You are on page 1of 6

Ai mere humnashin chal kahin aur chal,

Is chaman mein ab apna guzaara nahin,


Baat hoti phoolon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.

Yeh shaam itnee tanha kyon hoti hai.....


Aur kismat se apnee sabko shikayat kyon hoti hai...
Ajeeb khel khelti hai ye kismat bhi....
Jinhe hum paa nahin sakte...
Usseise mohabbat kyon hoti hai....

Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga,


Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga...
Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se,
Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga?????

Mili Thodi Si Khushi To Mila Ke Pee Gaye,


Nahi Thay Hum Bhi Kal Tak Peene Ke Aadi,
Sharaab Ko Tanha Dekha To usper Taras Khaa Ke Pee Gaye.
Gham Mila To Ghabraa Ke Pee Gaye,

Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,


bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.

Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata


Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
Isiliye mujhe zinda hi maar gaye....

Sari umar ankho me ek sapna yaad raha,


Sadiyan beet gayi jisme wo lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi unme,
Sari mehfil bhul gaye bus wo hi ek chahra yaad raha...

Ban ke ehsaas meri dhadkan k paas rehte ho,


Tasveer ban ke meri ankhon k paas rehte ho,
Aaj puchte hai ek sawal tumse,
Kya door reh kar tum bhi udaas rehte ho???

Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai


Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai.......
Back to top

cuterimza

Joined: 26 Apr 2007


Posts: 175
Posted: Sat May 05, 2007 5:03 am Post subject:
--------------------------------------------------------------------------------
Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade

Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha


Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha
Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse
Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha...
Paane se khone ka maza aur hai
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari
aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai

Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,


Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..

Unhone dekha aur aansu gir pade,


Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,
Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade

Yaad toh har koi karega jaane ke baad


sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad
Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai lowg aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!

yaado main kabhi aap bhi khoye hoge


khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the..
kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the...

Is jahan me mohabbat kash na hoti,


To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!

Jab laGe zakhm to Qaatil ko dua di JaYe...


Hai Yehi rasm to Yeh rasm uthaa di JaYe...
Hum se Poocho shayari kya hai, Shayari ka fun kya hai...
Chaar lafzon men koi aah chuPa di JaYe...

Hum gilla nahin karte....


jo na ho kismat mein vo mila nahin karte
zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne
yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte

Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi


hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
Wafa karo itni ke bewafaai na rahe
kisi ko chaaho itna ke koi hadd na rahe
honto pe apne banaaye rakho muskaan
ke dukh ka koi nishaan na rahe

Meri deewangi ko dekh ke muskuraate hai kyu


mein jitna paas jau utna door jate hai kyu
kuch toh vajah zaroor hogi unki berukhi ki
mujhe aise har pal sataate hai kyu

Duao ki bheed mein ek dua hamari


jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain

Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga


tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya
hoga

Apko bhul jaye wo nazar kaha se laye....


Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye....
Nahi reh sakte app ke bina....
Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye.........

tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,


door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main...
faryaad karthe hain...dard ka bi koi insaaf ho
Back to top

cuterimza

Joined: 26 Apr 2007


Posts: 175
Posted: Sat May 05, 2007 5:15 am Post subject:
--------------------------------------------------------------------------------
You can fall from a mountain,
You can fall from a tree,
But the best way to fall,
Is to fall in love with me.

When Someone Loves You,


U Never Realise It,When You Realise It,
Its Too Late,
You Always Love The One,
That Leaves You,
And Leave The One,
That Loves You.

Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi


Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai.

"Zinda rahe toh phir milenge".


Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
"Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge".

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,


kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai.

Tammana se nahi tanhai se darte hain,


pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
Dil mein tumhari apni kami c*** jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir c*** jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani c*** jayenge.

Yaad aaye to aankhen band na karna,


hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.

Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,


Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga.
Tere Waade Pe Hum Ne Bharosa Kiya...,
Kuchh To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaaya Karo...;
Hum Bhi Hamraaz Hain Tum Bhi Hamraaz Ho...,
Dil Ki Baat Humse Na Chhupaaya Karo..!!!

Kisiko apna banane me der lagti hai,


ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai....

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,


yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye
unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
isqe to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain
Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na..........
na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,


Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte??

yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,


tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,


Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai,
Isliye chale aate hai!

You might also like