You are on page 1of 1

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay

jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay ya-rub kise ki raaz e muhabbat ki khair ho dast e junoon rahay na rahay aasteen rahay dard-e-gham-e-firaq ke yeh sakht marhalay hairaan hoon mein ke phir bhi tum itne haseen rahay ja aur koi zabt ki dunya talaash ker ay ishq hum to ub tere qabil nahi rahay Allah re chashm-e-yaar ke maujiz bayanian her ik ko hai gumaan ke mukhatib humhe rahay is ishq ki talafi e mafaat dekhna ronay ki hasratein hein jab aansu nahi rahay

You might also like