You are on page 1of 2

GHAZAB KA FANKAAR THAA WO SHAKHS . . .

Ghazab ka fankaar thaa wo shakhs !


Lafzon mein
Falsafaa talaasta
Alfaazon mein
Roohein buntaa
Nazmon , ghazlon mein
jita
Saansein bhi
Usi ki leta
uski
Zuban ki haveli mein
Rahti thin
Meer , mazaz , jigar , ghalib ki ghazlein
Gulzar , javed , nida , faqir ki nazmein
Betaqalluf
uski zuban par
Aaya jaaya
Karti thin
Aankhon ki
Chilmnon se uski
Jhaankti thin
Dheron udaasian
Par
Cherey ke
Roshandaano se
Tabassum bikherta
Jab bhi
Milta wo kisi se !
Tamaam shab
Mehfilon mein
Nazmon , ghazlon ki
Abra se
Suqoon ki
Bauchaarein karataa
Ghazab ka
Fankaar hi to thaa
Wo shakhs . . !!!

You might also like