You are on page 1of 6

Ye aur baat ki manzil pe ham pahu.

Nch na sake
Magar ye kam hai ki raaho.n ko chhaan baiThe hai.n

नेक ने नेक बद ने बद जाना मुझे; अपने अपने तौर पे सबने पहचाना मुझे

koi bhi faisla hum soch samajh ker nahin kerte


tumhare naam kaa sikaa uchaal rakhte hain

tumhare baad yeh aadat si ho gayi apni


bikharte sookhte pate sambhaal rakhte hain

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe


k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe

wohi karwaan,wohi rastay,wohi zindagi, wohi marhalay


magar apne apne muqaam par kabhi tum naheen, kabhi hum naheen

Kon Sune Ga Kis Ko Sunain Is Liya Chup Rehate Hain !


Hum Se Apne Rooth Na Jain Is Liya Chup Rehate Hain

...Shehar e muhabbat,hijar ka mausam ehad e wafa aur maiN


tu to chup chaAp chala gaya is basti se, aur maiN???....

yeh faqat ghuroor ki baat hai k zaban sey apni na tum kaho
warna tumhain is ki khalish to hai k tumharee mehfil mein hum nahi.

YeH Hi karAm NawAzi uSs ki MujH pE kam Hai kyA


K kHuD tu DHoOr Hai YaDein tu PaS cHor GiA

wO mUjhey Yaad tO Karta hAi Magar fUrsat Key LamhoN meiN


Magar Yeh Bhi Haqeeqat hAi Usey fUrsat Nahien Miltii

Mere Mizaz pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor


Main Apni Maut Ko Aksar Gale Laga K Mila

uss kai haath mai tootay sheeshay ki terha hoon


itna hi bohut hai ke vo bhikhernay nehe daita.....
Teri BeRukhi Nay Cheen Lee' Hain Sharatain Meri
Loug Samjhny Lagy Hain ' Main sudhar Gaya Hon

mera shedha sadha mizaj tha


mujhe ishq-o-husn ki kya khber
teri ek halki se tabbasum ne.
mery saray shauq badle diay

Aaj Bhi Ik Tery Liye Dil Main Chahatain Baaqi Hain


Tujh Sy jo Kerni Theen Woh Adhuri Baatain Baaqi Hain

Rang e henna mein rachi khushboo ki tarah


tum mere hawasoon per tari hojatye hoo

Main khud se Rooth jata hon aksar is liye


Mujhe roothay huye loag mananay ka shoq tha,

Hum say tou bohat mil ja'ain gay tum ko


baat yay hai kay nayab yay dil hai.......

lipta hai mery dil say kise raaz ki surat.........


wo shakhs ky jis ko mera hona bhe nahe hai
yun na murjha ke mujhe khud pe bharosa na rahe
pichhle mosam main tere sath khila hun main bhi

dhOop Mein Kho Gya Wo Hath Chura Kar RaShid


Ghar Sey jo Sath Chala Tha Mera Saya Ban Kar

Apnay Apnay Dukh Thay Sab k


Apna Apna Yaad Aya Tha.....!!

janay q hogay wo humsay NARAZ RAZ


hum nay to srf unka haal chal poch tha

Mera pyaar khuwab ban jaey ga ek din


Yeh pehlay say hee meray gumaan mein tha

Dil tu kia ham rooh main utar gaye hoty


Tum nay chaha hi nahi chahney walo ki tarha
Na Jaao Uski gUm-sUm Saadgii Par
Samandar hAi tO wO Gehra Bhi hOga

Halaat Hii Aisey hAin Keh KhaamOsh hOn Warna


POsheeda Meray Seenay mieN tOofaan bOhet hAin

Meray HaathoN Ki LakeeroN Key Izaafey haiN Gawa


maiN Ney Pathar Kii Tarah KhUd kO Tarasha hAi bOhet

KahaaN Sey dhOond Key LaaOn Abhi Baney Hi NahieN


wO Aaiyenay jO tUmhien Meray Khwaab DikhlaaieN

Bakhsha hAi thOkroN Ney SanBhalney Ka hOsla


Har Haadsa Khyaal kO Gehraaii Dey Gaya

uska lehja mere hafzey mein muqeed rehta hai


mein kaisay us se door rahoon jo mujh mein rehta hai

main bhi buhat ajeeb huun itna ajeeb huun k bus


khud ko tabah ker liya aur malaal bhi nahin

kabhi tum shak nahi karna mere roshan khayalo par


andhere hukmrani nahi kar sakte ujaalo par

meri rooh tarasti hai tumhari khushbu ko


tum kahein aur jo mehko tu bura lagta hai

hUmien ShOuq e Aziyet hAi WaGarna Is Zamaney Mein


Teri Yaadien bhUlaaney kO bOhet Samaan Rakha hAi

Zindagi Khush Hai tere Wadon per


Jaise Bachay ka dil behl jai'e

Harr Dumm duniya Kay Hungame ghere Rakhtay thay


Jabse tere dhayan Laggay hain,Fursat Rehti hai

Bathktay hue phirtay hain kai lafz jo dil main


Dunya ney diya waqt to likhain gey kisi din !!

Woh Jo Her Waqt Raha Dil Geer Tumhari Khatir


Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaron
Tareekh Agar dhOondey Gii Saani e MUHAMMAD
S.a.w
Saani tO baRii Baat hAi Saaya Na Milley Ga

Merey Saath Tum Bhi Dua Karo' Yoon Kisi Key Huq Main Bura Na Ho...
Kahin Aur Na Ho Yeh Hadsa' Koi Rastey Main Juda Na Ho...

Dekha hai Yaha Pathar ko Poojte hai Log,


Bas Isliye Apne Dil ko Pathar bana liya....

Raat derwazay pe kitni dastakon ka shor tha


phir wohi pagal hawa thi phir mujhe dhoka hua

aadatan tum ne kar diye waade


aadatan ham ne aitabaar kiyaa

Me ik Khilona hon,or Vo us Bache ki Manid,


jise Piyar to ha muj say magar Khailne ki Had tak,

kaun kis ko bhula kaun kis ko yaad hai


na main kisI ke kareeb na mere koi paas hai

Zindagii Bhar Ki mUsafat Kaat Kar Bhi Kya Milla


Ajanabii Dewaar o Dar, Sunsaan Ghar, tAnhAiyaaN

Kahan Kahan se Smai'tay Ga wo Humain Mohsin


k Hum To Ai'enay Ki Tareh Toot Phoot Gaye !!!

hUm tO wO haiN Keh Jin kO KhUd Apnii


WehshatoN Ka Sabab NahieN MalOom

Is Zid Pey Tera zUlam Gawara Kiya hUm Ney


Dekhien Keh tUjhey Reham KahaaN Tak Nahien Aata

tanhaee main jo baat bhi kerta nahi pori


taqreeb main mil jaay tu baybaak boht hai

iss rishta-e-lateef k israr kia khulain


tu samney tha aur tasawur khuda ka tha

KhUd Pyaas Ka Sehra hOn Magar Dil Ki Yeh Zid hAi


Har Dasht Pey Saawan Kii Tarah tOot Key BarsOn

Ab Thakan PaaOn Kii Zanjeer Bani Jaati hAi


Raah Ka KhOuf Yeh Kehta hAi Keh Chaltey Rahiye
Zindagii tujh ko jiyaa hai koii afsos nahii.n
zahar khud mai.ne piyaa hai koii afsos nahii.n

mai.ne mujarim ko bhii mujarim na kahaa duniyaa me.n


bas yahii jurm kiyaa hai koii afsos nahii.n

hUm Log Teray Shehar Mein KhUshbOo Kii Trah hAin


MehsOos tO hOtey hAin Dikhaaii Nahien Daitey

Un KI Nigah main Meri Tabahi k Wastay


Itna Khaloos Tha k Shakae't Na Ho Saki !!

Hum ney ye soch ker hansney ka hunr seekh liya


Dard rakhna hai to phir deedai'e tar kiya rakhna..

Wo jo geet tum ney suna nahi,meri umer bhar ka riyaz tha


meray dard ki thi wo dastan,jisay tum hansi main urra gay

sirf ik shakhs k gham main mujay barbad na kar


roz rotay howay kehti hai jawani mujsay

Ikhlaas Kii Jaageer kO hUm Ehl e mUhabbat


TaQseem tO Kar Daitey hAin BaiCha Nahien Kartey

Tere ird gird hein ghumtey meri zindagi k maumley


tujhe dhund lene k shauq mei me ne apna ap ganva dia

sab log apane apane qabiilo.n ke saath the


ek main hii thaa ki koii bhii lashkar meraa na thaa

Ab yunhi umer guzar jai'e gi


Ab yehi baat ganemat hai muje !

Tar Daamnii Pey Meri Jaiyo Na Aey Ameer


Daman NichOr Dien tO Farishtey Wazu Karien
Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sake, Usey Jeene Ki To Duaa Na De

WO Ham He Hain K Taira Gham Chuphaa kar Seenay Main


Har Kaam Dunyaa Ka Badastoor Kiay Jatay Hain.

wO hUm Nahien They tO Phir kOn Tha Sar e Bazaar


jO Keh Raha Tha Keh Bikna hUmien Gawara Nahien

khizan ki dhoop sy shikwa fazool hy mohsin, mein youn b phool tha akhir mujhy
bikharna tha.
mohsin ye rang o roop ye ronaq baja magar , ab mein kia jeon k mera jee he mar gaya.

main to mehdood se lmhoon mein mili thi us se


phir bhi wo kitni wazahat se mujhe sochta ha

mere haathon kii lakiiron ke izaafe hain gavaah


main ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut

qismat sabhii kii vaqt ke haathoan mein rahatii hai


is daur mein kisii kaa muqaddar nahiin koii

aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to mai.n sahii


kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa ko_ii nahii.n

Faraz jis ney diloon ko udasian bakshein


Usi ney zakhm chupanay ka hosla b diya !

is liye toot ke roya hun main aksar Mohsin


kuchh to dil khol ke jeene ka qareena ayeee ....

koi ik aadh sapna ho to acha bhi lagta hey


hazaron khawab aankhon main saja ker kuch nahi milta

Ajab Sham Khari Hai Kahin Se Aajao,


Bari Udas Ghari Hai Kahin Se Aajao

ik tarz-e-tagafil hai so wo un ko mubarak


ik arz-e-tamanna hai so wo hum kertay rahain gay

Kab kaun kisi ka hota hai,Sub jhootey rishtey naate hain...


Sub dil rakhney ki batein hain,Sub asal roop chhupate hain

Meri Pehchan Ka Ek Shakhs Is Shehar Mein Hai..


Mein Bhi Zinda Hoon Zara Us Ko Bata De Koi

Roz kha latay hain hanstay hue chehron say fareeb


Kiya karen apni aankhon main marwat hai abhi....

sub say rishta hay mera aur kisi say bhe nahin
kis qadar apnay khuda ki tarah tunha hun main

HAJOOM E GHAM, MERI FITRAT BADAL NAI SAKTI


KAROON MAIN KIA MERI ADAT HAI MUSKURANE KI

You might also like