You are on page 1of 1

Hamein aur bhi intezaar ki ghadiyan milti,

magar panaah ke khayalaat kuch kam pade!

jajbaaton ke daur me shikayatein surkh hoti,

par mausam ki nami nigahon me kam pade!

shaam ke dhalne ke darmiyan roshni to milti,

magar in raaton ke khamoshiyon ke kahar kuch kam pade!

chaaye huye dhoondh me haathon ke nishan milte,

faasle pass aate aate kuch kam pade!

in darakhton me dastano ki kitabein milti,

magar aag ki ruthi ruthi pyaas kuch kam pade!

aaj agar dube gahrayi to milti,

aankhon ka tanha safar to kuch kam pade!

raahon me gumnaam tanhayi to aa ke milti,

in fizaaon ki tanhayiyon ke ansh kuch to kam pade!

aye chaand! mujhse teri chandani to aa ke milti,

baadalon ki hayaa raaton me to kuch kam pade!

jajbaaton ke daur me shikayatein surkh hoti ,

par mausam ki nami nigahon me to kam pade!

You might also like