You are on page 1of 3

"Mein ne dekha usey... Ajnabi si kisi aik mehfil mein meri tarah...

Wo bhi honton pe ik be irada tabasum sajaye hueye Aik kone mein bethi kabhi apne nakhun... Kabhi samne neem khali parhe jam-e-mashroob ko Or kabhi maiz ki arh mein... Apni nazuk kalai pe bandhi hui wo ghari dekhti thi Jise aagey chal ker... Magar yeh to sub baad k waqiye hain Abhi to usey is takaluf bhari ajnabi bazm mein Ghaliban... Meri mojodgi ki khabar, mere hone ka ehsas tak bhi na tha!! Maizban tha koi ya koi or he mehrban tha!! K jis ne humein aik dooje k naam Or in k kinaron se liptey hueye kuch hawale bataye Kise yeh khabar thi k us sarsari se taruf ka wo Aik pal, aik aise taluq k tamheed hai Jo humare liye..... Magar yeh bhi sub baad ki baat hai...!!!! ____________To phir yun huwa.... Apni apni udasi ki shalon mein liptey dair tak Hum wahin aik kone ein bethe rahe Phir kisi ne dinner k liye sub ko awaz di Or jahan tak mujhe yaad parhta hai, khana Bohat pur takaluf tha or maizbanon K husn-e-madarat k sath un k tamul ka bhi tarjuman tha, magar Wo kisi or he soch mein dair tak Ik manqash rakabi uthaye istada rahi Mein ne us k liye Maiz k samne ik jagah si banayi or us ki taraf Dostana tabasum se dekha k wo Aagey barh k rakabi mein kuch daal le!!! Us ne aadab-e-mehfil mein lipti hui Muskurahat se mujh ko nawaza magar, aagey nahin aayi... Aik lamhe ko jab meri us ki nigahein milin To mujhe yun laga jese wo Apni un khush numa jheel si aankhon mein Paili udasi,... Chupatey chupatey bohat thak chuki ho

__________Sabz qehway k dour or Iqbal Bano ki mas'hoor kun Dilnasheen gaiki se mehkati hui us fiza mein wo yun Be talu'q si bethi rahi, jese wo us ghari Wahan pe thi he nahin... ____________Mein ne us se kaha,.... Oh Khuda, yeh to phir baad ki baat hai... Us ghari to faqat mein ne chaha k us se kahoon Kuch kahoon, us ko batlaon... "Aye ajnabi hum nasheen Is udasi ko kuch dair k wastey bhool ja muskura Dekh dunia mein ghum k siwa bhi bohat kuch hai, aankhein Faqat aansoun k liye he nahin khawab bhi In ki jageer hain!!! Dekh meri taraf... Mujh se bhi zindagi ne humesha raqeebon ka sa he Aik rishta rakha Mein ne bhi aaj tak apne khawabon ki tabeer dekhi nahin... Sung-o-Hasht-e-Tamana chune hain sada Bakhuda koi tameer dekhi nahin!!! __________Raat dhalne lagi Or ahista ahista kamre se mehman ghatne lage Maizbanon k honton k lafz Alwidai tabasum ki yaksaniyat mein bkharte hueye Apni garmi se mehroom hote gaye Or bahir se aate hueye shor ki Door hoti sadaon k hungaam mein Maizbanon se kuch baat kerte hueye Us ne dekha mujhe,,...Us k honton k kone zara kapkapaye Wo jese kisi neend mein muskurayi Chali, phir ruki, ruk k dekha mujhe ________Han yehi wo nazar thi Yehi wo muqadar ba amaan nazar thi Jo mere liye thi, sirf mere liye thi K jis mein ulajh ker Meri zindagi ki,

Mere aane wale shab-o-roz ki Or mere sare khawabon ki manzil nehan thi Zaman-o-Makan k sabhi fasley Aik pal k liye be nishaan ho gaye Usi aik nazar mein dhoowan ho gaye Phir na mein tha kahin or, na kuch or tha Bus azal ta abad aik khushbu rawan thi Faqat wo_________Wahan tha...!!!

You might also like