You are on page 1of 2

Matmaile pardon se hote the rangeen kabhi Bani waqt ki surakho se jhaankti Aksar sawal karti ye zindagi Aaj

itni berang kyun Rangrej ka rang fika kyun jami udaasi ki silwate kyun Who kehta jawab ki talaash hai..talaash hai

Jarjar charcharte darwajon se Jinpar behasab dastak thi kbhi Bani waqt ki dararon se jhaankti Aksar puchti ye zindagi aangan mayus kyun jami hai dhool kyun itni kyun koi kilkar nahi gunjati who kehta jawab ki talaash hai..talaash hai

peele un kore panno se jinpar likhi har kahani sunehari bikhar farsh par khaak cchhante adhjale kagaj ke kinaron ko dekh aksar puchti ye zindagi ye kaalikh kaisi sukhi woh syahi kyun jale woh khwab kyun who kehta jawab ki talaash hai..talaash hai

sawaali zindagi ka jawab talaash karta insaan tabootband soya safedi mein lipta laash hai who bejubaan ankahe alfaj kehta mein zindagi hairan nahi sawalon se tere ye zindagi ek sawal hai har pal jina ise jawab hai mukamall sukoone ruh khatir mujhe bas do jaz zameen ki talaash hai..talaash hai..talaash hai..

dedicated to the revered divine AKR

You might also like