You are on page 1of 4

friday, april 23, 2010

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..


aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
yeh tum jaanti ho,aur main jaanta hoon..
koi laakh samjhe,samajh nahi sakta...
ki faasle na reh gaye thhe bich hamare tumhare..
main maanta hoon ki,main baavla hoon..
nihaarta tumhe main tak taki laga ke..
jaise chakor dekhe chandini ke srijak ko..
jo hai toh sabhi ka,kintu woh usse maane apna..
lekin main itna baavla bhi nahi hoon..
jo samajh na sake,raha tha kya chal,andar tumhare..
na itna andha hi hoon main ki,
dekh na paoon bhitar tumhare..
itni najdeek se dekha hai,tumhe,maine..
shaayad kabhi darpan mein bhi khud ko na khangaala ho tumne..
darpan darshan mein bhi,vastu aur pratibimb ka farq hai rah jaata..
maine dekha hai tumhe iss farq ko bhi vilopit karke
par shaayad tum,dekh na pai ki,
dekhta hoon tumhe main apne hridya mein..
ya shaayad,tum,darr gayi dekh mujhme..
apne aap ko uss din..
mujhse duur reh kar,reh sakti ho jeevit tum..
kintu,khud se rehkar duur ho rahi ho pratipal,mrit tum..
main tumko jeelaana chahta hoon,
tumhe,tumse milaana chahta hoon..
aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
mujhe hai yaad,bas tumhe yaad dilaana chahta hoon..

abhijeet anand(ranu)
23/04/2010

thursday, april 22, 2010


chhoti chhoti baatein...
kehna toh bahut kuch hai unko...
woh kehte hain bataya mat karo...
karna toh bahut kuch hai...�
par woh kehte hain jataya mat karo..

kuch vaade kiye hain khud se humne.....


ki unka naam sar-e bazaar na kehenge...
Jaante hain hum ki darte hain 'woh' khud se...
gar jatayenge toh kisi aur se woh pyar na karenge..

Wo ab darte hain hamse rubaru hone se..


Qki unhe aadat ho chali hai jhuthh ko sach maanane ki..
Wo koi rabta nhi chahte humse..
Qki unhe himmat nhi ho rhi jeene ki
saturday, april 17, 2010
TUM
mili thi mujhe,ek mod par tum
meri zindgi,meri saans bankar

ik ajeeb baat mehsoos ki maine,


ki mere har sawal ka jawab thi tum....
lajawaab thi tum.

tumhare liye main bhale kuch bhi na ho,


mere liye roz ki subah shaam thhi tum,
har pata....har naam thhi tum...
meri benaam gumshudgi ki pehchaan thi tum,
khwab thi tum....armaan thi tum.....�

tumhe kya pata,kya thi tum....


jo shaayar na keh saka..wo alfaaz thi tum..
khwabo ke dariya ka saahil thi tum,
jise udd ke bhi na chhu saka.....
woh aasma thi tum..

ik khubsurat titli thi tum,


muthhi mein band karne se darta tha jise..
darta tha,kahi thhes na pahuncha doon..
hawao mein ithlaati.....rang bikherti hi pasand thi tum...
uff!bas kamaal ho tum...

ranu(19/12/2007)

Yaadein
yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,
pehle kuch dino hari hoti hain,
chalo mana...
kuch aur din hari hoti hain,
gar koi sinchta hai usse,
har roz..
har pal..
kvi aansuon se ,
kvi muskuraahton se..

yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,


pehle kuch dino hari hoti hain,
phir,haule se...mausam ka rukh badaltaa hai,
waqt badalltaa hai..
haalaat badaltein hain..
aksar dekha hai ki
insaan badaltein hain,
woh hare hare pattein,
jo iss chir bhram mein thhe
woh rahenge unn saakhon pe anant tak,
tutate hain..
girte hain..
bikhar jaatein hain..
ek badrang...matmaila dher ban jaate hain,

yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,


pehle kuch dino hari hoti hain,
hawaeyein aakar unn patton ko uda le jaati hain..
unke bhram ko tod jaati hai..
fir bhi..
kabhi kabhi...
kuch patton ko panah mil jaati hai,
kitaabon ke panno ke bich,
maanta hoon,ki woh phir se hare nahi ho sakte,
lekin..
kam-se-kam apni ik pehchaan rakhte hain,

kaash main bhi "woh" palaash ka pata ban pata...


kaash main bhi "kisi" ki zindgi ke panno mein chhap pata....

abhijeet 'ranu' (11 april,2010)



kyun?
puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
pehle nhi thhe tum baat krte thhakte
ab khaamosh 'kyun' ho jaate ho
'kyun' ab kam muskurate ho...

puchhte hain woh ab aksar


chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
yaad dilaata hoon unhe main
pehle bhi aksar chup rha krta tha main
farq itna hai bas
pehle tum meri khamoshiyon ko bhi suna karti thi
shayad,uss par kabhi kabhi socha karti thhi
udhherbun kiya karti thi

puchhte hain woh ab aksar


chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
unn khamosh guftugu ke waqt�
main tumhari saansein suna karta thha
unhe apne kaano par mehsoos kiya karta tha
par ab.......
unhe meri khamoshi 'khamosh' lagti hai
uss khamoshi se zaroori har dusri cheez lagti hai

puchhte hain woh ab aksar


chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
agar sun sako toh suno
meri khamoshi bejubaan nahi hai
ik sailaab sa hai bheetar
par beh nikale aisa daayra nahi hai

muskurata hoon main 'ab bhi'


unn khaamoshiyon ko yaad kar kar
kehna tha uss waqt bhi bahut kuch
par bandishein badi thhi

puchhte hain woh ab aksar


chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
agar sun sako toh suno
main kya suna karta hoo unn khamosh palon mein
tumhare shor mein
tumhari khamoshiyon mein

sunta tha aur sunta hoon


main tumhare har darr ko
darr phir se jee uthhne ka
darr kuch paakar usse kho dene ka
sunta hoon main tumhari khamosh siskiyon ko
sunta hoon main tumhari har pareshaan dhadkan ko
jinhe chhupati ho tum
apne charo or shor ka ek parda daal kar

puchhte hain woh ab aksar


chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
chup ho jaata hoon main
taaki 'tum' sun sako woh
jo sunta hoon main tum mein
jin aawazon ko tum khud se duur kar
ji rahi ho ek chhan bhangur marichika mein

agar sun sako toh suno


sawaal uthhte hain mere andar bhi�
jo aksar hriday-garbh mein maun mrityu paate hain
par aaj yeh yakchh prashn karta hoon tumse
jo rakt-beej ki tarah baar baar janamta hai mere mann mein
agar kabhi jawaab de sako toh dena
'kyun?'
'aakhir kyun?

abhijeet anand 'ranu' (12/04/2010)'

You might also like