You are on page 1of 1

Introduction:

The following poem is an attempt to bring to light the plight of the infamous Moderate Muslims of
India. This is a term created by the media to patronize a section of Muslim population. Ironically, the
same sets of people are often seen by contempt by the other side. Since being based on a sensitive and
controversial issue, the piece can be best understood if read with an open mind. You can contact me if
you are not able to understand anything.

Shikayat
Na matlab mujhe tumhaare maslo se
Bas Khuda ki ibaadat jaanta hu mai
Na matlab mujhe tumhari nafrat se
Is mitti se hi muhabbat karta hu mai
Jo karu mai baat imaan ki
Apne hi desh ka gaddar banta hu mai
Jo karu mai pyaar is watan se
Apno me hi kuffar banta hu mai
Jab dekhu mai insaan se insaan ko ladte
Khud ke hi aks se sharmata hu mai
Aur duniya ko fatah karne ka khwaab liye
Is mulk se shikayat karta hu mai,
Jab na dekhi maine bantwaare ki aag
Par aaj bhi kyu uski tapan sehta hu mai
Aur na dekhe maine Ayodhya ke Ram
Fir bhi kyu tumhara Ravan banta hu mai

You might also like