You are on page 1of 1

Acha Lagta Hai

Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai


Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .
Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..

Aapko Zindagi Mana Hai


Humne to aapko zindagi mana hai,
Aapki har saans ko bandagi mana hai,
Khuda kare ki salamat rahe aap sada,
Kyuki aapki har saans ko humne apni saans mana hai….

Jis Shaam Mein


Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
Afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.

You might also like