You are on page 1of 18

woh khaloos tha ke khumar tha

woh janoon tha ke saraab tha


mujhey sochney mein zamana laga
mujhey munzilon ne bhola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai
woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey
jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafa ki talaash hai
magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya
...........
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankhon Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
.............
Baandh len haath pe seeny pe sajaa len tumko
Jee mein aata hai k taa'veez bana len tumko
Phir tumhen roz sanwaren tumhein bartha dekhen
Kion na aangan mein chambeli sa laga len tumko
Jaisy baalon mein koi phool chunaa karta hai
Ghar ke guldaan mein phoolon sa saja len tumko
Iss qadar toot ke tumpe humen pyar aata hai
Apni baahon mein bharen maar hi daalen tumko
Kabhi khwab ki tarah aankh ke pardey mein raho
Kabhi khwahish ki tarah dil mein bula len tumko
Hai tumhary liye kuch aisi aqeedat dil mein
Apny haathon mein duaaon sa utha len tumko
Jaan deny ki ijazat bhi nahin dety ho...
Warna marr jaen abhi marr ke mana len tumko
Jis tarah raat ke seeny mein hai mehtaab ka noor
Apny tareek makaanon mein sajaa len tumko...
Ab to bas aik hi khwahish hai kisi morr pe tum
Hum ko bikhry huye mil jao sambhalen tumko...
...............
Usey Apni Farda Ki Fikar Thi,
Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi,
Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.
Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay,
Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka,
Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.
Meri Baat Kaisay Woh Manta,
Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha,
Usey Rokna Bhi Mahal Tha.
Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya,
Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi,
Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.
Damay Wapsi Aray Kia Howa,
Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya,
Woh To Aap Apni Misal Tha.
Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi,
Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
Usay Meri Chup Nay Rula Diya,
Jisay Guftago Mein Kamal Tha.
Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya,
Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
Jisay Janta Tha Mein Zindagi,
Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha..
...........
Jo khayal thay naa qayaas thay
wohee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay
wohee loog mujh say bichar gayae
Jinhain mantaa hee nahin yeah dil,
wohee loog mairay hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay,
wohee loog mujh say bichar gayae
Mujhay lamhay bhar kee rafaqaton kay saraab or sataeengay
Mairee umar bhar kee joo pyas thay wohee loog mujh say bichar gayae
Yeah khayal saray hain aaarzeee
yeah gulaab saaray hain kaghzi
Gul -e-aarzu kee joo ba-as thay
wohee loog mujh say bichar gayae
Jinhain kar sakaa naa qubool main
woh shareek raah-e-safar huyae
Jo mairi talab, mairi aas thay
wohee loog mujh say bichar gayae
Mairee dharkanon kay qareeb thay,
mairee chah thay, mairaa khuwaab thay
Woh joo roz-o-shab mairay paas thay
wohee loog mujh say bichar gayae...
..........
Mohabaton main dekhaway ki dosti na mila
agar galay nahi milta to hath bhi na mila
ghaaron pa naam thay naamon k sath ohday thay
bohat talash kiya, koi admi na mila
tamam rishton ko main ghar pa chor aya tha
phir us k baad mujhay koi ajnabi na mila....
bohat ajeeb hay ya kurbaton ki duri bhi
wo meray sath raha aur mujhay kabhi na mila....
........
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya....
..........
Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya
Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya
Dekho woh merey khwaab thay dekho ywh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya
Ab k bahaar ne bhi keen aisi shararatein k bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya
Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe?
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya...
.........
koi yeh kasay bataye k woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey ?
yahi hota hey to akhir yehi hota kion hey ?
yahi dunia hey to phir aisi ye dunia kion hey ?
dil-e- barbad se nikla nahin ab tak koi
ek lutay ghar pe bhi Aa deta hey dastak koi
aas jo toot gaye phir se bandhata kion hey ?
ik zara hath barha dein to pakar lein daman
us ke seny mein sama jaye hamari dharkan
itni qurbat hey to phir faasla itna kion hey ?
tum musarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehty hein Piyar ka rishta hey janam ka rishta
hey,janam ka jo ye rishta to badalta kion hey ?
koi yeh kasiay bataye keh woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey ?
..........
sakoot-e-jaan ka matlub batado phir chalay jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
jo mera or tumhara waqt guzra hansnay ronay may
usey poori terha say tum bhulado phir chalay jana
ye saray pair podey tum bin ik rut jagay hay
tum aakay ik baar inko sulado phir chalay jana
kisi ko chahney ka aur kisi sey chahey janey ka
jo hay ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana
bus ik hansi say apnay ashkon ko chupanay ka
jo fun aata hay tum ko, wo shikhado phir chalay jana
wo jo ik lafz-e-ulfat hay,juda hay apnay maani say
bus in alfaz-o-maaani ko mitado phir chalay jana
jo kahtey kahtey ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hay wo suna do phir chalay jana
na janay kyon hay lakin dekhnay ki tum ko aadat hay
meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana
merey in roz-o-shub ka ik fakat unwan bus tum ho
mujhay tum doosra unwan lado phir chalay jana....
........
Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.
Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.
Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.
Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.
Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.
Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.
Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha
......
Insaanoo ki is basti main
Kuch aise log bhi bastey hain
Jo gham sehtey hain dunya k
Jo chupkey chupkey hastey hain
Insaano ki is basti main
Rehtey hain kuch maseeha bhi
Jo kartey bass maseehae
Chhup chhup kar wo rehtey hain
Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch sanam aise
Jo apni hi is pooja se
Kuch kuch dartey rehtey hain
Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch farishtey bhi
Jab ghalti ka imkaan nahi
to na janey kion darte hain?
Insaano ki si basti main
Kuch log baney hain shedai
Jo hulye se hain dewaney
Par baat feham ki kartey hain
Insaano ki is basti main
Kuch log ajab se rehtey hain
Kartey hain kaam darindoon k
Aur khud ko insaan kehtey hain
Insaano ki is basti main
Rehta hai aik Khudawand bhi
Usse ki marzi k tabe hain
Jo jeetey hain jo martey hain
Insaano ki is basti main
Rehta hai aik Khudawand bhi
Jab ataa karey to aise karey
Sab malik bhi phir mangtey hain
Insaano ki is basti main
Kuch aise log bhi bastey hain
Jo gham sehtey hain dunya k
Jo chupkey chupkey hastey hain......
......
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai
ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
azzal sey rouh to apni thii ghayal
badan bhi choor hota ja raha hai
mohabbat jurm banti ja rahi hai
ajab dastoor hota ja raha hai
Khuda jaaney teri aankhon mein kya hai
k dil majboor hota ja raha hai
mohabbat ka ahdhoora sa fasaana
buhat mashhoor hota ja raha hai
........
maan lo agar hum tumhey na miley hotey to kiya hota
na tum jantey mujhay na mein tumheyin dekha hota
yoo hath tham kar chalney kd parti na humey aadat
tumhari or manzilein mera alag rasta hota
kabhi jo mil jatey sir rahh to muskura kar chal dete
na barhti doorian itni na itna fasla hota
na hoti sardiyon k chand se adhi raat ko batein
na ttanha barisho mein bhegney ka shok hota
na na tum ko koi shikayat na hum ko koi gila.
tum ko rehti thi hamesha achey dost ki talash
kash hum tumhey na miley hotey koi acha dost mila hota....
......
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay
har aik lab pe hain meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay
tumhain khabar hi nahin tum to lout jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi saal hona hay
humari rooh pe jab bhi azaab otra hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humain woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
usay bhi apne kiye ka malaal hona ha..
...........
Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi
Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi
Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi
Qayam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi
Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhe Talash Karti Thi
Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi
Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi
Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Reze Talash Karti Thi
Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi
Mujhe To Aaj Bataya Hai Badlon Ne WASI
Wo Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi
........
Dareechay say jhankti wo larki ajeeb dukh say bhari hoi thi
K uss k angan main phool par aik neeli titli mari hoi thi
Kabhi azanon main khoi khoi, kabhi namazon main roi roi
Wo aysay dunyan ko dekhti hay k, jesay uss say dari hoi hay
Durood say mehki mehki sansain, wazeefa parhti hoi wo ankhain
K aik shamma ummeed unn main kaye baras say dhari hoi hay
Wo dukh ki chadar main lipti lipti, wo kalay kapron main simti simti
Muhabbat uss nay kisi say shayad meri tarha hi kari hoi hay
Baray zamanon k bad barsi hain meri ankhain kisi ki khatir
Baray zamanon k baad dill ki zameen phir say hari hoi hay
......
Kya hai yeh lafz zindagi
Kya koi isey samajh paya hai
kyuin daiti hai yeh tarap hamein
kya mohabbat karke humne paya hai
Dard ke siva kuch na mila hamein
Ishq karke khud yeh dard yahaan bulaya hai
Kya jawaab doongi mein us KHUDA ko
Ke zindagi mein meine khud ye dard bulaya hai
Na chah kar bhi us shakhs se dil laga liya meine
Zindagi ko dard aur khushi ko aansun banaliya meine
Ab sochti hoon kya mila mujhe ishq kar ke
Apni roshan is dunia ko Andhera bana liya meine
Har eik khuwaab dafan kar liya is dil mein
Khuwahishoan ko bhi rula kar sula diya meine
Ab to zindagi mein bhi koi maqsad na raha
Dil ka sauda bhi hota hai,is baat ko bhula diya meine
......
Tum Meri Aankh ke Tevar na Bhulaa Paaoge
An Kahi Baat ko Samajhoge to Yaad Aaongaa
Humne Khushiyon ki tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe
Safaah-e-ziist ko Palatoge to Yaad Aaongaa
Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se
Khat kisi aur ko Likho gi to Yaad Aaongaa
Sard Raaton k Mehakte huay Sannnaaton mein
Jab kisii Phool ko Choomogi to Yaad Aaongaa
Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoo
Haath se Khud inhen Ponchhoge to Yaad Aaongaa
Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein
Baarishon main kabhi bheegogi to Yaad Aongaa
Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Maghroor bohat
Jab kabhi Toot ke Bikhrogi to Yaad Aaongaa
Haadsay Aayenge Jeevan mein to tum ho k Nidhaal
Kisi Deevaar ko Thaamogi to Yaad Aaongaa
Is main Shaamil hai meri Bakht ki Taareeki bhi
Tum Siyaah Rang jo Pahnogi to Yaad Aaongaa...
...........
Ek shararat kertay hain
Aao mohabbat kertay hain
Hansti aankhoun se keh do
Dareya hijrat kertay hain
Kuch dil aisay hain jin per
Hum b hakumat kertay hain
Koi baat to hai mujh main
Dushman b izzat kertay hain
Zinda rehna hai dushwaar
Acha.. to himmat kertay hain
Waisay hotay nahee hain log
Jaisi chahat kertay hain
Aksar apnay aap se hum
Teri shikayat kertay hain
..........
Ye Un Dinon Ki Baat
Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Phirte The
Kehte The Kuch Sunte The Hum Phool Wafa Ke Chunte The
Kabhi Hanste The Kabhi Rote The Hum Yaar Juda Jab Hote The
Hume Sab Kuch Achcha Lagta Tha Afsana Sachcha Lagta Tha
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Phirte The
Tanhaayi Mein Jab Milte The Dil Mein Hulchul Si Hoti Thi
Hum Dono Jaagte Rehte The Jab Saari Duniya Soti Thi
Jab Yaad Tumhari Aati Thi Chaahat Ke Nagme Gaatey The
Bechain Deewani Dhadkan Ko Behlate The hum samJhate The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Phirte The
Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Phirte The ....
........
Picture Of You
Didn't they say that I would make a mistake
Didn't they say you were gonna be trouble
People told me you were too much to take
I couldn't see it, I didn't want to know
I let you in, and you let me down
You messed me up and you turned my life around
Left me feeling I had nowhere to go
I was alone how was I to know that
You would be there when I needed somebody
You would be there the only one could help
I had a picture of you in my mind
Never knew it could be so wrong
Why'd it take me so long just to find
The friend that was there all along
Who'd believe that after all we've been through
I'd be able to put my trust in you
Goes to show you can forgive and forget
Looking back I have no regrets cos
You would be there when I needed somebody
You would be there the only one could help me
I had a picture of you in my mind
Never knew it could be so wrong
Why'd it take me so long just to find
The friend that was there all along
You would be there when I needed somebody
You would be there the only one could help me
I had a picture of you in my mind
Never knew it could be so wrong
Why'd it take me so long just to find
The friend that was there all along
Had a picture of you in my mind
Never knew it could be so wrong
Why'd it take me so long just to find
The friend that was there all along
Had a picture of you in my mind, all along
Never knew it could be so wrong, all along
Why'd it take me so long just to find
..........
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Wo koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
..............
ANDAISHA
Zaroore to nahi kay jo sahil ki gili khunk rait par
Haathoon main hath day kar
Safar aur talatum kay qise sunaiy
Jazeeron aur hawaoon aur an daikhe mausam
Aur ankh say ojhl kinaroon pay bikhre hue
Manzaron,zaikoon aur Rangoon ki baatain kare
Wo in wardatoon say guzra bhee ho
KAHE GAR!
Chalo in pareshan maujoon ka pichha karain
Jo tare aur mare paoon ko choomtein hai
Musafat ki bay naam manzil se guzrain
YEH DAIKHAIN,
Hawain kis ko dhoondti hai
Zaroori to nahi jo un daikhain rastoon ki khabrain sunae
Who in rastoon ka shanasa bhee ho
Kay, samandar main tum us ko dhoondo to who
Sahiloon pay khara muskurata ho
...........
tum nay sun liya hoo ga
sheher ki hawaoon say tum nay sun liya hoo ga
chahatoon kay moosam main
zakhum joo bhi lag jayee
umer bhar nahin silta
tum nay sun liya hoo ga
WO JO AIK DEWANA
AATAY JATAY RAAHI KO
RASTOON MAIN MILLTA THA
AB KAHEEN NAHEEN MILLTA
..............
Bhalay dinoon ki baat hay
bhalii c ikk shaqal thii
yay naa k husnn tamam hoo
na daikhnay main aam c
koi bhi rott hoo uss ki chabb
fiza ka rang roop thi
wo sardioon ki dhoop thii
wo garmiuoon ki chaoon thii
Na aisee khush libasiaan k saadgii gilla karay
naa itni baitakaluffi k aaina haya karay
Na ikhtalat main wo ram
k badmaza ho khahshain
na iss qadar sopardagii k\
zich karain nawazishain
Na aashiqii junoon ki k zindagi azaab hoo
na iss qadar kathoorpann k doostii kharab hoo
kabhi too baat bhi makhfill
kabhi too sakoot bhi sukhan
kabhi too kisht-e-zaafraan
kabhi udasioon ka bunn
Sonna hay k aik omar hay
moamlaat-e-dill ki bhii
wisalay jaan fizza too kia
firaqay jaan gusal ki bhii
Soo ik rooz kia hoa
wafa pai baihass chirr gaii
main ishqq ko amar kahoon
wo merii zeest say chirr gaii
Main ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahay
k omar bhar k saath ko
bad tar az hawas kahay
shajar hijar nahi k ham
hamish paba gull rahain
na dhoor hain k rassian
galay main mostakill rahain
Main koi painting nahi
jo ik fraim main rahoon
wohii joo mann ka meet hoo
ussi k praim main rahoon
tumharii sooch jo bhi hoo\
main iss mizaaj ki nahi
mujhay wafa sai bair hay
yay baat aaj ki nahi
Naa uss ko mujh pai maan tha
naa mujh ko uss pay za amm hee
jo ahadd hee koi naa hoo
too kia gham-e-shikastagii
Soo apna apna raaasta
hansii khushi badal lia
wo apnii raah chall parri
main apnii raah chall parra
Bhalay dinoon ki baat hay
bhali c ik doostii
ab uss kii yaad
raat dinn nahi
magar kabhi kabhi !!!
...............
ik larkii....
gullaab chehray pay moskorahat
chamaktii aankhoon main shookh jazbay
wo jab bhi apnii sahailioon k saath
college ki seerhioon say utartii
too aisaa lagta jaisay meray dill main utar rahii hoo
kuch iss yaqeen say baat kartiii
jaisay zamana ussi k nazroon say daikhta hoon
woo apnay raastay pay dill bichatii hoi nazroon say hanss k kahti
k main tum jaisay larkoon say
yay batain bohat barsoonn say sonn rahii hoon
main sahiloon ki hawa hoon
or neelay samandaroon k liay bannni hoon
wo sahiloon ki hawa c larkii
kall milli to aisee hee thii
golaab chehray pay moskorahat
chamaktii aankhoon main shookh jazbay
magar jab wo boolii
too aisaa laga.........
jaisay sadioon say dasht-e-zolmatt main chall rahii hoo!!!
...........
Tashnagi ankoon mein aur dariya khiyalon mein rahay
Hum nawa ghar,Khush rahay jaisay b haloon mein rahay

Iss qader dunia k dukh aye khubsurat zindagi


Jiss tarah titli koi makri k jaloon mein rahay

Dekhna aye rah nord e shooq ! Koye yaar tak


Kuch na kuch rang e hina paoon k chaloon mein rahay

Hum say kyo mangay hisab e jan koi jab umer bhar
Kon hain,Kia hain,Kaha hain? In sawaloon mein rahay

Badzani aisi k ghairoon ki wafa b khot thi


Soye zan aisa k hum apnoo ki chaloon mein rahay

Ak dunia ko meri deewangi khush aa gaye


Yar maktab ki kitaboon k hawaloon mein rahay
Ek mudat say milay nahi hain yaar mera aur mein
Phir b hum ehal e mohabbat ki misaloon mein rahay..
..........
Ye to uska he karishma hai fasoon hai youn hai
Yun to kehne ko sabhi kehte hain youn hai youn hai.......

Jaise koi dar-e-dil pe ho sitada kab se


Ek saya na daroon hai na baroon hai youn hain

Tum mohabbat mein kahan soud-o-zaya lai aye.....


Ishiq ka naam na khird hai na janoon hai youn hai......

Tum ne dekhi he nahi ab ke gul-e-istan me bahr ........


Ab to har khar pe eik katra-e-khoon hai youn hai.....

Na saa tujh ko khabar kya hai mohabbat kya hai......


Roz a jata hai samjhta hai youn hai yun hai.....

Ab tum meri jaan aye ho tamsha karne......


Ab darya me janoon hai na fasoon hai youn hai un hai......

Shayari taza zamanoon ke hai mimar faraz....


Ye bhi ek silsila-e-qun faya qun hai..........
........
Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish ye Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon


Jis Dil Main Zara B
Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon


Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon


Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon


Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain

wo kehti hai tumhien muj say


muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon


kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti haimujay warftgi say dekhtay kio ho


keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon


Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay


keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon


muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon


yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon


yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai orlab khamosh rehtay hain.................
..........
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho
Tum jahan peh beth k jati ho
Main waheen pe betha rehta hoon
Uss cheez ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbt karta hoon

Tum jis se huns k milti ho


Main us ko dost banata hoon
Tum jis raste par chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jin ko dekhti rehti ho


woh khawab....sarhane rakhta hoon
Tum se milne julne k
Kitne hi bahane rakhta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jahan bhi beth k jati ho


Jis cheez ko haath lagati ho
Main waheen peh betha rehta hoon
Uss jaga ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Kuch khawab saja kar aankhon main


Palkon say moti chunta hoon
Koi lums agar choo jaa a to
Main pehroon us ko sochta hoon
Main...aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jin logon main tum rehti ho


Tum jin se baatein karti ho
Tum jin se huns k milti ho
Jo tum ko ache lagte hoon
Wohi mujh ko ache lagte hain
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jis bagh main subh ko jati ho


Jis sabze par tum chalti ho
Jo shaakh tumhein choo jati hai
Jo khushboo...tum ko bhaati hai
Woh oos tumhare chehre par
Jo qatra qatra girti hai
Woh tittli chor k phoolon ko
Jo tum se milne aati hai
Jo tum ko choone aati hay
Unn sab k nazuk jazbon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai
Tum paas raho ya door raho
Nazron main samai rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jis college main tum parhti ho


Jis class main bhi tum jati ho
Jis kursi pe tum bethti ho
Jab class woh khali hoti hai
Main ja k us main bethta hoon
Uss kursi ko main choota hoon
Gadla sa ik tissue paper
Jo tum ne class main choora tha
Main pyar se uss ko choota hoon
Main us ko...purse main rakhta hoon
Woh copy jis main lecture k tum points likhti rehti ho
Har moqay par har manzar main
Main saath tumhare rehta hoon
Main chashm-e-tasavvur main aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Bas tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho???
........

Gulab rut main haseen chehro, hamen batao udas q ho ?


Dilon pay beeti sari kahaniyan, sab sunao udas q ho ?
Jo ranjishain dil main pal rahi hain,munafqat main jo dhal rahi hain
bhula k shikway mita k doori, galay lagao udaas q ho ?
Kitab-e-dil k tamam safhon pay hum nay likha hay lafz MUHABBAT
Hamen hamari wafa k aagay, Saza sunao udaas q ho ?
Fareb khana bhi mashgala hay fareb dena b mashgala hay
To dil k lotnay pay kesa matam, khushi manao udaas q ho ???
.........

Insanon ka ajab ik tamasha dekha


chalaktay jaam dekhe samandaron ko pyasa dekha
Yay kiya maajra hay apni to samanjh main nahi aaya
Admi apni he justujo main ulajhte dekha
Jin k haath thay khaali wo masroof-e-zikar dekhay
Hathon main liyay tasbih-e-unmol wa'iz ko bhataktay dekha
ALHAMDULILAH ka matlab to samanjh main aaya
Siraat-e-mostaqeem k matlab pay logoon ko jhagartay dekha
Emaan bechtay huay ADAM k betay dekhay
HAWA ki baiti ko sar-e-bazaar biktay dekha
Main kaisay samjhota kar lon dunia k is makr-o-fareb say?
Mene jaltay huay diyoon ko yaqdam bujhtay dekha..
.......
Meri sanson k angan main tera mehsoor ho jana
Kisi heelay bahanay say magar mafroor ho jana
Lab-e-sahil say takrati hui ik mouj say pocha
Tere nazdeek kaisa hay kisi say door ho jana
Jo meesaq-e-wafa apna tha us k to manafi hay
Samaji bandishon say yon tera majboor ho jana
Tere moun say niwalay cheen lay jab bhi tera tajir
Baghawat k liay tayyar aay mazdoor ho jana
Wo sooraj ka dam-e-wapisi nahi bhoola mujhay manxar
Laga aisay thakawat say badan ka choor ho jana
Mere fehm-o-farasat say to baala tar raha shaheen
Kisi gumnaam k ba'is tera mash'hoor ho jana ... !!!
.........
Na bujha chiragh-e-dyar-e-dil, na bicharnay ka tu malal kar
Tujhay day gi jeenay ka housla, meri yad rakh lay sanbhal kar
Ye bhi kiya k ek he shakhs ko kabi sochna, kabhi bhoolna
Jo na bujh sakay wo diya jala, jo na ho sakay wo kamal kar
gham-e-arzo meri justujo, main simat k aa gya ru-baru
yay sakoot-e-margg hay kiss liyay, main jawab dun tu sawal kar
Tu bichar rha hy to soch lay, tere haath hain meri zindgi
Tujhay rokna meri mout hay, meri be-basi ka khayal kar
mere dard ka, mere zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka
Jo yaqin na aaiy to dekh lay, tu hawa main phool uchaal kar !!!
........
December aa gaya phir say,
december main ye socha tha,
Tumhain aglay december main,
December bhar jagain gay,
December bhar satain gay,
Tum jab pehloo main soo gay,
Tumhain shab bhar jagain gay,
Subah say shaam tak din bhar,
Tumharay paas bethain gay,
Tumhain palkon pay rakhain gay,
Tumhain dil main bithain gay,
Bohat hee hont pyasay hain,
Bohat dil par udasi hay,
Tumhain jab ye batain gay,
December say nahi soay
Ye jo ankhon main laali hay,
Tumhari yaad wali hay,
Galay say ab lagao na,
Mujhay pehloo main sona hay
Mujhay shab bhar jagao na,
December bhar satao na,
December bhar jagao na,
December aa gaya phir say.. !!!
.......
Bas ek mri bat nai thi sab ka dard DECEMBER tha
Baraf k sheher main rehne wala ek fard DECEMBER tha
Pichle saal k akhir main b hairat main teenon thay
Ek MAIN tha ek tera GHUM tha ek bay-dard DECEMBER tha
Ab main tumhen bataon kese is main kitni shiddat thi
Yakh basta thay mere anso itna sard DECEMBER tha
Apni apni himat thi or apni apni qismat thi
Hath kisi k neelay thay peela xard DECEMBER tha
Pholon par thi satah tari khushbo sehmi sehmi thi
Khof xadah tha gulshan sara dehshat gard DECEMBER tha
ye jo teri ankh main pani ye jo teri bat main sardi
Itna hamen batao tum kya hamdard DECEMBER tha
BASS EK MERI BAAT NAHI THI,
SAB KA DARD DECEMBER THA !!!
........
Shaam ka manxar, uljha rsta, ek kahani, TU OR MAIN,
Dhalta suraj, bharta saya, kashti raani, TU OR MAIN,
Band ik kamra, chup ka manxar, bhooli basri deepak yaad
Tanhai, dukh, khouf ki lazzat, dilberjaani, TU OR MAIN
Titli, khushbo, rang ki batain, shabnam se sharmilay khuwab,
Aas ka panchi, gumsum khuwahish, raat ki raani, TU OR MAIN,
Palkain, chilman, sharma sharmi, kam kam goya naxrain, qurb,
Raaton jesi seedhi saadhi ek nadaani, TU OR MAIN !!!
......
Suna Hai Log Usay Ankh Bhar Kay Daikhtey Hain
So Us Kay Sheher May Kuch Din Theher Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Haloon Say
So Apney Aap Ko Hum Barbaad Kerkay Daikhtey Hian
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-E-Naaz Uski
So Us Ki Gali Say Bhi Guzar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-O-Shairi Say Shaghaf
So Moo-Ajzey Hum Bhi Apney Hunar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Bolay To Batoon Say Phuul Jhartey Hian
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kerkay Daikhtey Hain
Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta Hai
Sitarey Bam-E-Falak Say Utar Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Din May Usay Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugno Theher Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Raat Say Barh Ker Hain xulfain Uski
Suna Hai Shaam May Saiy Guzar Ker Daikhtey Hian
Suna Hai Hashar Hain Uski Ghazaal Si Ankhein
Suna Hai Hiran Usay Dasht Bher Ker Daikhtey Hian
Suna Hai Uski Siyah Chashamgi Qayamat Hai
So Surma Faroosh Usay Aah Bher Ke Daikhtey Hian
Suna Hai Us Kay Laboon Say Gulaab Jaltey Hain
So Hum Bhi Bahaar Per Ilzaam Dhar Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Aaina-E-Tamsaal Hai Jabeen Uski
Jo Sadah Dil Hian Usay Ban Sanwar Kay Daikhtey Hian
Suna Hia Jab Say Hamail Hain Us Ki Gerdan May
Mizaaj Or Hi Lal-O-Gauher Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Chashm-E-Tasavvur Say Dasht-E-Imkaan May
Palang Zawiye Uski Kamar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hai
Kay Phuul Apni Qabayein Qutar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Ki Shabistaan Say Mutassil Hai Bahisht
Makeen Idher Kay Bhi Jalwey Udher Kay Daikhtey Hian
Bus Ik Nazar May Lut-Ta Hai Qafila Dil Ka
Jo Rah Rawaney Tamanna Hain Darr Kay Daikhtey Hian
Chalay To Gardeeshain Us Ka Tawaf Kerti Hain
Rukay To Zamaney Theher Kay Daikhtey Hian
Kahaniyaan Hi Sahi Sab Mubalghain Hi Sahi
Ager Woh Khuwab Hai Tabeer Kerkay Daikhtey Hian
Ab Us Kay Sheher May Thehrain Ya Kuuch Ker Jayein
Faraz Aao Sitarey Safar Kay Daikhtey Hian.. !!!

You might also like