You are on page 1of 3

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa qareeb se

dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se chehre tamaam lagne lage haiN ajeeb se is rengati hayaat kaa kab tak uThaayeiN baar beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb se har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir maqtal ki raah milti hai kuu-e-habeeb se is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb se ai rooh-e-asar jaag, kahaaN so rahi hai tu aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se

ab aayeiN ya na aayeiN
ab aayeiN ya na aayeiN idhar puuchhate chalo kyaa chaahati hai un ki nazar puuchhate chalo ham se agar hai tark-e-taalluq to kyaa huaa yaaro! koi to un ki Khabar puuchhate chalo jo Khud ko kah rahe haiN ki manzil shanaas haiN un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo kis manzil-e-muraad ki jaanib ravaaN haiN ham ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chal

jab kabhi unki tavajjo meiN kami


Jab kabhi unki tavajjo meiN kami paayii gayii az-sar-e-nau daastaan-e-shauq dohraayii gayii bik gaye jab tere lab phir tujh ko kyaa shikvah agar zindgaani baadah-o-saaGhar se bahlaaii gayii ai Gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste kin bahaanoN se tabeeyat raah par laayii gayii ham kareiN tark-e-vafaa, acchhaa chalo yuuN hi sahii aur agar tark-e-vafaa se bhi na rusvaaii gayii?

kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gham se bujh gaye kaise kaise paikaroN ki shaan-e-zaibaayii gayii dil kii dhaRkan meiN tawaazun aa chala hai, Khair ho merii nazreiN bujhh gayiiN yaa terii raanaaii gayii un kaa Gham, un ka tasavvur, un ke shikve ab kahaaN ab to ye baateiN bhi aie dil ho gayiiN aayii gayii jurrat-e-insaaN pe go taadiib ke pahre rahe fitrat-e-insaaN ko kab zanjeer pahnaaii gayii arsa-e-hastee meiN ab tesha-zanoN kaa daur hai rasm-e-changezii uThii to qaid-e-durraai gayii

aao k koi Khwaab buneiN


aao k koi Khwaab buneiN, kal ke vaaste varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakeiN go hamse bhaagti rahii ye tez-gaam umr KhwaaboN ke aasre pe kaTii hai tamaam umr zulfoN ke Khwaab, hoNToN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab tahzeeb-e-zindagii ke, faroGh-e-watan ke Khwaab zindaa ke Khwaab, koocha-e-daar-o-rasan ke Khwaab ye Khwaab hii to apni jawaanii ke paas the ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai hayaat yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat aao k koi Khwaab buneiN kal ke vaaste varnaa ye raat aaj ke sangeen daur kii Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil taa-umr phir na koii haseeN Khwaab bun sakeiN

aao k koi Khwaab buneiN


aao k koi Khwaab buneiN, kal ke vaaste varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakeiN

go hamse bhaagti rahii ye tez-gaam umr KhwaaboN ke aasre pe kaTii hai tamaam umr zulfoN ke Khwaab, hoNToN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab tahzeeb-e-zindagii ke, faroGh-e-watan ke Khwaab zindaa ke Khwaab, koocha-e-daar-o-rasan ke Khwaab ye Khwaab hii to apni jawaanii ke paas the ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai hayaat yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat aao k koi Khwaab buneiN kal ke vaaste varnaa ye raat aaj ke sangeen daur kii Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil taa-umr phir na koii haseeN Khwaab bun sakeiN

ye haNste hue phool pyaasaa


ye haNste hue phool, ye mahka hua gulshan ye raNg meiN aur noor meiN, Doobi hui raaheiN ye phooloN ka ras pee ke machalte hue bhaNvre maiN douN bhi to kyaa douN tumheiN aie shoKh nazaaroN le de ke mere paas, kuchh aaNsoo haiN kuchh aaheiN

You might also like