You are on page 1of 1

Zaroorat-e-Rishta.

----------------------Aik nou umar Syed zada,


Naik chalan or sedha sada, seena kushada, lamba kam or past zyada,
Gora badan, sheerin dahan,
Ghunghryalay baal, aasuda haal, la zawaal, ba kamaal, buland khayal,
Husn ka dildada, shadi par aamada,
Zaat paat se inkari, apni sawari,
Khoobsurat jawan, aala khaandan, arsay se pareshaan
Kay liye .....
Aik haseena kunwari,
Misl-e-hoor, chasham-e-makhmoor, chehra purnoor, ba tameez or ba shaoor,
Som-o-Salaat ki paband, kam umar-o-sehat mand, ba hunar-o-saleeqa mand,
Kam guftaar, ba kirdaar,
Makar-o-faraib se aari, daikhnay me pyari,
Ba adab ba haya, sarapa mehr-o-wafa,
Shoqeen surkhi-o-cream, mamooli taleem,
Mah jabeen, be had haseen, parda nasheen,
Razi ba aqad, bona sa qad, aahista kharaam, shaista kalaam, pyara sa naam,
Ajuba-e-kainaat, rafiqa-e-hayaat
Darkaar hai. Jis kay baghair zindagi be kaar hai!
Masehri ya charpai, rui bhari razai, chand zewar talai,
Kuch kursian or maiz, bas is qadar jahez,
Larka go anari hai magar karobari hai.
Aik choti si dukaan, munh me zabaan or dil me tufaan rakhta hai.
Mazeed baat cheet bilmushafa ya bazarya lifafa.
Khat o kitabat pabandi-e-seegha-raaz hai
Kay yehi shareefon ka andaaz hai!
28-08-2015

You might also like