You are on page 1of 8

Uchit Samay anuchit Mudde Varsh 2011 vishva itihaas main uthal puthal ka ek uttam udahran hai , Madhya

Europey deshoin ne paramparik satta parivartan ka ek naya daur dekha aur aadhunik itihaas main aandolan ke mahatva ko punah sthaapit bhi kiya..Bharat jaisa teevra vikassheel desh bhi is prabhaav se bach nahi saka aur ek naye roop main yaha bhi hawa bahne lagi..

Ye kahna to uchit nahi hoga ki sab kuch 2011 ka hi prabhaav hai , jahan bhi jo kuch bhi ghata hai , Ghat raha hai aur ghatega uski jadein itihaas main hi hain , par bhi is varsh ne kriyanvan ka ek daur shuru kar diya hai aur yadi sab kuch isi prakaar chalta raha to ek din yah vasrh bhi 1857 , 1942 ki tarah sada ke liye amar ho jayega Aaj humare sammanneey mantriyoin ke samooh ne 3-4 mahine pahle kiye hue vaade ko poora karne ke naatak ka muhurt shot le liya hai aur ye

kahna galat nahi hoga ki in 6 dashkoin ke anubhav ne itna to spasht kar hi diya hai delhi ki us safed imarat main koi laabhdayak hal sheegra nahi milega Aadarneey Anna ji , aur civil society ne bhi apni nishtha ko aur dhran karte hue 16 Aug 2011 ko ek aitahisik din banane ke liye apni pratibadhta vyakt ki hai.. bahut aacha hai.. par rashtra ki pratikriya ki disha heenta ek bara sa prashn chinha bani hui mujhe baar baar niraasha ki ore dhakel rahi hai..

Aaj ke is daur main swadeshi , videshi company ya unse jude hue vyavssay aur rojgaar , dharmik aadhaar par prashna uthaana , jaativaad aur kshetravaad ko hawa dena hume dishaheen bana raha hai.. yadi aadarshoin ki lakeer ko peeta jaye to hum sabhi jaante hain ki aadhunik vaishvikaran ke daur main India ko bharat banana , Swadeshi ka upyog videshi ka bahishkaar , dharm parivartan aur kshadm samyavaad , ka tatkalik koi hal nahi hai , in samasyayoin ka hal aadhikarik taur par hona to

laghbhag asambhav hi hai , aisa main isliye nahi kah raha ki main niraash hoon , main apne star par sada hi chaunga ki ye samsyaein samaapt ho jaye par ... kya abhi inke peeche bhaag kar kya uddeshya ko kho dena uchit hoga..? Aaj bhrashtachaar ka rakshas ugra ho gaya hai.. Raja , Kalmadi , Yedurappa ye sab usi maya ka ek ansh hain , Sarkaar ki oot pataang nitiyaan jinme sampradiykta ki nadi bahti hai.. Communal violence Bill , kabhi kabhi aane vale Narendra Modi ke naam ke hawa ke jhokein ,

Padyaatra , Mahapanchayat , Rajghat par Anshan , Subsidy ka rona , bahdti mahngai , bhashavaad , rajyoin ka punargathan , Food protection bill .. ye saare prapanch kahi na kahi saare choroin ki milibhagat ki ore ishaara karte hain.. Digvijay singh ka pagalpan , Rahul ka utsaah , Kapil sibbal ke banaavti aashvashan , Mukharji ka vichalan , S M Krishna ki doshpoorna Passport jaari karne ki neeti aur Man Mohan Singh ka muskurata maun , Sonia ki vidsehi Bharatiyta sab kuch aisa jaan

padta hai jaise Chiriya ki aankh ko bhedne ke liye aaye pratibhagiyoin ke saamne rakhe tarah tarah ke aakrshan jinse prabhaavit ho kar lakshya se pratibhagi bhatak jaye.. Hume Arjun se seekhna hoga , Lakshya hai Janlokpal bill , Shahsakt Lokpal ka nirmaan aur is uchit samay main apne lakshya se nahi bhatakna hoga.. aur yadi aawashyakta pade to system ko badalna hoga aur hum aisa hi karenge.. ya to uska hissa banker use badaleinge ya fir use samaapt kar ke uttam vikalp le kar

aayeinge.. aur yadi hum aisa kar sake to yah Desh badalega.. hum pragati kar payeinge aur.. humare saare ikshit lakshya hume prapt honge. Dhanyvaad Shailendra Dixit

You might also like