You are on page 1of 1

What are the reasons behind that we are retrogressive and Non-Muslim western and

eastern nations are developing and now they are ruling upon us as super powers?
Answer
dunya ma humain do tarah k muhashry ya log milty han. Aik wo jo taraqi yafta jin ma zida tar
gar Muslim country ha aur dusra zawal pazeer jin ma zida mulk musalmano country han , kuch
muthi bar musalman taraki yafta ha lakin wo kisi gar muslim country par rule ni karty jab ky
dusri janib jo muhashra taraqi yafta ha wo zida tar non muslim hain aur wo muslims py rule
karty hain. Aakhir asy Q hua k muslmano k apna koi mahashi, mahasharti, siyasi, addalti aur
taleemi nizam nahi ha jo musalmano ky lia rahber bany aur jo muslmano ko zawal sy utha kar
urooj py ly jahy hala k musalmao k pas as dyana ko chalny wali sub sy bari taqat Oil ki ha phir b
hum hi pasti ka shikar ha.
Agr hum apny deen ki bonyad aur os ki talimat ko sahi se samjy tu hum khud as pasti ki waja
pata chal jy gi q k islam ek aisa deen ha jis par sahi aur pokhta alam kr k hum ek aisa nazam
duniya k lye ba-tory rahber bana sakty ha jo humy insano ke gulami sy nikaly, jo insaf faraham
kar saky, jo insan ko aala ikhlakiyat sikha sakhy kar ilm e fun aur taraki ma kamal darjy tak
poncha sakhy, aur humri rahnomi k ly Quran aur Sunnat ke shakal ma ye sub asol majood ha jis
ka amli namoona Hazrat Muhammad (S.A.W) ny apny dor ma aisa mashra bana k sabit kya ha.
Lakin aj kal mosalm tu islam ki talimat par alam para ni balky gar muslim as par amal kar k kaha
se kaha ponch gy ha.
Aj kal k Mosalm countries ma ya to badsha raj karta ha ya to jamhoriat k nam par awam pr apni
marzi mosalat ki jai ha lakin mosalm country ki jamhoriat bus nam ki had tak ha. Tomam muslim
country apni molkal k andar hi baty howy ha har hum ny apna tabqati nazam-e taleem riaj kya
howa ha jo k taleem ko b muktalif darjo ma takseem karta ha jesy hum mayari aur gar mayari ya
achi taleem kehty ha aur agr achi taleem hasal krna ho tu wo manghi ha jis ke waja sy aksr
musliman jadeed taleems sy door han. Tumam mumalik ma sood ke bunyad par mahashi nizam
kiam kar dia gia ha. insaf ka nazam maghrbi tarz par ha lakin insaf ka maray maghrbi tarz ka ni.
Sehat khorak r dosry tamam shoboon pa sirf chand logon ke bala dasti ha. Nizam-e-zakat na
hone ka barabr ha. Tamam muslim mumalik ky hukmaran sirf apmi ayashion ma magan han un
ko awam ke koi parwa nahi aur sab sa barh kar tamam muslim mumalik aur muslmano ka
darmiyan aithad nahi ha.

You might also like