You are on page 1of 20

Prof.

Maqsood Hasni Ke Panch


Khasusi Maqle

Complied By:
Prof. Mohammad Abdullah Qazi (PhD Isl. std., Linguistics)
Principal, Govt. College Bahawal'nagar (Pakistan)

Contents

1- Khudi na baich
2- Apni khudae kay monkar khuda
3- Eak khoof’nak sazesh
4- Angraizi donyaan ki behtarai zoban nahain hai
5- Taraqi ke liay mojoda talimi nazam main tabdili ki zarorat
Khudi Na Baich

Zawal ka rasta os waqt humwar hota hai jab shakhas/qoom nafsyati


toor par kisi dusray kay zair-e-asar ho jati hai ya ossay zehni toor par
kisi ka ghulam bana diya jata hai. Barr-e-Sagher kay log baray zahein,
jafa'kash, ba'himat aur iraday kay pakkay hain likin kuch mafad'parast
qovatoon nay onhain gora house ka nafasyati sata par ghulam bana
diya hai. Ab surat-e-haal yah ho gae hai kah jab bhi koe baat karta
maghrab ki taraqi aur oon ki products ki paidari kay hawala say karta.
Koe tehreer os waqt tak mokammal nahain samjhi jati jab tak os main
maghrab kay kisi danish'war ka zikr nahain kiya jata. Bazzar say
khareed'dari kay moamla main bhi hum laibal ko daikhtay hain.
Khoob'surat botal aur nafees kawar main kisi maim/gori ka pishaab hi
kayoon na band ho hum ossay bahtarein samjh kar khareed laitay
hain. Es kay bar'akas apni ashya chahay kitni achi kayoon na hoon
kareednay say ijtanab kartay hain balkah os main kiray nikaltay hain.
Goya maghrab ki tareef sontay sontay kun'pk ga'ay hain.

Jab yah kaha jata hai kah hum aisi hi ashya kayoon nahain banatay ya
yah kaha jata hai kah hum kayoon takhleeqi amal ki taraf tavajo
nahain daitay. Jawabun sonnay main doo batain aati hain:

1- Hamaray pas vasael hi nahain hain


2- Hum hunar'mand nahain hain/teknaloji nahain rakhtay

Yah donoon batain ahmaqana hain. Yah kayoon nahain kaha jata kah
kamishan'khoroon ko yah wara nahain khata aur yah kamishan'khoor
hi yahaan ki maeshat kay karta dharta aur malik-o-waris banay
baithay hain. Aakhir hum apnay mojood vasael ko bhar'poor tariqa say
estamal main kayoon nahain latay bnalkah en ka estamal hi nahain ho
raha. Essi tara na'ay vasael ki zoor-o-shoor aur puri diyant'dari say
talash ki ja sakti hai. Humaray pas afradi qovat hai likin es afradi
qovat ko hamaray kamishan'khoor apna jholi'cok, mil'mazdoor
mazaray aur fun say ari banay par tolay howay hain. Yah toor kisi tara
thek nahain. Logoon ko hunar say door rakh kar aur khaam'maal ki
baramad sehhat'mand amal nahain hai. Sahib-e-Iqtadar tabqay ko :

* Afradi qovat main khud'itmadi paida karnay ki taraf tovajo karni


chahiay
* Apni afradi qovat ko hunar'mand bananay ki taraf tovajo daina
chahiay
* Apnay vasael ko sastay damoon baramad karnay ki baja'ay yahaan
hi
oon ka bhar'poor estamal hona chahiay.
* Na'ay vasael ki puri diyanat kay sath talah kani chahiay
Iqbal nay bohat pehlay keh diya tha aur os ka yah kehna kisi bhi
hawala say ghalt aur bai'bonyad nahain:

Khudi na bach gharibi main naam paida kar

RAKhan
An attitude make over is urgently required, otherwise, "Tumhari
dastan tak na ho gi dastano mein"

jkbarki
Dr. Maqsood Hasni. posting,mode,quote,p,498353.html
Sir, we are very much thankful to you for sharing your valueable views
(few words need editing). Its very courageous to talk against the west,
particularly in Pakistan.
This nation definitely need Dr. Allama Iqbal's philospy otherwise for
any ignorant like me, it takes no time to go in the hands of other
people (that are sitting in the west) just for the sake of dollars on the
cost of our sovereignty, ideology and even on the cost of Pakistan.

RAKhan
Animosity of "WEST" is not real, this illusion is creation of idol mind(s).
This world, east and west, is creation of Allah and these diferences are
just local to planet earth. "Is se agae jihan aur be hai"
Now we have to make decison whether we want to spend whole life
fighting the "EAST vs WEST" differences, or we want to accept these
differences and live an intellecually driven and God's obedient
(Taqwah) meaningfull life.

May God bestow us with divin wisdome and knowledge, (amen).

online_sports_shop
Allah G!
hamain aik baar phir Quaid_e_Azam+Allama Iqbal se nawaz dain.

RAKhan
Dr. Sahib, that is correct, our prophet (pbuh) said that:
"Prayer is weapon of MOMUN, not of any XYZ.

jkbarki
Rehne dijeaye sir, kion sharminda kar rahe hein. Zarra nawazi tu koi
aap se seekhey.
Allah ham sab (tamam insano) ko khush rakhe.
jkbarki
We know West is the creation of Almighty God as other things are. In
routine west is used for uncle Sam, the USA. Devil is also the creation
of almighty God but that does not mean one should not criticize devil.
So how one can pardon Uncle Sam, the leader of all devils on the
earth. Till Uncle Sam change his policies and attitude towards muslims,
every one must keep continue one's struggle to uncover Uncle Sam.

Forum Pakistan » General Discussions


Apni khudae kay monkar khuda

Bai'shak mashraq aur maghrab Allah hi kay hain aur yah ossi ki
takhleeq hain. Insan masraq main ho ya maghrab main, woh awal-o-
aaakhar insan hai. Ahsan/Khalifa kay darjay par faez hai. Es hawala
say woh laeq-e-ehtaram hai aur os say nafrat karna ya os say boghaz
rakhna, anaad rakhna, os ki behtari ki rah main diwaar khari karna
(taghoot), os kay dukh main kush hona, dukh main vasael ki mojodgi
kay ba'vajood madad na karna ya os kay liay parishani ki rah nikalna,
os kay liay kharabi paida karna waghera gonah hi nahain, jurm bhi
hai. Haan albata kha koe bhi ho jo kharabi ki surat/suratain nikalta ya
paida karta ho, os ki nikali gae ya paida ki gae kharabi main ta'awan
karna, hamaiet karna, ekhtayar karna kisi tara aur kisi bhi surat main
darust aur jaez nahain.
Paida ki gae karabi aur os say juray howay andaz, atwar, hawalay aur
rovaeay say nafrat karna os kay khalaaf aawaz othana ya kisi bhi
tariqa say rokna hi insaniat kay zumray main aata hai. Goya insan say
nafrat nahain ki jani chahiay balkah os say mota'alaq manfi suratoon
say nafrat aur baraat karna hi asooli aur jaez baat hai aur yahhi insan
kay liay zaiba hai.
Mojoda halaat mazhab ya kalchar kay paida'karda nahain hain balkah
moashi havas ki paida'war hain. Maghrab, khasusan amrika ba'qool
sari insaf'pasand insaniat, es zimun main saf-e-awal par nazar aata
hai. Mairi es baat ki taeed-o-tardeed kay liay khoya sarvay karwa kar
natija daikh lain. Hamari baad'qismati yah hai kah hamaray vadairay
amrika ki dom banay howay hain. En vadairoon ki daikha daikhi
kamzoor aur lae lag qisam kay tabqay aur bhook say na'char bhi en ki
haan main haan milatay hain. Kaha jata hai sari danish aur sari hikmat
gora haous say baramad hoti hai. Yah'hi baat ekhtalafaat kay
darwazay kholti hai aur bil'aakhar tasadam ki surat ekhtayaar kar rahi
hai.
Danish aur hikmat kisi ki malkiat nahain hain. En ka ta'alaq umr, rang,
nasl, alaqa, eqtadaar waghera say nahain. Danae aur hikmat ki baat
kisi bhi monh say nikal sakti hai.
Almia daikhjeay tarekh shahoon kay karnamoon say bhari pari hai aur
oon kay qasiday parhti naszar aati hai. Mazeed jahalat daikheay pocha
ja'ay kah taj mahal kis nay tameer kya to jawabun kaha ja'ay ga
shajahan badsha nay. Halan'kah wo seray say mistari tha hi nahain.
Taj mahal to mistari mazdoroon aur dosray honar'mandoon ka
karnama hai jihain honar'mand honay ki padash main hath kat diay
janay ki saza mili.
Sarmaya bhi koe shajan ka nahain tha. Somnath ka mandar kis nay
tora?* jawab main kaha jata hai Mahmood Ghaznavi nay. Woh
badshah tha, badsha log khud kaam thora kartay hain. oon kay pas
chamchoon ki kab kami hoti hai, chahay os nay hath bhi na lagaya ho
likin naam ossi ka aata.
Sikandar ka gharoor kis kay hatoon pash pash howa? kaha ja'ay ga
Paja Poras kay hatoon.
Mein kehna yah chahta hoon kah Mehnat'karoon/kashoon aur kaam
sar'anjaam dainay waloon ko mowarikh kahein jaga hi nahain daita
aaya.
Baat seraf nazar'andaz karnay tak mehdood nahain. Honar'mandoon,
ahal-e-qlam, Asatza karam, moslaihein wagherahum ko aziat di gae,
onhain soli latkaya giya. Kaam karnay aur honar'mandi dikhanay kay
jurm main oon kay hath qata kiay gay. Pata nahain kya kuch keh kar
onhain zaleel kya giya. Goya honar, danish, kaam aur sachae ki batain
kabhi taj/iqtadaar ko khush nahain aaein. Apna kaam nikal kar es liay
mout ki saza daina kah kisi aur ko waisi cheez naseeb na ho sakay say
bhar'kar kya zulm aur ziyadti ho gi.
Agar sab kuch (tajaba/leaf xprians) rekard main aa giya hota to insan
aaj taraqi main doo chaar kya char chay qadam aur aagay hota.
Gozray logoon ka tajarba aaj kay honar'mandoon kay kaam aata.
Aaj ka chaiar holdar bhi kan ka kacha hai aur woh apnay ird gird jama
honay walay nakamoon, kaam'choroon, mafad'parastoon,
khud'gharzoon, gher zima'daroon aur gher honar'mandoon kay kahay
hi ko sach aur darust manta hai aur oon kay isharoon par raqs karta
hai halaankah woh khud ko marzi ka malik khud mukhtar aur sahib-e-
ra'ay samjhta hai. Agar mein yah kahoon to bhi baat kisi tara ghalt na
ho gi kah gozray kal main woh khud kisi shah ka nakama aur
khud'gharz chamcha tha aur apni hoshyari aur chalaki kay zariay tekht
par qabaz ho giya hai. Woh riyast mai-pawar aur os kay wasael ko
apni zati malkiat aur jaedad samjhta hai. Jamhori ehad main bhi riyast
kay logoon ko sheri nahain apni riya hi khayaal karta hai. Woh chahta
hai kah os ka baita ya phir os ka sala, damad wagha hi aatay kal ko
riyast aur riyasat kay takht-o-taj kay bila sherk-e-gheray waris-o-
malik tehrain aur badshahi kay mazy lotain.
Faraoon aur es ehad kay shah main faraq seraf yag reh giya hai kah
woh khuda kehlata tha yah khuda nahain kehlata likin khud ko khuda
hi samjhata hai aur es kay kaam faraoon aisay hi hotay hain. Khuda to
Raheem-o-Kareem aur insaaf karnay wala hai likin yah logoon kay liay
nahain seraf aur seraf apni zaat kay liay raheem-o-kareem aur monsef
hain.
Mein apni kisi tehreer main arz kar chuka hoon kah logoon kay
tajarbay (Laef xpirians) ko rekard main laya ja'ay. Univasrtioon ko keh
diya ja'ay kah woh logoon kay tajarba ko jama kain. Wahaan alag say
shoba bana diya ja'ay jo logoon kay tajarbay ko tehriri toor par akatha
karain. Jo tajarba jis sata ka ho os sata ki sanad jari karain. Jari ki gae
asnaad ko qanoni haisiat di ja'ay. Hasal kiya giya mowad aaj nahain to
aatay kal ki nasloon kay kaam aa sakay.
Mowarakh badshaoon ki tarikh kay sath sath en honar'mandoon aur
ahal-e- danish kay kar'noon ki bhi tarekh likhy. Badshahoon ki tarikh
jisay qasida jhoud farad aur faraib ki katha kehna ziyada monasab ho
ga, aati nasloon kay kisi kaam ki cheez nahain.
Kya karain baqaeda parhnay waloon kay liay tehqeeq hi nahain
ibtadae teleem kay darwazay band kiay ja rahay hain. Taj nahain
chahta kah kami kamein, os ki jotiyaan sidhi karnay walay aur os ki
chilam garam rakhnay walay parh likh kar kisi ohday ko ja sambhalay.
Woh her chotay baray ohday par apnoon ko hi daikhna chahta hai.
Sikhnay aur parhnay likhnay waloon ko aazad kar diya ja'ay kah woh
apni ra'ay aur jis tara say woh daikh aur samjh rahay hain, kay
motabaq qalm ko harkat hain.
Mein apni asal baat ki taraf aata hoon. Tajarba say motalaq tehriroon
kay evaz seraf kaghaz ka eak porza daina paray ga jo seraf porza
hasal karnay walay kay zindgi main kisi mour par kaam aa sakay ga.
Es kay bar'aqs tehrirain nasloon tak kaam aaein gi.
Kae saal tak kolij sakoloon main parnay walay ki asnaad, kisi kaam
nahain aatein. Hasal ki gae asnaad meaz kakhaz ka porza hi rehti
hain, bilkol essi tara tajarba kay hawala say di gae cartifikait/digri bhi
kaghaz ka eak porza hi rahay gi jab'kah es kay evz bohat kuch hasal
kar liya ja'ay ga.
Talimi amal aaj kay bapari hakamoon kay khayaal main fori
nafa'bakhsh nahain. Woh chahta hai kah ashya ki tara taleem par
invest ki gae raqam bhi forn say pehlay dhair sara nafa day ta'kah woh
ziyada say ziyada aish ki gozaar sakay. Jo raqam taleem par kharach
ho gi ya hoti hai wo os ki ya os kay baap ki chori hoe warasat aur
jaedaad nahain, riyast kay basioon say tax kay zariay hasal ki gae hoti
hai.
Zindgi kay es talakh ehad kay baad'naseeb aur riya nama shehrioon ko
bhi samjh laina chahiay kah yah badsah loog hain aur badshah log kisi
kay dost hum'dard aur ghum'khar nahain hotay balkah oon ki kamae
kay dost hotay hain. En ka andaz baghaly bhaghat jaisa bhi nahain
raha kah samjha na ja sakay. En kay kartoot aur manfi karnamay to
khulay aur wazay log'dushman hain aur es zimun main kisi sata par
ibham ki koe surat mojood nahain. woh aaj ki tarikh khud moratab
karain aur rafta par naaz karna choor dain. Mowarakh to chan takoon
ya en kay haan izzat panay kay liay raat ko din likhy ga. En
Baad'qamashoon ko nabi nahain kahay ga likin en kay kamoon ko
nabioon say bhi ziyada behtar, kar'aamad, asuli aur saaf sothra
bata'ay ga.
----------------------
* mandar torna ghalt tha ya sahi, yah baat alag say hai.
Eak khoof'naak sazesh

Riyasat apna nazam-e-hakomat chalanay aur apni afradi qovat ki


esta'ad-e-kar main mukhtalif hawaloon aur tariqoon say azafay, skilled
karnay, shaoor-o-aaghi say behra'mand karnay, moashi siyasi aur
samaji insaf mayassar karnay, oon ki zindagi ko aasan aur aasuda
bananay aur onhain sehat'mand rakhnay kay liay apnay shehrioon par
mukhtalif qisam kay aeni tariqa say tax nafaz karti hai. Riyasat
shakhas ki haisiat waghera ko bhi es zimun main mad-e-nazar rakhti
hai aur la'yaeni aur gher'mota'alaq tax aed nahain karti. Ta'kah
baichaini parishani aur haisiat ki kamzori waqo main na aa'ay. Jaez aur
monasab hasal kiay ga'ay tax say riyasat aeni aur riyasti adaroon ko
mazboot karti hai ta'kah wo behtar tariqa say riyast kay logoon ki
khidmat sar-anjam day sakain.

Jis riyasat main moamla es kay bar'akas ho jata hai wahan kharabi
kay bai'shomaar rastay khul jatay hain. maslan:

a. 1. logoon ka maal jo tax kay zariay say hasal kiya giya hota hai,
Houses ki tazein-o-araesh par kharch honay lagta hai.
2. houses ka kichan zarorat say ziyada farakh ho jata hai.
3. houses kay logoon kay paiat bhi qabal-e-mazamat haad tak
bhar jatay hain.
es tara es maqolay ko aml shakl mil jati hai:
"kama'ay gi dunyaan khaein gay hum"
b. la'yaeni doroon par bai'daraigh ropay lota'ay jatay hain aur os ka
return qoom ko
sefar ki surat main milta hai. haan vadairoon kay saiar sapatay
zaroor ho jatay hain.
c. houses ki haisiat logoon kay liay alamti bai'mawni gher'mowassar
aur bai'kar ho kar
reh jati hai. logoon ko wahaan say kuch hasal nahain ho pata.
d. adaray khadam nahain makhdoon ho jatay hain aur wo seraf aur
seraf en houses kay
liay kaam kartay hain. logoon ko wahan say dhakay dabao
daraway, dhamkiaan
aur jirkiaan milti hain.
e. rishvat ki taraf janay walay rastay ziyada ho jatay hain. log jis
rastay par bhi
chaltay hain os ka ekhtatam rishvat kay darwazay par hota hai.
f. bai'tahasha tax ki vasoli kay ba'vajood pori nahain parti lihaza
baroni qaraz main
nijaat samjhi jati hai. es tara dosroon kay samnay sharmindgi
othana parti hai
halakah daman kay motabaq khud riyasat kay andar mojood hota
aur rehta hai.
g. jab houses kay log jinhain misali samjha jana chahiay, ghalt ho
jatay hain to
khud logoon kay ghalt honay main dair nahain lagti.
h. fard zaat kay khool say nahain nikal pata aur her tariqa say apnay
faeday kay liay
tag-o-doo karta hai chahay es say kisi aur ka ya riyasat ka kitna hi
noqsan kayoon na ho.
i. insaaf mazaq aur bakaou maal ho kar reh jata hai.
j. aaghi kay rastoon par kharch honay wali raqam ko fazool samjha
janay lagta hai.
aaghi say motalaq adaray tamata aur aalu ki haisiat ekhtayar kar
laitay hain aur
onhain maal'dhar logoon kay hath main day diya jata hai. es tara:

1- en adaroon ka miyaar gir jata hai.


2- menhgay aur aam admi ki ponch say dour ho jay hain. natija-e-
kar:
a. oon tak aam logoon ki mali hawala say rasae dam toor daiti.
b. bipari aur taleem say gher motalaq balkah kitab'dushmun
aaghi kay bai'taj
badshah ban jatay hain.
c. whaan say milnay wali aaghi, aaghi kay naam par gandgi ki
tikka hoti hai.
d. qarz farahum karnay wali qovatoon kay talimi adaroon ko
miyari aur
boland'paya samjha janay lagta hai aur oon kay qadmoon par
chalnay ki
koshesh ki jati hai halankah wo oon kay kalchar kay motabaq
bana'ay gay
hotay hain. oon ka nisaab bhi oon kay mazaj aur zarorat kay
motabaq
takeeb-o-tasheel kiya giya hota hai.
e. auroon kay dabao main aa kar riyasti zaroratoon asoloon aur
nazriyati chizoon
ko hazaf kar diya jata hai.
f. qaraz'dahinda qovat ki zoban ko bala'tar samjha jata hai aur
ossi main, ossi
kay zair-e-asar aur ossi qoom kay mafadaat kay hawala say
taleem di janay
lagti hai.
k. her lamha baiyaqini kay tanoor main jalta aur sulgata rehta hai.
l. "choor ochakay chudri aur ghundi run pardhan"ban jati hai.
m. gher'aeni taxes ki bhar maar ho jati hai.
n. foj ko apnay mokhalif logoon/fariqoon ya qaraz'dahinda kay
mokhalif
logoon/fariqoon kay liay estamal kya jata hai.
Yah to seraf chand eak batain hain jin ka mein nay opar zikr kya hai.

Baishomaar qorbaniaan day kar hasal kiya giya Pakistan en qabahtoon


ka shakar ho giya hai. Log sochnay par majboor ho gay hain kah agar
yahhi surat-e-haal aur chalna rehna tha to essay hasal karnay ki
aakhir kya zarorat thi.

Aaj Bharat main Pakistan say ziyada mosalman aabad hain aur apnay
apnay zooq, zarorat, hunar aur halaat kay motabaq zindgi kar rahay
hay. Apna damun bachanay kay liay manfi asraat kamoon ka kabhi
kabhi rola dala jata hai kah ji woh mar gay khap ga'ay halankah aisi
koe baat hoti hi nahain aur nahi wahan ki foj apnoon par goliaan barsa
rahi hoti hai. pols chitatar maar rahi hoti hai ya pols moqblay main
mokhalfoon ko mara ja raha hota hai.

Hamaray haan maghrab ki tara kay 16 sala BA ka rola dala ja raha


hai jab'kah hamara pehlay hi 17 sala BA hota hai. pehli tak aatay
aatay 3 saal laga diay jatay hain. es tara abtada mazboot karnay ki
koshesh ki jati hai.

Pehli tak aatay aatay jo 3 saal lag jatay hain kya wo instarakshan
(instruction) ka amal/hissa nahain hain?!

kya yah yahaan kay taleem'yafta yang shehri say amli zindgi kay 2
saal chein lainay ki danista sazesh nahain?!

Shaed yah sazesh es liay ki ja rahi hai kah 17 saal parh kar
taleem'yafta yang shehri nokri mangay ga lihaza ossay mazeed
instarakshan kay amal main olja doo.

Jab yahaan adaray mazboot hoon gay kaam karnay kay midan khulay
aur wasi hoon gay to phir kisi ko bahar ja kar goroon kay kotoon ko
nehlay ki bhala kya zarorat ho gi. yah bilkul ghalt aur baibonyad baat
hai kah maghrab kay log yahaan kay logoon say bhar'kar hain.
hamaray log:
1. maghrab waloon say kahein ziyada zahein-o-fatein hain. mairi es
baat ka
wazay aur zinda saboot yah kah koe bhi faran made cheez aati
hai to os ki
eak nahain kae naqool market main aa jati hain aur baz asal say
bhi kar'gozari
main behtar aur bhar'kar hoti hain. en naqool kay tiyar karnay
walay shakago
return nahain hotay baz to sakool bhi nahain gay hotay onhoon
nay ether odher
say kuch na'kuch sikha hota hai.
2. sabar aur bardast ki ziyada qovaty rakhtay hain.
3. bai'haad mehnati hain.
4. ziyada waqt kaam kar saktay hain aur kartay hain.
5. kaam ko ziyada waqt day saktay hain aur bohat kam moavzay
main daitay bhi hain.
6. hamaray haan aksiriat aisay logoon ki hai jo kabhi ba'qaeda
instarakshan kay
amal say gozray hi nahain hotay likin kaam ala parhay likhay
logoon say bhar'kar,
kar jatay hain.
zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay say mil kar to daikhain
aur ossay wo
kaam soomp dain jo maghrab kay kisi professor/saens'dan nay
kiya hota hai.
wo kahein behtar aur kahein paedar kar day ga. mein apni es
baat ki sanad kay
liay "naam'dav"* aur ayub abbasi"** ko hawala bananay main
koe aar
nahain samjhta.
7. hamari jawan parhi likhi nasal bari la'jawab aur mehnati hai.
wo behtar aur
kam'waqt main acha aur pae'dar kaam karnay ki ehliat rakhti hai.
baad'qismati
say ossay mowaqay hasal nahain ho patat.
khuda kay liay:

* es qoom par reham karain aur es kay wasael ayashi aur


baad'mashi main na oraein.
** jawanoon say kaam aur amli zindgi kay 2 saal na chinay jaein.
*** taleem ko biparioon kay hath na baichain.
**** adaroon ko awaam ka khadam banaya ja'ay aur onhain awaam
kay liay kaam
karnay par majboor kiya ja'ay.
***** oudhaar ki dokandari band karain.

Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka sagay nahain. Waqt kay liay
opar say nichay aur nichay say opar lana aur lay jana mushkal ya
na'mukin nahain. Pehloon kay hashr say ibrat lain warna Allah ki lathi
bai'aawaz hai aur os kay ghar dair hai andhair nahain. Mein en satoor
kay zariay ba'ekhtayar tabqoon ko chitavni daita hoon kah oon ka
hashr bohat hi bora ho ga yahhi nahain wo kal ko Allah kay hazoor
koon'sa monh lay kar jaein gay?!
------------------------
* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi Abdul Haq Sahib
** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof. Rasid Ahmad Sadiqi Sahib

thefire1

www.forumpakistan.com
Bohat khoob janab, bohat hi khoobsurat tehreer bohat hi khoobsurat
andaaz main paish ki hay, parh kar dil khush hogaya.

Aap nay apni tehreer main siyasi fikr, samaji shakl, moujooda
sargamiyan, aur mustaqbil ki nishandiyan bakhoobi bayan ki hay, iss
tehreer ko paRh kar bakhoobi andaaza hota hay aap nay maashray per
kiss qadar gehri nazar rakhi hay.

Moujood maashray ki akaasi karti hoyee yeh tehreer waqayi qabil-e-


tehseen hay, likhtay rahyeh aur apnay qalam ki jalwagari say hum sab
ko mustafeed kartay rahyeh, khush rahyeh.

I K QAZ
www.forumpakistan.com
Dr.Masood Hasni!! Mey Dil Ki gerai Sey Aap K Jazbaat,Ahsasaat Aur
Kawish Ki qadar Kartha Hoon.Apney Ahsasaat,Jazbaat Aur Khayalaat
Ko Ilfaaz k Zariye Kaghaz/forum Par Muntaqil Karna Bhi aik hunar
Hey.Hum Jaisey Chand sar Phirey Qoam aur Millat Sey Junoon ki had
Tak Pyaar karney Waley.Jin Ko Muhamlaat Ka idraak hota Hey,Wo sab
Kuch samajhtey Hain Lehkin Kurrney K Siwa Kuch bhi nahih Kar
sakhtey.waisey Bhi "Niqar Khaney Mey Tothi Ki awaz Kaun Suntha
Hey".Baaz Waqt tou Mujhey aisa Laghta Hey Hum "Bhains K Aagey
Bheen Baja rahe Hon".Phir Bhi Apni Zehni Inteshaar Sey Nijaat Paaney
K Liye GaaYe Ba gaaye Apney Nacheez Khayalaat Ko Yahah Raqam
Karke Qoam O Millat Ko Jagaaney Ki Koshish Mey Laghey rehtey
Hain.Mey aik Dafa Phir Aap ki Kawish ko Khiraaj e tehseen paish
kartha Hoon.Mey Aik Naya Mozoon(Topic/Thread) Pakisztan News &
events mey "Jaag Pakistani Jaag" K Naam sey shurooh Kar raha
hoon.Mohqa Miley Tou Zaroor Parrhiye Ga.Keep it Up Aur Zoar E
Qalam aur Ziada ho.
Angraizi dunyan ki behtarein zoban nahai hai
Hum jis ehhad say gozar rahay hain wo angraiz aur os ki zoban
angraizi ka hai. Angraiz kay chailay chamtoon aur gamashtoon nay
yah ta'asar aam kar diya hai kah angraizi zoban kay bagher taraqi
karna mumkin hi nahain. Natija'kar pehli jamat say angraizi ki taleem
ka silsala shuro ho giya hai. Taqribun 1835 say bar-e-sagher angraizi
gozida hai aur yahaan kay basi jo baray zabardat yohdha jafa'kash
mehnati aur honar'mand hain, intahae koshesh kay bavajood es qilay
ko fata nahain kar pa'ay. Ab eak hi surat nazar aati hai kah joon'hi
bacha paida ho ossay amrika kay kisi nursing house main bhajwa diya
ja'ay takah woh wahaan na'seraf angraizi sikh sakay balkah os kalcar
ko bhi apna sakay. Halaat to yah batatay hain kah aatay barsoon
main:
1- Bhook kay sabab bachoon ko paida hotay mar diya ja'ay ga.
2- Log bhook piyas andhairay dehshat jabr waghera kay khoof say
khud'kushi karnay
par majboor ho jaein gay.
3- kamzoor taboon kay bachay taleem ka khaab daikhna bhi gonah
samjain gay aur
aaqaoon ki zaminoon aur kar'khanoon par kaam kain gay. Ghaliban
yahhi aaqaoon
ki tamana aur marzi hai kah
4- Chori dakay mar dhaar aur haira phairi aisay paishoon say wabasta
ho jaein gay.
Amli sata par daikh lain das saal parhnay aur saray mazamein main
kamyabi hasal karnay kay bavajood angraizi main fail ho janay kay
sabab talib-e-ilm taleem'yafta logoon ki saf main dakhal nahain ho
pata. Chori ko qanoon jurm qarar daita hai likin talib-e-ilm kiya os kay
walaidain aqarib aur sar'parast hazraat bhi choor darwazay par dastak
daitay hain. Naqal roknay ki surat main bacha un'parh rehta hai aur os
kay das saal aur dusray saray mazamein main kamyabi gharat ho kar
reh jati hai. Naqal roknay ki taraf tovajo di jati hai aur naqal bhi
angraizi kay parchay walay din hoti hai jab'kah baqi din samooth
chaltay hain. Hazaar (1000) bookay pani kay nikal lainay say pani pak
aur saaf nahain ho sakta jab'tak kotta khu say na nikala ja'ay ga.
Sochnay ki baat to yah hai kah jo angraizi parhatay hain oon ko
angraizi aati hai?! Sara kaam to gaedoon kay saharay chal raha hai.
Sada badshi Allah Sahib ki hai bar-e-sagher main bhant bhant kay log
aatay rahay tab bhi yahi kaha jata tha kah hakam ki zoban kay bagher
taraqi nahain ho sakay gi. Wo chalay gay oon ka door khatam ho giya.
tarjihaat main her bar tabdli hoti rahi. Sabqa jabr kay sabab yahaan
kay logoon par taraqi kay darwazay band rahay. Taraqi gher mulki
kakam kay gamashtoon had'haramoon, auroon ki kamae par mooj
karnay waloon aur moqa parastoon nay ki hai. Woh auroon ki nisbat
aasmani makhlooq rahay. Oon kay gharoon aur daftroon main kabhi
andhaira nahain howa. Ohain aish kay sab moqay mayasar aa'ay.
Mehnat'karoon aur kamoon ka hissa main mayosi bai'basi' bai'kasi,
bai'chargi aur tangi sakhti aae.
Waqt badal raha hai. aatay kal ko angraizi kay sath bhi wohi ho ga jo
pehli hakam zobanoon kay sath howa. Jis tara aaj yaah koe arbi ya
farsi nahain bolta ya likhta bilkul issi tara angraizi bhi ga'ay waqtoon
ka afsana ho gi. Khuda kay liay talba ko apni zoban main sochnay
parhnay aur likhnay ka moqa dijiay. Yah qoom bari zahein aur mehnati
hai, dinoon main taraqi karay gi. Kisi gher zoban main wo bhi apnay
molak main rehtay howay socha nahain ja sakta. mein kisi zoban say
boghaz nahain rakhta. Zoban koe bhi ho wo to mehz izhaar ka zariya
hai es kay siwa kuch bhi nahain. Zoban to insani khayalaat ehsasaat
aur mashahidaat kay izhaar kay liay shakas ki ongli pakarti hai.
Yahaan olta moamla chalta aa raha hai, shakas ko zoban ki ongli
pakarna parti hai.
Ab mein angraizi ki batoor namona eak doo funni khamioon ki taraf
aata hoon aur mein es hawala say her kisi say goftagu karnay ki
pozishan main hoon:
1- Angraizi ki ibtadae aawazain izhaar kay hawala say na'kafi hain.
2- Nahaet ahum aawazain
3- Marakab aawazoon ka nazaam kamzoor, dohra, naqas aur pachida
hai.
Ab zimun numbar 3 kay hawala say chand misalain bhi malahza farma
lain:
sheen kay liay das ya das say ziyada marakab aawazain estamal main
aati hain jab'kah yah marakab aawazain dosri jaga koe aur aawaz daiti
hain. sheen kay hawala say misalain malahza hoon:
1- ch cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
2- ce croce
3- ci facial precious, special, social, ancient, apperciate, chicago
4- sh shift, sheet, shirt, shawal, shrink, ship, shop, shade, shelve
5- si asia, malaysia, tesion, demension, inpulsion
6- ti action, mention, residentional, confidentional
essential potential
ititial, admition
7- ssi mission, permission, discussion, procession, session
8- ssu issue, assure, pressure
9- su sugar, sure, insurance
10- sch schedule, schizophrenia
tu
ac
tor
for
likin her jaga tu ki yah surat barqarar nahain. maslan:
ch
chest, cheat, chit, cheep waghera
ch marakab khay ki aawaz bhi daita hai: boch, munich waghera
sheen ki aawaz bhi daita hai:
cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism waghera
kaaf ki aawaz bhi daita hai:
school, chemical, chemist, chasm, chem waghera
Kaaf
k
c
city, civil waghera main seen (s) ki aawaz daita hai. K aur s ki mojodgi
main c
kay honay ka koe jawaz nahain banta.
social, facial precious, special, social, ancient waghera main i kay
milan say sheen
ki aawaz paida karta hai
ch
sheen cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
chay child, chest, cheat, chary (che re), chaser (cha sor)istry
khay munck, boch
Bawar rahay
kay honay ka koe jawaz nahain banta. Gharaz aisi bisioon aawazoon
kay hawala say khamiaan mojood hain jin kay sabab yah kehna kisi
tara thek nahain kah angraizi bari ala zoban hai aur es kay bagher
taraqi karna mumkin hi nahain.
Taraqi ke liay mojoda talimi nazam main tabdili
ki zarorat

Soach main tha kah Maghrab din dogni raat chogni taraqi kayoon kar
raha hai es kay barakas hum aur hamaray adaray sadyoon pechay
kayoon hain?
Hamaray log Maghrab ki bay’labasi aur faishan ko taraqi kayoon samjh
rahay hain?
Kiya Hamaray haan zahanat aur wasael ki kami hai?
Ghoor kiya ja’ay to yah donoon chizain hamaray haan Maghrab say
kahein bhar kar hain. Maghrab to Shamsi Tavanae main hamaray
moqabal khara nahain ho pata. Hamaray haan ka unphar Thorimar
Kharadiya Maghrab kay baray say baray Enjiniar ko Zahanat main
kahein pechay choor sakta hai aur yah baat mein
bari zemadari aur etmad kay keh raha hoon.
Mein nay es moamlay par bara ghoor kiya hai aur es natijay par
ponhcha hoon kah wahaan kay Colleges aur Universitiaan tehqeq-o-
talash main bara aham kirdar aada kar rahi hain. Ansted University,
Brown university, Brunswick university, Chicago University, Camridge
University, Leeds university, Oxford university, Stanford university,
Harwod Unversity, waghera waghera main itna kaam howa hai kah
shaed hi hamari koe university oon main say kisi eak kay moqabal aa
sakay. Mazeed daikhain to yah bhi maloom paray ga kah wahaan
kaam karnay walay ziyadah’tar hamaray hi haan kay log hain jabkah
west walay damagh ka johar aur nachoor apnay “khisay” main kar
rahay hain aur hamaray hath kaghaz ka eak porza thama daitay hain
aur hum es meharbani aur ata par na'seraf kush hain balkah itratay
bhi hain.
Hamaray haan ki research digriaan mamay chachay ta’ay phupha
ahbab aur nazar niyaz say mashroot hain. Agar en say kuch bach jata
hai to woh kisi waris walay ko mil jata hai. La’waris magar zahein-o-
fateen bay’chargi aur bay’basi ki moot mar jatay hain. Na’laeq aur
nakammay logoon ko bari kursiaan ata kar di jati hain. Etmad aur
ilam-o-fazal say aari logoon kay liay yahaan sab kuch hai.
Eak aur andhair daikheay Talemi boards to haad say guzar ga’ay hain.
Fi paper Re. 18/ moavza moqarar kar diya giya hai jabkah dusara
moavza khatam kar diya giya hai. Mumtahin raqam jama karnay kay
hawala say aur jalad kaam khatam karnay kay moamla main boards
apna jawab nahain rakhtay. Natija'kar paper marking kay mosam main
machli mandi lag jati hai aur es tarah zahantoon ka barsar-e-aam
qatal-e-aam hota hai.
Yahaan kursioon kay hawala say log ilam-o-fazal main naam patay
hain ya pehchanay jatay hain. Kaam kay hawala say en kursioon par
shaed hi koe nazar aa jay. Agar koe hai to Entazamia ki baein aankh
ka shakaar rehta hai. Hamaray haan Universitioon say bhar kar fazal
log kaljoon main mojood hain likin woh baad’qesmati say jahaan thay
arsa daraz baad bhi wahein kay wahein hain jabkah dusray taraqi
kartay kartay kuch kay kuch ho gay hain.
Mairay khiyaal main taraqi ka eak alag say miyar hona chahi’ay.
Maslan:
Lecture say Assistant Professor kay liay:
teen thaqiqe moqalay+teen saal ka taqiqi tajarba ya 6 years teaching
experience
Assistant Professor say Associate Professor kay liay:
6 tahqiqi moqalay+6 years tehqeeq ka tajarba ya 11 saal teaching
experience
Associate Professor say Professor kay liay:
11 tehqiqi moqalay+ 13 saal tehqeeq ka tajarba ya 15 saal teaching
experience
Professor say Seneior Professor kay liay:
15 tehqeqi moqalay+16 saal tehqeeq ka tajarba ya 19 saal teaching
eperience
Janch partaal ka moamla intahae khufya hona chahi’ay kah kisi ko
moamlay ki kanoon kan khabr bhi na honay pa'ay.
Kalaj asatza main say kisi ka koe tehqiqi kaam internet ya motbar
rasalay main shaya ho to os par increment ki surat main os ki
hosla'afzae hona chahiay.
Taraqi kay moamlay main College aur University ustad main tafreq na
rakhi ja’ay.
Hamaray haan inerview, intakhab/ slection ka maqool, unda, qabal-e-
etmad parakh ka mayar nahain hai. Wahaan pasand aur na'psand ko
hi dakhal rehta hai. Es tarah bhi wohi safarshi log hi sanay aaein gay
ya aatay hain.Yah bhi kah Talemi aur Tahqiqi dafatar(Secretariates) ka
Qebla darust hona aaj ki aaham zaroot hai.
Jis kolaj ostad ka saal bhar main koe kaam safa-e-qirtas par nahain
aata os ki sarzanash hona chahiay. Teen saal tak kuch samnay nahain
aata to os ostad ko mehakma taleem say farag kar dainay main koe
kharabi nazar nahain aati.
HEC darj-e-bala ya es tarah ka koe bhi miyar moqarar karkay kaljoon
aur universitioon kay ostadza say oon kay Resume talab kary. Miyar
par aanay walay logoon ki farest bana kar rakhay jab aur jahaan
kahein jis miyar kay ostad ki zaroot ho mohiya kar diya ja;ay. Es tarah
HEC ko talimi taraqi kay liay qabal log mayassar aa sakain gay.
Allamah Iqbal Open University Islamabad, ki taraf tovajo dainay ki
ashad zarorat hai Os kay arbaab-e-ekhtayar ko khasusan hadaet kar di
ja'ay kah woh MA aur es say bala digrioon kay liay HEC say Tutarz
talab karay go'kah es say nechay bhi bura hal hai. Baishak Hakoomat
taleem say dilchaspi rakhti hai likin khali dilchaspi say kuch nahain
honay wala, es kay liay naserf choor darwazoon ko band karna ho ga
bakah eak miyar moqrar karna paray ga takah taraqi ka khaab
sharminda-e-tabeer ho sakay.

You might also like