You are on page 1of 16

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ilm Ki Ahmiyat: Part-1


RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Par Pehli Wahi Nazil Hoti Hai, Surah(96) Alaq
Ki Ibtedayi 5 Aayate Aap Par Nazil Hoti Hai
Al-Quraan: Iqra Bismi Rabbika Al-Ladh Khalaqa, (Parh Apne Rab Ke Naam Se Jiss
Ne Paida Kiya)
* Jab Farishtey Jibrayil (Alaihi Salam) Aaye Aur RasoolAllah Se Kaha: Iqra!! (Padho)
Tou RasoolAllah Ne Kaha: Maa AnaBi Qaari ! (Mai Padhna Likhna Nahi Janta)
Fir Uss Awaaz Ne Jordar Kaha: Iqra!
Tou RasoolAllah Samjh Gaye Ke Ye Bolna Chah Rahe Hai Ke Iskey Piche Padho Yaani
Iski Baato Ko Dohrao..
Tab Allah Ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Unke Pichey Padhna Shuru Kiya:
Iqra Bismi Rabbika Al-Ladh Khalaqa.
Yaani Parh Apney Rab Ke Naam Sey Jiss Ney Paida Kiya ..
Bus Pahla Hukm Yahi Aaya Ke Padho Apne Rab Ke Naam Se Jisney Aapko(Tamam
Kaynaat Ko) Paida Kiya!
* Tou Yaha RasoolAllah Par Dekhiye Pahli Wahi Kya Nazil Hoti Hai.. Namaz Nahi,
Zakat Nahi, Khud Apni Tawheed (Wahdaniyat) Allah Bayan Nahi Kar Raha Sirf Yahi
Pehla Hukm De Raha Hai Ke Padh Apne Rab Ke Naam Se
* Tou Jis Qoum Ko Pahla Hukm Padhney Ka Aaye Aur Wohi Qoum Agar Zaahil Reh Jaaye Yeh Goya Aise Hi Hai Jaise Machli Ka Baccha
Tairane Ke Fun Se Gaafil Ho Jaye ,
* Yakinan Ilm Buniyaad Hai Tamam Aamal Ki, Kyunki Banda Unhi Aqaid Par Apni Zindagi Gujarta Hai Jiska Ilm Usey Wirasat Me Mila Ho..
Isliye Aqaid Me Saabit Kadam Rahne Ke Liye Sabse Awwal Cheez Ilm Hai
Aur Ilm Se Muraad Deen Aur Duniyawi Dono Hai ,
Zaahir Si Baat Hai Ke Koi Shakhs Agar Kaynaat Ka Ilm Haasil Karey Tou Wo Uss Cheez Par Gour-o-Fikr Karne Lagta Hai Ke Yakinan
Inti Badi Kaynaat Ko Kisi Patthar Aur Mitty Ke Maboodo Ne Tou Nahi Banaya Hoga.. Yakinan Wo Bohot Aala Shan Hogi Jisne Iss Qaynaat Ko
Banaya, Vajud Me Laya
@[15634 44744 7418 6:]

Aur Aagey Ki Aayato Me Rabbul Izzat Ne Bayan Farmaya:


2. Khalaqa Al-Insna Min `Alaqin.
(Jisney Insan Ko Khoon Ke Lothray Se Paida Kiya.)
3. Aqra Wa Rabbuka Al-Akramu.
(Parh Uss Rab Ke Naam Se Jo Bada Karam Karne Wala Hai.)
4. Al-Ladh `Allama Bil-Qalami.
(Jisne Insan Ko Qalam Ke Zariye (Ilm) Sikhaya.)
5.`Allama Al-Insna M Lam Ya`lam.
(Jisney Insan Ko Woh Sikhaya Jo Woh (Insan) Nahi Janta Tha.)
* Tou Inn Ayato Me Pata Chalta Hai Ke Ilm Ki Kya Ahmiyat Aur Fazilat Hai, Aur Musalmano Ki Aaneywali Naslo ne Bas .. Har Ilm Ko Chaat
Diya, Har Ilm Ko Pii Gaye, Apne Rab Ka Naam Liya Aur Haasil Kar Liya Usey
InshaAllah Unkey Baarey Me Aagye Ki Post Me Hum Tafsilaat Se Dekhengey

Ilm Ki Ahmiyat: Part-2


Baqaoul Qurane Majid: Iqra Bismi Rabbika Al-Ladh Khalaqa.
Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand
Sabit Hua.. Fir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye
Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey,
Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom Me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone Kayi Naye Uloom Aur Fun Dunia Ko Diye Aur Bataya Yeh
Hota Hai Knowledge Yeh Hota Hai Ilm !!!

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Isi Tarha Quraane Majid Me Allah Taala Farmata Hai:


Al-Quraan: Allah Taala, Farishtey Aur Ahal-e-Ilm Iss Baat Ki Gawaahi Detey Hai Ke
Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Woh Adal Ko Qayam Rakhne Wala Hai Uss Ghalib
Aur Hikmat Waley Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi. - [Surah (3) Aale Imran; Ayat 18]
* Tou Iss Ayat Me Allah Taala Ne Yeh Kaha Ke: Allah Gawahi Deta Hai Ke Wo(Allah)
Ek Hai..
Fir Farishtey Gawahi Dete Hai Ke Wo(Allah) Ek Hai..
Aur Ahle Ilm Ka Maqaam Bataya Gaya Hai, Ke Ahle Ilm Ko Allah Rabbul Izzat Farishto
Ke Baad Ginwa Raha Hai Iss Liye Ke Yeh Gawahi Detey Hai Ke Qaynaat Ka Rab, Wo
Allah Ek Hai ,
* Aur Zaahir Si Baat Hai Ke Ilm Waley Issliye Gawaahi Detey Hai Kyunki Wo Ilm Haasil
Karte Hai, Sikhtey Hai, Wo Jantey Hai Ke Yakinan Iss Qaaynat Ko Bananey Wala Koi Ek
Mabood Hai Wo Ek Hi Hai, Aur Agar Ek Se Jyada Hotey Tou Qaaynat Ka Nizam Chal Hi
Nahi Sakta
# Tou Yaha Bhi Iss Ayat Me Ilm Walo Ki Fazilat Pata Chal Rahi Hai Ke Allah Rabbul Izzat
Kehta Hai Ke Yeh Gawahi Dete Hai Uss Rabb Ke (Yaani Allah) Ke Ek Hone Ki ..
Ek Aur Aayat Me Ilm Walo Ke Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai:
Al-Quraan: Allah Se Uskey Wohi Bandey Dartey Hain Jo Ilm Rakhtey Hain - [Surah
(35) Fatir:Ayat 28]
Zaahir Si Baat Hai, Aaj Humne Allah Ka Darr (Taqwa) Ikhtiyaar Nahi Kiya Isliye Ke Hum
Ilm Hi Nahi Rakhtey Uskey Talluk Se
Naa Jantey Hai Usney Kya Diya ,..
Naa Jantey Hai Humare Liye Usney Kya Kiya ,..
Naa Jantey Hai Ke Wo Humse Kya Chahta Hai ,..
Buss!! Zindagi Guzaar Rahe Hai, Tou Kaha Se Allah Ka Darr, Wo Taqwa Aayega
Jabke Allah Farmata Hai Ke Uska Taqwa, Uski Farmabardari Wohi Bandey Karte Hai Jo Uskey Talluk Se Ilm Rakhte Hai .
# Lihaja Hume Chahiye Ke Har Haal Me Ilm Haasil Karey ,
Sharayi Ilm Aur Kouneni Ilm (Religious Knowledge and Universal Knowledge)
Fir InshaAllah Har Kism Ka Jayaz Ilm Hume Apney Rab Ki Taraf Ruju Karwayega ,..

Ilm Ki Ahmiyat: Part-3

Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Taalluk Se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat Ne Quraan Me
Kayi Ayate Nazil Ki Hi, InshaAllah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish
Karenge:
@[1563 44474 4741 86: ]

*1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua Al-Quraan: Wa Qul Rabbi Zidn `Ilman - [Surah Tahaa (20) Ayat 114]
(Tarjuma: Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar!)
Ye Hukmi Aayat Hai Aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Ko Hukm Aa Raha Hai Ke Aap Apne Rab Se Ilm Ki Barkat Ke Khatir Dua Kijiye.. Jab Uss
Zaat Ko Hukm Aa Raha Hai Jisey Allah Apney Gaib Ka Ilm Ata Karta Hai Tou Badarje
Uloola Humare Se Yeh Aayat Jyada Khitaab Kar Rahi Hai Ke Tum Tou Jyada Hasil Karo

* Tou Goya Allah Ki Zaat Sirchashma Hai Ilm Ka, Allah Ki Zaat Source of Knowledge
Hai Lihaja Allah Rabbul Izzat Ne Apne Bando Ko Dua Sikhlayi Ke Maango Apney Rab
Se Ke Wo Tumhare Ilm Me Ijafa Kar Dey

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

*2. Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Baraabar Ho Saktey Hai? Iss Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:
Al-Quraan: Hal Yastawil Lazeena Yalamoona Wallazeena Laa Yalamoon - [Surah Zumar(39) Ki Ayat 9]
(Tarjuma: Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ! Wo Log Jo Ilm Rakhtey Hai Aur Jo Log Ilm Nahi Rakhtey Kya Dono Barabar Ho Saktey Hai
??)
* Iss Ayat Me Allah Rabbul Izzat Ilm Walo Ki Fazilat Bayan Kar Raha Hai Ke Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Dono Barabar Ho Saktey? Nahi!
* Lihaja Ilmwalo Ke Darjaat Hai Allah Ke Paas, Tou Ilm Haasil Karne Se Insan Ko Fazilat Hasil Hoti Hai, Uske Darjaat Buland Hotey Hai..
* Aur Kyu Naa Ho ? Dunia Me Hum Ek Dusre Ki Izzat Kyu Kartey Hai?? Chaahe Deeni Halko Me Ho Ya Duniyawi ,
Duniyawi Halko Me : Teacher Hai,.. Principle Hai,.. Doctor Hai, Vakeel Hai ,..
Aur Deeni Halko Me : Ustaad Hai, Mufti Hai, Aalim Hai, Hafiz Hai, Qaari Hai ,..
Yakinan Yeh Ilm Hi Tou Hai Jiski Buniyaad Par Insan Ko Izzat Aur Rutba Milta Hai Duniya Me ,..
Tou Maalum Hua Ke Ilm Koi Bhi Ho Wo Izzat Aur Martba Lata Hai ,
Aur Agar Duniyawi Ilm Sharayi (Deeni) Ilm Ke Saath Mil Jaye Tou Sone Par Suhaga Ho Jata Hai ,
*3. Ilm Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:
Al-Quraan: Yarfa` Allhu Al-Ladhna Amanu Minkum Wa Al-Ladhna Utu Al-Ilma Darajatin - [Surah (58) Mujadila : Ayat 11]
(Tarjuma: Allah Yakinan Unn Logon Ko Jo Tumme Se Imaan Laye Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unke Darjaat Buland Karke Rahega)
* Tou Iss Ayat Me Bhi Pata Chala Ke Jo Log Imaan Laye Aur Fir Ilm Haasil Kiya Yeh Dono Cheeze Vajah Banti Hai Insan Ke Darjaat Buland
Hone Ki,
* Aur Wo Sahaba Jo Imaan Laye, Jo RasoolAllah Ke Saath Rehkar Ilm-e-Deen Sikha Aaj Unka Muqaam, Unka Ahtraam, Unki Izzat Digar
Sahaba Ke Muqable Me Mumtaaz Hai, Unchi Hai, Aur Wo Jyada Naam Liye Jaatey Hai ,
Tou Iss Aayat Se Bhi Pata Chala Ke Yeh Ilm Hi Hai Jo Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai ,
*4. Ilm Haasil Karna Kis Par Farz Hai ?:
Mehfum-e-Hadees Hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Talib Ul Ilm Farizatn Ala Kulli Muslimin - (Miskat P:24)
(Tarjuma: Ilm Ka Haasil Karna Tamaam Musalman Mard Aur Aurat Par Farz Hai)
* Gaur Karne Waali Baat Hai Ke Yaha Lafz Dekhiye Talab Hai Jiska Mana Hota Hai Kisi Cheez Ko Haasil Karne Ki Koshish Karna Goya Aap
Usey Haasil Na Kar Paye.. Fir Chahe Wo Aapko Zindagi ke 90th Saal Ko Bhi Mill Jaye Aap Uss (Ilm Ki Justaju) Me Jarur Lage Rahenge .
Yaani Ilm Haasil Karne Ki Koi Limit Nahi Hai. FIr Chahe Aap Jab BHi Apni Jimmedariyon Se Farig Ho Jao,, Ilm Ke Liye Apne Jehan Humesha
Khule Rakhe.

Ilm Ki Ahmiyat: Part-4

Ilm Kya Hai?


Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: Ilm Kya
Hai?
Aapne Farmaya: Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai ,.. Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo
Ilm Hai ,.
Aur Jo RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Kaha Wo Ilm Hai ,..
Aur Koi Shakhs Yeh Kahe Ke Mujhe Nahi Malum! Yeh Bhi Ilm Hai
Yaani Ussey Koi Sawaal Kiya Jaye Aur Jawaab Na Maloom Ho Tou Sach-Sach Keh Dey
Ke Mujhe Nahi Maloom Yeh Bhi Ilm Hai ..
Isliye Ke Baaz Log Apni Shaan Ko Barkarar Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Jawaab De Detey
Hai ..
Lekin Inn Jhute Jawaab Deney Walo Se Behtar Wo Shakhs Hai Jo Saaf Saaf Kehde Ke
Mujhe Nahi Maloom ..
Isiliye Ke Yeh Kahne Ko Bhi Insan Ko Bohot Bada Dil Lagta Hai
Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai:
Tou Hume Chahiye Ke Khub Se Khub Ilm Haasil Kare,.. Aur Jaahir Si Baat Hai Ke Dini
Ilm Ke Sath Duniyawi Ilm Hamesha Juda(Saath) Hi Rehta Hai,..
Lekin Duniyawi Ilm Ke Sath Dini Ilm Humesha Juda(Saath) Nahi Hota ,..
Yeh Baat Hum Isiliye Keh Rahe Hai Ke, Jab Hum Quraan Ka Mutaala Kare Tou Quraan
Ne Kabhi Farq Nahi Kiya Inn Uloom Ke Andar .. Aur Shariyat Ne Kabhi Deen Aur Duniya

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Me Farq Nahi Kiya , Isliye Kyunki Duniya Me Rehkar Hi Tou Hume Deen Par Chalna Hai ,
# Jaise Misaal Ke Taur Pe: Agar Mai Kahu Ke Paani Ka Jahaaz Chal Raha Hai.. Tou Aap Kaha Tasawwur Karoge Ke Kaha Chal Raha Hai ?
Registaan Me, Sehra Me, Pahado Par Ya Hawa Me ???
Zaahir Si Baat Hai Ke Paani Ka Jahaaz Tou Paani Par Hi Chalega ,
Tou Agar Me Kehta Hu Ke Mai Deen Par Chal Raha Hu Tou Zaahir Si Baat Hai Ke Duniya Me Rehkar Hi Deen Pe Chalunga ,
Duniya Ko Chorrkar Tou Nahi Chal Paunga Na Deen Par ..
Lihaja Shariyat Ne Deen Aur Duniya Me Farq Nahi Kiya Kabhi
Lekin Farq Kiya Hai Dunia Aur Aakhirat Me
Allah Ne Baar-Baar Kaha Ke Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat, Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat
Aur Quraan Me Jitni Martaba Duniya Ka Lafz Aaya Hai Utni Martba Aakhirat Ka Bhi Lafz Aaya Hai..
Tou Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai, Deen Aur Dunia Me Farq Nahi Karna Kabhi.,..
# Deen Aur Duniya Me Farq Karne Ka Natija Aur Jab Humne Deen Aur Duniya Me Farq Kiya Tou Muamlaat Me Farq Kiya,.. Aamal Me Farq Kiya,.. Akhlaq Me Farq Ho Gaya.
* Masjid Ke Akhlaq Dekhiye Aur Tijarat(Business) Ke Akhlaq Dekhiye!!
* Masjid Me Dekhiye Koi Banda Jhuth Nahi Bol Raha, Aur Tijarat Me Dhada-dhad Jhuth Bol Raha Hai
* Masjid Me Hai Tou Taqwa Ikhtiyaar Kar Raha Hai, Aur College Ja Raha Hai Tou Logon Ke Saath Ched-Chad Kar Raha Hai, Logon Ko
Takleef Pohcha Raha Hai .
Yeh Farq Isiliye Hua Ke Humne Deen Aur Duniya Me Fark Kiya
Lihaja Hume Iss Duniya Me Rehte Hue Hi Deen Par Chalna Hai
Ha! Lekin Jab Ilm Ki Baat Aayegi Tou Tarji Tou Yakinan Deeni Ilm Ko Di Jayegi,. Isliye Kyunki Hadees Ka Mehfum Hai Ke
* RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai Ke Jab Allah Kisi Ko Pasand Karta Hai Tou Usey Deen Ki Samajh Ata Karta Hai..
- (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan,71)
Tou Pata Chala Foukiyat(Importance) Tou Dini Ilm Hi Rakhta Hai Humesha,. Ahmiyat Tou Dono Ilm Ki Hai, Haasil Dono Karna Hai Lekin
Jyada Important Tou Dini Ilm Hi Me Hai .. Isliye Ke Deeni Ilm Me Duniyawi Ilm Chupa Hua Hai,
#Jaise: * Zameeno Aasman Ka Ilm Quraan Me Wajeh Taur Par Allah Bayan Kar Raha Hai ,..
* Suraj Aur Chaand Ke Talluk Se Quraan Baar Baar Tazkira Karta Hai ,..
* Qaaynat Me Kis Tarha Se Allah Ne Makhluqaat Ko Failaya Uska Tazkira Karta Hai ,..
* Koi Mar Jaye Tou Kis Tarha Wirasat Ko Taksim Kiya Jaye Iska Ilm (Ilm-e-Hinsa) Yaani Mathematics Ka Ilm Allah Quran Me Deta Hai ,..
Tou Goya Banda Wakaytan Deen Ka Ilm Haasil Kare Tou Bohot Sara Duniya Ka Ilm Khud-Ba-Khud Haasil Kar Leta Hai,
Lihaja Awwal Tarjiyat Dini Ilm Ko Hi Di Jayegi. Aur Isimey Duniyawi Ilm Shaamil Hai ,. Isko Chorna Nahi Hai,..
* Warna Dini Aur Duniyawi Ilm Me Farq Karne Ka Natija Ek Yeh Hua Ke Dini Ilm Alag Aur Duniyawi Ilm Alag.
Dini Ilm Ke Liye Madarsey Aur Duniyawi Ilm Ke Liye School! Aur Jab Yeh Muamla Hua Tou Ilm Musalmano Se Jata Raha.. Duniyawi Uloom
Bhi Jatey Rahe Aur Dini Bhi ,
Lihiaja Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Isey Chorrna Nahi Hai ..

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ilm Ki Ahmiyat: Part-5

Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Kyunki Bohot Se Log
Samjhtey Hai Ke Geography, Physics, Mathematics, Biology, Anatomy Aur Digar Jo Bhi
Subjects Hotey Hai Yeh Sab Islam Se Hatkar Hai! Jabki Yeh Islam Ka Hissa Hai Yaad
Rakhiye ,..
Kyunki Jab Insan Zameen Aur Aasmaan Ka Ilm Haasil Karta Hai Jisse Uske Rab Ki
Marifat Usey Haasil Hoti Hai Tou Yakinan Uska Imaan Aur Pukhta Ho Jata Hai ,..
Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar-Baar Tazkira Kyu Kiya?
Ke (Aye Ibne Aadam) Kya Tum Apni Paidaish Ko Nahi Dekhtey?
* Kya Muraad Hai Yaha Kounsey Ilm Ki Baat Ho Rahi Hai??
Zaahir Si Baat Hai Yaha Paidaish Ka Ilm Yaani Embryology Ki Baat Ho Rahi Hai Ke
Insani Janiniyat Kaisa Badhta Hai Apni Maa Ke Pait Me??
Tou Rabbul Izzat Apne Bando Se Farma Raha Hai Ke Mere Bando Tum Apne Paidaish
Par Gour Nahi Karte? Agar Gour Karoge Tou Yakinan Dobara Uthaye Jaaney Par Jarur
Imaan Laaoge
Isliye Ke Pahli Baar Tou Hum Tumhe Bagair Kisi Cheez Ke Paida Karte Hai, Sirf Paani
Hotey Ho, Lekin Baadme Tou Bohot Kuch Hota Hai Uthaney Ke Liye (Roze Qayamat)
Me
# Insan Yahi Sochta Hai Na Ke Kaise Roze Qayamat Hume Uthayega Allah ??
Iska Jawaab Quraan Me Kayi Jagah Hume Batlaya Gaya Hai Jaise Ek Aayat me Quraan Kehta Hai Ke Allah Hi Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Hai Wo Hi Uss Ko Phir Paida Karega Phir Tum Ussi Ki Taraf Laut Jaoge.
- [Al-Quran: Surah (30) Room: Ayat 11]
* Tou Yaha Bhi Rabbul Izzat Yahi Farmata Hai Ke Dekho Tum Apni Paidaish Ko, Pahli Baar Tou Paani Hotey Ho, Do Paani Ko Milaakar Hum
Tum Ko Banatey Hai, Baadme Tou Haddi, Chamda Kya-Kya Nahi Bachta Hai Uthaaney Ke Liye.. Tou Kya Mumkin Nahi Humare Liye Ke
Hum Tumhe Wapas Khada Kar Sakey???
# Aise Hi Beshumaar Sawalat Hai Jo Quraan Hume Duniyawi Uloom Par Mutawwajo Karne Ko Ubharta Hai * Ke Dekho Aasman Se Allah Baarish Kaise Barsaata Hai ??
* Kya Dekhtey Nahi Allah Ne Zameen Par Apni Makhlukaat Ko Kaise Faila Rakha Hai ??
* Kya Tumney Dekha Nahi Ke Allah Ne Zameen Me Se Kaise Tumhare Liye Rizq Ata Kiya??
Kya Ye Saare Sawaal Hume Dawat Nahi Deti Wo Tamam Uloom Ki Taraf Jisey Duniyawi Ilm Samajh Kar Humney Chorr Diya ,
# Lihaja Yaad Rakhiye Ye Dono Ilm Shariyat Ka Hissa Hai !!
Ek Sharayi Ilm Hota Hai, Dusra Kouneni Ilm Hota Hai! (Religious Knowledge and Universal Knowledge)
1. Ek Shariyat Ka Ilm Jo Quraano Hadees Me Milta Hai ,..
2. Dusra Kaaynat Ka Ilm Jisey Insan Haasil Karke Apne Rab Ki Marifat Haasil Karta Hai, Apne Rab Ke Kareeb Aata Hai, Balki Bohot Se
Martba Log Kouneni Ilm (Kaaynat Ko Dekhkar) Apne Haqiki Rab Ki Taraf Aatey Hai ,
Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nabuwat Se Pahle Kya Karte They Aap?
Aahadees Me Aata Hai Ke Jaa Kar Gaare Hira Me Kayi-Kayi Din, Haftey, Mahine Waha Rehte Aap..
Gaare Hira Ki Gufa Me Rehte Aur Sirf Zameen Aur Aasmaan Ko Dekhte Aur Kahtey Yeh Laat, Yeh Manaat, Ujja Aur Yeh Digar Mabood Jo
Patthar Aur Mitti Ke Logone Bana Rakhe Hai! Yeh Rab Nahi Ho Saktey ..
Itni Badi Kaaynat Jo Chal Rahi Hai Yeh Mabood Jo Itney Chotey-Chotey Hai Aur Itni Naaqis Aur Halki Cheezo Se Baney Hai Yeh Tou Rab
Nahi Ho Sakte
Sirf Gour-O-Fiqr Hii Aapki 40 Saal Ki Ibadat Hua Karti Thi ,
# Tou Kabhi-Kabaar Yeh Ilm Wajah Banta Hai Logon Ko Haq Ki Taraf Aaney Ki Aur Aise Kayi Wakiyat Tarikh Me Bhare Padey Hai
Tou Maloom Hua Ke Humey Dono Ilm Haasil Karna Hai

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ilm Ki Ahmiyat: Part-6

Jaha Quraan Me 6600 Se Jyada Ayate Hai Usmey Se Kamobesh 1000 Se Jyada Ayate
Uss Uloom (Subject) Par Hai Jisko Hum Duniyawi Ilm Bolkar Chorr Detey Hai
* Jaise Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish ,..
* Humare Khud Ki Paidaish ,..
* Chareend Aur Parind Ke Taalluk Se ,..
* Aasmaan Se Paani Barasney Ke Talluk Se ,..
* Allah Taala Ne Kaaynat Ko Kaise Banaya? ,..
* Kis Tarha Se Kaynaat Ka Nizam Chalaya ? ,..
Tamam Tar Wo Tafseelat Deti Hai Jisko Humne Duniyawi Uloom Keh Kar Chorr Diya
Jabki Yeh Bhi Deen Ka Hissa Hai, Aur Jo Shakhs Isko Bhi Deeni Aitbaar Se Khaalis Niyat
Se Haasil Karta Hai Allah Ke Nazdeeq Yeh Amal Bhi Uska Ibadat Hai Yaad Rakhiye
# Misaal Ke Taur Pe Ek Aayat Pesh Karne Ki Koshish Karte Hai.
Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Farmaya :
Beshaq! Zameen-O-Aasman Ki Paidaish Me, Aur Raat Aur Din Ke Aaney Jaaney Me,
Aur Badey Badey Jahaaz Jo Paani Par Chaltey Hai Aur Jo Insaniyat Ko Nafabakhsh
Cheeze Detey Hai, Aur Aasman Se Baarish Barasney Me, Aur Fir Murda Zameen Ke
Zinda Hone Me, Uske Baad Tamam Kism Ke Jaanwar Usmey Allah Faila Deta Hai, Aur
Inn Hawaao Ke Chalney Me, Jo Unchey-Unchey Pahaad, Unchey-Unchey Baadal Jo
Aasmaano Ke Maanind Hotey Hai Aasmaan Aur Zameen Ke Bich Me Latke Hotey Hai
Unko Lekar Chalti Hai Ye Hawa!
Aqlmand Qoum Ke Liye Inn Tamaam Ke Andar Nishaniya Hai.. -[Surah(2) Baqra Ayat 163-164]
*SubhanAllah! Gour Karne Waali Baat Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Ayat Me Taarif Ki Hai Unn Logon Ki Jo Apne Aqal Ka Istemaal Karte
Hai Apne Haqeeki Rab Ki Marfat Haasil Karne Ke Liye
# Ab Mujhe Batayie Ke Kitne Uloom Ismey Hai Jisey Humne Duniyawi Kehkar Chorr Diya!
* Aasman Se Baarish Barasney Ka Ilm,
* Zameen-O-Aasman Ka Ilm! Jisko Hum Astronomy Kehte Hai,
* Ismey Geology, Botany, Physics, Biology, Isme Kya Kya Uloom Hai Jo Ek Ke Baad Ek Aa Rahe Hai
Ke Kaise Hawaye Chalti Hai ?
Kaise Baadal Sarkatey Hai?
Kaise Paani Barasata Hai?
Yeh Jahaaz Dubtey Kyu Nahi Paani Me Itney Badey Hone Ke Bawajud ?
Isi Tarha Yeh Zameen Jo Murda Hoti Hai, Sukhi Hoti Hai ,.. Ek Baarish Barastey Hi Kaise Ismey Ped-Poudhey Ugtey Hai, Chidya Aa Jaati Hai,
Kidey Makode Paida Ho Jatey Hai, Paani Aagaya Tou Machliya Ho Gayi, Aur Ek Puri Banjar Zameen 2-4 Baarish Me Behtareen Ek
Ecological System Ki Tarha Ban Jata Hai
Ismey Jaanwar Hai, Chareend Hai, Pareend Hai, Aur Tamaam Cheeze Shuru Ho Jati Hai
Ismey Farmaya Ke Unn Logon Ke Liye Nishaniya Hai Jo Aqal Rakhti Hai ..
Bewakufo Ke Liye Tou Kuch Bhi Nahi Ismey ,
# Lihaja Yaha Ubhara Jaa Raha Hai Ke Haasil Karo Yeh Ilm Taaki Isko Dekh Kar Tum Apne Rabb Ki Marifat Haasil Karo, Uska Shukr Bajaa
Lao Ke Mera Rab Hum Gunehgaaro Ke Liye Kaisi-Kaisi Sahulatey Paida Karta Hai ,

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ilm Ki Ahmiyat: Part-7

Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar Baar Musalamno Ko Ubhara Hai Duniyawi Ilm
Haasil Karne Ke Liye, Sharayi Ilm Tou Yakinan Haasil Karna Hai Yeh Tou Buniyaad Hai
Iski Lekin Uskey Saath-Saath Duniyawi Ilm Bhi Haasil Karna Hai.. Jo Bohot Se Logone
Isko Tark Kar Diya
Momin Ki Sifat Ke Wo Zikr Karte Hai Allah Ka Allah Rabbul Izzat Surah Aale Imaran Ki Aayat 189 Aur 190 Me Farmata Ha :
Yakinan Zameen-O-Aasman Ki Paidaish Me, Aur Raat Aur Din Ke Aane Aur Jaane Me
Aqalmand Logon Ke Liye Nishaniya Hai
Aagey Allah Rabbul Izzat In Aqalmand Logon Ki Sifate Bayan Farmata Hai :
Ke Yeh Aqalmand Log Allah Ka Zikr Karte Hai Khadey Se, Baithey Se Aur Apni Karwato
Par Aur Ye Log Fiqr Karte Hai Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish Me.. Aur Jab Fiqr Karte
Hai Aasmaan Aur Zameen Ki Paidaish Me Tou Kahte Hai Ke Aye Allah! Tuney Beja
Nahi Paida Kiya Inn Tamaam Cheezo Ko! Teri Zaat Paak Hai. Mujhe Aag Ke Azaab Se
Bacha.
- [Surah (3) Aale Imran: Ayat 189-190]
Tou Yaha Allah Taala Ne Momino Ki Sifat Batayi Hai Ke Allah Ka Zikr Aur Kaaynat Ke
Andar Fiqr Karte Hai Momin
Ab Afsos Ki Baat Hai Ke Jaha Zikr Hona Tha Waha Fiqr Shuru Kar Diya Humne Aur Jaha Fiqr Hona Tha Waha Zikr Karte Teh Gaye ,..
#Zikr Karna Hai Deen Ka! Ismey Fiqr Nahi Karna.. Haa! Gour Karna Alag Baat Hai Aisa Kyu Aur Waisa Kyu? Aur Falah Falah
Bus Yeh Kehna Ke Aye Allah Mujhe Samjh Nahi Aa Raha Tu Mujhe Deen Ko Samjhney Ki Taufiq Dey,.. Lekin Ismey Fiqr Nahi Karna
Hai Kyunki Shariyat Tou Bani-Banayi De Di Gayi Sabse Behtareen. Aur Ab Ismey Koi Naye Aqaid Ijaad Nahi Karna
#Fiqr Tou Karna Hai ZameenO-Aasman Me, Kaaynaat Me
Tou Goya Agar Musalmaan Duniya Ke Andar Ijadad Kartey Hai, Discoveries Karte Hai, Inventions Karte Hai, Inkashafat Karte Hai Tou Iski
Ijajat Hai Lekin Musalmaano Ne Duniya Me Tou Ijadad Chorr Diye.. Deen Ke Andar Ijadad Kiye Naye-Naye Aqaiad SubhanAllah
# Jaha Zikr Tha Waha Fiqr Karne Lagey Hum Aur Jaha Fiqr Tha Waha Zikr Karne Lage ,
* Duniya Me Sirf Zikr Hi Kar Rahe Hum
Ke Dekho! Kitne Acche-Acche Mobile Bana Rahi Hai Wo Companies,
Shour Nahi Aa Raha Ke Hum Kyu Nahi Bana Saktey Aesi Cheeze??? Humare Mumalik Kyu Nahi Bana Sakte?
Itni Acchi Acchi Goliya Aur Kitne Acche Acche Equipments Ijaad Karey Jisse Insaniyat Ko Nafa Pohchey, Yeh Sab Hum Kyu Nahi Bana Sakte
Tamaam Cheeze???
* Aur Jaha Ziqr Tha Waha Fiqre Shuru Kar Di Jaise Ke Mai Sochta Hu Yeh Hadees Aise Nahi Aise Hoti Tou Kitna Acha Hota??
Mai Sochta Hu Quraan Ko Padhney Se Accha Galey Me Latkaya Jaye Tou Jyada Sawaab !! SubhanAllah
# Tou Kya Shariyat Humari Manmani Tareeke Se Chalne Waali Hai ??? . Nahi Na !! Hargiz Nahi ,...
# Allah Ke Liye Hume Inn Baato Par Gour Karna Chahiye Ke Humara Rab Humse Kya Chahta Hai ? Aur Yeh Baat Siwaye Ilm Ke Hume
Maloom Hona Namukin Hai .. Aur Ismey Dono Ilm Shaamil Hai.
Tou Allah Rabbul Izzat Ne Momino Ki Sifat Me Bayan Kar Diya Ke Yeh Ziqr Karte Hai Allah Ka Aur Fiqr Karte Hai Duniyawi Uloom Ka ,

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ilm Ki Ahmiyat: Part-8

Ek Missal Deta Hu, Ke Kaise-Kaise Inkashafat Quraan Ne Wo Cheezo Ke Baarey Me


Bataya Jisko Humne Duniyawi Ilm Keh Kar Chorr Diya ,
Allah Farmata Hai: Surah Anmbiya (21) Ayat 30 Me Farmaya: Yeh Itni Behtareen Aayat
Hai, Ismey Allah Rabbul Izzat Ne Humari Khalqat Ka Bayan Kiya Aur Farmaya:
Kya Yeh Log Jo Imaan Nahi Laatye Wo Dekhtye Nahi Ke Zameen Aur Aasmaan Ibteda
Me Ek They, Humne Inhe Hukm Diya Aur Humare Hukm Se Yeh Dono Alag Ho Gaye..
Har Jinda Cheez Ko Humne Paani Se Paida Kiya! Kya Fir Bhi Imaan Nahi Layenge Yeh
Log?? [Al-Quran: Surah (21)Anbiya: Ayat 30]
* Dekhiye 1 Ayat Ke Andar, 2 Jumlo Me Kaisi Behtareen Baat Bayan Kar Di Allah Ne,
Zameen Aur Aasmaan Ki Paidaish Aur Insan Ki Paidaish Ke Zameeno Aasmaan Pahle
Ek They! Aaj Science Kahti Hai Ke Zameen-O-Aasmaan Wakaytan Pahle Ek They ...
Aur Fir Ek Bohot Bada Dhamaka Hua, Uss Dhamake Ke Baad Tamam Cheeze Wajud
Me Aayi, Zameen, Suraj, Chaand, Sitarey, Keh-Kashaye Isi Tarha Ki Tamam Cheeze Ek
Dhamake Ke Baad Wajud Me Aayi.. Aur Iss Dhamake Ko Science Ne Aaj Tasleem Kiya
Aur Isey Big Bang Theory Ka Naam Diya
* Ab Sawaal Yeh Hai Ke Har Dhamaka Tou Nuksaan Dehi Hota Hai Fir Yeh Zameen-OAasmaan Ki Paidaish Kaise Aise Hui Ke Ek Dhamaka Hua Aur Tamaam Cheeze
Baddnazmi Se Nazm Me Aa Gayi ,.. Keh-kashaye Ban Gaye ,. Zameen-O-Aasmaan Ban
Gaye ,.. Suraj-Chaand, Sitarey Apni Gardishey Lene Lagey ,..
Yeh Kaise Ho Sakta Hai Jab-Tak Ke Wo Dhamaaka Kisi Aisi Shakhsiyat Ne Na Kiya Ho Jo Well Organized Aur Well Control Na Ho!! Bulki
Nazm Ke Taur Par Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Dhamaaka Ho Wo
* Tou Jab Aqalmand Log Dekhtey Hai, Gour-O-Fiqr Karte Hai Zameen Aur Aasmaan Ki Paidaish Par Ke Yeh Ek They Aur Allah Ke Hukm Se
Alag Ho Gaye Tou Imaan Laney Par Majbur Hotey Hai
Isliye Ke Badey-Badey Log Jinhone Falsafa-e-Etika (Theory Of Evolution Jisme Logo Ko yeh Falsafa Diya Tha Ke Sabkuch Khud-Bakhud Ban
Gaya) Likhi Wo Log Aaj Maanne Ko Majbur Hai Ke Yakinan Koi Hai Jisney Nazm Aur Jabt Ke Saath Yeh Dhamaaka Kiya
* Aur Stephen Hawking Yeh Bohot Mashhoor Aur Maaruf Scientist Hai, Astrophysicists Hai, Bohot Badi-Badi Kitabe Inhone Likhi Hai,
Aur Wo Likhtey Hai Apne Kitaab Ke Andar Theory Of Everything Me: Kehte Hai Ke Jo Dhamaka Hua! Jisse Kaynaat Wajud Me Aayi, Agar
Yeh Dhamaka Millionth Of Millionth Second Jyada Ho Jata Yaani Ek Second Ko 10 Lakh Hisso Me Taksim Karo Aur Uss 10 Lakhwe Hisse Ko
Fir 10 Lakh Hisso Me Takism Karo Isey Kehte Hai Millionth Of Millionth Second
Tou Wo Kahte Hai Ke Millionth Of Millionth Second Jyada Hota Tou Kaynaat Wajud Me Nahi Aati Aur Kum Hota Tou Bhi Wajud Me Nahi
Aati SubhanAllah!!
* Itna Dhamaaka Nazm Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Ke Kaynaat Wajud Me Aa Jaye ,..
Aur Quraan Ne Yah Baat 1400 Saal Pahle Hi Bayan Kar Di Ke Allah Ke Hukm Se Bohot Bada Dhamaka Hua (Big Bang) Aur Uss Dhamaake Se
Kaynaat Ko Wajud Me Laya Gaya
Isi Ayat Ke Agley Hissey Me Allah Taala Farmata Hai:
Humne Tamam Zinda Cheezo Ko Paani Se Paida Kiya, Tou Kya Fir Bhi Imaan Nahi Laoge [Al-Quran: Surah (21)Anbiya: Ayat 30]
Aaj Hum Apni Paidaish Ko Dekhey, Jaanwaro Ki Paidaish Ko Dekhey, Tamam Jaandar Ki Paidaish Ko Dekhey Tou Pata Chalta Hai Ke Paani
Ka Ek Bohot Bada Hissa Hota Hai
Balki Science Yeh Kahti Hai Ke Pahli Makhluq Tou Paani Me Hi Paida Hui Hogi Jisey Amiba (Amoeba) Ke Naam Se Science Ne Tasleem
Bhi Kar Liya
# Aur Jaahir Si Baat Hai Ke Har Jism Me Paani Hota Hai Aksariyat Hissa.
Insani Jism Cell Se Bana Hota Hai Aur Har Cell Ke Andar Jo Cytoplasm Hota Hai Ek Hissa Jisme 50% Lekar 90% Paani Hota Hai Aur Insani
Jism Me Mukammil Taur Se 72% Paani Hota Hai.. Yeh Baat Tou Rabbul Izzat Ne Batla Di Ke Har Zinda Zheez Ko Humne Paani Se Banaya Fir
Bhi Imaan Nahi Laoge???

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

# Tou Pata Chala Ke Yeh Baat Tou Janta Hai Momin Aur Kyu Na Ho ???
*Ek Martba Ek Maahire Jananiyat Yaani Human Embryology Ka Maahir Ek Shaksh Tha Uska Kisine Interview Liya Aur Kaha Ke Insani
Janiniyat Ke Jo Stages Tum Batatey Ho (Yaani Baccha Maa Ke Pait Me Kin-Kin Haalato Se Gujarta Hai), Yeh Baate Tou Ibn-Khayyam-AlJauzi Ne 750 Saal Pahle Likhi Hai
Tou Uss Scientist Ne Jawaab Diya Jo GairMuslim Tha: Ke Ibn-Khayyam-Al-Jauzi Ne Kiya Hi Kya?? Usney Tou Sirf Quraan Aur Hadees Ko
Lekar Naql Kar Diya! Lekin Mehnat Tou Humne Ki Usey Saabit Karne Me
SubhanAllah!!! Dekhiye Uskey Iss Tanz Me Jawaab Diya Usne Ek Cheez Ka Ke Islam Itna Aagey Tha Uss Zamane Me Bhi Ke Khaali Tum
Copy Karlo Lekar Bhi Tou Tum Haq Par They Uss Zamane Me Bhi
# Tou Iske Iss Radd Me Bhi Ek Jabardast Inkashafat Tha Ke Islam Hi Ne Haqeeqi Ilm Diya Duniya Ko, Tou Yaha Bhi Tarji Di Jaa Rahi Hai
Duniyawi Ilm Ko Haasil Karne Ke Liye

Ilm Ki Ahmiyat: Part-9


Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Haare Hue Kaidiyon Se Kaha Ke Jo Log Fidiya De
Dengey, Unhey Chorra Jayega.. Aur Jo Fidiya Nahi De Saktey Wo Madina Ke 10-10
Baccho Ko Padhna-Likhana Sikha Kar Apni Riihayi Kara Ley
Mera Yeh Sawal Hai: Ke Unn Kafiro Aur Mushriko Ne Madina Ke Baccho Ko Kya
Sikhaya Hoga? Ilme Hadees? Ilme Quraan?? Kya Sikhaya Hoga??
Zaahir Si Baat Hai Unhone Ilme Hinsa (Mathematics) Sikhaya Hoga.. Isi Tarha Likhna
Sikhaya Hoga.. Qirat(Padhna) Sikhaya Hoga... Yahi Tou Sab Sikhaya Hoga Jisko
Dunyawi Ilm Kehkar Hum Chortey Hai..
Tou Goya Shariyat Duniyawi Ilm Ke Liye Bhi Ubharati Hai.. Padhna Likhna Sikhaney Ka
Hukm Deti Hai..
Ilm Ka Fayda : Marney Ke Baad Bhi Iska Sawaab Isi Tarha Naaf-e-Ilm Badi Faydemand Cheez Hoti Hai Humesha, Aur Ilm Ka Fayda Yeh
Hota Hai Ke Marney Ke Baad Bhi Iska Sawab Milta Hai.. RasoolAllah (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Arz Kiya:
Ke Insan Jab Marr Jata Hai Tou Kya Usko Milta Hai ??
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke: Siwaye 3 Cheezo Ke Usko Kuch
Bhi Nahi Milta..
1. Jismey Pahla Farmaya: Sadqa-Tun-Jaariya, (Yaani Aisa Koi Kaam Karke Jaaye Jisse Insaniyat Ko Nafa Ho..)
2. Dusra Farmaya: Ilme Yanfahu (Yaani Aisa Koi ilm Chorrkar Jaye Jisse Insaniyat Ko Fayda Ho ..)
3. Nek Aulaad Jo Waliden Ke Liye Dua-e-Khair Karey..
- (Muslim Sharif, Abu Dawood)
Tou Pata Chala Ke Agar Insan Koi Ilm Chorrkar Jata Hai Tou Duniya Me Chodey Ilm Se Agar Insaniyat Fayda Uthati Hai Tou Uss Ilm Ka
Fayda Uss Marne Wale Ko Milta Hai..
SubhanAllah Kitni Badi Cheez Hai.. Aur Ilm Me Koi Farq Nahi Hai.. Aap Quraan Sikhaiye, Aahadees Sikhaiye, Ilme Hinsa(Mathematics)
Sikhaiye, Urdu Sikhaiye Ya English, Hindi, Marathi Sikhaiye Kuch Bhi .. Ilm Agar Faydemand Hai Tou Khair Hi Khair Hai ..
Jis me Sadak Banane Ka Ilm, Bridge Banane Ka Ilm, Taamirat Ka Ilm, Acche Makaanat Ka Ilm, Sasti Cheeze Banane Ka Ilm .. Insano Ki
Sahuliyat Ka Ilm ,. Kuch Bhi Chorrkar Jayiye Jabtak Insaniyat Ko Fayda Hoga Tab Tak Uss Banaaney Wale Ko Ajr Aur Sawab Milega ..
SubhanAllah.. Ilm Kya Jabardast Esaale Sawab Hai Humare Liye ..

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

IlM ki Fazailat Ke Taalkuk Se Ek Aur Riwayate Aati Hai Ke Mehfum-e-Hadees: Hazrate Abu Umama Baahili (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saamne 2 Aadmiyo Ka Charcha(Zikr) Kiya Gaya.
Ek Unmey Se Sirf Ibadat Karne Wala(Aabid) Tha Aur Dusra Aalim.
Tou RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki Ibadat Karne Wale Par Aalim Ki Badhayi Aisi Hai Jaise Ki Meri Badhayi Tumhare Maamuli Aadmi Par.
Phir RasoolAllah Ne Farmaya Ki Logo Ko Bhalayi Sikhane Waley Par Allah Taala Rehmat Naazil Farmata Hai Aur Uskey Farishte Aur
Zameen Aur Aasman Me Rehne Wale Yaha Tak Ki Chitiya(Aunt) Apni Bilo Me Aur Machliya (Fish) Paani Me Uskey Liye Bhalayi Ki Dua Karti
Hai. - (Tirmizi Sharif )
SubhanAllah!!! Andaza lagaiye.. Iss Aahadees-e-Mubarak me RasoolAllah Ne Aalim ki Fazilat Ke Taaluk Se Kitni Naayab Baat Keh Di.. Ilm
Walo Ki Taarif Ki Gayi Hai, Badhawa Diya Gaya Is Aahadees Me Bhi ..

Ilm Ki Ahmiyat: Part-10


Ilm Insan Ko Duniyawi Gumraahiyo Se Bachata Hai ,
Ilm Insan Ko Dini Gumrahiyo Se Bachata Hai ,
Ilm Insan Ko Barjakh Me Bachayega ,
Ilm Insan Ko Aakhirat Me Nafa Pohchayega
Tou Ilm Badi Azeem Cheez Hai Mere Bhaiyo Aur Behno ..
Aur Aaj Ke Daur Me Tou Mai Kahunga Knowledge Is Power.. Ilm Taaqat Hai
Ilm Ki Fazilat Ke Talluk Se Ek Aur Riwayat Aati Hai:
Abdullah Bin Umro Bin Aas (Raziallahu Anhu) Farmate Hai Ke Rasoolallah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya Aur Farmaya
Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou (Sahih Bukhari)
* SubhanAllah!! Jaahir Si Baat Hai Ke Pohchane Ki Baat Kahi Jaa Rahi Hai Tou Jab
Maloom Hoga Ya Maloom Karenge Tabhi Tou Pohchaya Jayega ,.. Lekin Jab Maloom Hi
Na Ho Tou Kya Pohchayenge Hum???
* Aur Aaj Ke Dour Me Jo Kuch Ho Raha Hai Aap Sab Dekh Hi Rahe Hai.. Nabi-eKareem(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Na Tou Farmaan Maloom Hai Na Quraan
Maloom! Bus Pohchaya Jaa Raha Hai ,
Kya Pohchaya Jata Hai Allah Ko Aur Unko Hi Pata Hai ,..
Tou Ilm Buniyaad Hai Yaad Rakhiye ,..
* Lekin Aaj Hum Dekhtey Hai Ke Log Chahtey Hai Ke Musalmaan Jaahil Rahe !!!
Na Shairiyat Ka Ilm Haasil Kare Aur Na Duniyawi Ilm Me Aagey Badhey ..
Aur Ilm Me Shariyat Ke Ilm Ki Baat Ho Tou Uska Sharchasma Quraan Aur Hadees Ke Siwa Aur Kuch Nahi ,
Lekin Baaz Log Kahte Hai Ke Quraan Aur Hadees Tum Aam Log Samajh Nahi Saktey, Padhogey Tou Gumraah Ho Jaogey,. Lihaja Door Raho
Quraano Hadees Se SubhanAllah
*Ek Martaba Meri Mulaqat Ek Saahab Se Hui Thi Jo Badey Allama Kahtey They Apne-Aap Ko.. Aur Ek Din Kahne Lagey Ke Yeh Jahil Log
Jinko Kapde Pehanne Ke Aadab Nahi Maloom Wo Badey Ilm Haasil Kar Rahe Hai Quraan Aur Hadees Ka ..
*Tou Maine Kaha Ke Yeh Tou Badi Khushi Ki Baat Hai! Aap Jal Kyu Rahe Ho Uss Cheez Se?
Kitni Acchi Baat Hai Ke Jisko Kapde Pehanne Ke Aadab Maloom Nahi Wo Quraan-O-Hadees Ka Ilm Haasil Kar Raha Hai.. Aaj Ilm Haasil Kar
Lega Tou Kal Thik Se Kapde Bhi Pehanna Sikh Jayega ..
Lekin Aap Ye Jalan Kyu Ijhaar Kar Rahe Hai! Yeh Tou Khushi Ki Baat Hai Ke Log Quraan Aur Hadees Ki Taraf Ruju Kar Rahe Hai..
Tou Aap Jal Rahe Hai Ilm Ke Aam Hone Se! Yeh Tou Yahudi Ulemao Ki Sifat Thi ,..
Wo Nahi Chahte They Ke Ilm Aam Ho
# Yahudiyo Ki Yahi Sifat Thi Ke Wo Chahtey Nahi They Ke Log Ilm Haasil Karey ..
*Kyunki Agar Log Ilm Haasil Karenge Tou Tauraat Sikhenge, Tou Humaari Jarurat Kaha Padengi ,..
*Aur Fir Kaha Se Hum Inke Maal-O-Doulat Ko Najayaz Tareeke Se Khayenge ,

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

10

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

*Koi Zina Kar Ke Aagaya Tou Kaise Muaf Karna ?? Maaldaar Ho Tou Chalo Paise Lekar Muaf Kardo ,.. Tauraat Ki Aayat Padh Kar Sunado,
Galat Padhke Sunado.. Raddo Badal Karke Sunado ,..
Tou Yahudi Ulema Aam Logon Ko Ilm Se Door Rakhte They Taaki Logon Ki Jahalat Ka Fayda Utha Sakey ,
# Afoso Ki Baat Hai Ke Yahudiyo Ki Yeh Sifat Aaj Humme Bhi Aam Ho Rahi Hai Aur Hum Bhi Logon Ko Quraan-o-Hadees Se Door Karne
Lag Gaye..
Jabki Hume Chahiye Ke Aise Amal Se Bachey Aur Ilm Ko Logon Me Khub Aam Karey Taaki Khud Bhi Jahalat Ke Fitno Se Bach Sakey Aur
Auro Ko Bhi Jahalat Ke Fitno Se Bacha Sakey ,
# InshaAllah-Ul-Azeez!! Allah Taala Hume Parhne Sunne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey.. Ameen..

Ilm Ki Ahmiyat: Part-11


* Yaad Rakhiye Maazi (Past) Me Humare Halaat Aise Nahi They.. Wo Musalman Jo
Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They
* Badey-Badey Jo Kisi Maslaq Ke Qaazi, Haakim Hua Karte; Sath Me Badey-Badey
Scientist Bhi Hua Karte They.. Badey-Badey Fun Ke Maahir Bhi Hua Karte They ,
* Aur Yeh Musalmano Ki Deyn Hai, Aaj Jo Itni Saari Cheeze Hum Dekhtey Hai, Yeh
Humare Aslaf Ki Deyn Hai Jiska Duniya Aaj Fayda Utha Rahi Hai.. Yeh Alag Baat Hai Ke
Hum Khud Bhul Chukey Hai Apni Tarikh..
* Aayiye Hum Kuch Wakiyaat Dekhtey Hai Ke Maazi Me Musalmano Ne Kaise Kaise
Kaarnamo Ko Anjam Diye
Aapne Kayi Naam Suney Honge Kabhi Samajh Me Aatey Hai Tou Kabhi Nahi Bhi
Aateyi..
# AVICENNA: Wo Log Jo Tib Ka Shoba(Medicine) Padhtye Hai Unn Tamam Ke Tamam
Ne Avicenna Ka Naam Tou Jarur Suna Hoga..
18th Century Tak Inhi Ki Kitabo Se Pura Europe Aur Puri Duniya Ilm-e-Tib Haasil
Yaani Modern Medicine Sikhti Rahi..
Yeh Ek Musalman Scientist They Inka Naam IBN SINA Tha
Ye Humare Aslaf They Jinhone Logon Ko Ilm Diya Medicine Ka, Jis Shobey Me Aaj
Musalman Pichey Hatt Gaye, Aur Gairmuslim Dekhiye Kis Hadd Tak Aagey Badh
Chukey Hai.. Jabki Musalman Baani(Founder) Hai Iss Shobey Ke
Tou Yeh Ilm-e-Tib Ibne Sina Ne Khoj Nikala Aur Inhone Ek Qanoon Nikala! Qanoon Fil Tib (The Canon Of Medicine)..
Aur Yeh 17 Jildo Par Mushtmil Sabse Badi Kitab Hai Aaj Tak Ke Likhi Gayi Medicine Ke Upar ,..
# AVENZOAR: Jo Log Medicine Se Talluk Rakhte Hai Wo Jarur Iss Naam Ko Jantey Honge..
Inka Asal Naam IBN ZUHR Tha..
Yeh Wo They Jinhone Bohot Saare Aise Aalat(Equipments) Ijad Kiye Jiske Jarye Surgery Ki Jaati Hai .. Modern Surgery ,..
Bohot Saare Aalat Fir Chahey Wo Blades Ki Shakle Ho,.
Mukhatlif Kism Ke Awjaar Ho, Ye Inhi Ki Deyn Hai ,..
Aur Wo Awjaar Jo Inhone Ijad Kiye Aaj Bhi Moujud Hai, Aise Gharo Ke Andar Jaha Log Jama Karte Hai Mukhtalif Purani Cheeze, Aise
Museum Me Aaj Bhi Jama Hai, Jo Iss Dour Me Aaj Istemal Ho Rahe Hai Hu-Ba-Hu Waise Hi They Wo Jaise Unhone Banaye. Aaj Tak Istemal
Ho Rahe Hai, Chahe Fir Wo Daanto Ke Ilaaj Ke Liye Awjaar Ho,
Pait Chirney Ka Muamla Ho Aur Operation Karne Ka Muamla Ho,
Chahe Fir Aankho Ke Andar Se Motiya Bind (Eye Cataract) Nikalney Ka Muamla Ho ,..
Musalman Iss Fun Me Maahir They,
Hatta Ke Musalman 700 Saal Europe Ke Pahle Se Eye Cataract Hollow Needle Ke Jarye Aasani Se Nikal Letey They ,..
Aur Europe Ne Yeh Practice 1400 A.D. Ke Baad Shuru Ki Wo Bhi Darte-Darte Ke Kahi Insan Andha Na Ho Jaye ,
Lekin Musalman 7th Century Tak Motiya Bind Nikal Letey They Aasani Se ,
Itney Maharat Rakhtey They Iss Field Aur Iss Fun Me
Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Yaad Rakhiye ,.. Isliye Ke Unkey Rab Ne Hukm Diya Ke Iqra Bismi Rabbika Al-Ladh Khalaqa (Parh Apne Rab

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

11

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Ke Naam Se Jiss Ne Paida Kiya) Tou Bas Apne Rab Ka Naam Lekar Padh Liya Aur Har Uloom Ke Andar Maharat Haasil Kar Li, Jo-Jo Naafey
Aur Halaal Ilm Tha Sab Haasil Kar Liya ,

Ilm Ki Ahmiyat: Part-12


# AVERROES: Jo Log Falsafa(Philosophy, Secular Thought) Padhtey Hai Wo Jarur
Jantey Honge Averroes Ko, Inka Asal Naam Ibn Rushd Tha ,.. Ye Bohot Badey Falsafi
(Philosopher of Secular Thought) They,.. Aur Tamam Ki Tamam Jitni Bhi Paintings
Leonardo Da Vinci Ne Banayi Jo Bohot Mashhur Italiyan Painter Tha! Wo Jarur Apni
Paintnings Me Har Jagah (Aksar Paitnings Ke) Koney Me Kahi Na Kahi Khada
(Mention) Karta Hai Ke Yeh Iss Musalman Scientist Ki Deyn Hai Jo Europe Ke Andar
Renaissance (Tabdili ) Aayi,..
* Aur Europe Ki Tabdili Ka Wakiya Hai Ke Jab Ibn Rushd Ne Pahli Kitab Likhi Aur
Kaha Ke Agar Mai Imaan Lata Hu Apne Rab Par Tou Jaruri Nahi Ke Mai Duniya Me
Inkashafat Na Karu, Balki Mera Rab Yeh Ijajat Deta Hai Ke Uspar Iman Latey Hue
Uskey Makhlooq Me Uski Kaaynat Me Inkashafat Kiye Jaaye ,..
Isliye Ke Church Ke Nazdik Christianity Ke Nazdik Yeh Akida Tha Ke Agar Tum Imaan
Latey Ho Bible Par Tou Inkashafat Karna Haraam Hai
* Lekin Ibn Rushd Ne Kaha Ke Nahi! Haraam Nahi Hai.. Aur Inki Kitab Padhkar Europe
Ne Sabse Pahle Ye Tarakki Ki, Ke Majhab Ko Alag Kardo! Kyunki Majahb Ijajat Nahi
Deta Duniyawi Ilm Ki ,.. Tou Fir Unhone Majhab Ko Chorr Diya ,..
Lekin Ibne Rushd Ne Kaha Ke Aap Deen Par Yaani Akida-e-Tawheed Par Bhi Chal
Sakte Hai Aur Sath Me Duniya Me Inkhshafat Bhi Kar Sakte Hai
Isliye Ke Church Yeh Samjhta Tha Ke Agar Koi Inkashafat(Discoveries) Karega Tou Bible
Ke Khilaf Ho Jayega
# IBN FIRNAS: Inka Naam Abbas Ibn Firnas Tha .. Aur Yeh Bohot Mashhur Scientist Gujre Hai Musalmano Me Se, Jo Father Of Modern
Aviation Kehlatey Hai ,..
Jitne Bhi Aaj Jahaaz Udd Rahe Hai Yeh Inki Deyn Hai, Isliye Ke Ye Pahle Insan They Jinhone Socha Ke Insan Bhi Udd Sakta Hai Hawa Me ,..
Aur Na Sirf Udd Sakta Hai, Balki Alag Alag Aalat Ke Jarye Tajurbaat(Experiment) Bhi Karte, Aur Inhi Tajurbaat Me Inki Wafat Bhi Ho Gayi ,..
* Yeh Tajurbaat Kiya Karte They Ke Kaisa Insan Udd Sakega, Tou Parindo Ke Paro Ki Banawat Par Gour Karke Inhone Pahla Glider
Banaya Aur Uspar Khud Sawaar Hokar Apni Soch Ko Duniya Me Sahi Sabit Kar Dikhaya ,..
Aur Inki Tajurbaat Ki Tasweero Ko Leonardo Da Vinci Ne Apni Painting Me Dikhaya ..
Aur Inki Paitnig Ko Log Dekhkar Kehte They Ke Dekho Leonardo Kitna Bhari Ho Gaya Tha, Kaisi-Kaisi Painting Bana Raha Hai, Jo Cheez
Aaj Ijad Ho Rahi Hai Wo Gliders Apne Zamane Me Bana Raha Hai..
Jabki Yeh Painting Uski Apni Soch Nahi Thi! Balki Usney Ibn Firnas Ki Tajurbaat(Experiments) Bhari Tasweero Ko Apni Painting Me
Utaarkar Europe Me Di Ke Dekho Musalman Kya-Kya Tarjubat Kar Rahe Hai Aur Tum Kaha Apne Andhere Me Baithe Ho ,.. Apne Dark
Ages Se Iss Andheri Duniya Se Niklo Aur Dekho Muslamano Ko Kaise-Kaise Tajurbaat Kar Rahe Hai, Jao Aur Sikho Unsey ..
Llhaja Wo Musalmano Ki Inkhashafat Ki Paintings Banakar Diya Karta Tha,.. Jis Se Europe Me Tabdili(Renaissance) Aayi ,..
* Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Ke Duniya Bhar Me Renaissance(Tabdili) Aaya Aur Church Ke Shikanje Se Europe Bacha ,..
Aur Yeh Wo Zamana Tha Jab Europe Ke Andar Inkashafat Karna Haraam Tha ..
* Galileo Ne Ek Inkashaf Kar Diya Tha.. Usney Kaha Ke Duniya Bich Me Nahi Hai. Suraj Bich Me Hai Aur Dunia Uske Atraf Ghumti Hai..
Jabki Bible Kehti Hai Duniya Bich Me Hai Aur Suraj Aur Chand Uske Atraaf Ghumtey Hai ..
Jab Usney Yeh Inkashaf Kiya Aur Likh Diya Tou Usko Church Ne Sunday Prayer Ke Baad Saza Sunayi Aur Sadak Par Laa Kar Usko Zinda
Jalaya Gaya , Kyunki Usney Bible Ke Khilaf Baat Ki Thi ..
* Tou Yeh Wo Zamana Tha Jab Ek Cheez Bhi Aap Bol Nahi Sakte They Bible Ke Khilaf Uss Zamane Me Musalman Inkashafat Kar Rahe ,..
Naye-Naye Uloom Duniya Ko De Rahe Hai.. Muslaman 1000 Saal Aagey Chalti Thi Uss Zamane Me..
Lekin Aajka Muamla Bilkul Ulta Hi Hai ,.. Isliye Ke Humne Duniyawi Uloom Ko Chorr Diya

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

12

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

InshaAllah!! Agley Part Me Bhi Hum Unn Musalman Scientist Ka Zikr Karenge Jinhone Apne Rab Ka Naam Lekar Ilm Haasil Kiya Aur Duniya
Ko Kayi Aise Uloom Diye Jo Aaj Humari Zindagi Ka Hissa Hai ,

Ilm Ki Ahmiyat: Part-13


Jab America Ne Iraq Par Saddam Husain Ki Pahli Jung Ke Baad Embargo Laagu Kiya
Tab Unhone Inko Dawaye Dena Band Kar Diya Tha, Jiski Vajah Se Hazaro Musalman
Martey Rahe Saalo-Saal Tak.. Sirf Parastomal Jaise Dawa Nahi Bana Sakti Koi Muslim
Mumalik Uss Tareekh Se Aaj Tak.. Aur Ye Parastomal Itna Aam Pain-Killer Hai Jo 2
Rs. Me Pura Patta Milta Hai ,..
Tou Aaj Hum Inke Bheek Aur Deyn Par Munassar Hai ,..
Wo De De Tou Hum Jiye. Aur Na De Tou Mar Gaye Yeh Haal Hai Humara.. Jo Qoum
Dene Wali Thi Aaj Leney Waali Ban Gayi Hai..
* Jabki Ye Humare Aaba-O-Ajdad They Jinhone Duniya Ko Chalna Sikhaya ,.. Aasman
Me Udney Ka Fun Diya .. Duniya Ko Deeni Aur Duniyawi Dono Taalim Ke Liye Ubhara!
Lekin Aaj Humne Duniyawi Ilm Ko Fizul Kehkar Chorr Diya ,..
# ALGEBAR: Inka Asal Naam Jabir Ibn Hayyan Hai.. Inhe Father Of Modern
Chemistry Kaha Jata Hai.. Inhone Kimiya Country Ke Andar Naye-Naye Inkashafat
Kiye, Naye Tajurbaat Kiye, Aur Aisi Buniyadi Cheeze Batayi Jisse Aaj Modern
Chemistry Judi Hui Hai, Aur Inke Bagair Chemistry Ki Buniyaad Nahi Ho Sakti Thi..
# AL-HASAN: Aapne Yeh Naam Bhi Sune Honge, Inka Asal Naam Ibn Al-Haytham
Hai..
Yeh Wo Shakhs Hai Jinhe Hum Keh Sakte Hai Father Of Modern Optics.. Optics
Yaani Chasme Jo Hum Laga Rahe Hai, Camere Jo Chal Rahe Hai, Tamam Cheezo Ke Ye
Baani (Founder) Kehlatey Hai!
Isliye Ke Yeh Pahle They Jinhone Sabse Pahla Camera Banaya Tha Pinhole Camera..
* Inohne Yeh Ijad Kiya Ke Roshni Sidha Chalti Hai, Tedha-Medha Nahi Chalti, Ye Inkashafat Inhone Hi Kiya, Ke Roshni Jab Sidha Chalti Hai
Aur Jab Ek Chotey Surakh Ki Taraf Jaati Hai Tou Usme Ja Kar Wo Jo Hai Ulti Hoti Hai, Aur Uske Barakz Aks Samne Ulta Banati Hai,
Matlab Agar Roshni Kisi Surakh Me Se Jayengi Tou Udhar Aks Ulta Banayengi Aur Inhone Inki Isi Theory Par Pahli Baar Pinhole Camera
Banaya ,..
* Ye Ek Chadar Lekar Ek Kamra Banatey They Jo Andhere Me Hota Tha Pura Aur Isme Ek Barik Surakh Karte They, Uss Surakh Se Jab
Roshni Aati Tou Samne Ki Cheezo Ka Aks Uss Deewar Par Ulta Padta ,. Ek Image Banti, Photo Banti Samne Jisey Reflections on the Optics
Kaha Jata Hai..
Tou Isi Inkashaf Ke Tehat Aankhe Kaisa Dekhti Hai Yeh Bhi Formula Dhund Nikala ,..
* Aur Usi Theory Se Inhone Optics Ijad Kiya Jiska Aaj Hum Sab Behisab Fayda Utha Rahe Hai.. Jaise Ki Chasme Hum Sab Lagatey Hai Na..
Ibn Al-Haytham Ko Sawab Pohochta Hoga Kyunki Inhone Hi Ijad Kiya Tha Iss Cheez Ko.. Ke Aankh Kaise Kaam Karti Aur Agar Kamzor Ho
Jaye Tou Kaise Inhe Shishe Ke Jarye Hisab Me Laya Jaye ,
Isi Tarha Camere Ki Ijad Bhi Inhone Ki.. Aur Camera Lafz Khud Arbi Zuban Se Aata Hai ,.. Al-Kamra Jiska Mana Hota Hai Andhere Me Ek
Chota Sa Camra
* Tou Ye Musalmano Ki Ijadad Hai Jin Cheezo Ko Dekhkar Aaj Hum Sirf Aahe Bhar Sakte Hai, Yeh Humare Hi Baap-Daaado Ki Wirasat Hai
Jo Insano Ne Le Kar Fayda Uthaya ,.. Inkashafat Kiye ,.. Uspar Tajurbaat Kiye ,..
* Aur Yeh Pahle Shaksh They Ibn Al-Haytham Jisne Yeh Kaha Ke Har Baar Koi Baat Kehde Tou Sunna Jaruri Thodi Na Hai! Hum Khud
Tajurbat Karenge..
Aur Tajurbaat Wo Karte Rahe Aur Challenge Kiya Inhone Puri Greek Science Ko Jo Tajurbaat Nahi Karti Thi
* Greek Science Ye Kehti Thi Ke Aankho Me Se Ek Roshni Nikalti Hai, Jo Cheezo Ko Ja Kar Lagti Hai, Jisse Hum Dekh Patey Hai .. Ispar Ibn
Al-Haytham Ne Kaha Ke Bebuniyadi Baat Hai Yeh ,..
Kyunki Agar Aankho Se Roshni Nikalti Hai Aur Hum Dekh Sakte Hai Cheezo Ko Tou Raat Ko Hum Kyu Nahi Dekh Paate ??
Darhakikat Roshni Hoti Hai Jo Cheezo Se Takra Kar Humari Aankho Me Jaati Hai! Naa Ke Humare Aankho Me Se Roshni Nikalti Hai..

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

13

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

* Aur Naye Naye Falsafat Diye, Nayi Nayi Soch Di, Naye Naye Ijadad Kiye, Aise Ijadad Jinse Insaniyat Ko Kayi Fayde Pohach Rahe Hai Aaj.

Ilm Ki Ahmiyat: Part-14


# Alkhwarizmi: Koun Nahi Pahchanta Inhe.. Inke Naam Se Algorithm .. Jo Bhi
Science Padha Ho, Aur Bilkhusus Science Jo Technology Ka Ho .. Log Iss Naam Ko
Behtar Jante Hai.. Yeh Algorithm Alkhwarizmi Ki Hi Deyn Hai..
Inhone Kaha Ke Kisi Bhi Peshida Masle Ko Hal Karne Ke Liye Steps Bandhna Chahiye,..
Uski Tarkib Yeh Hona Chahiye Steps Ki Shakl Me.. Aur Inhi Ki Steps Ko Inhi Ka Naam
Diya Gaya.. Jise Hum Algorithm Naam Se Jante
Aur Inhone Algebra Ki Buniyad Daali.. Algebra Jo Subject Hota Hai Mathematics Ka
Jo 4th Standard Se Shuru Hota Hai..
Unhone Ek Kitab Likhi Jo Mushkil Cheeze Hoti Hai Samjhne Ke Liye Unhe Hal Karne Ke
Liye!
* Misaal Ke Taur Par 3x + 3y = 6 ,.. Ab Ye Kaisa Hal Kiya Jaye.. Isiliye Ke Nichey Wala
Equation Upar Wale Jaisa Nahi Hota ..
Tou Inhone Kaha Al Jabr Wal Muqabla Yaani Jabardasti Laa Kar Uske Muqable Ko
Khade Kardo ,
Aur Fir Unn Dono Upar Wale Aur Nichey Wale Ko 3 Se Jarab Dedo Yaani Dono Ko
Jarab Dene Ke Baad Ek Cut Ho Jata Hai Sum Fir ..
Tou Kaha Al Jabr Wal Muqabla Yaani Jabardasti Lao Khada Kardo Uske Muqable
Me, Isi Falsafe Par Ek Kitab Likhi Aur Pura Uska Hal Diya, Jisse Wo Pura Fun Algebra
Kehlaya.. Jiska Mana Hota Hai Jabardasti Lakar Khada Kardo Muqable Me Isliye Ke Ab Pechida Masla Hal Karna Hai ,
Tou Dekhiye Ye Musalmano Ki Deyn Hai, Aur Pata Nahi Aise Itni Saari Cheeze Ke Humare Liye Ginwaana Mushkil Hai,
Khud Aaj Ki Jo English Hai Uski Gawahi Deti Hai Jo Musalmano Ke Ijadat(Invention) Hai, Unke Alfaz Batate Hai ,
Jaise Zeenat Sitare Ko Kahte Hai Jo Arbi Lafz Hai,..
Shugar Hai, Sukar Hai, Cotton Hai, Lemon Hai Aur Anginat Aisi Cheeze Milengi Jo Musalmano Ki Deyn Hai Insaniyat Ke Liye ..
Lekin Aaj Hum Tamam Ne Iss Cheez Ko Yeh Keh-Kar Chorr Diya Ke Yeh Tou Asli Uloom Hai ,
Jabki Yeh Scientist Badey-Badey Imam Bhi They Apne Qoum(Kabile, Maslak) Ke..
Aur Deen Ki Samjh Bhi Rakhte They Aur Saath Me Badey-Badey Scientist Bhi Hai.. Koi Fark Nahi Kiya Unhone Ilm Ke Andar ..
* Europe Jaha Andhere Me Rehta Tha, Waha Musalmano Ke Shehro Me Street Lights Jalti Thi ,..
Yeh Unke Inkashafat, Yeh Unke Iajadad They
Fir Aaj Hum Itney Pichey Kyu Reh Gaye ?
Yeh Sawal Bhi Aata Hoga Na Jehan Me ,.. Hum Uski Vajah Rakh Detey Hai Aapke Samney ,..
Isayiyat Ne, Christianity Ne Europe Ne Jab Dekha Ke Unka Rehnuma Jo Pope Hai Agar Uski Baat Hum Maaney Tou Inkashafat Nahi Kar
Sakte! Aur Bible(Injeel) Par Jabtak Chale Tou Bible Hukm Nahi Deti Inkashafat Ka. Isliye Ke Bible Me Bohot Si Scientific Galatiya Hai.. Jo
Insano Ne Usme Raddo Badal Kiya Uski Vajah Se
* Tou Unhone Ye Socha Ke Bible Ko Jabtak Na Chorre Hum Duniya Me Inkashafat Nahi Kar Sakte.. Aagey Nahi Badh Sakte.. Aur Fir Bible
Ko Renaissance Ke Naam Par Alag Kar Diya Apne Se ,
* Jab Bible Ko Aur Pope Ko Hata Diya Apne Sir Se Tab Unhone Duniya Me Ijadad (Discoveries) Kar Sake..
Aur Baad Ke Musalmano Ko Bhi Laga Ke Jabtak Hum Bhi Quraano Hadees Ko Nahi Chorte Tab Tak Hum Bhi Iajdad Nahi Kar Payenge..
Lihaja Humne Bhi Qurano Hadees Ko Chorr Diya..
# Yaad Rakhiye! Unka Aur Humara Usool Mukhatlif Hai ..
Jab Tak Wo Apni Kitab Ko Thaamkar Rakhenge Wo Duniya Me Aage Nahi Badh Sakte ..
Aur Jab Hum Apni Kitab Ko Chorrenge, Hum Duniya Me Aage Nahi Badh Sakte ..
Tou Humko Bhi Laga Ke Modern Banna Hai, Technology Me Aagey Badhna Hai Tou Quraan Aur Hadees Ko Chorrna Hoga!
Lihaza Humne Chorr Diya! Aur Jiss Din Se Chorra Uss Din Se Duniya Me Zaleelo-Khwar Hue..

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

14

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

* Jabki Yaad Rakhiye Hum Jab-Tak Allah Ki Kitab Aur RasoolAllah(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Sunnat Ko Thamey Rahenge Tab Tak
Duniya me Aagey Badhenge Aur Jab Chorr Denge Tab Humara Zaleelo khwar Hona Lazim Hai.. Aur Iski Misaale Bhari Padi Hai Tareekh Me
,..
* Aur Jo Log Deen Jantey Hai Wohi Tou Sahi Inkhshafat Karenge!!!
Jo Log Apne Rab Ki Marifat Rakhenge, Allah Unhi Se Fir Kaam Bhi Leta Hai..
Tou Aaj Hum Duniyawi Uloom Me Pichey Isliye Hai Kyunki Humne Quraan-o-Hadees Ko Chorr Diya..
# Lihaja Hume Chahiye Ke Duniyawi IlM Bhi Khub Haasil Karey.. Aur Sharayi Ilm Tou Haasil Karna Hi Hai..

Ilm Ki Ahmiyat: Part-15

Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat *Ms. Carleton Fiorina* Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, Aur
Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP Ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting
Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane Me ..
Yeh Speech Usne Di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade
Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,..
Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma Yaha Batane Ki Koshish Karte Hai ,..
Yeh Speech Bohot Himmat Bohot Jasarat Ki Cheez Hai. Jaha Musalman Apne Aap Ko
Musalman Kahne Se Yaha Sharma Rahe The Jo Wakiya Waha Hua, Ye Khatun Jo Isayi
Hai Isne Twin Tower Ke Blast Ke 2 Haftey Baad Ek Takreer Me Dunya Se Ailan Kiya
Aur Kaha Aur Usne Shuruwat Yun Ki
Tarjuma:
* Ek Zamana Tha Ek Qoum Gujri Hai Jo Duniya Me Sabse Behtareen Qoum Thi, (Abhi
Usne Naam Nahi Liya)
* Yeh Wo Qoum Thi Jisne Ek Aisi Hukumat Qayam Ki Jo Ek Barre Aazam Se Dusre
Barre Azam Aur, Ek Pahadi Ilakey Se Dusre Ilakey Tak.,, Jangalaat Aur Tamam Digar
Zameenat Inke Paas Thi ,..
* Inke Hukumat Ke Andar Hazaro Aur Lakho Log Rehte They Jo Mukhtalif Majahib Ke
Manne Wale They ,..
* Iski Zubaan Dunia Ki Aalmi Zaban Ban Gayi Thi.. Aur Bohot Se Qoumo Ke Bich Me
Tallukat Qayam Karne Ki Vajah Ban Gayi Thi Iski Zubaan ,..
* Iske Andar Jo Fouje Thi Wo Kayi Mukhataleef Mumalikat Se They.. Aur Jo Hifazat Inhone Di Aisi Hifazat Duniya Me Is Se Pahle Nahi
Dekhne Ko Mili Kahi ,..
* Aur Tijarat South America Se Lekar China Tak Aur Tamam Bich Ke Ilako Tak Faili Hui Thi ,..
* Yeh Jo Qoum Thi Jis Cheez Se Chalti Thi Wo Inke Khayalat They, Inke Inkheshafat They, Inke Inventions They ,..
* Inke Engineers Ne Aisi Imaarate Banayi Jo Zameen Ke Kashish (Kuwwat) Ke Khilaf They.. Yaani Badi Badi Imaarate Tameer Karte They ,..
* Inke Mathematicians Jo They Inhone Algebra Aur Algorithm Jaise Subjects Ki Buniyad Daali Jo Aagey Chalkar Computer Ke Banane Aur
Encryption Ki Technology Ijad Ho Saki ,..
* Inke Jo Tabib Doctors They Jo Insani Jismo Ko Janchtey Aur Naye-Naye Ilajat Nikaltey Unn Bimariyo Aur Kamjoriyo Ke ,..
* Inke Jo Ilm-e-Falkiyat Rakhne Wale Log They Wo Gour Karte Zameen Aur Aasman Me Aur Taaro Ko Naam Detey Aur Yahi Jarya Bani Aaj
Ke Dour Ke Satellite Aur Digar Space Exploration Ka Jo Aaj Hum Inkashafat Kar Rahe Hai Uski Vajah Bani ,..
* Inke Jo Musaniff (Writers) They Wo Kitabe Likhtey They, Kahaniya Likhtey They,.. Kahaniya Jo Jasarat, Himmat, Taqat Quwwat Ki,
Mohabbat Ki ,
* Inke Jo Shayar They Wo Mohabbat Ke Baarey Me Shayriya Likhtey, Yeh Wo Zamana Tha Jab Dusre Iske Kahne Ke Liye Bohot Jyada
Khoufjada Hua Karte They ,..
* Jab Dusre Log Naye Inkashafat Ke Baarey Me Sochana Bhi Unke Liye Khouf Tha Yeh Qoum Tou Soch Pe Jiya Karti Thi ,..
* Jab Duniya Iss Cheez Par Aa Chuki Thi Ke Pichley Qoumo Ka Ilm Mita Diya Jaye Iss Qoum Ne Wo Ilm Baaki Rakha Aur Logon Tak
Pohchaya (Yaani Isayat Ne Jab Soch Liya Ke Jitna Pichla Greek Knowledge Tha Wo Mita Diya Jaye Tou Wo Ilm Musalmano Ne BaSalamat
Logon Tak Pohchaya)
* Bohot Saari Cheeze Jo Aaj Ki Hum Duniya Me Dekh Rahe Hai, Istemal Kar Rahe Hai, Yeh Bohot Saari Cheeze Uss Qoum Ki Deyn Hai Jiske
Baare Me Mai Baat Kar Rahi Hu, Wo Islamic World Hai.. Islami Qoum Hai,. Musalman Hai ,. Jisne 8 vi Sadi Se Lekar, 16 vi Sadi Tak

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

15

ILM KI AHMIYAT

Ummat-e-Nabi
Worldwide Hidayat Post Collection

Duniya Ko Mashal-e-Raah Dikhayi..


Aur Iske Andar Usmani Khalifa, Aur Bagdad,. Aur Shaam(Syriya) Aur Kahera, Misr Ki Libraries, Kutubkhane Aur Acche Hukumraah Jaise Ke
Sulaiman The Magicians Bhi Moujdu They ..
Aagey Wo Kahti Hai Ke * Bohot Saari Cheeze Jo Humko Mili Hai Iss Qoum Se, Haala Ki Hum Jantey Hai, Fir Bhi Hum Inke Ahasanmand Nahi Hai ,..
Aur Aagey Wo Kehti Hai Ke Inki Yeh Deyn Aaj Humari Jindagi Ka Hissa Hai, Aur Technology Industries Aaj Wajud Me Nahi Hoti! Agar
Musalman Scientist Na Hotey..
****
Kyunki Uska IT (Information Technology) Se Talluk Tha Wo HP Ki CEO Thi Usney Sirf Yeh Bataney Ke Liye Ke Aaj Hum Iss Company Ke
Jarye Jiska Hum Fayda Utha Rahe Hai Yeh Kisi Ka Ahsan Hai Hum Par Jis Qoum Ne Hume Diya Hai, Wo Musalman They
# Tou Andaza Lagayiye Kis Jasarat Se Usne 2 Hafte Baad Twin Tower Ke Blast Ke Baad Musalman Ka Naam Lena Buri Baat Samjhi Ja Rahi
Thi Usi Mahoul Me America Me Iss Nonmuslim Khatun Ne Speech Di Aur Kaha Ke Yeh Qoum Tou Inaniyat Ke Fayde Ke Liye Aayi Hai
Sabak: Tou Log Hume Jantey Hai,.. Log Hume Pahchan Rahe Hai, Siway Iske Ke Hum So Rahe Hai.. Jabki Log Tou Humko Jagana Chahtey
Hai.. Yah Baat Yahi Tou Bata Rahi Hai Ke Maazi(Past) Me Humare Aaba-O-Azdad Ne Bohot Saare Tajurbaat,.. Bohot Saare Inkhsafat,
Bohot Saare Karnaame Kiye! Chahe Wo Deeni Uloom Me Ho Ya Duniyawi! Dono Me Maharat Hasil Kiye They..
* Aaj Musalmano Ko Jarurat Hai Ke Hum Datt Jaye Iss Cheez Par, Jo Talibe Ilm School Jatey Hai, Yeh Ilm Bhi Iss Niyat Se Hasil Kare Ke Iska
Bhi Ajar Aur Sawab Miley ,..
* Aur Saath Me Waliden Jaha Duniyawi Ilm Sikhatey Hai, Dini Ilm Ko Bhi Utni Hi Balki Usse Jayda Tarji Dey,..
Ke Meri Aulaad Jaha Jabardast Hafize Quraan Ho, Wahi Ek Jabardast Duniyawi Kisi Funn Ka Maahir Bhi Ho..
* Aaj Ummat Ko Aise Logon Ki Jarurat Hai Jo Deen Me Maharat Rakhtey Hai Wo Duniya Me Bhi Maharat Rakhe..
* Tou Hume Agar Duniya Me Rehna Hai Aur Deen Par Chalna Hai Tab Bhi Humko Yeh Duniyawi Ilm Janna Hai.. Isliye Ke Iske Bagair Jina
Bhi Mushkil Hai Humara,, Sahi Ilm Tak Pohach Nahi Payenge , Kya Humare Khilaf Hai Aur Kya Haq Me Wo Samjh Nahi Payenge.. Aur Fir
Mohtaaj Ho Jaynge , Kamtar Hoi Jayenge, Baddtar Ho Jaynge,,. Aur Jo Halat Ho Rahi Hai Behrahaal Hum Sabhi Dekh Rahe Hai.. Yeh Ilm Ko
Chorrne Ka Natija Hai Deeni Aur Duniyawi .. Jiski Wajah Se Aaj Humpar Qoume Tasallud Kar Rahi Hai, Chahe Jis Bhi Naam Se Ho
* Ilm Nafa Hi Nafa Deta Hai,.. Ilm Ka Kabhi Koi Nuksan Nahi Hai Yaad Rakhiye ,..
Kharch Kijiye Iske Upar Agar Paisa Lagta Hai.. Khub Maal Iske Liye Lutayiye, Isliyeke Ye Jayaz Jagah Jaha Aap Apna Maal Luta Sakte Hai..
Jis Tarha Se Humare Aaba-O-Azdad They Ke Deen Aur Duniya Dono Me Wo Maharat Rakhte They, Aur Aise Aise Kaarnamo Ko Anjam Diya
Karte They Jisko Dekhkar Aaj Duniya Ungiliya Daba Leti Hai Apne Daanto Me.. Ke Kya Wakay Me Musalman Aise They? Ke Kya Wakay Me
Musalmano Ka Yeh Ilm Tha,.
* Tou Lihaja Humare Yeh Aslaf Humare Liye Namuna Hai,.. Humko Yeh Dono Ilm Ko Wapas Usi Jagah Lakar Usi Tareeke Se Hasil Karna
Hai,. Fir Inshaallah!! Wohi Zamana , Wohi Khushiya, Wohi Tamam Cheeze Humari Jindagi Me Wapis Lout Kar Aaynegi Jo Humari Deyn Thi
Insaniyat Ko
* Beharhaal Ilm Ki Ahmiyat Ko Samjhey Isko Jaaney Aur Isko Khub Hasil Kare ,..
Isi Post Ke Sath Hum Iss Topic Ko Pura Karenge ,..
# Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Ser Dua Hai Ke
# Allah Taala Hum Parhne Sunne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey,
# Hum Tamam Ko Apni Mukaddas Kitab Quraan Majid Ko Padhna Samjhna Aur Iss Par Amal Karna Sikhaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye
# Khatma Humara Imaan Par Ho
From the Speech :
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil Alameen !!!

Ilm Ki Ahmiyat By Adv. Faiz Sayed

www.Ummat-e-Nabi.com

www.facebook.com/HadiseNabwi

16

You might also like