You are on page 1of 2

Dyar E Ishq Mein

(In the realm of love)


Hamiki Ne Musalmani Khudi Ki
Kalimi Ramz E Pinhani Khudi Ki
Tujhe Gul Fakr O Shahi Ka Bata Doon
Ghareebi Mein Nigehbani Khudhi Ki
Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker
Na Tu Zameen Ke Liyeh Hai Na Aasman Ke Liyeh
Jahan Hai Tere Liyeh, Tu Nahi Jahan Ke Liyeh
Daikh... Apna Maqaam Paida Ker
Khudhi Ko Ker Buland Itna Ke Her Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Pochay Bata Teri Raza Kya Hai
...Apna Maqaam Paida Ker
Raga
...Apna Maqaam Paida Ker
Yeh Hikmat E Malkooti Yeh Ilm E Laa-Hoti
Haram Ke Dard Ka Darmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
Yeh Zikr E Neem Shabi Yeh Buraak Beyasu
Teri Khudhi Ke Nigehbaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
Khirad Ne Keh Bhi Diya La Ilah To Kya Haasil
Dil-O-Nigaah Musalmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
Daikh... Apna Maqaam Paida Ker
Zindagani Hai Sadaf Qatra E Nesa Hai Khudhi
Woh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Gohar Ker Na Sakay
Ho Agar Khudnigar O Khudgar O Khudgeer Khudi
Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mar Na Sakay
Per Pehle ...Apna Maqaam Paida Ker
Phir Charagh E Lala Se Roshan Hoay Koh O Taman
Mujh Ko Phir Naghmon Pe Yuksanay Laga Mugh E Chaman
Apne Mun Mein Doob Ker Paya Suragh E Zindagi
Tu Agar Mera Nahi Banta Na Bun... Apna To Bun
Mun Ki Dunya Mun Ki Dunya Sooz O Masti Jazb O Shouq
Tan Ki Dunya Tun Ki Dunya Sood O Sauda Makr O Fun
Mun Ki Doulat Haath Aati Hai To Phir Jaati Nahi
Tan Ki Daulat Chaaon Hai Aata Hai Dhan Jata Hai Dhan

Mun Ki Dunya Mein Na Paya Mein Ne Afrangi Ka Raaj


Mun Ki Dunya Mein Na Dekhe Mein Ne Shaikh O Brahman
Paani Paani Ker Gayi Mujh Ko Qalandar Ki Yeh Baat
Tu Jhuka Jab Ghair Ke Agay Na Mun Tera Na Tan
Bus ...Apna Maqaam Paida Ker
Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker
Naya Zamana Naye Subh O Shaam Paida Ker
Khuda Agar Dil-E-Fitrat Shinaas De Tujhko
Sukoot-E-Laalaa-O-Gul Se Kalaam Paida Kar
Uthana Sheesha Garan-E-Farang Ke Saath
Safal-E-Paak Se (P?)Meena-O-Jaam Paida Ker
Mera Tareek Ameeri Nahi Faqeeri Hai
Khudi Na Baich Gareebi Mein Naam Paida Kar
Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker...

You might also like