Taaro’n ki hai dekhi huwi Akbar ki Jawani
Bhoolegi na fitrat Ali Asghar ki Kahani
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega
~ 194 ~

Mooh Gham se nikal aayega dariya ka zara sa


Paani ye kahega koi maara gaya pyaasa
Saahil ye pukarega MuHammad ka Nawasa
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Aghlab hai ke Turbat me Tadap jaaygi Maadar


Karrar ke Madfan me badal jaaynge tewar
Phir Qabr e shaayad nikal Aayenge Payambar
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega

Aye Najm ulat jaayga ye Pardaye Ghaybat


Niklega udhar tegh bakaf Markaze Hujjat
Karti huwi Maatam idhar aayegi Qayamt
Duniya ye na hogi magar Islam Rahega
Shabbir Baharhaal Tera Naam Rahega
-----------------*-----------------

Adeel Pakistani

KYA DEKHTI HAI SUGHRA ZAINAB KE AANSUO’N ME


MANZAR HAI KARBALA KA ZAINAB KE AANSUO’N ME

Barchhi ka zakhm taaza ta zindagi rahega


Akbar ka hai Kaleja Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Sughra Nazar uthaao Qasim ka Haal dekho


Bikhra Huwa hai Laasha Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Aye deeda-e tasawur tujhko dikhaayi dega


Chhota sa ik Jhoola Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me
~ 195 ~

Abbas ke Bareedaah Haatho’n ki daastaa’n hai


Behta hai Gham ka dariya Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Wo karbnaak manzar Kis tarha Tu ne dekha


Baba ka zakhmi Laasha Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Zindaane Shaam me hai Chhoti si Qabr lekin


Moujood hai Sakina Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Ab Aun aur Muhammad bhi yaad Aa Rahe Hain


Hone laga izafa Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Zulmo sitam ke manzar sab dekhle Madina


Hai Shaam aur Kufa Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Shabbir peshe Daawar jaaenge saath lekar


Bheega huwa Amaama Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me

Bepardagi ka Aalam kaise Adeel likhe


Khud dekhle zamana Zainab ke aansuo’n me
Kya dekhti hai Sughra Zainab ke aansuo’n me
-----------------*-----------------

You might also like