You are on page 1of 1

Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake ki gunche khil to sake khil ke muskura na sake meri tabahi dil par

to raham kha na saki jo roshni mein rahe roshni ko pa na sake na jane aah! ki un aansuon pe kya guzri jo dil se aankh tak aaye mishgan tak aa na sake rahen khulus-e-muhabbat ke hadasat jahan mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake karenge mar ke baqa-e-davam kya hasil jo zinda reh ke muqam-e-hayat pa na sake naya zamana banane chale the divane nai zamin, naya aasaman bana na sake

You might also like