You are on page 1of 3

Tazyiat (wafat per azhare afsos)

Tazyiat Quran ki rooh se


Quran Pak main Allah fermata hai
aur jo insanu ko fayaida ponchta hai tu wo zameen main thehr jata hai
Surat Al rad 18

Allah ny apni kitab main boht pyara aur rahnuma asool byan frmaya hai ka jis cheez
sa insan ko fayaida pounchta hai.

Un k dukh, taklefain aur ghum door hota hain

Allah aisa wajodaun ki umar daraz kar daita hai inha zyada dair take is dunya main
rahna ka moqa farham karta hai.

Taziyat sunat aur hadith ki rooh se


Rasool (S.A.W) ka arshad hai jab tum janaza dekho to khray hojao-yahan tk k janaza tum se
agay nikl jaye.ya neechay rkh diya jaye( bukhari addition 2 kitaab aljazayer Hadith no.
1307)
Hazrat Abbu Hurraira ( R:A) se riwayat he k meny Rasool (S:A:W) ko ye frmatay suna k
Muslman pr Muslman k 5 haq hain 1.Salam ka jawab do. 2. Bimaar ki ayadat krna.3. Janazon
k sath jana.4.Dawat qabool krna .5.Cchheenk walay ko dua dena
Hazrat Abbu Hurraira ( R:A) se riwayat he k jo janazy me us wqt tk shareek rhy k is k liye
namazay janaza parh li jaye to is ko aik qiraat sawab hoga or jo dafnanay tk shareek rhay isko
2 qiraat- pucha gya k ye 2 qiraat kitnay hein. AP(S.A.W) ne frmaya 2 bray paharon ki trah.
Taziyat Hazrat Massih(A.S) ki seerat ki rooh se.
Sayadna Hazrat Aqdas (A.S) frmatay hain
Main tamam Msalmanon or Christions or Hidus or Aryon k duniya me koe mera dushman
nhi he Main Bani Noh insan se muhabat krta hoon jesy Walda mehrbaan apny bchon se blkay
is se b brh kr.
Pandit Laikhram jo Islam ka sb se bra dushman tha . Huzoor ki paishgoee k mutabiq halak
hua to uski halakat pr izharay afsos krty huway Ap(AS) ne frmaya hmaray dil ki is waqt
ajeeb halat he dard bhi he or khushi bhi. Drd is liye k agr Laikhram ruju krta to zyada nhi to

itna hi krta k wo bdzaniyon se baaz ajata to mjhe ALLAH ki qasam he k Main is k liye Dua
krta or Main umeed rkhta k agr wo tukray tukray bhi kiya jata tb bhi zinda hojata Wo
KHUDA jisko Main janta hun Is se koe baat anhoni nhi,or khushi is bat ki he k paishgoee
nahayat safae se puri hue
Hazrat Shaikh Yaqoob ne apni kitab me Hakeem Molana Nuruddin ki Ehliya ki wafat pr
Huzoor(AS) ki Seerat Mubarka ka zikr krty huway frmaya.Mufti sahib(R.A) ki khush daman
jab marzal mout me bimaar hue to AP(AS) aksar inki bimar pursi ko tashreef laya krty thay.or
halat pucha krtay thay.wo hmaisha yehi arz krti k ap dua kryn k mjhe juma k roz mout away
or Ap khud Mera janaza prhain.chanchay hikmat Ilahi se namaz juma k prhny k bad jab
Mufti Sahab(R.A) or Hazrat Khalifa Awal(R.A) namaz Juma prh k kr isko dekhnay aye to
mareeza ne pucha k kya juma hogya he-kaha gya k haan to kaha k hat jao hat jao mujhe
ghabrao hota he or kuch minut bad fout hogaen.Huzoor(AS) ne bad NamazAssar unka Janaza
prha.
Hazrat Bhae AbdulRaheem sahib riwayat krty hein Miyan Mubarak ahmed Sahb ko dafan
krnay k bad Hazrat Aqdas as k rosh pr baith gye or jamat ko naseehat frmae k jis trf Main ly
jana chahta hu abi jamat ne is trf rukh bhi nhi kiya zra c museebat ati he to is me ghbra jatay
hain .jaza ,faza shuru kr dety hein Khuda ki di huee cheez agr Wo wapis ly ly to is me hamara
ka he
Hmaray Huzoor(AS) hmain naseehat frmatay hain k Azeezo apny bhaeyon se khaas tor pr
muhabbat rkho
CONCLUSION
Pss Quran o Hadith or Sunnat or Hazrat Massih (AS) se muhabbat ka taqaza he k hm khaas
tor pr apny Ahmadi bhaeyon ki hamdardi or un k dukh dard ko door krnay k liye httalmaqdoor masrrofe-amal honDor e jaded me aksar oqat telephone sms ya Email k zariyya Taziyat krlena kafi samajh liya
jata he jb k ye koshish krni chahiye k jjahan tk hmara bs chlay apnay waqt ka kuch hissa
qurban kr k ghron me ja k jazbat ka izhaar kryn
Apna bhae behnon k gham ko halka krnay ki koshish kryn takleef or gham ki is ghari me unka
sath dyn

Huzoor(AS) hmyn un rahon ki trf rahnumae krty hain jo ALLAH TALA k payar ki rahain
hain
Huzoor(AS) apny mannay walon ko naseehat krty huway Frmatay hein Makhlooq e Khuda
se aisay paish ao k goya tm in k hqeeqi rishtay daar ho

You might also like