You are on page 1of 7

M F Hussain ki Vaicharik swatantrata aur Rashtrabhakti. Is saptaah bharat varsh ne apna ek porva nagrik..

aur vishwa ne ek chitrakaar kho diya.. yah dukhad hai.. Ramayan main Meghnaad ki mrityu ke paschaat jab vaanar sena aur uske pratinidhiyoin ne Maryada Purushottam Mukhya Senanayak Shri Ram se kaha ki Yudhneeti ke anusaar Meghnaad ke shav per Unka adhikaar hai aur Aakroshit vaanarsena Laxman per Shakti prahaar ke virodh main uske shav ki durdasha karna chahti hai.. Tab uhone kaha ki Meghnaad ke saath unki shatruta uski mrityu ke saath ki samaapt ho gayee... Vaisa hi kuch main yaha kahna chahta hoon ki ab is vishay ko uthaana vaastav main uchit hi nahi hai.. Unka nidhan ho chuka hai aur humhe yah prarthna karni chaiye ki ishwar unki aatma ko shaanti aur Sadgati de... Parantu hriday dukhi tab hota hai jab rashtrvaadi soch ke secualar pratinidhi.. is baat per vivaad utha rahe hain ki kuch tathakathit mool siddhaantvaadi sanghthan.. unki vartmaan dasha ke uttardayee hain aur unhone kala ka samman nahi kiya... main is se sahmat nahi...

Ye vahi sangathan hai jo Mr Abdul Kalam ki prashansha karte hain unhe poorna samman dete hain aur unka aadar bhi karte hain, kripya mujhe ek bhi aisa communal vyakti bata dijiye jisne Kalam sahab ke vyaktitva ko sandeh ki drashti se dekha ho.. fir aakhir hussain sahab ne aisa kya kar diya ki ve unse vimukh ho gaye.. ek puraani kahavat hai ki "Taali ek haath se nahi bajti" yadi unka virodh kiya gaya to aisa nahi hai ki achaanak ek din sangthan ne nirnay liya unke naam ki lotery nikaali aur kaha ki unka virodh kiya jayega aag lagi thee to samaan dono logoin ne hi jutaaya tha.. Ab baat aati hai ki kya hum kala premi nahi .. main nahi maanta ki kisi bharatvaasi ne kalakaar ka kisi bhi roop main tiraskaar kiya ho are humne to apne chir parichit aur sashvat shatru Pakistaan ke kalaakaroin ko bhi sar aakhoin per bitha rakha hai.. arthaat humhare kala prem per prashna nahi uthaaye ja sakte.. aur M F hussain sahab bhi isi desh main aadar paate rahe hain.. Ab baat karein un sangathano ki jo is vivaad ke janmdaata maane jate hain.. ye vo sangathan hai jin per is baat ka aarop lagta rahta hai ki ye dharm ke naam per doosre sampradayoin ko aatankit karte hain aur isi aatank ke dabaav main Mr M F hussain ko yah desh chor kar jaana para.. are bahi logoin! is desh main yadi ye sangathan itne prabhaav shaali hote ki kaun desh main rahega aur kaun nahi to

aaj na jaane istithi kya hoti.. isliye M F hussain sahab ke apraadh ko aatank ke saaye main sharan na de... Ab vicharak yah bolenge ki unhone koi apraadh nahi kiya to maine unhe apraadhi kahne ki himmat kaise ki toh main yah spasht karna chahoonga ki hum apraadhoin ko bhi kuch alag alag shreniyoin main daal sakte hain pahla Vaidhanik apraadh jismain aap raashtra ke kisi kanoon ka ullanghan karte hain... doosra Samajik apraadh jis main samaaj vishesh ki maryaad todte hain.. aur teesra Naitik apraadh jis main aap naitikta ka ullanghan karte hain... aur apraadh chahe kisi bhi shreni ka ho yadi use niyantrit karne ke liye dand ki vyavastha na ho..to apraadh aur apraadhiyoin ki sankhya din par din badhti hi jaati hai.. Main hussain sahab ki kalayoin ko Natik apraadh ke shreni main rakhna chaoonga halanki bhartiya samvidhaan ki drashti main bhi unki kala ne apraadh hi kiya tha..

punah rukh karte hain kala , kalakaar aur uski abhivyakti ki swatantrata ki.. sirf modern art hi kala

ki ek vidha nahi.. sangeet, sahitya geet aur bhi anek vidhayein hain aur unke uttam koti ke kalakaar hain, kal ko koi geet kaar apne geet lekhan ki kala main swatantarta ke naam per kisi dharm visheh ke poojya charitrion ka uphaas kare.., ya fir koi gayak unhe apne gayan main apshabd kahe ya matribhoomi aur deshbhaktoin ki ninda kare to kya use bhi freedom of expression ki aad main hum sunte rahenge.. kya hum aise prayaas nahi kareinge ki bhavishya main aisa na ho.. kam se kam main to karoonga.. Ab main us vishay ki ore chalta hoon jisne is vivaad ko janm diya hai ki M F hussain ki chitrakala swatantra abhivyakti ka ek uttam udahran thee aur kuch bhi nahi.. per yah vishay mere jaise tamaam logoin ke hriday main ek sandeh utpaan karta hai logoin ne kaha ki aakhir khaajuraho, konark ke surya mandir aur any anek bhartiya darshan ke smaarak ban chuke sthaanoin main nagnta khule aam parosi gayee hai aur hum un sthaloin ki aalochana nahi karte.. to aisa isliye hai ki humhare darshan main nagnata aur uska chirtikaran nindaneey nahi raha hai.. are humne to "Kaam sutra " jaise bhogwaadi sahitya ko apne desh ki pahchaan bana rakha hai

aapati nagnta se nahi vyaktitva vishesh ke apmaan se hai.. Bharat mata.. Matribhoomi hai.. mata hai.. meri bhi aapki bhi.. agar koi mata ko nagn karega to hum uska samman kaise kar sakte hain?.. Mata Sita sateetva ki shobha hai, pativrata naari ki maryaada ka prateek hain, naari ke aatmvishvaas ka gaurav hain. unki nagnta sweekaarneey nahi Mahaveer hanumaan Brahmcharya aur bal , sanyam , niyam ke devta hain unko kaamuk roop main chitrit karna kisi bhi prakaar se shobhneey nahi hai.. Mata Sarsvati gyaan ki devi hai, sisksha ka aadhaar hai , isi prakaar mata lakshmi aur Shri Ganesh mata aur purta hain.. Putra ke seesh per nagna mata ko bitha kar aakhir ye chitrakaar sidh kya karna chah rahe the... Khajuraho, konark jaise mandiroin main jin chaviyoin ko ubhara gaya hai vo bhogvaadi jaati ki prateek apsarayein, yaksha aur gandharv hain..aur inki nagnta ko hum sadiyoin se sweekarte aaye hain..kuinki inme se kisi ko bhi mata ka sthaan prapt nahi... parantu jin charitoin ka niraadar hua vo Mata tulya hain.. Ab baat karte hain hussain sahab ki vaicharik swatantrata ki .. to unki vichaar keval ek samudaay ke prati hi swatantra rah paye.. ab aisa to nahi kaha ja sakta ki unhe samay nahi mila kuinki unhone paryaapt lamba aur swatantra jeevan jiya jismein nissandeh unhe samay ka abhaav nahi raha hoga.. Ek aur kahavat hai ki

your freedom ends where my nose starts.. Vaicharik swatantrata ke naam par main kisi vyakti, sanstha , samudaay sampradaay ka aur uski bhavna ka niraadar nahi kar sakta.. yadi unke vichaar itne hi swatantra the Fatima bhi unki kala main awashya sthaan pa jaati aur dhanya ho jaati, shaayad Fatima, aur Marry ko sadaiv is baat ka malaal rahe ki Ek mahan chitrakaar ki drashti se vo humhesa door hi rahi.. Ab baat kare unki raashtra bhakti ki.. to vo ek mahaan deshbhakt the ismain koi sandeh nahi aur unke mitroin aur shubhchintakoin ki maane to humhesa bharat vaapsi ke liye prayaas karte rahe.. aur isi prayaas main ve Qutar ki nagrikta le baithe.. loktantra se naata tod Raajtantra ke mureed ho gaye.. aur unhone kaha ki yadi main abhi 40 varsh ka hota to un fundamentalist logoin ko dhool chata deta.. aascharya ki baat yah hai.. is umra main bhi Madhuri dixit, Tabbu ko dekh yuva mahsoos karne vaale , hussain sahab, Matribhoomi se prem ke naam per 90 varsh ke ho gaye... Main jaanta hoon ki mere vicharoin ko jaanne ke baad kai budhijivi mitra mujhe fir se duhayee denge ki jo hua galat hua ... to unse mera yahi kahna hai ki haan awashya ji hua galat hi hua par isme dosh sirf un fundamentalists logoin ka nahi tha.. Husaain sahab bhi is galti main baraabar ke hissedaar the

isliye ek varg vishesh ko uttardayee thahraakar unhe mahimamandit karne ka prayaas nahi karna chaiye Unki kala prashanshneey thee per unka apraadh bhi kam nahi tha.. Dhanyvaad

Shailendra Dixit

You might also like