You are on page 1of 2

har aada e husn kehti hai fida hoja'iye.....

ishq ko utni baqa jitna fana hoja'iye.....


aap hi ki roshni me dekhloon mai aap ko....
aa'iye! meri basirat ki zia hoja'iye.....
aap ki har ek aada par hum toh marne hi ko hain..
muskurakar dekhlijiye, ya qafa hoja'iye.....
bheek mangi thi ke haq manga tha hum ne aap se...
yeh tariqa kya? ke sa'il se qafa hoja'iye......
aaj bhi 'kamil' ussi ka dam bharay jate hain aap..
ja'iye! himmat salamat, mubtala hoja'iye...

meri tarha teer e gham ka na bano kaheen nishana...


na sunoo meri kahani, na suno mera fasana...
woh nawaaz ne pe aaye to nawaaz de zamana..
woh kareem hi jo thaira toh karam ka kya thikana...

meri bood ki haqiqat faqat unse rabt-o-nisbat,


mujhai aaj tak bhi "Kamil" na samajh saka zamana...


sadqa-e-husn-e-nazar hai meri masti sari,
unke qurbaan jo aankhon se pilate hain mujhai...

You might also like