You are on page 1of 2

Hayaat bharti rahi muskura ke daaman mein,

Husain (a.s.) ne jo rakhe Gul qaza ke daaman mein.

Ridayen chin gayeen lekin na behijab huye,


Chipe huye the jo chehre haya ke daaman mein.

Inhi se Kausar o Jannat khareedna hai humein,


Liye hain moti jo ashq e aza ke daaman mein.

Yeh mera ilaaj bhi hai zaamin e shifaat bhi ,


Jo chand zarre hain Khaak e Shifa ke daaman mein.

Hayaat bharti rahi muskura ke daaman mein,


Husain ne rakhe jo Gul qaza ke daaman mein.

Mila na izn e wega jab, toh karte kya Abbas (a.s.),


Kataa k rakh diye baazu wafa k daaman mein.

Arre Husain (a.s.) ki mayyat na paamaal karo,


Pale hain naazon se ye Fatema (s.a.) ke daaman mein.

Tadapta tha Dil e Sugra (s.a) jo Roz e Ashoora,


Pidar ke khoon ki boo thi sabah ke daaman mein.

Libas e khoon mein dooba nahi hai Akbar (a.s.) ka,


Bhara hua hai lahoo Mustufa (s.a.w.s.) ke daaman mein.

Sarosh marne pe itna karam kare duniya,


Ke dafn karde mujhe Karbala ke daaman mein.

Hayat bharti rahi muskura ke daaman mein,


Husain (a.s.) ne rakhe jo Gul qaza ke daaman mein.

You might also like