You are on page 1of 11

Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha Ghareeb Mit

Gaay, Pamaal Ho Gaye Laikin Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Khoay Hoay Ko Kuch Mila Hai Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna Taajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood

Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum Dair O Haram K Jhagray Mitatay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Samaay Ho Kiss Tarah, Haanla K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Batatay Nahi To Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum,Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Miaar Bhi Kia Rakha Hai Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho

Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baithta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Aap Hi Apna Pardah Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa

Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Hairat Ki Ik Dunya Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dil Say Armaan Jo Nikal Jaay To Jugnu Ho Jaay, Aur Aankhon Mein Simat Aaay To Aanso Ho Jaay Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker,

Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Jaay Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Jaay Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon Bana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon Kahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan Daikhoon Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon Kahin Murjhaay Howe Phool Hein Sachchaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon

Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon Raat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta Tu Nai Her Rung Say Pardah Kia Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Masjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Ik Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta Hai Hein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Her Ik Rung Mein Yakta Ho Her Ik Rung Mein Yakta Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo Aankh Nay Ker Lia Aansoon Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho

-----Allah

Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu-----

You might also like