You are on page 1of 1

Kuchh nadan o Haasid qism ke log Aqaa e Ne'Amat Mujaddid e Deen o Millat Sarkar e Aala Hadrat Imam AHmed

Raza Khan
AlayhirRaHmato waRidwaan ke Sayyed na hone par zaban e Ta'An o tanqeed daraz karte nazar atey hen. Unka waHid maqsad
Hasad o bughz ki bina par Sunniyon ko unke Sachchey Rehbar o Peshwa Huzoor e Sayyidi Aala Hadrat Azeemul Barakat
Azeemul Martabat Parwana e Sham'E Risalat (Sallallaho Alayhe wa Ala aalihi wasallam) Hadrat Imam AHmed Raza Khan
AlayhirRaHmaturRaHmaan aur aapke sachchey Maslak......Maslak e Aala Hadrat se bargashta karke ma'AzAllaah sulaHkulli
banana hai ya apni Hasad ki dukan chamkana unka maqsad e mazmoom hai...... Halanke is waqt yeh Hasid log khud bhi .....aur
daur e Haazir ke Ulamaa e Deen se koi bhi aesa nahi hai jo Huzoor e Sayyidi Aala Hadrat RadiAllaahuAnh ke ilm o Fadl ka
mohtaaj nahi....sabko usi Darya e Noor se apne katorey bharna hote hen...aaj sabka Sooraj aur Chaand wahi ek zaat e Mubarak
o Munawwar hai....wahin se is zamane men sachchey raastey ki pehchaan hoti hai....Yeh sab Rab Azzwajall ka Fadl o eHsaan
hai jisko chahey Ata Karey apne Pyarey Habeeb AlayhiSsalaato wa Ala aalihissalaam ke sadqe.....
Bataiyye kya hamare Aaqa Huzoor e Sarkar e Ghaus e Aazam RadiAllahuAnh ke Peer o Murshid Sayyed hen ?? kya silsila e
Mubarakah Naqshbandiyah ke Sardar Hadrat e Abu Bakr Siddeeq RadiAllahu Anh Sayyed hen ?? Kya Huzoor Sarkar e Farooq e
Aazam RadiAllahuAnh Sayyed hen ?? Kya Sarkar e Imam e Aazam Abu Hanifah RadiAllaahuAnh Sayyed hen aur bahut se aapke
as'Haab o Shagird jo apne apne waqt ke Imam huey hen jinka Faiz e ilm taa qayamat jaari rahega yeh sab bhi Sayyed hen ??
Kya Hadrat e Imam e Muslim, Hadrat e Imam Jalaluddin Suyuti, Hadrat e Imam e Tirmizi, khud Imamul MuHaddiseen Hadrat e
Imam e Bukhari RadiAllahu Ta'Ala Anhum ajmaEEn aur bahut se MHaddiseen e kiraam Sayyed hen ?? Aesi bahut si misalen
aapko mil sakti hen ......bahut se Mashaikh o Buzurg ghair e Sayyed hone ke baa wajud mazhab e islaam ke chamakte damakte
Raushan minaarey hen....kufr ke andheron men yeh sitarey apni Raushni lutaa kar ummat ke eemaan ka taHaffuz kiye huey
hen...kya in Buzurgon ki Shamma e ilm se aaj zamana faiz yaab nahi ho raha hai ?? Maslak e Ala Hadart jo hai woh sab ka sab
Aeyn e Sharee'At hai. Sirf ek pehchan Buzurgon ne bana di hai taake naqli rehbaron ke fareb o dajal ke jaal se ummat ko
bachaya jaa sakey. kya Maslak e Aala Hadrat par eteraaz karke usse ma'AzAllah musalmano ko door karke koi Deen ki khidmat
ki jaa rahi hai ?????????? Hargiz nahi.
+++++++++++++++++++++++++++++++++
Aalim o Faqeeh Afzal hai yaa Sayyed ?? Fatawa e Ridawiyah Shareef se jaaniye....(jild 11, pg 22-23 old)
+++++++++++++++++++++++++++++++++
Question:- Zaid Sayyed momin hai lekin fasiq o fajir hai, Amr ghair e Sayyed momin parhezgaar. Aaya (kya) in dono men kisko
Fazeelat hai aur indaAllaah (Allaah Ta'Ala ke nazdik)aur indannas (logon ke nazdik) kya Hukm hai ??
Answer:- Fadl agarche taqwa ke liye hai....(Arabi ibarat)...."beshak taqwa wale tum men Allaah ke nazdeek behtar hen".....
Magar taqwa bey ilm ke naa mumkin. Hadees e Sharif men hai ke "bey ilm ke Aabid banne wala aesa hai jaese chakki men
gadhaa" (a donkey in a floor mill...!! )....ke ...meHnat karey aur usey kuchh Haasil nahi....
(Arabi ibarat)...."jahil ki gawahi Aalim par maqbool nahi kyunke jis ilm ka Haasil karna uspar wajib hai usko chhod kar woh fasiq
hua to naa uski shahadat usi jaese jahil par maqbool hai naa ghair e jahil par. Aur Hakim ko usey ilm naa Haasil karne par
ta'Azeer karna chahiyye (ya'Ani usko saza dena chahiyye).
To yeh Fadl janib e ilm Raje'A hua. (ya'Ani Fazeelat ilm e Deen ki wajah se sabit huee)......
"AUR SHAK NAHI KE AALIM E DEEN SUNNI SAHIHUL AQEEDAH KO HAR JAHIL PAR MUTLAQAN FAZEELAT HAI.."
(Arabi ibarat...) "tum Farmao kya barabar ho jayenge Aalim aur bey ilm" ??.
Durre Mukhtar men hai....(Arabi ibarat...)" jawan Aalim ko Shaeikh e jahil par muqaddam (afzal ) hone ka Haq hai. Jahil qureshi
hi kyu naa ho. Allaah Ta'Ala Farmata hai....."ILM WAALON KO DARAJON BULANDI HAASIL HAI..."
Phir bhi Sayyed ka Fadl zaati hai jo fisq... balke badmazhabi se bhi nahi jata......jabtak ma'AzAllaah Hadd e kufr tak naa
pahunchey.... SAYYED SAHEEHUN NASAB ISSE MAHFOOZ RAHEGA BEHAMDILLAAH. (ya'ani agar saHiH unnasab Sayyed hai to
kabhi bhi kufr ki daldal men nahi padega .... Allaah ke Fadl se....) Aur muttaqi Aalim ka Fadl Amali wasfi hai . (ya'Ani uske Amal
aur khoobiyon ki wajah se hai jo usne Haasil ki )...Wa lehaza agar Aalim ma'AzAllaah bad mazhab ho to uski Ta'Azueem
Haraam.......ke uski Azmat Niyabat e Rasoolullaah Sallallahu Ta'Ala Alaye wasallam ki wajah se thi.... Aur jab woh bad mazhab
hua to naaib e shaytaan hua....
Aur Sayyed ki T'Azueem ba sabab e juzziyyat e Huzoor e Aqdas Sallallahu Ta'Ala Alayhe wasallam hai aur juzziyyat taa baqaa e
Islam baaqi hai.....(ya'Ani Huzoor e Aqdas AlayhiSsalaato wassalaam se nisbat islam par qayam rehne tak baaqi hai ) ...wallaahu
T'Ala a'Alam....

You might also like