You are on page 1of 1

Aaj bistar k sirahne khwab rakh k soye hain.. Nakamyaab Jindgi ki kitaab rakh k soye hai..

Shayad kuch jawab aa jaye in khaton ka.. Aaj tere khaton ka hisab rakh k soye hain.. Teri saadgi kaise samati is jhilmilati duniya me.. Kajrari aankho aa kajal mita k soye hain. ghutan si lag rhi thi kamre me aaj.. teri saanso ki hawa aaye to parde hata k soye hain.. Aaj bistar k sirahne khwab rakh k soye hain.. Nakamyaab Jindgi ki kitaab rakh k soye hai.. by: me

You might also like