You are on page 1of 3

1

BEING THANKFUL
Narrator: Bani Israel ke zamaane mein do shaks rehte the, ek kodh yani leprosy ka
mariz tha aur uska chehra aur chamri sab kharaab ho gaye the. Doosra shaks
dono aankhon se andha tha. Ek baar Allah Taala ne unhen aazmaane ke liye
ek farishta to insaani roop mein bejha. Aaiye dekhte hain kya hua
Scene 1
X X
Blind Skin Unwell
X
Angel
(Angel goes to Skin Unwell person)
Angel: As-salam-u-alaikum.
SU: Walaikum assalam
A: Kaise hain Aap
SU: Alhamdulillah Allah ka shukr hai. Aap Musafir lag rahe hain. Thak gaye honge,
rukiye main aap ke liye paani pesh karta hoon. (gives water)
A: Shukriya
SU: Agar aap ko takleef na ho, to raat ko bhi yahin thahar jaiye ga. Main akele rahta
hoon. Gaon walon ne mujhe alag kar diya hai, meri bimari ki wajah se
A: Shukhriya. Accha Batao, tum sab se zyada kya chaahte ho?
SU: Main to sab se zyaada yeh chaahta hoon ki meri beemari theek ho jaye kyonke
is she mera poora badan kharaab ho gaya hai auur log mujh se nafrat karte
hain aur akela chor dete hain.
Narrator: itna sunna tha ki farishte ne apna haath us kodhi per phera aur us ka
saara badan phir se accha ho gaya
SU: Allah ka lakh lakh shukr hai
A: Accha, yeh batao, tumhen kaun sa jaanwar zyaada pasand hai
SU: ji, mujhe oont zyada pasand hain
A: Accha yeh lo Allah Taala ke taraf se 10 oont tumhare liye
Narrator: Yeh keh kar woh Farishta chala aur andhe ke paas gaya.
(Angel goes to Blind)
2
Angel: As-salam-u-alaikum.
B: Walaikum assalam
A: Kaise hain Aap
SU: Alhamdulillah Allah ka shukr hai. Aap Door se aaye honge. Thak gaye honge,
thoda aarama keejiye rukiye main aap ke liye kuch khaane ka intezaam karta
hoon
A: Nahin Nahin, koi baat nahin Accha aap yeh bataiye Aap sab se zyada kya
chaahte ho?
SU: Main kya chahta hoon? Chaahta to hoon main mahnat karna lekin afsos mere
aankhon ki roshni chali gayi hai isliye main kaam nahin kar sakta hoon. Main
chaahta hoon kaash mere aankh phir se theek ho jayen take main wapas Allah
Taala ki is khoobsurat duniya aur uske logon ko dekh sakoon aur mehnat kar
ke apna pet bhar sakoon.
Narrator: Farishte ne phir se apna haath us andhe ke aankhon per phera aur us ki
nazar Allah ke hukm se waapas aa gayi.
SU: Alhamdillah Allahu Akbar . Bahut bahut shukriya aapka.
A: Ab batao, tumhen kaun sa jaanwar sab se zyaada pasand hai
SU: ji, mujhe bakriyan bahut pasand hain
A: Accha yeh lo zyaade bacche dene wali kaee bakriyan
Narrator: Aur use bakriyan dekar woh Farishta chala gaya. Kayee saal guzar gaye.
Donon ke jaanwaron mein bahut tarakki hone lagi. Pehle shaks ke oont itne
badh gaye ki woh ek bahut bade kaafle ka malik ban gaya. Doosre shaks ki
bakriyan itni zyaada hogayeen ki ek poori ghaati unse bhar gayi. Kaee saal
baad, who farishta phir se unke pass aata hai.. aaiye dekhte hain kya hota
hai
(Angel goes to Skin Unwell person who is very busy in his work)
A: As-salam u alaikum
SU: Haan Walaikum Walaikum Jaldi bolo
Narrator: Bade logon ke paas waqt to kam hota hai na
A: Ji main ek gareeb aadmi hoon bahut door ke gaaon se musafir hoon mera
saamaan bhi kho gaya hai bahut majboor hoon ab Allah taala ke raham
se aur aap ke madad se hi ghar wapas pahuch paoonga. Aap ko Allah Taala
3
ka waasta jis ne aapko itna khubsoorat banaya aur aapko itna ata kiya
meherbani karke mujhe ek oont de den
SU: Huh kya matlab ek oont de doon? Tumhen maloom hai ek ont ki keemat kya
hai? Chaho to kuch paise lelo aur jao. Kisi aur se ja ke mango. Mere paas tum
jaison ke liye itna waqt nahin hai.
A: Magar aap ko to yeh sab Allah Taala ne diya hai na? Shayad aapke pass pehle
itne nah tha
SU: Arre yeh sab mujhe wirasat mein mile the aur in mein jo badhe hain who
meri mehnat ke nateeje mein badhe hain. Chalo ab jaao.. mujhe apna kaam
karne do
A: Accha, agar aap sach na keh rahe hon, to aap wapas waise hi ho jayen jaisa
pehle the
N: Aur yeh keh kar farishta wahan see chala gaya. Is ke baad woh doosre shaks ke
paas gaya.
(Angel goes to Blind person who is very happy and sitting in work)
A: As-salam u alaikum
B: Walaikum Assalam Ji farmaiye
A: Ji main ek gareeb aadmi aur musafir hoon main akela aur bahut majboor
hoon ab aap agar meri kuch madad Karen to bari meherbaani hoga. Mujhe
aap apne mein se kuch bakre deejiye ga ta-ke main unhen bech kar apne
waapsi ka saamaan karoon?
B: Jee. Sach bataoon to yeh bakre mere nahin hain yeh to Allah Taala ke diye hue
hain. Main to ek andha aur bekaar aadmi tha. Sirf uske fazal se mujhe meri
nazar aur yeh karobaar mila hai. Aap in mein se jitney bakre chahen le lijiye.
Aur bilkul hichkichaiye gaa mat.
A: Accha yeh sab Allah ne diya hai? Is mein kya aap ki koi mehnat nahin
B: Ji mehnat bhi to Allah ke fazl se hi karta hoon .. aur barkat bhi wahi deta hai. Yeh
saare cheezen kya, main bhi to Allah ka hoon. Be jhijhak le lijiye jitney bakre
chahiye.
A: Alhamdulillah. Main aap ka ek bakra bhi nahin loonga. Yeh to aap ka Allah ke
taraf se Imtehaan tha aap shukr bhi karte hain aur Allah ke diye hue se dete
bhai hain. Allah Taala aap se bahut khush ho aur aap ko aur de.. aur de.

You might also like