You are on page 1of 5

Suna Hai Log Usey Aankh Bhar Ke Dekhte Hain,

So Us Ke Shayher Main Kuch Din Teher Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Haalon Se,

So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Dard Ki Ghaik Hai Chasmey Naz Us Ki,

So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ko Bhi Hai Sher O Shaire Se Shagaf,

So Hum Bhi Mojzay Apne Huner Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Bolay To Baaton Se Phool Jharte Hain,

Yeh Baat Hai To Baat Kar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Raat Usey Chaand Takta Rehta Hai,

Setarey Baame Falaq Se Utar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Raat Ko Usey Titliyan Satati Hain,

Suna Hai Raat Ko Jugnon Teher Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Hashar Hain Us Ki Gazaal Si Aankhain,

Suna Hai Us Ko Hiran Dash Bhar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Raat Se Bar Kar Hain Ka Kalhain Teri,

Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar Kar Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ki Seeya Chasmagi Qayamat Hai,

So Us Ko Surma Farosh Aaha Bhar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ke Labon Se Gulab Jalte Hain,

So Hum Bahar Pe Elzam Dhar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Aaina Tamisal Hai Jabeen Us Ki,

Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sawar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Jab Se Hamail Hain Us Ki Gardan Main,

Mezaaj Aur Hi Laal O Ghoor Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Chashme Tasveer Se Dashaatey Imkan Main,

Palang Zaveeye Us Ki Kamar Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ke Badan Ki Tarash Aaisi Hai,

Ke Phool Apni Qabain Katar Ke Dekhte Hain,

Bas Ek Nigaha Se Luta Hai Qafala Dil Ka,

So Raawane Tamana Bhi Darr Ke Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ke Shabsitah Se Mutasil Hai Bhehashaat,

Makin Edher Ke Bhi Jalwey Udhar Ke Dekhte Hain,

Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain,

Chalay To Us Ko Zamana Teher Ke Dekhte Hain,

Kisey Naseeb Ke Be Parehen Usey Dekhay,

Kabhi Kabhi Daro Dewar Ghar Ke Dekhte Hain,

Kahniyan Hi Sahi Sab Mubalgay Hi Sahi,

Agar Wo Khuwab Hai Tabeer Kar Ke Dekhte Hain,

Aab Us Ke Shaaher Main Teherain Ke Koch Kar Jain,

Faraz Aao Setare Safar Ke Dekhte Hain,

Abhi Kuch Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain,

Faraz Aab Zara Lehja Badal Ke Dekhte Hain,

Judaiyan To Muqdar Hain Pher Bhi Jaane Safar,

Kuch Aur Durr Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain,

Raahey Wafa Main Haref Kharam Koi To Ho,

So Apne Aap Se Aage Nikal Ke Dekhte Hain,

Tu Samne Hai To Pher Kyon Yaqeen Nahi Aata,

Yeh Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain,

Yeh Kon Log Hain Mojud Teri Mehfil Main,

Jo Laalchon Se Tujhe Mujh Ko Jaal Ke Dekhte Hain,

Yeh Qaarb Kya Hai Ke Yak Jan Huwe Na Durr Rahe,

Hazar Ek Hi Qalaab Main Dhaal Ke Dekhte Hain,

Na Tujh Ko Maat Hoi Na Mujh Ko Maat Hoi,

So Aab Ke Dino Hi Chaalain Badal Ke Dekhte Hain,

Yeh Kon Hai Sare Saheel Ke Dubne Walay,

Samundaron Ki Tehon Se Uchal Ke Dekhte Hain,

Abhi Talak To Na Kandan Huwe Na Raak Huwe,

Hum Apni Aang Main Her Roz Jaal Ke Dekhte Hain,

Bohat Dino Se Nahi Hai Kuch Us Ki Khair Khabar,

Chalo Faraz Ku Aay Yaar Chal Ke Dekhte Hain,

You might also like