You are on page 1of 6

||SHREE||

STEAM TABLE

SCENE NO.1A
EXT/DAY/CAFETARIA
(Long shot mein cafeteria dikh raha hai, ladko ki bheed hai usmein Ketan aur uske dost baithe
hai. Table par saamne ketan aur uske baaju mein Ankit baitha hai jo table par book aur
notebook lekar kuchh kar raha hai. Uske book ke niche 'Steam Table' hai. Akash chai pee raha
hai to Nikhil bottle se khel raha hai aur Deepak mobile pe kisise baat kar raha hai. Utne mein
Amit aata hai aur ketan ko thap thapaate hue kehta hai.)
Amit - Fir bhai kal ki party ki tayari ho gayi ?
Nikhil - Party !! Kis cheez ki bhai?
Amit - Kutte party lene sabse pahile tu hi hota hai aur kyu ho rahi ye sabse aakhri mein tujhe hi
pata chalta hai. (Ketan ki pith par haath maarate hue) B'de hai bhai ka kal.
Nikhil - Are yaar main to bhul hi gaya tha, bol bhai kaha khulegi botale ?
Ketan - Yaar...(thoda niraash hokar) Money issues.
(Deepak mobile pe baat karate karate bich mein hi bol padta hai.)
Deepak - Chup saale baingan, tera hamesha ka hi nakhra hai. Kal to jashna chahiye...nadiya
behni chahiye nadiya. (Aur fir vo apne mobile pe baat karane lagta hai.)
Amit - Kar yaar, baap se paisa mangwa.
Ketan - Abhi to daale the yaar 10 din pehle,saala ladki,chai aur party mein sab gul ho jaate hai.
Amit - Hamesha ki tarah koi funda daal...Join a tuition.
Ketan - Itni tuitione lagwa chuka hu jitne saale apne subject bhi nahi. Bhai kal ki to bhasoodi
hai,But party is a due.
Deepak - (Mobile se nikalkar) B'de kal to party bhi kal hi hogi, nahi ankit ?
(Ankit apni book se dhyan hatakar upar dekhata hai aur kuchh na samjhkar fir book me ghus
jaata hai.Akash usko tapli maar kar keh padta hai)
Akash - Use kya puchh raha hai...uski party to lassi tak hi hai. Bhai party to kal hi chahiye. .
.(haat tankar) aur bahot din ho gaye hum sab ne daaaru bhi to nahi pee.
Amit - (Hanskar) Saale bahot deen. . . 3 din pahile saap ke jaisa chal raha tha. Ketan udhar le,
daka dal ki tuition laga party to kal hi hogi.
(Ketan ki nazar table par pade ankit ki steam table par jaati hai, uski aankhein chamak jaati hai
aur chehare par kamini hansi aa jaati hai aur wo bol padta hai.)
Ketan - Ho gaya jugad. . .
(Fir vo phone nikaal kar phone lagata hai.)
Cut to...
SCENE NO.1B
INT/DAY/HOUSE
(Ghar mein Ketan ke papa ketan se phone par baat kar rahe hai.)
Papa - Kya. . . Steam table ? Kya hai ye steam table. . .beta pichle mahine hi to coomputer ka
table kharid ke diya tha na. . .ab ye konsi nayi bala hai?
Ketan V/O - Papa ye bahot mast table hai, ek hi isme enthalpy,entropy,specificy vecificy sab ek
hi isme, upar se mollier chart bhi aata hai, calculator hota hai na. . . engineero ka. . . us se bhi
achcha. Aur wahi portion abhi hame sikhane bhi waale hai ek do din mein to lena jaruri hai.
Papa - sab ek hi isme , ye to badi achchi baat hai. . .par ye bataao ye hota kitne ka hai?
Ketan V/O - Achcha lene jaao to do dhai hajaar mein aa jaayega.
Papa - Tum chinta mat karo betaa main paise dalwa dunga kal hi. Bas tum pahai achche se
karate raho.
Cut to...

SCENE NO.2
EXT/DAY/CAFETARIA
(Ketan phone par baat khatam karata hai aur Amit ki taraf hanskar dekhata hai aur haath upar
karta hai. Amit usko taali dete harami wali smile deta hai. Sab log khush hote hai. Ketan ghadi ki
taraf dekhata hai, ghadi mein 11 baj rahe hai.)
Ketan - Chalo party ka to ho gaya. . . aaj kuchh class bhi kar le.
Akash - Saale class aur tu...seedha bol na class ki ladkiya tadne jaana hai.
(Ketan ghadi ki taraf ek aur baar dekhata hai.)
TIMELAPSE
Montages of fixed wrist watch with suggestion of head to different backround w.r.t. time upto
next day 10 o'clock in night
Cut to...
SCENE NO.3A
EXT/NIGHT/HOSTEL
(Phone par papa se baat kar raha hai)
PAPA (V/O) - Happy birthday beta, mil gaye na paise ?
KETAN - Thank you papa,paise to mil gaye,par maine dekha apne 500 rupaye jyada dale.
PAPA (V/O) - Beta tumhara birthday hai aaj,hamare taraf se kuch tohfa khareed lena..
KETAN - Usse accha mai apne dosto ko kahi bahar khana khane le jata hu.
PAPA (V/O) - Yaar jaisa tum thik samjho..ye lo apni maa se baat karlo kab se tadap rahi hai
tumhe wish karne ke liye..
(Utne me hi ketan ke phone par dusra call waiting par ata hai,jispe likha hota hai jaanu. Wo
mobile ki screen par dekhta hai aur befikri se fir se phone par baat karne lagta hai.)
KETAN - Papa mujhe ek important call aa rahi hai,mai maa ko 10 minute me call kar lunga.
(Ketan wo phone hold par dal kar jaanu ka phone uthata hai.)
KETAN - kuch nai yaar baap tha,paka raha tha.......Thank you jaanu kitni baar wish karogi.....I
love you too baccha....haha party to hai.....i wont drink too much....
(Utne me hi nikhil darwaje se akar ketan ko pith par tap karta hai,ketan usko haa me mundi
hilakar ata hu aisa ishara karta hai.)
KETAN - Chal babe i better be going.
(Phone rakh kar wo darwaje se andar jata hai)
Cut to...

SCENE NO.3B
INT/NIGHT/HOSTEL
(Hostel room ke maddham light me party chal rahi hai. Ankit akash Nikhil deepak amit sabhi ek
round me floor par baithe huye hai. Centre me Daaru bottles rakhi huyi hai. Mobile par kuch
gana baj raha hai. Nikhil cigrette ke challe bana raha hai. Akash dipak amit aur nikhil daru ke
pegs maar rahe hai aur ketan join karta hai..Ankit sprite pi raha hai.)
KETAN - Ghar se phone aya tha..
AMIT - (Getting on high) Kisine pucha kya tujhse kiska call tha. Peg kabse bana hua thanda ho
gaya. Dekh Ankit ko sprite bhi chad rahi hai.(SABHI HANSTE HAI)
KETAN - (amit ke kaan ke paas aakar dhire se bolta hai) Kaminey mila dia uski sprite me vodka
fir se.(Dono hanste hai)
DEEPAK - Seedhe seedhe bolna bhabi se baat chal rahi thi. Hum thode hi na kuch bolenge.
KETAN - Chodo na yaar tum bhi.
NIKHIL - Yeah birthday boy ko aaj baksh do, warna abhi jhande gaad ayega.
(Montages of the party going on)
ANKIT - Guys its time for truth & dare..
(Sabko kafi chadi hui rehti hai. Akash beer ki ek khali bottle lekar use revolve karta hai. Itne me
KETAN ke baju rakhe mobile se anjane me uske PAPA ka phone lag jata hai. PAPA phone me sab
bate sunte rehte hai.)
AMIT - tu har baar paise ya party ke naam sunkar itna katrata kyu hai. Jab dekho tab saala
bahane marta hai. Kanjusi ki dead line hai tu deadline
KETAN - yaar kya batau tumhe, Ye sale baap se pareshaan hu mai, jindagi me kuch khas kamaya
bhi to nai. Har baar paise lene ke liye kuch na kuch naya bahana dhundna padta hai. Saala
tumhare baap log sahi hai yaar paise mangne ke pehle hi account me paise haajir. Saala ye bhi
koi jindagi hai. Hey bhagwaan kya baap diya hai mujhe.
( Ispar sabhi log thahake lagate huye hanste hai.Udhar Ketan k Papa sab kuch sunte huye sirf ro
padte hai.)
NIKHIL - Le potte baap-puran band kar.(Bottle spin hokar amit ke samne rukti hai) Amit bata
bhai truth ya dare.
AMIT - Truth.
NIKHIL - Truth...bad choice bro.u r trapped. MIss Fresher Computer wali ,wats the scene ?
AMIT - nothing much. . . avehi,kuch latte kuch baatein..
KETAN - (interrupts) Abe kya bat karta hai, Wo teri beauty har dusre bande ko line deti hai,CCD
me fokat ki coffee peeti hai..(kutsit tarike se hansta hai aur bolta hai) kuch latte kuch baatein..
DEEPAK - Bhai tere bhi 100-500 invest ho rakhe hai na..(Sab hansne lagte hai, amit thoda
murjha jata hai.)
(Deepak mahol ko thoda divert karne ke liye Fir bottle ko spin karta hai.Party ke montages
chalate rehate hai.Party khatam hone ko aayi hai, daaru ki botale padi hai, do log dher ho gaye
hai, Ketan ciggrette dhundata hai par dibba khali hai.Ketan fir bol padta hai. )
Ketan - Aakhri wish bhai log, mujhe ciggrette chahiye, apna stock to khatam hai to hum
sab....(do dher hue bando ko laat se jagaa kar)hum sub nukkad pe jaakar aakhri dam maarenge
and will call it a day.
(Sab raazi ho jaate hai, Ketan uthata hai aur apna phone uthata hai, apne phone par dad ka
chaalu call dekh kar chaunk jaata hai aur dar jaata hai. Tabtak sab bande room ke bahar nikal
chuke hai, ketan complex state of mind mein room ke bahar nikalata hai.)

Cut to...

SCENE NO.4
EXT/NIGHT/PARKING+ROAD
Ketan ke haath mein mobile hai. Vo abhi bhi sahama hua hai, vo yantrik tarikese gaadi ke
driving seat par jaakar baithata hai, uske pichhe amit aakar baithata hai. Ketan abhi bhi us baat
se sambhal nahi paya hai ki uske papa ne uski sab baat sun li. Vo gaadi nikalata hai,haath mein
rakhe mobile ke vajah se clutch fatak se chhutta hai aur gaadi thoda ud kar nikal padti hai.
Gaadi raaste par hai aur ketan abhi bhi soch mein hai, vo mobile ki taraf dekhata hai aur dusre
hi pal mobile ko haath mein lekar uski taraf dekhate hue uske papa ko dial karane jaata hai.
Utane mein hi uska accident hota hai. Ketan gir gaya hai, usko chote aayi hai, uske haath mein
mobile hai aur vo papa ko call karta hai par kuchh bolane ke pahile hi uski aankhen band hoti
hai. Uske dost pichhe se aakar use uthate hai aur frame dissolve out ho jaati hai.
Cut to...
SCENE NO.5
INT/NIGHT/HOSPITAL
Ketan stretchure pe pada hua hai, usko hospital mein le jaa rahe hai.Strechure ke ird
gird uske dost aur nurse hai, backround mein koi uska naam pukaar raha hai. Utane mein ketan
ka voice over chaalu hota hai.
Ketan - Here i am, landed in misfortune, eventually, accidently by my fate or by my deeds.But
nothing of these things matter. . . not atleast now . . . This (muh se khun thukate hue). . .is
moment of truth self realisation, weighing my life. . .what i was(uske papa intercut mein uska
phone try karate hue,uski bachpan ki 1st ranking waali troffey ke pas khade hai), rather what i
was capable of(uske papa phone lagate lagate uske room mein jaata hai jaha par uski edited
photo diwar pe tangi hai jis mein vo graduation cap pehna hua foreign university ke saamane
khada hai.). . . and where i am now, i am on downside. Dad i could have been better, i wish i get
another chance, i guess impossible now. . .Huh . . .What i have for you now is. . .some sorrow
memories. . .a loan . . .(aur thoda khud pe mayus se hansate hue) and my steam table(ketan ke
room ke table par mummy papa ki photo rakhi hai. camera wide se trolley par uski taraf jaata
hai aur aakhir mein tilt down hokar steam table par focus karata hai.) Many things left
unsaid(ketan pada hua hai aur uske haath ke paas ke mobile mein 'Papa' ka call flash ho raha
hai.). . . .Many things left undone.
(itna hote hi uske b.p. monitor ki line blank ho jaati hai, frame dissolve hota hai aur likh kar aata
hai.)
"THINK WHILE YOU CAN"
(2 second baad 'THINK' dissolve hokar uske jagah 'ACT' aa jaata hai)
"ACT WHILE YOU CAN"
Cut to...

You might also like