You are on page 1of 5

Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai...

Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai... Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe... Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai...

Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai... Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai... Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai... Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai...

Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain... Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain... Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain... Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain...

Kabhi koi jo khulkar has liya do pal to hungama Koi khwabo mai aakar bas liya do pal to hungama Mai usse door tha to shor tha ki sazish hai ye sazish hai Use bahon maine khulkar kas liya to hungama.....

Tu ny pucha hai, justujo kiya hai Dil he jaany k iski aarzoo kiya hai Tery hony sy mera hona hai Main nahi jaanta k tu mera kiya hai ------Khud ki aankhun main jo naami paai Us main dooba to zindagi paai Dil, jigar, jaan, rooh dy kr bhi Tjh ko deny main kuch kami paai ------Koi deewana kehta hai, koi paagal samajhta hai Magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai Mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai Ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai ------Mohabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani hai Yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain Jo tu samjhe to moti hai, jo naa samjhe to paani hai. ------Samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta Ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le Jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta. ------Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama Hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama Abhi tak doob kar sunte the hum kissa mauhabbat ka Mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama. ------Bahut bikhra bahut toota, thapede sah nahi paaya Hawaon ke ishaaron par magar main bah nahi paaya Dhoora ansuna hi reh gaya yuun pyaar ka kissa Kabhi tum sun nahi paayi, kabhi main keh nahi paaya. ------Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jaate hain Koi jab roop gadta hoon to saanche toot jaate hain Main rota hoon to aa kar log kandha thap thaapate hain Main hansta hun to mujhse log aksar rooth jaate hain. ------Main uska hoon wo is ehsaas se inkaar karta hai Bhari mehfil main bhi ruswa mujhe har baar karta hai Yakeen hai saari duniya ko khafa hai hum se wo lekin Mujhe maalum hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai.

------Jiski dhun par duniya naache, dil aisa ek taara hai Jo humko pyaara hai aur jo tumko bhi pyaara hai Jhoom rahi saari duniya jab ki humare geeton par Tab kehti ho pyaar hua hai, kya ehsaan tumhara hai. ------Jo dharti se ambar jode, uska naam mohabbat hai Jo seeshe se patthar tode, uska naam mohabbat hai Katra katra sagar to jaati hai har umar magar Behta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai. ------Badalne ko to in aankhon ke manzar kam nahi badle Tumhaare pyaar ke mausam, humaare gham nahi badle Tum agle janm main hum se milogi tab to manogi Zamaane aur sadi ki is badal main hum nahi badle. ------Koi khamosh hai itna, bahaane bhool aaya hoon Kisi ki ek tarannum main, taraane bhool aaya hoon Meri ab raah mat takna kabhi aye aasma waalon Main ek chidiya ki aankhon main udaane bhool aaya hoon ------Ye dil barbaad karke isme kyu aabaad rehte ho Koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho Ye kaisi shohrate mujhko ada kar di mere maula Main sab kuch bhool jaata hoon magar tum yaad rehte ho. ------Panahon mein jo aaya ho, to us par war kya karna? Jo dil hara hua ho, us pe phir adhikar kya karna? Mohabbat ka maza to dubne ki kashmkash mein hai, Jo ho maloom gehraai, to dariya par kya karna. ------Tumhaare paas hoon lekin jo doori hai samajhta hoon Tumhaare bin meri hasti adhoori hai samajhta hoon Tumhe main bhool jaunga ye mumkin hai nahi lekin Tumhi ko bhoolna sabse zaroori hai samjhta hoon ------Mil gaya tha jo mukaddar wo kho ke nikala hoon Main ek lamha hoon, har baar ro ke nikala hoon Raahe duniya main mujhe koi bhi duswari nahi Main teri zulf ke pechon se hoke nikala hoon ------Basti Basti ghor udaasi, parbad parbad khalipan Mann heera bemol lut gaya, gis gis reeta tan chandan Is dharti se us ambar tak, do hi cheej gazab ki hai

Ek to tera bhola pan hai, ek mera deewana pan. ------Dharti banna bahut saral hai, kathin hai badal ho jaana Sanjida hona bahut saral hai, muskil hai pagal ho jaana Rang khelte hai sab lekin, kitne log hai aise jo Seekh gaye hai falgun ki masti main falgun ho jaana. ------Sakhion sang rangne ki dhamki sun kar kya dar jaunga Teri gali main kya hoga ye malum hai par aaunga Bheeg rahi hai kaya saari khujraaho ki moorat si Is darshan ka aur pradarshan mat karna mar jaunga. ------Mery jeeny main, marny main tumhara naam aay ga Main saansein rook lun, phir bhi yehi ilzaam aay ga Meri dharkan main jb tum ho to phir apradh kiya mera Agar Radha pukary gi to Ghansham ay ga

Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki

Ek do din me wo ikraar kaha aayega Har subah ek hi akhbaar kaha aayega Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega

Jism ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon

Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai

Use yakeen tha khud pe ki bhool jayega, Humein bhi dil pe bharosa tha, yaad rakhe hain.

Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai, ye daulat aur shohrat sirf kuch jakhmo ka marham hai, ajab si kasmkash hai roj jeene me, roj marne me, mukkamal zindagi to hai magar poori se kuch kam hai.

Girebaan chaak karna kya hai seena aur muskil hai, Harek pal mushkurakar ask peena aur mushkil hai, Humari badnishibi ne humein bas itna sikhaya hai, kisi ke ishq me marne se jeena aur mushkil hai.

Pukare aankh me chadhkar to khu ko khoon samajta hai andhera kisko kehte hai ye bas jugnoo samajhta hai! humein to chand taaro me bhi tera roop dikhta hai mohabbat me numaish ko adayein tu samajhta hai!!

You might also like