You are on page 1of 1

Aiteraaz No.

1: Taitees (33) Saala Daur e Naboowat me 12 Rabiul Awwal ko Manaye Jaane wali Eid Ya Nikale jane wale juloos ka koi sabot milta hai toh hawala dijiye.. Jawab: Sab se pahle Milaad ke Lugavi (Dictionary) aur Istalahi (defination) maani padhiye; Milaad ke Lugat (Dictionary) me Maani hai, Baccha Janna. Aur Istalaah (Sharaai Definition) me Iske Maani hai: Huzur SallAllahu alaihi wa sallam ki Wilaadat ki Khushi me Aap SallAllahu alaihi wa sallam ke Muajizat wa Khasaail aur Seerat wa Shamail Bayan karna . AurSarkar SallAllahu alaihi wa sallam ne Khud apna Milaad Manaya:Hazrat Abu Qatadah Bayan Karte hai ke Bargahe Risaalat me Arz Ki Gayi, Ya Rasool Allah SallAllahu alaihi wa sallam! Aap Peer (Monday) ka Roza Kyu Rakhte hai? Aap SallAllahu alaihi wa sallam ne Farmaya, Isi Din main Paidah Hua aur Isi Din Mujh par Wahi Naazil Hui. [Sahi Muslim, 2/819] Nez (aur Doosri) Hadees se Saabit hai ke Huzur SallAllahu alaihi wa sallam ne Apni Wilaadat ki khushi ke Izhaar ke Liye Bakra Zabaah Farmaya. [Al-Haawi wal Fatawah by Imaam Suyuti] Iss se Maalum hua ke Milaad manana Sunnat e rasool allah SallAllahu alaihi wa sallam hai. Jaha tak Baat hai Marwajah (jo abhi ke) Tarike se Eid Milaadun Nabi SallAllahu alaihi wa sallam Manane Ya Juloos Nikalne ki Toh Iss ka jawab ye hai ke Jaise Jaise Zamana Taraqqi (Growth) karta raha, Log Har Cheez Ahsan (Better) se Ahsan Tarike se Karte Rahe, Pahle Masajid Bilkul Saadah Hoti Thi, Ab Iss me Phanoos, Tails, aur Chiragah Kar ke isse Muzaiyan kar ke Banaya jata hai, Pahle Quran Paak Sadah Tabaat me hote the, Ab Khubsoorat Tabaat me Aate hai. Etc etc.

You might also like