You are on page 1of 6

Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ki

Quraan aur Saheeh Hadees se Mukhalifat aur


Zaeef Hadeeso par Amal.

Print

Email

Rate this item

5
(35 votes)

Allah ke Nazdeek Bahut Naraazgi ka Sabab hai yeh cheez ke tum wo


baat kaho jo nahi karte ho.(Sureh Saaf)
Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ki Quraan aur Saheeh
Hadees se Muqaalifat aur Zaeef Hadeeso par Amal.
Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a
Anhum Andhra Pardesh.
Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat : Itteba Kitab Wa Sunnat
Hamara Nara : Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish : Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa
Bidat.
Hamara Maqsad : Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Note :
I S I STEHAAR K A M UKAMMAL I HTARAM F ARMAYE N ICHE G IRNE S E A UR K ISI
B HI B EAHTERAMI S E B ACHAYE . I S M E A YAT Q URAANIYA A UR A HADEES
M UBARAKA T EHREER H AI I SKO P ADHYE A UR C HAP K AR DUSRO T AK
P UHUCHA K AR S AWAB DAARAIN H ASIL K IJIYE .

Mohtaram Baraadaraane Islaam ! Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen


Bhai ( Jo Apne Aap Ko Bade Fakhar Se Ahle Hadees Kehte Hai) Dawa
Toh Yeh Karte Hai Ke Wo Har Saheeh Hadees Par Amal Karte Hai Aur
Zaeef Ahadees Ko Nahi Maante Isi Ke Saat Hanafiyo Ko Zaeef Hadeeso
Par Amal Ka Tana Dete Rehte Hai.Lekin Jab Unka Haqiqi Chehra Dekha
Jaata Hai Toh Maloom Hota Hai Ke Wo Quraan Aur Kai Saheeh Hadeeso
Ki Muqaalifat Karte Hai Aur Bahut Saari Zaeef Hadeeso Par Amal Karte
Hai.Namune Ke Taur Par Chand Hadeese Zikr Ki Jaati Hai.
1. Quran Majeed Me Allah Talaa Wajeh Hukum Hai Ke Jab Koi Mard Apni
Biwi Ko Teesri Talaq De De Toh Wo Aurat Us Mard Ke Liye Halaal Nahi
Hai , Yaha Tak Ke Wo Aurat Kisi Dusre Mard Se Nikah Karle.(Al
Baqarah:230 ).Isko Halala Kaha Jaata hai aur Ahnaaf Bhi Yahi Kehte
Hai. Lekin Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat , Fiqa Hanafi Ke Kitaab
Wa Sunnat Ke Mutabiq Is Masle ka Mazaaq Udaate Hai. (Dekhiye :
Ghair Muqallideen Ki Kitabein : Halale Ki Churi Wagaira).
2. Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:Jab Imaam Quraan
Padhe(Yaani Sureh Fatiha Aur Dusra Surah Padhe) Toh Tum Khamosh
Raho.(Saheeh Muslim: Hadees 404).Is Saheeh Tareen Hadees Ke
Khilaaf Ghair Muqallideen Ahle Hadees Imam Ke Qirat Ke Waqt Khamosh
Rehne Ke Bajai Quraan Padhte Hai
3. Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai : Us Shaks
Ki Namaz Nahi Jo Sureh Fatiha Aur Uske Saat Dusra Surah Na Padhe .
(Saheeh Muslim Hadees :394 ).
Is Saheeh Hadees Ke Bar-Qilaaf Ghair Muqallideen Imam Ke Peeche Sirf
Sureh Fatiha Padhkar Khamosh Baith Jaate Hai Aur Dusra Surah Nahi
Padhte , Lehaza Dusra Surah Padhe Be-Ghair In Hazraat Ki Namaz Kaise
Qubool Hogi .?
4. Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ruku Me Jaate Waqt Aur Se Sar
Utaate Waqt , Sajde Me Jaate Waqt Aur Sajdo Se Sar Utaate Waqt Dusri
Aur Chouthi Rakaat Ke Liye Khade Hote Waqt Bhi Rafedain Karte The.
(Apne Dono Haat Utathe The).(Nasai: Hadees 1087 ).
Lekin Hindustaani Ahle Hadees Is Saheeh Hadees Par Amal Karte Huve
Sajdo Me Jaate Waqt Aur Utte Waqt Aur Dusri Aur Chouthi Rakaat Ke
Liye Khade Ote Waqt Aur At-Tahiyaat Ke Liye Baitte Waqt Har Chiz RafeDain Nahi Karte Gooya Ke Inhone Ne Is Saheeh Hadees Ki Muqalifat Ki
Qasm Khaali Hai.
5. Hazrat Alqama Rh.Farmate Hai Ke Jaleel Ul Qadar Sahabi E Rasool
Hazrat Abdullah Bin Masood Radhi Allah Anhu Ne Namaz Padhi Aur Sirf
Ek Martaba (Takbeer E Tahrima Ke Waqt) Haat Uthayee(Trimizi
Hadees: 257)

Alama Naasir Uddin Albaani Likhte Hai:Bilaashuba Yeh Hadees Bilkul


Saheeh Hai Aur Jo Log Is Hadees Ko Zaeef Kehte Hai Unki Baat BeDaleel Hai.(Mishkaat Ma-Aa Tehqeequl Albaani 254/1).
Ahle Hadees Hazraat Ek Namaz Bhi Is Saheeh Hadees Ke Mutabiq Nahi
Padhte Balke Is Saheeh Hadees Par Amal Karne Ke Bajaye Is Ko Zaeef
Hadees Saabit Karne Ki Sar Tord Koshish Karte Hai.
6. Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad E Mubarak Hai : Jo
Shaks Imam Ke Peeche Namaz Padhe Toh Imam Ki Qirat Muqtadi Ki
Qirat Hai.(Muwatta Imam Muhammed : Safa : 94 , Musannaf Ibn
Abi Shaiba: 377/1 , Musanad E Ahmed Bin Manii: 339/3 )
Is Saheeh Tareen Hadees Ke Bar Qilaaf Firqa E Ghair Muqallideen Ahle
Hadees Ke Log Imam Ki Qirat Muqtadiyo Ke Liye Kaafi Nahi Maante.
7. Bukhari Shareef Ki Hadees Us Shaks Ki Namaz Nahi Jo Surah Fatiha
Na Padhe Ka Matlab Bayaan Karte Huve Sahabi E Rasool Hazrat Jabir
Bin Abdullah Rdh. Farmaate Hai: Magar Yeh Ke Wo Imam Ke Peeche
Namaz Padh Raha Ho(Tirmizi 71/1 , Muwatta Imaam Malik:
66) Ghair Muqallideen Ahbaab Sahabi Rdh. Ki Tashrii Ko Qubool Karne
Ke Bajai Imam Bukhari Rh. Ke Tarjumatul Baab Ko Zyada Tarjii Dete Hai.
8. Allah Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Tahajjud Me Kabhi 10
Rakaat (Bukhari: Hadees 1170) , Kabhi 12 Rakaat ( Bukhari Hadees
: 996) Aur Kabhi 14 Rakaat Bhi Padha Karte The.(Kitaab Al Zaud :
145 )
In Saheeh Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Firqa Ahle Hadees Ke Afraad Jo
Tahajjud Aur Taraveh Ko Ek Hi Namaz Kehte Hai , Saal Par Hatta Ke
Ramzaan Ke Mubarak Mahine Me Bhi Taraveh Sirf 8 Rakaat hi Padhte Hai
, aur 8 se Zyada Padhne Walo ko Biddati aur 20 Rakaat Taraveh Ko
Biddat E Umri Kehte Hai.(Nauzbillah).
9. Hazrat Aisha Siddiqua Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke Nabi E Karim
Sallallahu Alaihi Wasallam 3 Rakaat Witr Padhte The .(Saheeh Bukhari:
Hadees 1147) Aur Witr Me 2 Rakaat Ke Baad Salaam Nahi Phairte The.
(Sunan Nasai:Hadees 1700 , Mustadrak Haakim) In Saheeh Tareen
Hadeeso Ke Bar Khilaaf Ghair Muqallideen Ek Rakaat Witr Padhte Hai
Aur Agar Kabhi 3 Padhte Toh 2 Rakaat Ke Baad Salaam Phair Dete Hai.
10. Hazrat Anas Rdh Farmaate Hai Ke Huzur E Akram Sallallahu Alaihi
Wasallam Dua E Qunoot Ruku Se Pehle Padhte The.(Saheeh
Bukhari:Hadees 1002) Bukhari Shareef Ki Is Saheeh Hadees Ke
Khilaaf Ghair Muqallideen Ahbaab Ruku Ke Baad Dua E Qunoot Padhte
Hai.
11. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Bayaan Farmaate Hai Ke Rasool E Akram
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Namaaz Me(Surah Fatiha Ke Baad) Aahista

Ameen Kahi(Mustadrak Hakim: 181/2: Hadees : 2948 ), Imam


Haakim Rh. aur Alama Zehbi Rh.Farmaate Hai Ke yeh Hadees Bukhari
Wa Muslim Ki Shart Ke Mutaabiq Bilkul Saheeh Hai.
Is Saheeh Tareen Hadees Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Ahle Hadees
Mard aur Khwateen Cheekh Kar Ameen Kehte Hai Halaake Unki Tarah
Cheekh Kar Ameen Kehna Kisi Saheeh Hadees Se Sabit Nahi Hai.
12. Hazrat Umar Farooq Rdh. Gawaahi Dete hai ke Ke Rasoolullah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Fajr Ki Namaaz Ke Baad
Suraj Nikalne Tak Koi Namaaz Padhne Se Manaa Farmaaya. (Saheeh
Bukhari : 581).
Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Rivayat Hai Ke Rasool Ullah Sallallahu
Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Jo Fajar Ki Sunnatein Na Padhe Toh
Wo Unko Suraj Nikalne Ke Baad Padhe.(Sunan E Tirmizi 96/1 ,
Hadees : 423 , Hasan Saheeh).
In Dono Saheeh Hadeeso Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Ka Amal Yeh
Hai Ke Wo Namaz E Fajr Se Pehle Sunnat Na Padhne ki Surat Me Farz Ke
Fauran Baad Sunnatein Padhlete Hai.
13. Hazrat Abdullah Bin Zubair Rdh. Farmaate Hai Ke Allah Ke Pyaare
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam At-Tahiyaat Padhte Waqt Ungli Nahi
Hilaate The.(Abu Dawud Hadees : 984).Is Hadees Ko Imam Nawawi
Ne Saheeh Kaha Hai.(Al Majmoo : 417 /3 ).
Is Saheeh Hadees Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Qaide Me Salaam
Phairne Tak Apni Ungli Hilaate Rehte Hai.
14. Huzur E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Agar Eid
Juma Ke Din Aajaati Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba
Rdh. Eid Ki Namaz Aur Jume Ki Namaz Dono Padhte The .(Saheeh
Muslim:878)
Is Saheeh Hadees Ke Bar-Qilaaf Ghair Muqallideen Ka Kehna Hai Ke Eid
Agar Juma Ko Aajye Toh Namaz E Juma Maaf Hojaati Hai Balke Juma
Chorne Par Sawaab Milta Hai.(Fatawa Naziriya).
15. Saheeh Hadeeso Se Saabit Hota Hai Ke Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi
Wasallam Aur Sahaba Rdh. Se Jab Bhi Koi Namaz Neend Ya Be-Daari Me
Faut Hogayi Toh In Hazraat Ne Zaroor Uski Qaza Padhi.(Saheeh
Bukhari:Hadees 595 To 598 , Saheeh Muslim , Sunan E Tirmizi
431/1) Lekin In Saheeh Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Maujuda Jamaat Ahle
Hadees Ke Nazdeek Namaze Choot Jaye Toh Uski Qaza Ki Zarurat Nahi
Rehti.(Fatawa Ahle Hadees).
16. Huzur Ne Ramzaan Ul Mubarak Me Sirf 3 Din Jamaat Ke Saat
Taraveh Padhayi Aur Teesre Raat Bhi Sehri Tak Taraveh Padhaai Thi.
(Bukhari).

Lekin Aaj Firqa E Ahle Hadees Ke Afraad Puraa Ramzaan Jamaat Ke Saat
Taraveh Padhte Hai Aur Ek Raat Bhi Sehri Tak Nahi Padhte.
17. Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Apni Aurto
Masjid Ko Jaane Se Na Rook Lekin Unke Ghar Unke Liye Masjido Se
Behtar Hai.(Mustadak Rak Haakim: Hadees 761 , Saheeh).Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai Ke Aurto Ki Sabse Behtirin
Masjid Unke Ghar Ka Andruni Hissa Hai.(Mustadrak Haakim: Hadees
768 , Musnad E Ahmed).Hazrat Aisha Rdh. Farmaati Hai Ke Agar
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Is Zamane Ki Aurto Ki Badli Huvi
Halaat Dekhlete Toh Zaroor Unko Masjid Aane Se Maana Farmaa Dete.
(Saheeh Bukhari: Hadees 869).
In Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Aaj Kal Ke Ghair Muqallid Khwatein Bade
Fakhar Se Masjid Aakar Namaz Padh Rahi Hai Aur Huzur E Akram
Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Is Nasihat Ke bar-Qilaaf Besharmi Ke Saat
Mardo Se Ijaazat Maag Rahi Hai.Jiski Waje Se Mard Unko Masjid Jaane
Ki Ijaazat Dene Par Majboor Horahe Hai.
18. Hazrat Abu Ayub Ansaari Rdh. Farmaate Hai Ke Pyaare Nabi
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Choti Aur Badi Zarurat Se Faarigh Hote
Waqt Qible Ki Taraf Muh Ya Peet Karne Se Mana Farmaya(Saheeh
Bukhari: Hadees 145 , Saheeh Muslim: Hadees 264).
In Saheeh Hadees E Shareef Ke Bar Qilaaf Maujuda Ahle Hadees Ke
Nazdeek Zarurat Se Faarigh Hote Waqt Qible Ki Jaanib Muh Ya Peet
Karna Jayez Hai.
19. Hazrat Aisha Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke Imaamo Ke Imam Hazrat
Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz Me Quraan E Majeed Ki
Qirat Alhamdullillahi Rabbil Alameen ( Yaani Surah Fatiha ) Se Shuru
Farmaate The.(Saheeh Muslim) Is Saheeh Namaz E Nabavi Ke Bar-Qilaaf
Maujuda Ahle Hadees Hazraat Ka Kehna Hai Ke Surah Fatiha Qirat E
Quran Me Daaqil Nahi.
20. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Farmaate Hai Ke Rasool Ullah Sallallahu
Alaihi Wasallam Ke Saat Namaaz Padhi Toh Aap Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne Apna Daya Haat Baaye Haat Par Rakhkar Seene Par Haat
Padha.(Ibn Khuzaima).Yeh Hadees Bilittefaaq Zaeef Hai Kisi Muhaddis
Ne Is Hadees Ko Saheeh Nahi Kaha.Is Ke Bawajuud Maujuda Ahle
Hadees Log Apne Dawe Ke Barqilaaf Is Zaeef Hadees Par Amal Karte Hai
Aur Saat Me Yeh Jhoot Bhi Bolte Hai ke Seene Par Haat Baandhne Ke
Ahadees Saheeh Bukhari Me Bakasrat Hai.(Dekhiye Fatawa
Naziriya) Is Ke Alawa Seene Par Bandhne Ki Aur Hadeese Ghair
Muqallideen pesh Karte Hai Lekin Sab Zaeef Hai(Dekhiye Daleel E
Namaz , Ahle Hadees Chand Haqaaiq).

21. Ahle Hadees Hazraat Witr Ki Teesri Rakaat Me Ruku Ke Baad Dua Ki
Tarah Dono Haat Utaakar Dua E Qunoot Padhte Hai.Halaake Unka Yeh
Amal Kisi Bhi Hadees Se Harghiz Saabit Nahi Hai Agar Koi Saheeh
Hadees Unke Paas Hai -TohPesh Kare.
22. Ghair Muqallideen Imam Ke Peeche Qirat Karne Ki Daleel Yeh Pesh
Karte Hai Ke: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Rdh. Se
Farmaya:Imam Ke Peeche Kuch Na Padho Siwaye Sureh Fatiha
Ke(Tirmizi , Abu Dawud) Yeh Hadees Zaeef Hai.Alame Ibn Taimiya Rh.
Farmate Hai:Imam Ahmed Rh. Aur Dusre Muhaddiseen Ne Is Tarah ki
AHadees Ko Zaeef Kaha Hai.(Fatawa Ibn Taimiya: 287/23)
23. Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Ki Namaz Me 12
Takbireh Kahi 7 Pehli Rakaat Me Aur 5 Dusri Rakaat Me.(Ahmed , Ibn
Maja) Ghair Muqallideen Is Hadees Par Amal Karte Huve Eid Ki Namaz
Me 12 Takbire Kehte Hai Halaake Yeh Hadees Zaeef Hai , Isi Tarah
Tirmizi Ki Hadees Bhi Bahut Zaeef Hai.
24. Tamaam Aiyaam Tashreeq E Zabah Ke Din Hai.(Musnad E Ahmed ,
Ibn Majah).Is Hadees Amal Karte Huve Ghair Muqallideen Ahle Hadees
Ka Yeh Kehna Hai Ke Qurbaani Ke 4 Din Hai , Halaake Yeh Hadees Bilkul
Zaeef Hai.(Tafseel Ke Liye Dekhe : Ahle Hadees ke Chand
Haqaaiq).
25. Ghair Muqallideen Hazraat Se Agar Fajar Se Pehle Ki Sunnat E
Mokida Choot Gayi Toh Wo Fajar Ki Farz Ki Namaz Ke Baad Fauran Baad
Aada Karlete Hai Aur Iski Daleel Me Tirmizi Ki Hazrat Qais Rdh. Ki Ek
Hadees Pesh Karte Hai.Halaake Wo Hadees Zaeef Hone Ke Saat Bukhari
Wa Muslim Ki Saheeh Hadees Ke Khilaaf Bhi Hai.
Inke Alawa Ghair Muqallideen Ke Aur Bahut Se Masail Hai Jo Quran Aur
Saheeh Ahadees , Ijma E Ummat Ke Khilaaf Hai , Unme Se Chand Yaha
Ba-Qaur Namuna Naqal Kiye Gaye Hai.

You might also like